Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: 3 baatein jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega
Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne farmaya 3 baatein
aisee hain jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega ,Awwal ye ki ALLAH
aur uske Rasool Sal-Allahu Alaihi Wasallam use sabse ziyada aziz ho, dusra ye ki wo kisi
shaksh se muhabbat sirf ALLAH ke liye karey, teesra ye ki use kufr ki taraf
laut jana itna nagawar ho jaisa ki aag mein phenk diya jana
Sahih Bukhari, Vol8, 6941
---------------------------------------------------------
Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle
said, "Whoever possesses the (following) three qualities will have the
sweetness of faith (1): The one to whom ALLAH and His Apostle becomes dearer
than anything else; (2) Who loves a person and he loves him only for ALLAH's
Sake; (3) who hates to revert to atheism (disbelief) as he hates to be thrown
into the Fire."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 85, Number 74
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 85, Number 74