Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, May 18, 2015

Hadith: Meri ummat mein aise bure log paida ho jayenge jo Zinakari, resham ke pahanne , sharab peene aur gaaane bajane ko halal bana lenge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Meri ummat mein aise bure log paida ho jayenge jo Zinakari, resham ke pahanne  , sharab peene aur gaaane bajane ko halal bana lenge

Abu 'Amir  ya Abu Malik Al-Ash'ari Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri ummat mein aise bure log paida ho jayenegy jo Zinakari, resham ke pahanne  , sharab peene aur gaane bajane ko halal bana lenge aur kuch mutakabbir log pahadon(mountain) ki chotiyon par (rahne ke liye) chale jayenge , charwahe unke maweshi subah sham laayenge aur le jayenge unke pass ek faqeer aadmee apni jarurat lekar jayega to wo use taalne ke liye kah denge ki kal aana magar ALLAH subhanahu raat ko hi unko haalak kar dega aur pahaad ko (un par) gira dega aur unmein se bahut se logon ko Qayamat tak ke liye Bandar aur Khinzeer ( pig) ki suraton mein maskh(yani unki tarah) kar dega.
Sahih Bukhari, Vol7, 5590
--------------------------------------------------------------------
Narrated Abu 'Amir or Abu Malik Al-Ash'ari: that he heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, "From among my followers there will be some people who will consider illegal sexual intercourse, the wearing of silk, the drinking of alcoholic drinks and the use of musical instruments, as lawful. And there will be some people who will stay near the side of a mountain and in the evening their shepherd will come to them with their sheep and ask them for something, but they will say to him, 'Return to us tomorrow.' ALLAH will destroy them during the night and will let the mountain fall on them, and He will transform the rest of them into monkeys and pigs and they will remain so till the Day of Resurrection."  


Sahih Bukhari, Book 69, 494

Hadith: ALLAH jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo azab un sab (bure aur achchey) logon par aata hai

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: ALLAH jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo azab un sab (bure aur achchey) logon par aata  hai

Al Quran : tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai
Al-Anfal, Chapter #8, Verse #25

Hadith: Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ALLAH jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo azab un sab (bure aur achchey) logon par aata  hai jo us Qaum mein hote hain phir unhe unke Aamal ke mutabiq utahaya jayega
Sahih Bukhari, Vol8, 7108

-----------------------------------------------------------

Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhu  ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "If ALLAH sends punishment upon a nation then it befalls upon the whole population indiscriminately and then they will be resurrected (and judged) according to their deeds. 


And fear the Fitnah (affliction and trial) which affects not in particular (only) those of you who do wrong (but it may afflict all the good and the bad people), and know that ALLAH is Severe in punishment.
Al-Anfal, Chapter #8, Verse #25

Dua:
اللهم لا تجعل مصيبتنا في ديننا، ولا تجعل الدنيا أكبر همنا، ولا مبلغ علمنا، ولا تسلط علينا من لا يرحمنا
O ALLAH do not impose upon us one who has no mercy for us.

Ya ALLAH aise ( insaan ya farishtey) ko hum par musallat na farma jo hamare haal par raham na karey.

Hadith: Wo Qaum kabhi falah (success) nahi payegi jiski hukumat ek aurat ke haath mein ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo Qaum kabhi falah (success) nahi payegi jiski hukumat ek aurat ke haath mein ho

Abu Bakra Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya wo Qaum kabhi falah (success) nahi payegi jiski hukumat ek aurat ke haath mein ho .
Sahih Bukhari, Vol8, 7099
-------------------------------------------------------------------


Narrated Abu Bakra Radhi Allahu Anhu : The Prophet Peace be upon him said,
"Never will succeed such a nation as makes a woman their ruler."

