Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, December 29, 2014

Hadith : Main din mein 70 martaba se ziyada ALLAH se istigfaar aur tauba karta hun.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Main din mein 70 martaba se ziyada ALLAH se istigfaar aur tauba karta hun.

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ki Qasam main din mein 70 martaba se ziyada ALLAH se istigfaar aur tauba karta hun.
Sahih Bukhari,  Vol 7 , 6307
--------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying.  By ALLAH! I ask for forgiveness from ALLAH and turn to Him in repentance more than seventy times a day.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No.319


أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْْقَيُّومُ وَ أَتُوبُ إِلَيْهِ
Astaghfirullah Al-ladhi la ilaha illa Huwal-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih

I seek the forgiveness of ALLAH the Mighty, Whom there is none worthy except Him, the Living, The Eternal, and I repent unto Him

Hadith: Maine apni Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfa’at ke liye mehfooz rakhi huyee hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Maine  apni  Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfa’at ke liye mehfooz rakhi huyee hai

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
har nabee ne kuch cheezein maangi, ya farmaya ki har Nabee ko ek (khas) dua di gayee yani jo bhi unhone dua maangi wo Qubul ki gayee lekin maine  apni  Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfa’at ke liye mehfooz rakhi huyee hai.
Sahih Bukhari, vol 7, 6305

--------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "For every prophet there is an invocation that surely will be responded by ALLAH," (or said), "For every prophet there was an(special) invocation with which he appealed to ALLAH, and his invocation was accepted (in his lifetime), but I kept my (this special) invocation to intercede for my followers on the Day of Resurrection."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 317

Hadith: jab teen shaksh saath ho to teesre shakash ko chor kar Do aapas mein Kaanafusi (chupke se baat) na karey

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab teen shaksh saath ho to teesre shakash ko chor kar Do aapas mein Kaanafusi
(chupke se baat) na karey

Abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab teen shaksh saath ho to teesre shakash ko chor kar Do aapas mein Kaanafusi
(chupke se baat) na karey
Sahih Bukhari, Vol7, 6288
----------------------------------------------

Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "When you are three persons sitting together, then no two of you should hold secret counsel excluding the third person until you are with some other people too, for that would grieve him."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 305


Hadith : ALLAH ke saath Shirk karna aur waldein ki nafarmani karna (sabse bade gunaah hain)

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : ALLAH ke saath Shirk karna aur waldein ki nafarmani karna (sabse bade gunaah hain)

Abu Bakr Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Kya main tumhe sabse bade Gunaah ke baare mein khabar na du ? Sahaba ne arz kiya kyun nahi , phir Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam nefarmaya ALLAH ke saath Shirk karna aur walden ki nafarmani karna (sabse bade gunaah hain) .
Sahih Bukhari, Vol7, 6273


Narrated Abu Bakr Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Shall I inform you of the biggest of the great sins?" They said, "Yes, O ALLAH's Apostle!" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To join partners in worship with ALLAH, and to be undutiful to one's parents. "
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 290

Hadith: Koi shaksh kisi dusre shaksh ko (apne baithne ke liye) uske baithne ki jagah se na uthaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Koi shaksh kisi dusre shaksh ko (apne baithne ke liye) uske baithne ki jagah se na uthaye

Abdullah Bin Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya koi shaksh kisi dusre shaksh ko (apne baithne ke liye) uske baithne ki jagah se na uthaye ke khud wahan  jakar baith jaye.
Sahih Bukhari, Vol7, 6269

-------------------------------------

Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhuma: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "A man should not make another man get up from his (the latter's) seat (in a gathering) in order to sit there.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 286: 

Mafhum-e-Hadith:ALLAH ka bando apr aur bando ka ALLAH par Haq

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:ALLAH ka bando apr aur bando ka ALLAH par Haq

Muadh Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmya ki tumhe Maalum hai Bando par ALLAH ka kya haq hai , phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ye ki usi ki Ibaadat kare aur uske saath kisi ko Sharik na thahraye,
Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhe maalum hai ALLAH par bando ka kya haq hai, ye ki unhe Azab na de
Sahih Bukhari, Vol 7, 6267
 -------------------------------------

Narrated Muadh Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , "Do you know what ALLAH's Right on His slaves is?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, ALLAH's Right on His slaves is that they should worship Him (Alone) and should not join partners in worship with Him." He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Do you know what the right of (ALLAH's) salves on ALLAH is, if they do that (worship Him Alone and join none in His worship)? It is that He will not punish them."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 283

