Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith: jisne hum par hathiyaar uthaya wo hum mein se nahi hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne hum par hathiyaar uthaya wo hum mein se nahi hai


Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever carries arms against us, is not from us."
Sahih Bukhari,Vol9, Book 83,No.13
--------------------------------------------

Hazrat Abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne hum par hathiyaar uthaya wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari,Vol8, 6874

Mafhum-e-Hadith: sabse bade gunaah

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: sabse bade gunaah 

Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya  sabse bade gunaah ye hain  : ALLAH subhanahu ke saath kisi ko sharik thahrana , kisi ki nahaq jaan lena, waldein ki nafarmani karna aur jhoot bolna  ya farmaya ki jhooti gawahi dena hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6871

--------------------------------------------------------


Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "The biggest of Al-Kaba'ir (the great sins) are (1) to join others as partners in worship with ALLAH, (2) to murder a human being, (3) to be undutiful to one's parents (4) and to make a false statement," or said, "to give a false witness."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 83, Number 10:

Al Quran: Aur jo koi kisi Momeen ko Jaan boojh kar ( intentionaly) Qatl kare uski saza Dojakh hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran:  Aur jo koi kisi Momeen  ko Jaan boojh kar ( intentionaly) Qatl kare uski saza Dojakh hai jismein wo hamesha rahega us par ALLAH ka ghazab aur uski laanat hai aur ALLAH ne uske liye bada Azab tayyar kiya hai
Al Quran Surah An Nisa (4), 93

Hadith: Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya mere baad kaafir na ban jana ki tum ek dusre ki garden maarne (yani Qatl karney) lag jao
Sahih Bukhari, Vol 8, 6868

Abdullah bin masood Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalmaan ko gaali dena fusuq ( bura kaam) hai aur musalman ko Qatl karna kufr hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan,No. 48
----------------------------------------------------------------
Al Quran: And whoever kills a believer intentionally, his recompense is Hell to abide therein; and the Wrath and the Curse of ALLAH are upon him, and a great punishment is prepared for him.
Al Quran Surah An Nisa (4) :93

Hadith: Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radhi Allahu Anhuma : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "After me do not become disbelievers, by striking (cutting) the necks of one another.
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 83, Number 7:


Narrated 'Abdullah bin masood Radiallahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Abusing a Muslim is Fusuq (an evil doing) and killing him is Kufr (disbelief)."
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 2, No. 47:

Hadith: Halaqat ka bhawar jismein girne ke baad phir nikalne ki Ummed nahi hai wo Nahaq khoon karna hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Halaqat ka bhawar jismein girne ke baad phir nikalne ki Ummed nahi hai wo Nahaq khoon karna hai

Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Halaqat ka bhawar jismein girne ke baad phir nikalne ki Ummed nahi hai wo Nahaq khoon karna hai jisko ALLAH subhanahu ne haram qarar diya hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6863 

Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Sabse pahle logon ke darmiyan(Qayamat ke din)  khoon-kharabe ka faisla kiya jayega
Sahih Bukhari, Vol8, 6864
----------------------------------------------
English Translation:
Narrated Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhu One of the evil deeds with bad consequence from which there is no escape for the one who is involved in it is to kill someone unlawfully.
Sahih Bukhari, Vol9, Book 83, #3

Narrated Abdullah Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "The first cases to be decided among the people (on the Day of Resurrection) will be those of blood-shed."
Sahih Bukhari,Vol9, Book 83, Number 4:

Hadith : Saat (7) Haalak karne wale Gunaahon se bacho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Saat (7) Haalak karne wale Gunaahon se bacho


Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya 7 Halaq karne wale Gunaahon se bacho sahaba Radhi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  wo kya kya hai? Farmaya
1.      ALLAH ke Saath Shirk karna
2.      Jadu karna
3.      Nahaq kisi ki Jaan lena jo ALLAH ne haram kiya hai
4.      Sood (Riba) Khana
5.      Yateem ka Maal khana
6.      Jung ke din Peeth pherna
7.      Paak Daman Ghafil Momeen Aurton par Tohmat lagana
      Sahih Bukhari, Vol8, 6857
------------------------------------------------
Eng Translation:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Avoid the seven great destructive sins." They (the people!) asked, "O ALLAH's Apostle! What are they?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said,