Hadith: Ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega uske pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega  uske pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi

Usama bin zaid  Radhi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din ek shaksh laya jayega phir wo jahannam mein dala jayega  uske pet ki aantein (intestine) bahar nikal aayegi, wo unko liye huye gadhe ki tarah jo chakki peesta hai chakkar lagayega aur jahannam wale uske paas ekaththe honge us se puchenge ki Eh falah kya tu achchi baaat ka hukm nahi karta tha aur buri baat se manaa nahi karta tha ? wo kahega main to aisa karta tha lekin dusron ko achchi baat ka hukm karta tha aur khud (us par amal ) nahi karta aur dusron ko buri baat se manaa karta tha lekin khud us se baaz na rahta tha. 
Sahih Bukhari, Vol 8, 7098

---------------------------------------------------------------------------
Usama Radhi Allahu Anhu said  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, A man will be brought and put in Hell (Fire) and he will circumambulate (go around and round) in Hell (Fire) like a donkey of a (flour) grinding mill, and all the people of Hell (Fire) will gather around him and will say to him, O so-and-so! Didn't you use to order others for good and forbid them from evil?' That man will say,
'I used to order others to do good but I myself never used to do it,
and I used to forbid others from evil while I myself used to do evil.' "
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 218

Hadith: Wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge

Hudhaifa bin Al-Yaman Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kuch log honge jo mere tareeqe ke khilaf chalenge unki kuch baatein achchi hongi aur kuch mein tum buraii dekhoge maine pucha ki kya achche Daur ke baad phir se bura daur aayega, farmaya ki Haan jahannam ki taraf bulane wale Dojakh ke darwaze par khade honge jo unki baat maan lega wo usmein unhe jhonk denge maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  unki kuch sifat ( pahchan) bayan kijiye Aapne farmaya wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge maine kaha ki agar maine wo zamana paya to Aap mujhe kya hukm dete hain farmaya ki Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna maine kaha ki agar Musalmano ki jamaat na ho aur unka koi Imam na ho?farmaya ki phir un tamam logon se alag ho jana chahe tumhe jungal mein jakar Darakhton ki jade chabani parhe yahan tak ki is halat mein tumahari maut aa jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 7084 
-------------------------------------------------------------------------------

Narrated Hudhaifa bin Al-Yaman:ALLAH's Apostle Peace be upon him (there will be) some people calling at the gates of the (Hell) Fire, and whoever will respond to their call, will be thrown by them into the (Hell) Fire." I said, "O ALLAH s Apostle! Will you describe them to us?"  He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The will be from our own people and will speak our language." I said, "What do you order me to do if such a state should take place in my life?" He said, "Stick to the group of Muslims and their Imam." I said, "If there is neither a group of Muslims nor an Imam ?" He said, "Then turn away from all those sects even if you were to bite (eat) the roots of a tree till death overtakes you while you are in that state." 

Hadith: Qatil aur maqtul (qatl hone wala) dono dozaki

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qatil aur maqtul (qatl hone wala) dono dozaki

Al-Ahnaf bin Qais Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Do musalman apni apni Talwarein lekar aapas mein ladne lage  jaye to Qatil aur Maqtul(Qatl hone wala) dono jahannami  hain maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  Qatil to khair ( jaruri jahannam mein hona chahiye) magar Maqtul (qatl hone wala) kyun ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo bhi apne saathi ko maar daalne ki hirs (tamanna) rakhta tha
Sahih Bukhari, Vol 1, 30
---------------------------------------------------------------

Narrated Al-Ahnaf bin Qais Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said , 'When two Muslims fight (meet) each other with their swords, both the murderer as well as the murdered will go to the Hell-fire.' I said, 'O ALLAH's Apostle! It is all right for the murderer but what about the murdered one?' ALLAH's Apostle replied, "He surely had the intention to kill his companion."
Sahih Bukhari, Book 2, Number 31

Narrated Al-Hasan Radi Allahu anhu:
(Al-Ahnaf said:) I went out carrying my arms during the nights of the affliction (i.e. the war between 'Ali and 'Aisha) and Abu Bakra met me and asked, "Where are you going?" I replied, "I intend to help the cousin of ALLAH's Apostle (i.e.,'Ali)." Abu Bakra said, "ALLAH's Apostle said, 'If two Muslims take out their swords to fight each other, then both of them will be from amongst the people of the Hell-Fire.' It was said to the Prophet, 'It is alright for the killer but what about the killed one?' He replied, 'The killed one had the intention to kill his opponent.'" 

