Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, September 4, 2015

Mafhum-e-Hadith : Jo Masjid mein namaz ke liye jitni dur se chal kar aata hai utna hi ziyada sawab

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith : Jo Masjid mein namaz ke liye jitni dur se chal kar aata hai utna hi ziyada sawab
---------------------------

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne jo shaksh Masjid se jitna dur hota hai wo utna hi ziyada sawab hasil karta hai ( kyunki Namaz ke liye janey par Dahine qadam par ek neki ziyada aur bahine qadam par ek gunaah kam ho jata hai)
Sunan Abu Dawud, Vol 1 , 554-Sahih
 
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki jab tum mein se koi shaksh achchi tarah wudhu karke Namaz ke liye nikalta hai to Dahina (right) Qadam uthatey hi Allah Subhanahu uskey liye ek neki likh dete hain aur bahina (left) Qadam rakhtey hi uska Ek gunaah maaf kar detey hain so ab jo chahey ( masjid se ) Qareeb rahey ya dur rahey , phir jab wo Masjid mein aakar namaz Parhta hai to usko bakhsh diya jata hai,
 Sunan Abu Dawud, Vol 1,  561-Sahih


Narrated AbuHurairah Radi Allahu Anhu : The Prophet (peace_be_upon_him) said: The farther one is from the mosque , the greater will be one's reward. (because  Allah records a good deeds for each right step and remits one sin for each left step while go for prayer)
Sunan Abu Dawud, Book 2, 0556-Sahih

The  Apostle of Allah (peace_be_upon_him) said : If any one of you performs ablution and performs it very well, and goes out for prayer, he does not take his right step but Allah records a good work (or blessing) for him, and he does not take his left step but Allah remits one sin from him. Any one of you may reside near (the mosque) or far from it; if he comes to the mosque and prays in congregation, he will be forgiven (by Allah).
 
Sunan Abu Dawud, Book 2, 0563-Sahih

Total Pageviews