1.      To join partners in worship with ALLAH;
2.      To practice sorcery (magic)
3.      To kill the life which ALLAH has forbidden except for a just cause;
4.      To eat up usury (Riba),
5.      To eat up the property of an orphan;
6.      To give one's back to the enemy and freeing from the battle-field at the time of fighting

7.      To accuse chaste women who never even think of anything touching chastity and are good believers."

Sahih Bukhari, Volume 8, Book 82, Number 840:

Mafhum-e-Hadith: Bachche ki suratWalid ya Walida ke khandan se milna

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bachche ki surat Walid ya Walida ke khandan se milna

Hazrat Abu Hurairah se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke pass ek Dehati aaya aur kaha ki ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  meri biwi ne kaala ladka paida kiya hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha tumhare pass oont hai ? usne kaha
haan Aapne farmaya unke Rang kaise hai usne kaha Surkh Aapne farmaya usmein koi khaki Rang ka bhi hai ? usne kaha Haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir ye kaha se aa gaya usne kaha mera ye khayal hai ki kisi Rag ne ye Rang ( Apne Aba wa Ajdad se – ancestors se) kheench liya hai jiski wajah se aisa oont paida hua hai , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki phir aisa bhi mumkin hai kitere bete ka Rang kisi Rag ne (ancestors se )  kheench liya ho
Sahih Bukhari, Vol8, 6847

----------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : A bedouin came to ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  and said, "My wife has delivered a black child." The Prophet said to him, "Have you camels?" He replied, "Yes." The Prophet said, "What color are they?" He replied, "They are red." The Prophet further asked, "Are any of them gray in color?" He replied, "Yes." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked him, "Whence did that grayness come?" He said, "I thing it descended from the camel's ancestors." Then the Prophet said (to him), "Therefore, this child of yours has most probably inherited the color from his ancestors."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 82, Number 830: 

Al Quran : Eh hamare RAB humein apna farmadar bana de aur hamari Aulad mein se bhi ek jamaat ko apna farmabardar bana de

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Eh hamare RAB humein apna farmadar bana de aur hamari Aulad mein se bhi ek jamaat ko apna farmabardar bana de aur humein hamare ibadat ke tareeqe bata de aur hamari tauba Qubul farma beshaq tu bada Tauba Qubul karne wala aur bada rahama karne wala hai
Al Quran , Surah Al-Baqara (2), Verse 128

Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki Mujhse Dua karo main tumhari Dua Qubul karunga.
Al Quran , Surah Ghafir (40), Verse 60
------------------------------------------
Al Quran : Our Lord , make us submissive unto You and of our offspring a nation submissive unto You, And show us our rites (ceremonies or services), and accept our repentance. Truly, You are the One Who accepts repentance, the Most Merciful.
Al Quran , Surah Al-baqara (2), Verse 128


And your Lord said: Invoke Me [ask Me] I will respond to your (invocation).
Al Quran , Surah Ghafir (40), Verse 60 

Mafhum-e-Hadith: Kaunsa gunaah sabse bada hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Kaunsa gunaah sabse bada hai

Abdullah bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine pucha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai?

Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhe paida kiya haimaine pucha iske baad ?   


Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi.
maine pucha uske baad ?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apne padosi ki biwi se zina karna.
Sahih Bukhari, Vol8, 6811

-----------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu,  I said, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Which is the biggest sin?"
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To set up rivals to ALLAH by worshipping others though He alone has created you."
I asked, "What is next?"
He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To kill your child lest it should share your food."
I asked, "What is next?" 


He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "To commit illegal sexual intercourse with the wife of your neighbor."
Sahih Bukhari, Book 82, Number 802

Hadith: Qayamat ki nishaniyon mein se hai ki……

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qayamat ki nishaniyon mein se hai ki……

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qayamat ki nishaniyon mein se hai ki Ilm deen Duniya se uth jayega, aur jahalat phail jayegi , Shrab ziyada se Ziyada pee jayegi aur Zina phail jayega Mard kam ho jayenge aur Aurton ki tadad barh jayegi , haaalat yahan tak pahunch jayegi ki 50 aurton par Ek hi khabar lene wala mard rah jayega
Sahih Bukhari, Vol8, 6808
-----------------------------------------
Hadith: From among the sign of the (Last) Hour is that…..