Mafhum-e-Hadith: Bachchon ko bhisalam kiya karo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bachchon ko bhisalam kiya karo

Anas Bin malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab wo bachhcon ke pass se guzre to unhone bachchon ko salam kiya aur kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam bhi aisa hi kiya karte the (yani bachchon ko salam karte they)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6247


Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : that he passed by a group of boys and greeted them and said, "The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to do so."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 264: 

Hadith: Khana khilao aur salam karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Khana khilao aur salam karo

Abdullah bin Amr Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya khana khilao aur salam karo use jise tum pahchante ho use bhi aur jise tum nahi pahchante ho use bhi.
Sahih Bukhari, vol 7, 6236
 -----------------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhu : A man asked the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , "What Islamic traits are the best?" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Feed the people, and greet those whom you know and those whom you do not know."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 253

Hadith: Chota bade ko salam kare

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Chota bade ko salam kare

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya chota bade ko salam karey, guzarne wala baithne wale ko salam kare aur choti jamaat badi jamaat ko salam kare.
Sahih Bukhari, vol 7,  6231

-----------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The young should greet the old, the passer by should greet the sitting one, and the small group of persons should greet the large group of persons. "
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 250: 

Hadith: Raasto(roads) ka Haq ada karo

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Raasto(roads) ka Haq ada karo

Abu Saeed Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raaston par baithne se bacho,Sahaba ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  hamari ye Majlis to bahut Zaruri hai hum wahan par roz hone wali guftgu (baatein) kiya karte hain Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya achcha , agar tum   in Majlis mein baithna hi chahte ho to Raaste ka haq ada kiya karo sahaba ne arz kiya Raaste ka haq kya hai  to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nazar neechi rakhna, Raahgeeron (guzarne walon) ko na satana, Salam ka jawab dena, bhalaii ka hukm dena aur buraii se rokna
Sahih Bukhari,  vol 7, 6229
-------------------------------------------------


Narrated Abu Said Al-Khudri: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'Beware! Avoid sitting on the roads." The (the people) said, "O ALLAH s Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! We can't help sitting (on the roads) as these are (our places) here we have talks." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, ' if you refuse but to sit, then pay the road its right ' The said, "What is the right of the road, O ALLAH's Apostle?" He said, 'Lowering your gaze, refraining from harming others, returning greeting, and enjoining what is good, and forbidding what is evil."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 248

Sunday, December 28, 2014

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko kaddu pasand tha

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko kaddu pasand tha


Anas Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Main Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ke saath ek Darji(tailor) ke wahan gaya, usne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke samne ek pyala Pesh kiya jismein sharid ( Gosht aur kaddu ) tha aur apne kaam mein lag gaya,Nabee SallallahuAlaihi wasallam usmein se kaddu talash karne lage phir main bhi usmein se kaddu talash karke Aap SallallahuAlaihi wasallam ke samne rakhne laga aur uske baad se mujhe bhi kaddu bahut pasand ho gaya.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5420

------------------------------------------------------

Narrated Anas Radi AllahuAnhu : I went along with the Prophet SallallahuAlaihi wasallam  to the house of a young tailor of his. The tailor presented a dish of Tharid (meat mixed with gourd)  to the Prophet and resumed his work. The Prophet started picking the pieces of gourd and I too, started picking them and putting it before him. Since then I have always loved (to eat) gourd.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 65, No. 331: 

Hadith: Cheenk (Sneezing) aane par Alhamdulillah kaho aur

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Cheenk (Sneezing) aane par Alhamdulillah kaho aur

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala cheenk (sneezing) ko pasand karta hai aur jamaayee (yawning ) ko napasand karta hai isliye tum mein se koi shaksh cheenke aur Alhamdulillah (Tamam Taarif ALLAH ke liye hai)  kahe to har musalman par haq hai ki jo use sune uska jawab Yarhamukallah se de, jamaayee (yawning) shaitan ki taraf se hoti hai isliye jahan tak ho sake use roke kyonki jab wo munh khol kar Haaaaa kahta hai to shaitan us par hansta hai.
Sahih Bukhari, Vol7, 6223


Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi cheenke (sneezing ) to 'Al-Hamdulillah' kahe aur uska bhai ya uska saathi 'Yar-hamuka-llah’(ALLAH tum par raham karey) kahey, jab saathi Yarhamukallah kahe to uske jawab mein cheenkne wala kahe Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum (yani Alllah tumhe seedhe raaste par rakhe aur tumhare haalat durast karey)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6224
-------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, " If anyone of you sneezes, he should say 'Al-Hamdulillah' (Praise be to ALLAH), and his (Muslim) brother or companion should say to him, Yarhamukallah (May ALLAH bestow his Mercy on you). When the latter says 'Yar-hamuka-llah", the former should say, 'Yahdikumul-lah wa Yuslih balakum' (May ALLAH give you guidance and improve your condition)."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 243:

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH likes sneezing and dislikes yawning, so if someone sneezes and then praises ALLAH, then it is obligatory on every Muslim who heard him, to say: Yar-hamuka-l-lah ( May ALLAH be merciful to you ) But as regards yawning, it is from Satan, so one must try one's best to stop it, if one says 'Haaa' when yawning, Satan will laugh at him."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 242

Hadith:Tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho

Hazrat Ali Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum mein se koi shaksh aisa nahi hai jiska jannat ya Dozakh ka thikana tay nahi ho chuka ho,Sahaba ne arz kiya ki phir kyun na hum usi par bharosa kar le, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Amal karte raho kyunki har shaksh jis thikane ke liye paida kiya gaya hai usko waisee hi taufiq di jayegi
Sahih Bukhari, Vol 7, 6217

---------------------------------------------

Narrated 'Ali Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said , "There is none amongst you but has been assigned a place (either) in Paradise and (or) in the Hell-Fire." The people said (to him), "Should we not depend upon it?" He said: carry on doing (good) deeds, for everybody will find easy such deeds as will lead him to his destined place.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No.236

Hadith: Eh Aisha (Radi Allahu Anha) ! ye Jibril hain aur tumhe salam kahte hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Eh Aisha (Radi Allahu Anha) ! ye Jibril hain aur tumhe salam kahte hain

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Eh Aisha (Radi Allahu Anha) ! ye Jibril hain aur tumhe salam kahte hain, maine kaha un par bhi salam aur ALLAH subhanahu ki rahmat ho, Aayesha Radi Allahu Anha ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  wo cheezein bhi dekhte the jinhe hum nahi dekh sakte they.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6201

---------------------------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "O Aisha (Radi Allahu Anha) ! This is Gabriel sending his greetings to you." I said, "Peace, and ALLAH's Mercy be on him." 'Aisha Radi Allahu Anha added: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to see things which we used not to see.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 220


Mafhum-e-Hadith Qudsi: Zamane (waqt) ko bura na kaho


 Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith Qudsi: Zamane (waqt) ko bura na kaho

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala farmata hai ki insaan zamane (waqt ko) ko bura kahta  hai jabki main hi zamana  hu aur mere hi haath mein raat aur din hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6181


Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "ALLAH Subhanahu said, "The offspring of Adam abuse the Dahr (Time), and I am the Dahr; in My Hands are the night and the day." !
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 200:

 Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhuallahuanhu : ALLAH's Apostle said, "ALLAH said, 'The son of Adam hurts me for he abuses time though I am time: in My Hands are all things, and I cause the revolution of day and night.'

Sahih Bukhari, Book #60, Hadith #351

Hadith : Insaan usi ke saath hoga jis se wo mohabbat karta hai


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Insaan usi ke saath hoga jis se wo mohabbat karta hai

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Bedouin Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke pass aaya aur kaha ki Qayamat kab aayegi to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Afsos ! tumne us Qayamat ke liye kya tayyyari ki hai, usne kaha maine uske liye to koi tayyari nahi ki hai lekin main ALLAH aur uske Rasool se mohabbat rakhta hun, to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir tum Qayamat ke din unke saath rahoge jin se mohabbat karte ho
Sahih Bukhari, Vol 7, 6167

Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya insaan uske saath rahega jis se wo Mohabbat karta hai.
Sahih Bukhari,  Vol7 ,6168

 ---------------------------------------------
Hadith: Everyone will be with those whom he loves.

