Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, September 16, 2014

Hadith: Musalmaan ko jo takleef pahuchti hai us se uske gunaah kam hote jate hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Musalmaan ko jo takleef pahuchti hai us se uske gunaah kam hote jate hain

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo museebat  kisi musalman ko pahunchti hai ALLAH taala use uske gunaahon ka  kaffara kar deta hai , Ek kaanta bhi agar jism ke kisi hisse mein chubh jaye to wo bhi us shaksh ke gunaahon ka kaffara ban jata hai
Sahih Bukhari, Vol 6, 5640


Abu Sa'id Al-Khudri  aur Abu Hurairah Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Musalaman jab bhi kisi Pareshani, Beemari, Ranj aur malal,Takleef aur Gam mein mubtala ho jata hai , yahan tak ki use koi kaanta bhi chub jata hai to ALLAH Subhanahu use uske gunaahon ka kaffara bana deta hai.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5641

---------------------------------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu : (the wife of the Prophet) ALLAH's Apostle  Sallallahu Alaihi wasallam said, "No calamity befalls a Muslim but that ALLAH expiates some of his sins because of it, even though it were the prick he receives from a thorn."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 70, No. 544:


Narrated Abu Sa'id Al-Khudri and Abu Huraira Radi AllahuAnhuma :The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  said, "No fatigue, nor disease, nor sorrow, nor sadness, nor hurt, nor distress befalls a Muslim, even if it were the prick he receives from a thorn, but that ALLAH expiates some of his sins for that."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 70, No. 545:

Total Pageviews