Narrated Anas Radhi Allahu Anhu :. I heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, "The Hour sill not be established" or said: "From among the sign of the (Last ) Hour is that the religious knowledge will betaken away (by the death of religious Scholars) and general ignorance (of religion) will appear; and the drinking of alcoholic drinks will be very common, and (open) illegal sexual intercourse will prevail, and men will decrease in number while women will increase so much so that, for fifty women there will only be one man to look after them." 

Hadith: Saat tarah ke log jinhe Qayamat ke din ALLAHapne arsh ke Saye mein jagah dega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Saat tarah ke log jinhe Qayamat ke din ALLAH apne arsh ke Saye mein jagah dega

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se Rivayat hai ki Rasool-Allahu Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  aise 7 tarah ke log  hain jinhe ALLAH subhanahu Qayamat ke din apne arsh ke saaye mein jagah dega jabki uske Arsh ke saaaye ke siwa aur koi saaya nahi hoga


1. Insaaf karne wala baadshah,
2. Wo Nojawan jo apne Rab ki ibadat mein jawani mein bhi masruf raha,
3. wo shaksh jisne tanhaii mein ALLAH ko yaad kiya aur aankhon se aansoo jaari ho gaye.
4. Wo shaksh jiska dil hamesha masjid mein laga rahta hai
5. Do aise shaksh jo ALLAH ke liye aapas mein mohabbat rakhte hain
6. wo shaksh jise kisi buland martaba aur khubsurat aurat ne (bure irade se) apni taraf bulaya aur usne jawab diya ki main ALLAH se darta hu
7. Aisa shaksh jisne aisa chupa ke sadqa diya ki bahine haath ko bhi khabar nahi huyee ki dahine haath ne kitna aur kya sadqa kiya hai
Sahih Bukhari, Vol8, 6806
--------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Seven (people) will be shaded by ALLAH by His Shade on the Day of Resurrection when there will be no shade except His Shade. (They will be),
1. A just ruler,
2. A young man who has been brought up in the worship of ALLAH,
3. A man who remembers ALLAH in seclusion and his eyes are then flooded with tears,
4. A man whose heart is attached to mosques (offers his compulsory congregational prayers in  the mosque),
5. Two men who love each other for ALLAH's Sake,
6. A man who is called by a charming lady of noble birth to commit illegal sexual intercourse with her, and he says, 'I am afraid of ALLAH,' and (finally),
7. A man who gives in charity so secretly that his left hand does not know what his right hand has given."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 82, Number 798


Hadith: Tum mein se pahle ke log isliye halaq ho gaye kyuki…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum mein se pahle ke log isliye halaq ho gaye kyuki…

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Usama Radhi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  se ek aurat ki sifarish ki ( jisne chori ki thi) to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki tum mein se pahle ke log isliye halaq ho gaye ki wo kamzoron par to had ( Saza)  Qayam karte the aur Buland martaba logo ko chor dete the us zaat ki Qasam jiske haath mein meri jaan hai agar Fatima Radi Allahu Anha ne bhi chori ki hoti to main uska bhi haath kaat leta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6787
---------------------------------------------------
Hadith: The people before you were destroyed because…..