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : A bedouin came to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam and said, "O ALLAH's Apostle! When will The Hour be established?" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Wailaka (Woe to you), What have you prepared for it?" The bedouin said, "I have not prepared anything for it, except twala nahihat I love ALLAH and His Apostle." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "You will be with those whom you love."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 188


Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Everyone will be with those whom he loves."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 73, No. 189

Hadith: Kuch Asha’ar (poetry) mein Danayee ( Wisdom) hoti hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Kuch Asha’ar (poetry)  mein Danayee ( Wisdom) hoti hai 
Ubai bin Ka'b Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kuch Asha’ar (Hamd or Naat)   mein Danayee ( Wisdom) hoti hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6145

Abdul rahman bin Auf se Radhi Allahu Anhu rivayat hai ki unhone Hassan bin Thabit ansari Radhi Allahu Anhu se suna  wo Abu hurairah ko Gawaah bana kar kah rahe the ki EH Abu Huraira Main Aapko ALLAH ki kasam dekar puchta hu kya tumne  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se suna hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Hassan ALLAH ke Rasool ki taraf se Mushriko ko Jawab do Eh ALLAH Rooh al Quddus ke zariye unki madad kar Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu ne farmaya HAAN
Sahih Bukhari, Vol 7, 6152

*Note: Hassan Radhi Allahu Anhu Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki bargaah mein Ashaar (Naat) parha karte the aur mushriko ko Ashaar se jawab dete they


Narrated Ubai bin Ka'b: ALLAH's Apostle Peace be upon him said, "Some poetry contains wisdom." 
Sahih Bukhari , Book #73, Hadith #166

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam 
Narrated Abu Salama bin 'Abdur-Rahman bin 'Auf: that he heard hassan bin Thabit Al-Ansari Radhi Allahu Anhu asking the witness of Abu Huraira, saying,
"O Abu- Huraira! I beseech you by ALLAH (to tell me). Did you hear ALLAH's Apostle Peace be upon him saying''O hassan ! Reply on behalf of ALLAH's Apostle. O ALLAH ! Support him (hassan) with the Holy Spirit (Gabriel).'?"
Abu Huraira Radhi Allahu Anhu said, "Yes."
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 173

*Hassan Radhi Allahu Anhu used to Read the Poetry ( Nasheed) for Prophet Peace be upon him and used to give reply to Mushriks.

Hadith : Apne mehmaan ki ezzat karni chahiye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Apne mehmaan ki ezzat karni chahiye

Abu Shuraih  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Jo shaksh ALLAH aur aakhirat ke din par yakeen rakhta ho use apne mehmaan ki ezzat karni chahiye , uski khatirdari bas ek din aur raat ki hai , aur mehmani 3 din aur raaton ki hai, iske baad jo ho wo sadqa hai aur mehmaan ke liye jayaz nahi ki wo apne mezbaan ke paas itne din thahar jaye ki use pareshaan kar de.
Sahih Bukhari, Vol 7,  6135



Narrated Abu Shuraih Al-Ka'bi Radhi Allahu Anhu: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, Whoever believes in ALLAH and the Last Day, should serve his guest generously. The guest's reward is: To provide him with a superior type of food for a night and a day and a guest is to be entertained with food for three days, and whatever is offered beyond that, is regarded as something given in charity. And it is not lawful for a guest to stay with his host for such a long period so as to put him in a critical position.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 156

Hadith : Gussa (anger) na kiya karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Gussa (anger) na kiya karo

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se arz kiya mujhe Aap koi naseehat farma dijiye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Gussa na kiya kar, usne kayee baar yahi sawal kiya aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne yahi farmaya ki Gussa na kiya kar.
Sahih Bukhari,  Vol7, 6116

-------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : A man said to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , "Advise me! "The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Do not become angry" The man asked (the same) again and again, and the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said in each case, "Do not become angry"
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 137


Hadith : Kisi ko Qasam hi khani hai to wo ALLAH ki Qasam khaye warna chup rahey

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Kisi ko Qasam hi khani hai to wo ALLAH ki Qasam khaye warna chup rahey

Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki wo Umar bin khattab Radhi Allahu Anhu ke pass gaye tab wo kuch logon ke saath the aur us waqt Hazrat Umar Radhi Allahu Anhu  apne walid ki Qasam kha rahe the is par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne unhe pukar kar farmaya aagaah ho jao ki Yakeenan ALLAH subhanahu tumhe mana karta hai ki tum apne walid ki Qasam khao , agar kisi ko Qasam hi khani hai to wo ALLAH ki Qasam khaye warna chup rahey.
Sahih Bukhari,  Vol 7, 6108
 -------------------------------------------
Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhuma : that he found 'Umar bin Al-Khattab Radhi Allahu Anhu in a group of people and he was swearing by his father. So ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam called them, saying, "Verily! ALLAH forbids you to swear by your fathers. If one has to take an oath, he should swear by ALLAH or otherwise keep quiet."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 129


