Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain
-------------------
Hadith: jab raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki shaitan us waqt phail jate hain
-------------------
Jaber bin abdullah Radhi Allahu
Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab
raat ki tariki aa jaye ya shaam ho to apne bachchon ko na nikalne do isliye ki
shaitan us waqt phail jate hain phir jab ek ghadi raat guzar jaye to unhe
chhodh do aur darwaze band kar lo aur ALLAH ka naam lo isliye ki shaitan band
darwaze nahi khol sakta aur apni mashkon par daat laga do aur ALLAH ka naam lo
aur apne bartano ko dhaanp do aur ALLAH ka naam lo agar kuch daaanpne ko na mile
to un par kuch bhi aad rakh do aur apne chiragon ko bujha do.
Sahih Bukhari , Vol 6, 5623
Sahih Bukhari , Vol 6, 5623
-------------------------
Narrated Jabir bin 'Abdullah
Radiallahu anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "When night falls (or when it is
evening), stop your children from going out, for the devils spread out at that
time. But when an hour of the night has passed, release them and close the
doors and mention ALLAH's Name, for Satan does not open a closed door. Tie the
mouth of your water-skin and mention ALLAH's Name; cover your containers and
utensils and mention ALLAH's Name. Cover them even by placing something across
it, and extinguish your lamps. "
Sahih Bukhari, Book 69, Hadith 527
Sahih Bukhari, Book 69, Hadith 527