Narrated 'Aisha Radhi Allahu Anhu : Usama Radhi Allahu Anhu approached the Prophet on behalf of a woman (who had committed theft). The Prophet said, "The people before you were destroyed because the used to inflict the legal punishments on the poor and forgive the rich. By Him in Whose Hand my soul is! If Fatima (the daughter of the Prophet ) did that (i.e. stole), I would cut off her hand." 

asool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne kabhi apne zaati Muaamle mein kisi se badla nahi liya,

Bismillahirrahmanirrahim

* Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Aali Muhammad*

Aisha Radi Allahu Anha bayan karti hain ki ALLAH ki Qasam Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne kabhi apne zaati Muaamle mein kisi se badla nahi liya, haan magar jab ALLAH ki hurmaton ko toda jata to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ALLAH subhanahu ke liye badla lete they
Sahih Bukhari, Vol 8, 6786
 -------------------------------------------
Narrated Aisha Radi Allahu Anha : By ALLAH, he Sal-Allahu Alaihi Wasallam  never took revenge for himself concerning any matter that was presented to him, but when ALLAH's Limits were transgressed, he Sal-Allahu Alaihi Wasallam would take revenge for ALLAH's Sake.
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 81, Number 777


Mafhum-e-Hadith: is par Laanat na karo ye ALLAH aur uske Rasool se Muhabbat karta hai…

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: is par Laanat na karo ye ALLAH aur uske Rasool se Muhabbat karta hai…


Umar Bin Khattab Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke zamane mein ek shaksh tha jiska naaam Abdullah tha log use Hamaar(Donkey) kah kar pukarte the wo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ko hasata tha aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne use Sharaab peene par mara tha,  usko ek din wo ( Sharab peeny par)  laya gaya aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uske liye hukm diya aur use mara gaya logon mein se ek shaksh ne kaha ki ALLAH us par laanat kare Kitni martaba samjhaya hai, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya is par Laanat na karo Maine uske Mutalliq yahi jana hai ki ye ALLAH aur uske Rasool se Muhabbat karta hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6780

English Translation:(Do not curse him, for by ALLAH, I know for he loves ALLAH and His Apostle..)

Narrated Umar bin Al-Khattab Radhi Allahu Anhu : During the lifetime of the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam there was a man called Abdullah whose nickname was Hamaar (Donkey), and he used to make ALLAH's Apostle laugh. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam lashed him because of drinking (alcohol). And one-day he was brought to the Prophet on the same charge and was lashed. On that, a man among the people said, "O ALLAH, curse him ! How frequently he has been brought (to the Prophet on such a charge)!" The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Do not curse him, for by ALLAH, I know for he loves ALLAH and His Apostle."
Sahih Bukhari,Vol 8, Book 81, No. 771

Mafhum-e-Hadith: Eh Bilal, Maine jannat mein apne aage tumhare juto ki aawaz suni hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Eh Bilal, Maine  jannat mein apne aage tumhare juto ki aawaz suni hai

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi  wasallam ne hazrat bilal Radhi Allahu Anhu se fajar ke waqt pucha ki eh bilal mujhe apna sabse zyada ummed wala neik kaam batao jise tumne islam lane ke baad kiya hai kyunki maine jannat mein apne aage tumhare juto ki  chaap (aawaz) suni hai , hazrat bilal ne arz kiya main to apne nazdeek is se  zyada ummed ka koi kaam nahi kiya ki jab maine raat ya din mein kisi waqt bhi  wudhu karta to main us wudhu se nawafil namaz padta rahta jitni meri  taqdeer mein likhi gayee hai 
Sahih Bukhari, Vol 2, 1149

Hazrat tameem dari Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya bande se Qayamat ke Roz sabse pahle namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uske Nawafil alag se likh diye jayenge aur agar usne namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apne farishton se farmayega dekho kya mere bande ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usne zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga 
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426  - Sahih
-------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu  At the time of the Fajr prayer the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  asked Bilal Radhi Allahu Anhu, Tell me of the best deed you did after embracing Islam, for I heard your footsteps in front of me in Paradise.
Bilal Radhi Allahu Anhu replied, "I did not do anything worth mentioning except that whenever I performed ablution during the day or night, I prayed after that ablution as much as was written for me.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 21, Hadith 250

It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then ALLAH will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 -Sahih

Hadith: Zina karne wala Zina karte waqt Momeen nahi rahta

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Zina karne wala Zina karte waqt Momeen nahi rahta

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Zina karne wala Zina karte waqt Momeen nahi rahta, Shraab Peene wala Sharab Peete waqt Momeen nahi rahta,Chori karne wala chori karte waqt Momeen nahi rahta, Jab koi lootne wala loot ta hai aur log use dekhte hain us waqt wo bhi momeen nahi rahta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6772
------------------------------------------------

Hadith: When an adulterer commits illegal sexual intercourse, then he is not a believer that time….