Hadith: Anqareeb aise fitne barpa honge jis waqt baithne wala khade hone wale se behtar hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Anqareeb aise fitne barpa honge jis waqt baithne wala khade hone wale se behtar hoga


Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Anqareeb aise fitne barpa honge jis waqt baithne wala khade hone wale se behtar hoga aur khada hone wala unmein se chalne wale se behtar hoga aur chalne wala unmein dodne wale se behtar hoga jo dur se unmein jhaank kar bhi dekhega to wo unko bhi samet lenge us waqt jis kisi ko koi panah ki jagah mil jaye ya bachne ka muqam mil jaye to usmein chala jaye
Sahih Bukhari, Vol8, 7081
-------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "There will be afflictions (in the near future) during which a sitting person will be better than a standing one, and the standing one will be better than the walking one, and the walking one will be better than the running one, and whoever will expose himself to these afflictions, the will destroy him. So whoever can find a place of protection or refuge from them, should take shelter in it." 

Hadith: jo shaksh hathyar se apne bhai ki taraf ishara karey to farishtey us par laanat bhejte hain

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith:  jo shaksh hathyar se apne bhai ki taraf ishara karey  to farishtey us par laanat bhejte hain 



Hazrat Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo koi apney bhai ko lohey se (yani hathyaar se ) daraye to farishtey us par laanat kartey hain jab tak ki aisa karne se ruk na jaye agarche wo uska saga bhai ho. 
Sahih Muslim, Vol 6, 6666 

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh hathyar se apne bhai ki taraf ishara karey  to farishte us par laanat bhejte hain 
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 13-Sahih 

Hazrat Abdullah bin umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-alaihi-wasallam ne faramaya jisney hum par hathyar uthaya wo hum mein se nahi hai 
Sahih Bukhari, Vol 8, 7070 
-------------------------------------------------
English Translation:
Abu Huraira Radhi Allahu Anhu reported Allah's Messenger, may peace be upon him said: He who pointed a weapon towards his brother the angels invoke curse upon him so long as he does not abandon it even if he is his real brother. 
Sahih Muslim Book 032, # 6336 

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Whoever points a piece of iron ( weapon) at his brother, the angels curse him 
Jamia Tirmidhi, Book 7, Hadith 2162- sahih 

Narrated Abdullah bin umar Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Whoever takes up arms against us, is not from us." 
Sahih Bukhari,Vol9, Book88, Number 190:

Hadith: wo sabse badbakht log honge jinki zindagi mein Qayamat aayegi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: wo sabse badbakht log honge jinki zindagi mein Qayamat aayegi

Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya wo sabse badbakht log honge jinki zindagi mein Qayamat aayegi
Sahih Bukhari, Vol 8, 7067
----------------------------------------------------------------



Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu :ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying; (It will be) from among the most wicked people who will be living at the time when the Hour will be established." 

Hadith: Wo (Fitne) baarish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo (Fitne)  baarish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain


Ma'qil bin Yasar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Fasaad aur fitne ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise mere paaas(meri taraf) Hijrat karne ka. 
Sahih Muslim, 7400 


Usama bin Zaid Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya main fitno ko dekhta hu ki wo baarish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain
Sahih Bukhari, 7060


اللَّهُمَّ  إِنِّي  َأَعُوذ بِك مِنْ فِتْنَة الْمَحْيَا وَالْمَمَات
“Allahumma inni Awuzubika min fitnatil mahya wal mamaat”

Ya ALLAH main teri panaah chahta hu Zindagi aur maut ke fitno se.

----------------------------------------------------------------------------------

Ma'qil bin Yasar Radhi Allahu Anhu reported ALLAH's Apostle (may peace be upon him) as saying: Worshiping during the period of widespread turmoil is like emigration towards me. 
Sahih Muslim, Book 041, Number 7042


Narrated Usama bin Zaid Radhi Allahu Anhu  the Prophet Peace be upon said,
"I see afflictions falling among your houses as rain drops fall." 