Hadith: islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti Qasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usne Qasam khayee

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti Qasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usne Qasam khayee

Thabit bin Ad-Dahhak Radhi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya jisne islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti Qasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usne Qasam khayee  aur jisne kisi cheez se khudkushi kar li to use Jahannam mein usi se azab diya jayega, aur momeen par laanat bhejna use Qatl karne ke barabar hai, aur jisne kisi momeen par kufr ki tohmat lagayee to ye (bhi) uske Qatl karne ke barabar hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6105
-------------------------------------------------


Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever swears by a religion other than Islam (i.e. if he swears by saying that he is a non-Muslim in case he is telling a lie), then he is as he says if his oath is false and whoever commits suicide with something, will be punished with the same thing in the (Hell) fire, and cursing a believer is like murdering him, and whoever accuses a believer of disbelief, then it is as if he had killed him."
Sahih Bukhari,  Book 73, No. 126: 

Mafhum-e-Hadith: Musalman ko ko Kaafir ya Fasiq na kaho


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Musalman ko ko Kaafir ya Fasiq na kaho

Abu Dhar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahe aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahne wala kaafir ya fasiq ho jayega
Sahih Bukhari, Vol 7, 6045

Hazrat Abdullah bin umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki jis shaksh ne bhi apne bhai (yani musalman) ko ye kaha ki Eh kaafir to un dono mein se ek kaafir ho gaya.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6104


------------------------------------

Narrated Abu Dhar Radhi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, "If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq') or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him ( to the accuser) if his companion (the accused) is innocent."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 71:

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'If anyone says to his brother, 'O misbeliever! Then surely, one of them such."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 125m:

Hadith: Munafiq ki teen (3) nishaniyan

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Munafiq ki teen (3) nishaniyan

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Munafiq ki teen (3) nishaniyan hain
jab bolta hai to jhoot bolta hai,
jab wada karta hai to wada khilafi karta hai aur
jab use Ameen banaya jata hai to khayanat karta hai.
Sahih Bukhari, 6095

-------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said,
The signs of a hypocrite are three:
Whenever he speaks, he tells a lie; and
whenever he promises, he breaks his promise; and
whenever he is entrusted, he betrays (proves to be dishonest)
Sahih Bukhari,Vol 8, Book-73,No.117

Mafhum-e-Hadith: Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam zor zor se nahi haste bulki sirf muskurate they

Bismillahirrahmanirrahim  

Mafhum-e-Hadith: Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam zor zor se nahi haste bulki sirf muskurate they


Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  is tarah kabhi khul kar (zor zor se) hanste nahi dekha ki aapke halaq  ka kuwa (palate) nazar aane lagta bulki Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam sirf muskurate they.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6092

------------------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha : I never saw the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam laughing to an extent that one could see his palate, but he Sal-Allahu Alaihi Wasallam always used to smile only.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 114: 

Hadith: Gunaaho khullam khulla (openly) karne walo ko maaf nahi kiya jayega


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Gunaaho ko khullam khulla (openly) karne walo ko maaf  nahi kiya jayega

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri tamam ummat ko maaf kiya jayega siwa gunaaho ko khullam khulla (openly)  karne walo ke aur ismein ye bhi shamil hai ki Ek shaksh raat ko koi (gunaah ka) kaam kare

aur iske bawjud ALLAH subhananhu ne usko chupa diya hai magar subah uth kar wo kahne lage ki Eh Falah maine kal raat ko ye ye bura  kaam kiya tha , Raat guzar gayee thi aur uske Rab ne uska gunaah chupaye rakha lekin jab subah huyee to wo khud ALLAH ke parde ko kholne laga.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6069
 ----------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle saying. "All the sins of my followers will be forgiven except those of the Mujahirin (those who commit a sin openly or disclose their sins to the people). An example of such disclosure is that a person commits a sin at night and though ALLAH screens it from the public, then he comes in the morning, and says, 'O so-and-so, I did such-and-such (evil) deed yesterday,' though he spent his night screened by his Lord (none knowing about his sin) and in the morning he removes ALLAH's screen from himself."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 95: 

Hadith: Badghumani, Geebat aur hasad se bacho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Badghumani, Geebat  aur  hasad se bacho