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "When an adulterer commits illegal sexual intercourse, then he is not a believer at the time he is doing it; and when somebody drinks an alcoholic drink, then he is not believer at the time of drinking, and when a thief steals, he is not a believer at the time when he is stealing; and when a robber robs and the people look at him, then he is not a believer at the time of doing it." Abu Huraira in another narration, narrated the same from the Prophet with the exclusion of robbery.
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 81, Number 763: 

Hadith: meri ummat mein bahut chahne wale mere wo log honge jo mere baad paida honge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: meri ummat mein bahut chahne wale mere wo log honge jo mere baad paida honge 

من أشد أمتي لي حباً ناس يكونون بعدي يود أحدهم لو رآني بأهله وماله

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahao alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein bahut chahne wale mere wo log honge jo mere baad paida honge unmein se har koi ye khwahish rakhega  ki kaash apne gharwalon aur maal sabko sadqa kar de aur mujhko dekh le
Sahih Muslim , Vol 6, 7145
--------------------------------------------

Abu Huraira Radhi Allahu Anhu reported ALLAH's Messenger (may peace be upon him) as saying: The people most loved by (or to) me from amongst my Ummah would be those who would come after me but everyone amongst them would have the keenest desire to catch a glimpse of me even at the cost of his family and wealth.
Sahih Muslim Book 040, Number 6791

Hadith: jisne apne walid ke siwa kisi aur ka beta hone ka dawa kiya ye jante huye ki wo iska walid nahi hai to Jannat us par haram hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jisne apne walid ke siwa kisi aur ka beta hone ka dawa kiya ye jante huye ki wo iska walid nahi hai to Jannat us par haram hai

Saad Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne apne walid ke siwa kisi aur ka beta hone ka dawa kiya ye janteyhuye ki wo iska walid nahi hai to Jannat us par haram hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6766

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apne walid ka koi inkaar na kare kyunki jo apne walid se munh modta hai(yani kisi aur ko apna walid banata hai)  ye kufr hai
Sahih Bukhari, vol 8, 6768
-----------------------------------------------------------
English translation:
Narrated Sa'd Radhi Allahu Anhu I heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "Whoever claims to be the son of a person other than his father, and he knows that person is not his father, then Paradise will be forbidden for him."
Sahih Bukhari, Book 80, #758


Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Do not deny your fathers (i.e claim to be the sons of persons other than your fathers) and whoever denies his father, is charged with disbelief."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 80, Number 759:

Hadith: Tumhe us luqme par bhi sawab milega jo tum Apni Biwi ke munh mein rakte ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tumhe us luqme par bhi sawab milega jo tum  Apni Biwi ke munh mein rakte ho

Sad bin Abi Waqqas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki main makka mein beemar pad gaya aur maut ke qareeb pahunch gaya , Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  meri ayadat ke liye tashreef laye maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  mere paas bahut zyada maal hai aur ek ladki ke siwa uska koi waris nahi to kya main apne maal ka do teehayee hissa sadqa kar du ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi,  to phir maine kaha aadha kar du to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi , maine arz kiya ki ek teehayee ( 1/3) kar du to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan magar ye ek teehayee bhi bahut hai, agar tum apne bachcho ko maaldar chorho ye is se behtar hai ki tum unhe tangdast ( gareeb) chorh kar jao aur wo logo ke samne haath phailate phirey, aur tum jo kuch bhi (ALLAH ki raah mein) kharch karoge tumhe uska sawab milega yahan tak ki us luqme par bhi sawab milega jo tum  Apni Biwi ke munh mein rakte ho.
Sahih Bukhari,Vol8, 6733



