Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam
makhluq mein bure honge
----------------------
Hadith: Umma
aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi
alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jise unhone habsha mein dekha
tha usmein moortein (tasweerain) thi unhone uska tazkara Rasool-Allah Sal-Allahu
Alaihi Wasallam se bhi kiya, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata
to wo log uski Qabr par masjid banate aur usmein yahi tasweerain bana dete , ye
log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge Sahih Bukhari , Vol 1, # 427
----------------------
Narrated Aisha radi allahu anha Um Habiba and Um Salama Radhi Allahu Anhuma mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet peace be upon him about it, on which he peace be upon him said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of ALLAH on the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari, Book 8, #419