اللَّهُمَّ  إِنِّي  َأَعُوذ بِك مِنْ فِتْنَة الْمَحْيَا وَالْمَمَات

Oh ALLAH I seek refuge you from the trial of life and death

Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Abu Qatada Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Sahih Bukhari, Vol 8, 6984

Hazrat Abu Said Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab tum mein se koi aisa khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo ALLAH subhanahu ki taraf se hota hai is par ALLAH ki Hamd (shukr ada) kare  aur dusron ko bata de Lekin agar koi aisa khawab dekhta hai jo use napasand ho to ye shaitan ki taraf se hota hai isliye uski buraii se pannah maange aur kisi se us khwab ka zikr na kare , ye khwab use kuch nuksaan nahi pahucha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6985 

Narrated Abu Qatada Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "A true good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 87, Number 113:


Narrated Abu Sa'id Al-Khudri Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, If anyone of you sees a dream that he likes, then it is from ALLAH, and he should thank ALLAH for it and narrate it to others; but if he sees something else, i.e., a dream that he dislikes, then it is from Satan, and he should seek refuge with ALLAH from its evil, and he should not mention it to anybody, for it will not harm him.

Sahih Bukhari, Vol 9, Book 87, No. 114

Hadith: Dhoka Dene walo ke liye Qayamat ke din ek Jhanda (flag) hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Dhoka Dene walo ke liye Qayamat ke din ek Jhanda (flag) hoga

Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Dhoka Dene walo ke liye Qayamat ke din ek Jhanda (flag) hoga jiske jariye wo pahchana jayega.(ki ye dhokeybaz hai)
Sahih Bukhari, Vol 8, 6966

-----------------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam   said, "For every betrayer there will be a flag by which he will be recognized on the Day of Resurrection (that he is a betrayer)

Mafhum-e-Hadith: Khairat na dene se Rizq rok diya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Khairat na dene se Rizq rok diya jata hai


Narrated Asma Radi Allahu Anha: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said to me, 
"Do not withhold your money, (for if you did so) ALLAH would with-hold His blessings from you." 
Sahih Bukhari, Vol2, Book 24, Number 513


------------------------------------------------------------
Asma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Khairat ko mat Roko warna tumhara Rizq bhi Rok diya jayega
Sahih Bukhari, Vol2,1433 

Hadith: jise ALLAH ne maal diya aur usne uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal ikhtriyar kar lega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jise ALLAH ne maal diya aur usne uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal ikhtriyar kar lega 

Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din tum mein se kisi ka Khajana chitqabra Azdaha ( A kind of Python)  ban kar aayega , uska malik us se bhagega lekin wo use talash kar raha hoga aur kahega main tumhara khazana hu farmaya Wallah wo musalsal talash karta rahega yahan tak ki wo shaksh apna haath phaila dega aur Azdaha use luqma banayega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6957

Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jise ALLAH ne maal diya aur usne uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah(black) nuqte honge jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uske dono jabdo se use pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun 
Sahih Bukhari , Vol2,  1403 

---------------------------------------------------------------

English Translation:

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "On the Day of Resurrection the Kanz (Treasure or wealth of which, Zakat has not been paid) of anyone of you will appear in the shape of a huge bald headed poisonous male snake and its owner will run away from it, but it will follow him and say, 'I am your Kanz.'" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam added, "By ALLAH, that snake will keep on following him until he stretches out his hand and let the snake swallow it."
Sahih Bukhari,Volume 9, Book 86, Number 89

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever is made wealthy by ALLAH and does not pay the Zakat of his wealth, then on the Day of Resurrection his wealth will be made like a bald-headed poisonous male snake with two black spots over the eyes. The snake will encircle his neck and bite his cheeks and say, 'I am your wealth, I am your treasure.' 
Sahih Bukhari, Vol 2, Book 24, No. 486

Hadith: 3 baatein jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: 3 baatein jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega

Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya 3 baatein aisee hain jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega ,Awwal ye ki ALLAH aur uske Rasool Sal-Allahu Alaihi Wasallam  use sabse ziyada aziz ho, dusra ye ki wo kisi shaksh se muhabbat sirf ALLAH ke liye karey, teesra ye ki use kufr ki taraf laut jana itna nagawar ho jaisa ki aag mein phenk diya jana
Sahih Bukhari, Vol8, 6941
---------------------------------------------------------

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle said, "Whoever possesses the (following) three qualities will have the sweetness of faith (1): The one to whom ALLAH and His Apostle becomes dearer than anything else; (2) Who loves a person and he loves him only for ALLAH's Sake; (3) who hates to revert to atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the Fire."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 85, Number 74

Hadith: jab kitab wale (yahud aur nasara) tumhe salam kare to tum Wa-Alaikum kaha karo

