Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Aur
is tarah Umar Radhi Allahu Anhu ka Imaan mukammal ho gaya
Abdullah bin Hisham
Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke saath the aur Aap Sal-Allahu Alaihi
Wasallam umar bin Khattab Radhi Allahu Anhu ka haath pakde huye the Umar Radhi
Allahu Anhu ne kaha ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Aap mujhe har cheez se ziyada azeez hai
siwaye apni jaan ke to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nahi, us Zaat
ki Qasam jiske hatah mein meri jaan hai (tumhara imaan us waqt tak muqammal
nahi ho sakta) jab tak ki main tumhe tumhari Apni jaan se bhi ziyada azeez na
ho jauu Umar Radhi Allahu Anhu se arz kiya ki ALLAH ki Qasam ab se Aap mujhe
apni jaan se bhi ziyada azeez hai Aap Sal-Allahu
Alaihi Wasallam ne farmaya haan Umar ab ( tumhara Imaan pura ho gaya)
Sahih Bukhari, Vol 8, 6632
Sahih Bukhari, Vol 8, 6632
----------------------------------------------------
Narrated 'Abdullah bin Hisham Radhi
Allahu Anhu : We were with the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam and he Sal-Allahu
Alaihi Wasallam was holding the hand of 'Umar bin Al-Khattab. 'Umar said to
Him, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! You are dearer to me
than everything except my own self." The Prophet Sal-Allahu Alaihi
Wasallam said, "No, by Him in Whose Hand my soul is, (you will not have
complete faith) till I am dearer to you than your own self." Then 'Umar
said to him, "However, now, by ALLAH, you are dearer to me than my own
self." The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Now, O 'Umar,
(you are a believer)."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 628
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 628