Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: jise ALLAH ne maal diya aur usne uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal ikhtriyar kar lega
Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din tum mein se kisi ka Khajana chitqabra Azdaha ( A kind of Python) ban kar aayega , uska malik us se bhagega lekin wo use talash kar raha hoga aur kahega main tumhara khazana hu farmaya Wallah wo musalsal talash karta rahega yahan tak ki wo shaksh apna haath phaila dega aur Azdaha use luqma banayega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6957
Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jise ALLAH ne maal diya aur usne uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah(black) nuqte honge jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uske dono jabdo se use pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun
Sahih Bukhari , Vol2, 1403
---------------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "On the Day of Resurrection the Kanz (Treasure or wealth of which, Zakat has not been paid) of anyone of you will appear in the shape of a huge bald headed poisonous male snake and its owner will run away from it, but it will follow him and say, 'I am your Kanz.'" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam added, "By ALLAH, that snake will keep on following him until he stretches out his hand and let the snake swallow it."
Sahih Bukhari,Volume 9, Book 86, Number 89
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever is made wealthy by ALLAH and does not pay the Zakat of his wealth, then on the Day of Resurrection his wealth will be made like a bald-headed poisonous male snake with two black spots over the eyes. The snake will encircle his neck and bite his cheeks and say, 'I am your wealth, I am your treasure.'
Sahih Bukhari, Vol 2, Book 24, No. 486