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya badgumani se bachte raho kyunki badgumani ki baatein aksar jhooti hoti hain,logon ke Aib talash na karo,  Aapas mein hasad na karo, kisi ki peeth ke peeche buraii na karo, bugz na rakho bulki sab ALLAH ke bande bhai bhai ban kar raho
Sahih Bukhari, Vol 7,  6064

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Beware of suspicion, for suspicion is the worst of false tales; and do not look for the others' faults and do not spy, and do not be jealous of one another, and do not desert (cut your relation with) one another, and do not hate one another; and O ALLAH's worshipers! Be brothers
(as ALLAH has ordered you!")
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 90

Mafhum-e-Hadith : Qabr ka Azab (Torment of the grave)

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith : Qabr ka Azab (Torment of the grave)


Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  do Qabron ke pass se guzre aur farmaya ki in dono qabron ke murdon par azab ho raha hai aur ye kisi bade gunaah ki wajah se azab mein giraftar nahi hain bulki ismein se ek peshaab ke cheenton se nahi bachta tha aur ye (dusra) chugalkhor (backbiter) tha phir aapne ek hari shaakh mangwayee aur use Do tukdon mein faad kar dono qabron par laga di iske bad farmaya ki jab tak ye shaakhein sukh na jayegi us waqt tak shayad in dono ka azab halka rahey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6052

--------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Ibn 'Abbas Radhi Allahu Anhuma: ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam passed by two graves and said, "Both of them (persons in the grave) are being tortured, and the are not being tortured for a major sin. This one used not to save himself from being soiled with his urine, and the other used to go about with calumnies ( backbiting). The Prophet then asked for a green leaf of a date-palm tree, split it into two pieces and planted one on each grave and said, "It is hoped that their punishment may be abated till those two pieces of the leaf get dried.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 78:

* Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam - Part 1*

Bismillahirrahmanirrahim

* Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam - Part 1*

Aap sallallahu alaihi wasallam darmiyani qad ke they , na bahut lambe  aur na chothe qad wale, rang khulta hua tha , na bilkul safed aur na hi  bilkul gandum ke jaisa, Aap sallallahu alaihi wasallam ke baal na bilkul  mudey huye sakht qism ke they aur na seedhe latke huye hi they.
.
Nuzul e wahi ke waqt Aap sallallahu alaihi wasallam ke umar 40 saal thi,  makka mein Aap sallallahu alaihi wasallam ne 10 saal qayam farmaya aur  is pure arsey mein Aap par wahi nazil hoti rahi aur madina mein bhi Aap  sallallahu alaihi wasallam ne 10 saal qayam kiya.
.
Aap sallallahu alaihi wasallam ke sir aur dadhi mubarak  mein 20 baal bhi safed nahi huye they.

Aap sallallahu alaihi wasallam ka seena bahut kushada aur  khula hua tha , Aap sallallahu alaihi wasallam ke baal kano ki lau tak latke  rahte they.Anas Radhi allahu anhu kahtey hain ki Maine Aap sallallahu alaihi wasallam se zyada khubsurat kisi ko nahi dekha
.
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ka chehra chand ki  tarah khubsurat tha, Jab bhi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam kisi  baat par khush hote to chehra mubarak chamak uthta tha aisa malum  hota jaise chand ka tukda ho , aur hum aapke chahre se aapki khushi ko jaan lete.
.
Anas Radhi allahu anhu ne farmaya ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki hatheli se zyada naram aur  nazuk koi hareer aur debaz ( resham) mere haatho ne nahi chuaa  aur  Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki khushbu se behatr aur pakiza khushbu ya atar maine kabhi nahi sungha.
.
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam parda nasheen kuwari ladkiyon se bhi zyada sharamile they
Sahih Bukhari, Vol 5, 3547, 3551, 3552, 3556, 3561,3562    

--------------------------------------------------------------

The Prophet sallallahu alaihi wasallam  was of medium height amongst the people, neither tall nor short; he had a rosy color, neither absolutely white nor deep brown; his hair was neither completely curly nor quite lank. Divine Inspiration was revealed to him when he was forty years old. He stayed ten years in Mecca receiving the Divine Inspiration, and stayed in Medina for ten more years. When he expired, he had scarcely twenty white hairs in his head and beard.
.
The Prophet sallallahu alaihi wasallam was of moderate height having broad shoulders (long) hair reaching his ear-lobes. I had never seen a more handsome than him."
.
The face of the Prophet sallallahu alaihi wasallam was (as bright) as a moon. whenever Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam was happy, his face used to glitter, as if it was a piece of the moon, and we used to recognize it (i.e. his happiness) from his face.
.
Narrated Anas Radhi allahu anhu
I have never touched silk or Dibaj (i.e. thick silk) softer than the palm of the Prophet sallallahu alaihi wasallam  nor have I smelt a perfume nicer than the sweat of the Prophet sallallahu alaihi wasallam.
.
The Prophet sallallahu alaihi wasallam  was shier than a veiled virgin girl.


