Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Hadith: Wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga

Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne jhooti Qasam is maqsad se khayee ki iske zariye Najayaz tareeqe se kisi Musalman ka maal hasil kare to wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga , phir ALLAH Subhanahu in iski tasdeeq Quran mein nazil farmayee.
(Surah Aal-e-Imran, Verse 77) Beshak jo log ALLAH ke ahad aur apni Qasmon ( ko bech dete hain aur us) ke badle thodi see qeemat hasil karte hain……
Sahih Bukhari, Vol 8, 6659

Al Quran : Beshaq jo log ALLAH ke ahad aur apni Qasmon ( ko bech dete hain aur us) ke badle thodi see qeemat hasil karte hain , aakhirat mein unka koi hissa nahi hoga aur ALLAH subhanahu unse kalam bhi nahi karega
aur Qayamat ke din uski taraf dekhega bhi nahi , aur na unhe paak karega , unke liye Dardnak azab hai
Al Quran , Surah Aal-e-Imran ( 3) , verse 77

 -------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Whoever swears falsely in order to grab the property of a Muslim, ALLAH will be angry with him when he meets Him.
ALLAH then revealed in confirmation of the above statement
(Surah Aal-e-Imran, Verse 77) Verily, those who purchase a small gain at the cost of ALLAH's Covenant and their oaths..

Sahih Bukhari, Vol 8, Book 78, # 653

Al Quran : Verily, those who purchase a small gain at the cost of ALLAH's Covenant and their oaths, they shall have no portion in the Hereafter (Paradise). Neither will ALLAH speak to them, nor look at them on the Day of Resurrection, nor will He purify them, and they shall have a painful torment.
Al Quran , Surah Aal-e-Imran ( 3) , verse 77

Total Pageviews