Sad bin Abi Waqqas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum jo kuch bhi ALLAH ki raah mein kharch karoge tumhe uska sawab milega yahan tak ki us luqme par bhi sawab milega jo tum  Apni Biwi ke munh mein rakte ho.
Sahih Bukhari, Vol 1, 56
-------------------------------------------
English Translation:
Narrated Sad bin Abi Waqqas Radhi Allahu Anhu : I was stricken by an ailment that led me to the verge of death. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam came to pay me a visit. I said,
O Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! I have much property and no heir except my single daughter. Shall I give two-thirds of my property in charity?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, No,  I said, Half of it? He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, No,  I said, One-third of it?  He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, You may do so though one-third is also to a much, for it is better for you to leave your off-spring wealthy than to leave them poor, asking others for help. And whatever you spend (for ALLAH's sake) you will be rewarded for it, 
even for a morsel of food which you may put in the mouth of your wife."
Sahih Bukhari,Vol8, Book80, # 725

Narrated Sad bin Abi Waqqas  Radhi Allahu Anhu 
prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, You will be rewarded for whatever you spend for ALLAH's sake even if it were a morsel which you put in your wife's mouth.
Sahih Bukhari, Book 2, 53

Hadith-e-Qudsi : Eh Ibn-e-Aadam tu kharch kar main tujh par kharch karunga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith-e-Qudsi : Eh Ibn-e-Aadam tu kharch kar main tujh par kharch karunga

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH Subhanahu farmata hai Eh Ibn Aadam tu kharch kar main tujh par kharch karunga (yani aur ata karunga).
Sahih Bukhari, Vol 6, 5352

--------------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu:
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, ALLAH Subhanahu said, O son of Adam! Spend, and I shall spend on you."
Sahih Bukhari,  Book 64, No. 264

Hadith: Main Momeeno ka khud unse ziyada haqdar hu

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Main Momeeno ka khud unse ziyada haqdar hu

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Main Momeeno ka khud unse ziyada haqdar hu, unmin se jo koi Karzdaar mrega aur adayeegi ke liye kuch na chorhega to hum par uski adayeegi ki zimmedari hai aur jisne koi mala chorha hoga to wo uske warison ka hissa hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6731
------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "I am more closer to the believers than their own selves, so whoever (of them) dies while being in debt and leaves nothing for its repayment, then we are to pay his debts on his behalf and whoever (among the believers) dies leaving some property, then that property is for his heirs.
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 80, Number 723: 

Hadith: ALLAH ke bando Bhai Bhai ban kar raho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH ke bando Bhai Bhai ban kar raho

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya badgumani se bachte raho kyunki badgumani sabse jhooti baat hai ,Aapas mein ek dusre ki buraii ki talash mein na lage raho, na ek dusre se bugz (Yani nafrat) rakhoaur Na peeth peeche kisi ki buraii karo bulki ALLAH ke bande sab Bhai bhai ban kar raho
Sahih Bukhari, Vol 8, 6724

----------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'Beware of suspicion, for it is the worst of false tales and don't look for the other's faults (don't spy) and don't hate each other, and don't desert (cut your relations with) one another O ALLAH's slaves, be brothers!"
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 80, Number 717:

Hadith: Qaidiyon ( captives) ko aazad karwaya karo, bhuke ko khilaya karo aur Beemar ki ayadat kiya karo.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qaidiyon ( captives)  ko aazad  karwaya karo, bhuke ko khilaya karo aur Beemar ki ayadat kiya karo.

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne kisi Ghulam Musalman ko Aazad kiya to ALLAH Subhanahu uske ( jism ke)  ek ek hisse ke badle Aazad karne wale  ( ke jism) ka ek Ek hissa jahannam se Aazad karega yahan ki Ghulam ki sharmgaah ke badle Aazad karne wale ki Sharmgaah bhi jahannam se Aazad kar di jayegi
Sahih Bukhari, Vol 8, 6715

Abu Musa Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qaidiyon ( captives)  ko aazad  karwaya karo, bhuke ko khilaya karo aur Beemar ki ayadat kiya karo.
Sahih Bukhari, vol 4, 3046


English Translation:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody manumits (free from slavery )a Muslim slave, ALLAH will save from the Fire every part of his body for freeing the corresponding parts of the slave's body, even his private parts will be saved from the Fire) because of freeing the slave's private parts.
Sahih Bukhari, book 79, 706
Narrated Abu Musa Radiallahu anhu: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Free the captives, feed the hungry and pay a visit to the sick."
Sahih Bukhari, Book 52, No. 282

