Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Abu
Qatada Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi
Wasallam ne farmaya Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab
shaitan ki taraf se hote hain
Sahih Bukhari, Vol 8, 6984
Sahih Bukhari, Vol 8, 6984
Hazrat
Abu Said Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne farmaya jab tum mein
se koi aisa khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo ALLAH subhanahu ki taraf
se hota hai is par ALLAH ki Hamd (shukr ada) kare aur dusron ko bata de Lekin agar koi aisa
khawab dekhta hai jo use napasand ho to ye shaitan ki taraf se hota hai isliye
uski buraii se pannah maange aur kisi se us khwab ka zikr na kare , ye khwab use
kuch nuksaan nahi pahucha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6985
Sahih Bukhari, Vol 8, 6985
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 87, Number 113:
Narrated Abu Sa'id
Al-Khudri Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, If
anyone of you sees a dream that he likes, then it is from ALLAH, and he should
thank ALLAH for it and narrate it to others; but if he sees something else,
i.e., a dream that he dislikes, then it is from Satan, and he should seek
refuge with ALLAH from its evil, and he should not mention it to anybody, for
it will not harm him.