Search This Blog

Category

Autoblog

Monday, September 15, 2014

Hadith: Jo apne baalon ke saath nakli baal laga kar usey lamba karey us par ALLAH Taala ki laanat ki gayee hai

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Jo apne baalon ke saath nakli baal laga kar use lamba kare us par ALLAH Taala ki laanat ki gayee hai


Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Ek ansari aurat ne apni beti ki shaadi ki thi iske baad ladki ke sir ke baal beemari ki wajah se girne lage to wo Aap SallallahuAlaihi wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz karney lagi Ya Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam uskey shohar ne us sey kaha hai ki wo apney baalon ke saath dusre nakli baal (artificial hair) laga le to Aap SallallahuAlaihi wasallam ne farmaya aisa hargiz na karna kyunki jo apney baalon ke saath nakli baal laga kar usey lamba kare us par ALLAH Taala ki laanat ki gayee hai
Sahih Bukhari, Vol 6, 5205

----------------------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: An Ansari woman gave her daughter in marriage and the hair of the latter started falling out. The Ansari women came to the Prophet and mentioned that to him and said, "Her (my daughter's) husband suggested that I should let her wear false hair." The Prophet said SallallahuAlaihi wasallam, "No, (don't do that) for ALLAH sends His curses upon such ladies who lengthen their hair artificially."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 133

Total Pageviews