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab kitab wale (yahud aur nasara) tumhe salam kare to tum Wa-Alaikum kaha karo


Anas bin malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek yahudi Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass se guzra aur kahne laga “Al-Saam-Alaik”  yani aap ko maut aa jaye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne jawab mein sirf Wa-Alaika kaha Sahaba ne arz kiya ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  kya isko hum maar daale Aapne farmaya nahi aur jab kitab wale (yahud aur nasara) tumhe salam  kare to tum bhi Wa-Alaikum kaha karo
Sahih Bukhari,Vol8, 6926



Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : A Jew passed by ALLAH's Apostle and said, "As-Samu 'Alaika." ALLAH's Apostle said in reply, "We 'Alaika." ALLAH's Apostle then said to his companions, "Do you know what he (the Jew) has said? He said, 'As-Samu 'Alaika.'" They said, "O ALLAH's Apostle! Shall we kill him?" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam , said, "No. When the people of the Book (Christian,Jews etc.)greet you, say: 'Wa 'Alaikum.'" 

Hadith: jo shaksh kisi aisee jaan ko maar dale jiska ahad kar chuka ho wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo shaksh kisi aisee jaan ko maar dale jiska ahad kar chuka ho wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakega

Abdullah bin Amr Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo shaksh kisi aisee jaan ko maar dale jiska ahad kar chuka ho(uskeJaan ki amaande chuka ho) to phir  wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakega haalanki jannat ki khushbu 40 baras ki raah se malum hoti hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6914


Comments : is hadith ko is misaal se samajhiye ki for example kahi muslim aur non muslims ke riots ho gaye aur aapne kisi non muslims ko kaha ki tu hamare ghar aa ja hum teri hifazat karnge aaur baad mein usko aapne qatl kar diya to aap gunahgar ho gaye kyunki aapne already uski jaan ki amaan di thi
Allah Knows best


Narrated 'Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever killed a Mu'ahid (a person who is granted the pledge of protection by the Muslims) shall not smell the fragrance of Paradise though its fragrance can be smelt at a distance of forty years (of traveling)." 

Mafhum-e-Hadith: Kisi ke ghar mein bina ejazat jhaankna bhi mana hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Kisi ke ghar mein bina ejazat jhaankna bhi mana hai

Al Quran : Eh Imaan walo apne gharon ke siwa aur kisi ke gharon mein na jaya karo jab tak ki Ejazat na le lo aur Ghar walo ko salam na kar lo ye tumhare liye behtar hai taki tum naseehat hasil karo
Al Quran Surah An-Noor (24) , verse 27


Hadith: Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Agar koi shaksh tere ghar mein tumse ejazat liye bagair jhaank raha ho aur tum use kankari (paththar) maro jis se uski aankh phoot jaye  to tum par koi saza nahi hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6888

--------------------------------------------

Al Quran : O you who believe! Enter not houses other than your own,  until you have asked permission and greeted those in them;  that is better for you, in order that you may remember.
Al Quran Surah An-Noor (24) , verse 27



Hadith: Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : That he heard prophet Peace be upon him said If someone is peeping (looking secretly) into your house without your permission, and you throw a stone at him and destroy his eyes, there will be no blame on you. 

Hadith: Hum Aakhri ummat hain lekin Qayamat ke din sabse aaage rahne wale hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Hum Aakhri ummat hain lekin Qayamat ke din sabse aaage rahne wale hain

Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya hum Aakhri ummat hain lekin Qayamat ke din sabse aaage rahne wale hain
Sahih Bukhari, Vol 8, 6624

Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din. aur  sabse pahle mein Shafa’at karunga aur sabse pahle meri shafaat Qubul hogi 
Sahih Muslim, Vol 6,  5940 


Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prohet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said We (Muslims) are the last in the world, but will be foremost on the Day of Resurrection.

Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 78, Hadith 621

Abu Huraira may ALLAH be pleased with him  reported ALLAH's Messenger may peace be upon him as saying: I shall be pre-eminent arriongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by ALLAH)|

Sahih Muslim,  Book 030, Number 5655:



اللَّهُـمّ صَــــــلٌ علَےَ مُحمَّــــــــدْ و علَےَ آل مُحمَّــــــــدْ
Allahumma salli Ala Muhammad wa ala aali Muhammad

Total Pageviews