Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: usko bhi utna hi sawab denge jitna us shaksh ko mila hai jisne
jamaat ke saath Namaz parhi
Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se
rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jo shaksh achchi tarah wudhu karke masjid ke liye nikle aur jab wahan pahunche aur dekhe ki log Namaz
se farig ho chuke hain (Yani jamaat ho chuki hain ) to Allah taala usko bhi
utna hi sawab denge jitna us shaksh ko mila hai jisne jamaat ke saath Namaz
parhi ho aur jamaat se namaz parh chukne walo ke ajar mein bhi kuch kami nahi
hogi
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 562-Sahih
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 562-Sahih
------------------
Narrated AbuHurayrah radi allahu anhu:
The Prophet Sallallhu-Alaihi-Wasallam said: whoever performs ablution, and performs his ablution
perfectly, and then goes to the mosque and finds that the people had finished
the prayer (in congregation), Allah will give him a reward like one who prayed
in congregation and attended it; The reward of those who prayed in congregation
will not be curtailed.
Sunan Abu Dawud, Book 2, Hadith 564-Sahih