Sahih Bukhari, Book 56, 747, 751, 752, 756, 761, 762

Monday, December 1, 2014

Hadith : jo subah ki Namaz ada kar le wo Allah Subhanahu ke zimme (panah) mein hai

Bismillahirrahmanirrahim 


Hadith  : jo subah ki Namaz ada kar le wo Allah Subhanahu ke zimme (panah) mein hai


Samurah bin jundab Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo subah ki Namaz ada kar le wo Allah subhanahu ke zimme (panah) mein hai
Sunan Ibn Majah, Vol 3, 827-Sahih
----------------------------------
It was narrated from  Samurah bin Jundab that the  Prophet Peace be upon him   said: Whoever offers  the morning prayer, he is under the protection of Allah, the  Mighty and Sublime
Sunan Ibn Majah, Vol 5 # 3946-Sahih 

Dua : Eh Allah kitab ko nazil farmaney waley , jald hisab leney waley, Kuffar ke giroh ko shikasht ata farma

Bismillahirrahmanirrahim

Abdullah bin abu awf farmatey hain ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne kuffar ke lashkar ke liye is tarah baddua farmayee

اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ اهْزِمِ الأَحْزَابَ اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ 


Allahumma munzilal-kitab, mujriyas-sahab, hazimal-ahzaab, Allahumma ihzimhum wa zalzilhum

Eh Allah kitab ko nazil farmaney waley , jald hisab leney waley, Kuffar ke giroh ko shikasht ata farma eh Allah unko har janib se shikasht de aur unhey hila kar rakh de
Sunan Ibn Majah, Vol 2, 953-Sahih

--------------------------------------
Abdullah  bin Abu Awfa say:  The Messenger of  Allah supplicated to Allah against the Confederates and said: 

اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ اهْزِمِ الأَحْزَابَ اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ 

Allahumma munzilal-kitab, mujriyas-sahab, hazimal-ahzaab, Allahumma ihzimhum wa zalzilhum

Oh Allah , Who has sent down the Book and  is Swift in bringing to account, destroy the Confederates.  destroy them and shake  them.
Sunan Ibn Majah, Vol 4 , 2796-Sahih

Hadith: Jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di ..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di ..

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di aur uski pairwi ki gayee to usko pairwi karney walon ke barabar gunaah milega aur  pairwi karne walo ke gunah mein koi kami nahi hogi aur jis dawat dene walon ne hidayat ki taraf bulaya phir uski pairwi ki gayi to usko pairwi karney walo ke barabar Ajar milega aur pairwi karney walo ke Ajar mein kuch kami nahi ki jayegi
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 205 -Sahih
--------------------------------------------------------

It was narrated from Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him  that the Messenger of ALLAH  said: "Whoever calls people to true guidance, will have a reward equal to that of those who follow him, without that detracting from their reward in the slightest. And whoever calls people to misguidance, will have a (burden of) sin equal to that of those who follow him, without that detracting from their sins in the slightest.

Sunan Ibn Majah, Vol1, 206-Sahih

Hadith: Tum mein se behatreen log wo hain jo apney Gharwalon ke liye behatrenn hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: 
Tum mein se behatreen log wo hain jo apne Gharwalon  ke liye behatreen hain

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu  Tum mein se behatreen log wo hain jo apne Gharwalon  ke liye behatreen hain aur main tum mein sabse ziyada apney Gharwalon se achcha bartav karney wala huSunan Ibn Majah, Vol 2, 134-Hasan

 ---------------------------------------------

Narrated By Ibn Abbad Radi allahu Anhu The best of you are those who are best to their families, and I am the best of you to my family.Sunan Ibn Majah, book 9, 1977-Hasan

Hadith: Jisney achcha tareeqa jari karke khud bhi us par amal kiya to usko iska Ajar milega

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Jisney achcha tareeqa jari karke khud bhi us par amal kiya to usko iska Ajar milega

