Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, December 29, 2014

Hadith: Raasto(roads) ka Haq ada karo

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Raasto(roads) ka Haq ada karo

Abu Saeed Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raaston par baithne se bacho,Sahaba ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  hamari ye Majlis to bahut Zaruri hai hum wahan par roz hone wali guftgu (baatein) kiya karte hain Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya achcha , agar tum   in Majlis mein baithna hi chahte ho to Raaste ka haq ada kiya karo sahaba ne arz kiya Raaste ka haq kya hai  to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nazar neechi rakhna, Raahgeeron (guzarne walon) ko na satana, Salam ka jawab dena, bhalaii ka hukm dena aur buraii se rokna
Sahih Bukhari,  vol 7, 6229
-------------------------------------------------


Narrated Abu Said Al-Khudri: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'Beware! Avoid sitting on the roads." The (the people) said, "O ALLAH s Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! We can't help sitting (on the roads) as these are (our places) here we have talks." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, ' if you refuse but to sit, then pay the road its right ' The said, "What is the right of the road, O ALLAH's Apostle?" He said, 'Lowering your gaze, refraining from harming others, returning greeting, and enjoining what is good, and forbidding what is evil."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 74, No. 248

Total Pageviews