Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, September 16, 2014

Mafhum-e-Hadith: Ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain
------------------------------------------------
Aayesa Radi Allahu Anha se rivayat hai ki kuch logon ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  se  kahinon (Najumi) ke baare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iski koi buniyaad nahi , logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  baaz waqt wo hame aisee baatein bhi batate hain jo sahi ho jati hain, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ye kalma haq hota hai,  ye kahin kisi Jinn se sun leta hai, wo Jinn apne dost kahin ke kaan mein daal deta hai aur phir ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5762
------------------------------------------------


Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha:  Some people asked ALLAH's Apostle about the fore-tellers He said. ' They are nothing" They said, 'O ALLAH's Apostle! Sometimes they tell us of a thing which turns out to be true." ALLAH's Apostle said, "A Jinn snatches that true word and pours it Into the ear of his friend (the fore-teller) (as one puts something into a bottle) The foreteller then mixes with that word one hundred lies."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 657

Total Pageviews