Search This Blog

Category

Autoblog

Friday, March 27, 2015

Al Quran: Qasam ko puri karna ya kaffara Ada karna jaruri hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Qasam ko puri karna ya kaffara Ada karna jaruri hai
( Its compulsary to fulfill your Oath or to provide expiation )

ALLAH Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhe naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhe tum  pukhta (mazbut ) kar dete ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darje ka khana khilana hai jo tum apne ghar walo ko khilate ho ya 10 miskino ko kapde dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke roze rakhe ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum Qasam kha lo ( aur use tod do)  aur tumhe chahiye ki   apni kasmo ki hifazat karo , ALLAH Subhanahu isi tarah tumhare liye hukm bayan karta hai taki tum  Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Abu Bakr Radhi Allahu Anhu kabhi bhi apbi Qasam nahi todte the yahan tak ki ALLAH Subhanahu ne Qasam ke kaffare ki aayat nazil ki, us waqt unhone kaha ki ab agar main koi Qasam kahauunga aur uske siwa koi cheez bhlaii ki hogi to main wohi kaam karunga jsimein bhalaii hogi aur Qasam ka kuffra ada kar dunga
Sahih Bukhari, Vol 8, 6621

Hazrat Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar kisi ko Qasam khani ho to ALLAH ki hi Qasam khaye warna khamosh rahey.
Sahih Bukhari, Vol4, 2679

-------------------------------------------------

English Translation:
ALLAH will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much) . Thus ALLAH make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Abu Bakr As-Siddiq had never broken his oaths till ALLAH revealed the expiation for the oaths. Then he said, "If I take an oath to do something and later on I find something else better than the first one, then I do what is better and make expiation for my oath."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 618:

Narrated Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has to take an oath should swear by ALLAH or remain silent."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 48, No. 844:

Total Pageviews