Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Mafhum-e-Hadith: Eh Bilal, Maine jannat mein apne aage tumhare juto ki aawaz suni hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Eh Bilal, Maine  jannat mein apne aage tumhare juto ki aawaz suni hai

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi  wasallam ne hazrat bilal Radhi Allahu Anhu se fajar ke waqt pucha ki eh bilal mujhe apna sabse zyada ummed wala neik kaam batao jise tumne islam lane ke baad kiya hai kyunki maine jannat mein apne aage tumhare juto ki  chaap (aawaz) suni hai , hazrat bilal ne arz kiya main to apne nazdeek is se  zyada ummed ka koi kaam nahi kiya ki jab maine raat ya din mein kisi waqt bhi  wudhu karta to main us wudhu se nawafil namaz padta rahta jitni meri  taqdeer mein likhi gayee hai 
Sahih Bukhari, Vol 2, 1149

Hazrat tameem dari Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya bande se Qayamat ke Roz sabse pahle namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uske Nawafil alag se likh diye jayenge aur agar usne namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apne farishton se farmayega dekho kya mere bande ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usne zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga 
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426  - Sahih
-------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu  At the time of the Fajr prayer the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  asked Bilal Radhi Allahu Anhu, Tell me of the best deed you did after embracing Islam, for I heard your footsteps in front of me in Paradise.
Bilal Radhi Allahu Anhu replied, "I did not do anything worth mentioning except that whenever I performed ablution during the day or night, I prayed after that ablution as much as was written for me.
Sahih Bukhari, Vol. 2, Book 21, Hadith 250

It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary ( Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then ALLAH will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory ( farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 -Sahih

Total Pageviews