Search This Blog

Category

Autoblog

Tuesday, September 16, 2014

Mafhum-e-Hadith: Surah Fatiha padh kar Dum k aur us par Ujrat lene ke mutalliq

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Surah Fatiha  padh kar Dum  k aur us par Ujrat  lene ke mutalliq
---------------------------------------------------

Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Kuch Sahaba Radi Allahu Anhuma  safar ke dauran arab ke ek Qabile par se guzre , Qabile walon ne unki ziyafat (mehman nawazi) nahi ki kuch der baad us Qabile ke sardar ko bichchu ne kaat liya un Qabile walon ne sahaba se kaha ki Aap logon ke pass koi dawa ya jhaadne wala hai, sahaba ne kaha ki tum logo ne humein mehman nahi banaya aur ab hum us waqt tak dum nahi karenge jab tak tum hamare liye iski mazduri muqarrar na kar do so un logon ne kuch bakriyan deni manzur kar li phir ( Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu ) surah fatiha parhne lage aur usko dam karte huye munh ka lua’ab ( thuk)  bhi us jagah lagane lage is se wo shaksh achcha ho gaya iske baad Qabile wale bakriyan lekar aaye lekin sahaba ne kaha jab tak Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  se na puch lenge ye bakriyan nahi le sakte phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko malum chala to muskuraye aur farmaya ki tumhe kaise malum ho gaya tha ki surah fatiha se dum bhi kiya ja sakta hai , in bakriyon ko le lo aur unmein mera hissa bhi lagao (nikalo).
Sahih Bukhari, Vol7, 5736

---------------------------------------------------
Narrated Abu Said Al-Khudri: Some of the companions of the Prophet came across a tribe amongst the tribes of the Arabs, and that tribe did not entertain them. While they were in that state, the chief of that tribe was bitten by a snake (or stung by a scorpion). They said, (to the companions of the Prophet ), "Have you got any medicine with you or anybody who can treat with Ruqya?" The Prophet's companions said, "You refuse to entertain us, so we will not treat (your chief) unless you pay us for it." So they agreed to pay them a flock of sheep. One of them (the Prophet's companions) started reciting Surat-al-Fatiha and gathering his saliva and spitting it (at the snake-bite). The patient got cured and his people presented the sheep to them, but they said, "We will not take it unless we ask the Prophet (whether it is lawful)." When they asked him, he smiled and said, "How do you know that Surat-al-Fatiha is a Ruqya? Take it (flock of sheep) and assign a share for me."  

Sahih Bukhari, Book #71, Hadith #632

Total Pageviews