Mafhum-e-Hadith: Marhum ki taraf se baqi Nazar(yani Mannat) puri karo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Marhum ki taraf se baqi Nazar(yani Mannat) puri karo

Sa'id bin 'Ubada Radhi Allahu Anhu se rivayata hai ki unhone Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se Ek nazar (Mannat) ke baare mein pucha jo unki Walida ke zimme baqi thi aur unki Maut Nazar puri karne se pahle ho gayee thi Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne unhe ye fatwa diya ki wo apni Maa ki taraf se nazar puri karey
Sahih Bukhari, Vol 8, 6698

Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Ek sahib Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ki khidmat mein aaye aur arz kiya ki meri bahan ne nazar ( mannat) mani thi ki Hajj karegi lekin ab uska inteqal ho gaya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya agar us par koi karz hota to tum use Ada karte ? unhone arz ki jarur ada karta to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya phir ALLAH ka karz bhi ada karo wo iska ziyada mustahaq hai ki uska karz pura Ada kiya jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 6699

--------------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Sa'id bin 'Ubada Al-Ansari Radhi Allahu Anhu :that he consulted the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  about a vow that had been made by his mother who died without fulfilling it. The Prophet gave his verdict that he should fulfill it on her behalf. The verdict became Sunnah.
Sahih Bukhari,Vol 8,Book 78,No.68
9


Narrated Ibn 'Abbas Radhi Allahu Anhu A man came to the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam and said to him, "My sister vowed to perform the Hajj, but she died (before fulfilling it)." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Would you not have paid her debts if she had any?" The man said, "Yes." The Prophet said, "So pay ALLAH's Rights, as He is more entitled to receive His rights."
Sahih Bukhari,Vol 8, Book 78, No. 690

Hadith : Do Kalme jo Zuban par halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Do Kalme jo Zuban par halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain

( Two expressions which are very easy for the tongue to say, but the are very heavy in the balance )

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Kalme jo Zuban par halke hain aur Meezan (taraju) mein bahut bhari hain aur Rahmaan ko bahut aziz hai

سُبحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ ، سُبحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
Sahih Bukhari, Vol 7, 6406

Sahih Bukhari, Vol 8, 6682
-----------------------------------------------
Eng.Translation:
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "There are two expressions which are very easy for the tongue to say, but the are very heavy in the balance (of reward,) and are very dear to The Beneficent (ALLAH), and the are, 
SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
(Glory be to ALLAH, and Praise, Glory be to ALLAH, the Supreme)
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 415 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 78, Number 673:

Hadith : ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre

قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ  مَلِكِ النَّاسِ  إِلَـٰهِ النَّاسِ
مِن شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ  مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Al Quran : Kaho ki Main Logo ke RAB ki panaah mangta hun, 
Logon ke Badshah ki,  Logon ke Maabud ki
,Us Shaitan ki buraii se jo waswase daal kar chup jata hai ,
jo logon ke Dilon mein waswase daalta hai , Jinnat mein se ho ya Insaano mein se
 AL Quran: Surah An-Nas (114)

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH subahanhu ne meri ummat ki un galtiyon ko maaf kiya hai jiska sirf Dil mein waswasa guzre ya Dil mein uske karne ki khwahish paida ho magar uske mutabiq na amal  kiya ho aur na baat ki ho
Sahih Bukhari, Vol 8, 6664

------------------------------------------------
English Translation:
Say: I seek refuge with (ALLAH) the Lord of mankind,
 The King (or Ruler) of Mankind, The ALLAH (for judge) of Mankind,
From the mischief of the Whisperer (of Evil), who withdraws (after his whisper) 

(The same) who whispers into the hearts of Mankind,  Among Jinns and among men. 
AL Quran: Surah An-Nas (114)

Narrated Abu Huraira: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "ALLAHforgives whispers in the hearts of my followers, unless the put it to action or utter it."
Sahih Bukhari,
Vol 8, Book 78, No 657

Total Pageviews