Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, September 4, 2015

Hadith: Meri is ummat ke ummati marhuma hain , un par aakhirat mein koi azab nahi hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Meri is ummat ke ummati marhuma hain , un par aakhirat mein koi azab nahi hoga

Hadith: AbuMusa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri is ummat ke ummati marhuma hain , un par aakhirat mein koi azab nahi hoga bulki duniya mein  uskey azab ye hongey  Fitney , Zalzaley aur Qatl ( yani unko qatl kiya jayega)
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 874-Sahih

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har nabee ne kuch cheezein maangi, ya farmaya ki har Nabee ko ek (khas) dua di gayee yani jo bhi unhoney dua maangi wo Qubul ki gayee lekin maine apni Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfaat ke liye mehfooz rakhi huyee hai. 
Sahih Bukhari, vol 7, 6305


-----------------------------
Narrated AbuMusa Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said: This people of mine is one to which mercy is shown. It will have no punishment in the next world, but its punishment in this world will be trials, earthquakes and being killed.
Sunan Abu Dawud- Book 36, #4265-Sahih


Narrated Anas Radi Allahu Anhu : that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "For every prophet there is an invocation that surely will be responded by Allah," (or said), "For every prophet there was an(special) invocation with which he appealed to Allah, and his invocation was accepted (in his lifetime), but I kept my (this special) invocation to intercede for my followers on the Day of Resurrection." 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 317

Total Pageviews