Hazrat Jarer Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jisney achcha tareeqa jari karke khud bhi us par amal kiya to usko iska Ajar milega aur dusre Amal karne walon ke Ajar mein kuch kami kiya bagair unkey barabar bhi Ajar milega aur jisne bura tareeqa jari kiya aur us par Amal kiya to usko iska gunaah hoga aur dusrey amal karney walo ka gunah bhi hoga aur unkey gunaho mein bhi kami nahi hogiSunan Ibn Majah, Volume 1, #203-Sahih

----------------------------------------------

Hadith: Whoever introduces a good practice that is followed, he will receive its reward


Narrated  Jarir may ALLAH be pleased with him that his father said: “The Messenger of Allah Peace be upon him  said: ‘Whoever introduces a good practice that is followed, he will receive its reward and a reward equivalent to that of those who follow it, without that detracting from their reward in the slightest. And whoever introduces a bad practice that is followed, he will receive its sin and a burden of sin equivalent to that of those who follow it, without that detracting from their burden in the slightest.’”
Sunan Ibn Majah, Book 1 , #  203-Sahih

Hadith : ALLAH taala farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith : ALLAH taala farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain


Hazrat tameem dari Radi Allahu anhu se rivayat hai ki  ki RASOOL-ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley (faz) namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye

jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga  -
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426-Sahih
------------------------------------------------

Hadith:ALLAH will say Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave


It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him  that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil)  prayer  will also  be recorded for him (As an increase) If it is not complete then Allah will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz)  prayers then All his deeds will be recokened in like manner
Sunan Ibn Majah, Book  1, #1426-Sahih

Hadith: Allah sota nahi hai sur sona uski shaan nahi hai

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Allah sota nahi hai sur sona uski shaan nahi hai

Hazrat Abu Musa Radi Allahu anhu se rivayat hai ki  ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam   ne hum mein khade hokar 5 baatein irshaad farmayee , farmaya Allah sota nahi hai sur sona uski shaan nahi hai, Allah Tarazu ko jhukate hain aur upar uthate hain (yani kisi ka rizq ziyada kisi ka kam kar dete hain) din ke Aamal, Raaat ke amal karne se pahle unki baargah mein pesh kiya jate  hain aur Raat ke Aamal din ke amal karne se pahle. (pesh kiye jatey hain) unka Hijab Noor hai agar usey hata de to unkey chehrey ki Roshniyan Ta Hadd-e-Nigah uski makhluq ko jala de
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #195-Sahih

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::


Hadith: Allah does not sleep, and it is not befitting that He should sleep

Narrated  Abu Musa may ALLAH be pleased with him   “The Messenger of Allah Peace be upon him  stood up amongst us and said five things. He said: ‘Allah does not sleep, and it is not befitting that He should sleep. He lowers the Scales and raises them. The deed done during the day is taken up to Him before the deed done during the night, and the deed done during the night before the deed done during the day. His Veil is Light and if He were to remove it, the glory of His Face would burn everything of His creation, as far as His gaze reaches.
 Sunan Ibn Majah, Book 1, #195-Sahih

Hadith: ALLAH subhanahu Do shaksho ki janib dekhkar hans dega

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: ALLAH subhanahu Do shaksho ki janib dekhkar hans dega 

Hazrat Abu hurairah Radi Allahu anhu se rivayat hai ki
  ki RASOOL-ALLAHsallallahu  alaihi wasallam ne farmaya ALLAH subhanahu  Do shaksho ki janib dekhkar hans dega  jinmein se ek ne dusrey ko Qatl kiya lekin dono jannat mein Dakhil ho gaye Ek ALLAH ke Raastey mein ladtey ladtey Shaheed ho gaya phir ALLAH ki rahmat Qatil ki taraf Mutwajja huyee aur usney Islam Qubul kiya phir ALLAH ke raastey mein ladtey ladtey shaheed ho gaya

Sunan Ibn Majah, Volume 1, #191-Sahih

 ------------------------------------------------------

Hadith: ALLAH will laugh at two persons

Narrated  Abu hurairah may ALLAH be pleased with him “The Messenger of ALLAH Peace be upon him  said: ‘ALLAH will laugh at two persons - one of them kills the other, and both of them enter Paradise, for the first one fought in the cause of ALLAH and was martyred, then his killer repented to ALLAH and became Muslim, then he also fought in the cause of ALLAH and was martyred.
Sunan Ibn Majah, Book 1, #191-Sahih

Total Pageviews