Search This Blog

Autoblog

Sunday, November 24, 2013

Mafhum-e-Hadith: chaar badey ( kabira) Gunah

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith:  chaar badey ( kabira) Gunah

Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se badey (kabira ) gunahon ke baarey mein pucha gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
  


1. Allah ke saath kisi ko Sharik karna,
2. Waaldein ki nafarmani karna,
3. Kisi ki (nahaq) jaan lena ,
4. aur Jhooti gawahi dena.
Sahih Bukhari,  Vol 4,2653

------------------------------------------------
Hadith:  Four Great Sin ..

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam was asked about the great sins He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "
1.They areTo join others in worship with Allah,
2.To be undutiful to one's parents.
3.To kill a person
4.and to give a false witness."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 48, No. 821: 

Hadith: Jiske Ghar ka Darwaza ziyada kareeb ho wo hadiye (gift) ka ziyada haqdar hai…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jiske Ghar ka Darwaza ziyada kareeb ho wo hadiye (gift) ka ziyada haqdar hai…

Ummul Momeneen Hazrat aayesha Radiallahu anha ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam mere 2 Padosi (neighbor) hain to mujhe kiskey ghar hadiya bhejna chahiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jiska darwaza tumse kareeb hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2595

Hadith: The one whose door is nearer to you , has more rights..


Narrated Aisha Radiallahu anha :I said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  I have two neighbors; which of them should I give a gift to?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "(Give) to the one whose door is nearer to you."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 767: 

Hadith: kharch kiya kar, gina na kar taki tumhey bhi gin ke na miley

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: kharch kiya kar, gina na kar taki tumhey bhi gin ke na miley

Asma Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kharch kiya kar, gina na kar taki tumhey bhi gin ke na miley aur jod ke(chupa ke) na rakho taki tumse bhi allah taala (Apni naimaton ko) na chupa le.
Sahih Bukhari,  Vol 4, 2591

--------------------------------

Narrated Asma Radiallahu anha : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Give (in charity) and do not give reluctantly lest Allah should give you in a limited amount; and do not withhold your money lest Allah should withhold it from you."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 764: 

Mafhum-e-hadith: Gift (hiba) dekar wapas na lo

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Gift (hiba) dekar wapas na lo

Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apna Hiba (gift) wapas lene wala us Kuttey (dog) ki tarah hai jo Qey (Vomit) karkey chaat jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,  2589


Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 762: 

Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Sadqa nahi khate

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Sadqa nahi khate

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein jab koi khaney ki cheez layee jati to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam dariyaft farmatey ki ye Thofa hai Ya Sadqa? Agar kaha jata ki Sadqa hai to Aap apney Ashaab se famatey ki kha lo aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud nahi khatey aur agar kaha jata ki Tohfa hai to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud bhi haath badatey aur Sahaba ke saath usey khatey.
Sahih Bukhari,  Vol 4, 2577
----------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Whenever a meal was brought to Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam , he would ask whether it was a gift or Sadaqa (something given in charity). If he was told that it was Sadaqa, he would tell his companions to eat it, but if it was a gift, he would hurry to eat it with them.
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 47, No. 750:


Hadith:Ladaii mein bhi Chehrey par maarney se parhez karna chahiye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:Ladaii mein bhi  Chehrey par maarney se parhez karna chahiye

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi kisi se ladaii (ya jhagda) karey to chehrey par marney se parhez karey(yani chehrey par na marey)
Sahih Bukhari,
Vol 4,  2559
------------------------------ Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody fights (or beats somebody) then he should avoid the face." Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 46, No. 734:

Mafhum-e-hadith: Ghulamo ke saath bhi sila rahmi

Bismillahirrahmanirrahim

mafhum-e-hadith: Ghulamo ke saath bhi sila rahmi

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab kisi ka ghulam (naukar) khana laye aur wo usey apney saath na bitha sakey to usey ek ya do niwaley Zarur khila de  kyunki usney isko(khaney ko) tayyar karney ki takleef uthayee hai.
Sahih Bukhari,  Vol 4, 2557
------------------------------------


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When your servant brings your meals to you then if he does not let him sit and share the meals, then he should at least give him a mouthful or two mouthfuls of that meal or a meal or two meals, as he has prepared it."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 46, No. 732: 

Thursday, November 7, 2013

Hadith: Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai

Abu Jafar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Suwaid bin Muqarrin Radi Allahu Anhu  ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  hai ki jo zulm se Qatl kar diya jaye wo shaheed hai
Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih
--------------------------------------------
It was narrated that Abu Jafar Radi Allahu Anhu said: I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: Whoever is killed defending himself against injustice, he is a martyr.
Sunan Nasaii , Vol. 5, Book 37, Hadith 4101-Sahih

Hadith: Mere Ashaab ( Sahabiyon) ko bura mat kaho


Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Mere Ashaab ( Sahabiyon)  ko bura mat kaho

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya   mere ashaab (sahabiyo) ko buran a kaho, mere ashab ko buran a kaho , kasam uski jiskey haath mein meri jaan hai agar koi tum mein se Uhad Pahad ke barabar sona kharch karey to unkey ek mudd  (sair bhar) ya  Aadhey mudd (kharch) ke barabar bhi nahi ho sakta.   
Sahih Muslim , Vol 6, 6487 
--------------------------------------------

Abu Huraira Radi Allahu Anhu  reported The prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said : Do not revile (Don’t Abuse) my Companions, Do not revile (Don’t Abuse) my Companions. By Him in Whose Hand is my life,  if one amongst you would have spent as much gold as Uhud  it would not amount to as much as  one mudd  of one of them or half of it.-  
Sahih Muslim Book 031, Number 6167

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain


Bismillah irrahman irrahim

Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki taraf se ek Gaay (cow) ya ek oont ki Qurbani kar saktey hain

Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se ek oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se ek gaay (cow) ki Qurabani kiSahih Muslim, Vol 3,  3185

Jabir bin Abdullah (Allah be pleased with him) reported:
In the year of Hudaibiya (6 H ), we, along with Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam
sacrificed a camel for seven persons and a cow for seven persons.

Sahih Muslim , book 7, Hadith 3024

Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai 

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Sab rozo main Afzal Ramzan ke Baad Muharram Ke Roze hain Jo Allah Ka mahina hai Aur Baad Namaz farz ke tahajjud Ki Namaz Hai 
Sahih Muslim , Vol 3, 2755 

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki ek sahib Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki khidmat mein hazir hokar arz karney lagey ki Ramadhan ke baad sabse ziyada fazilat kaunsey rozo ki hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah ka mahina jisey tum Muharram kahtey ho. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 ( Sahih) 
----------------------------------------------
English Translation:
Abu Hurairah Allah be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: The most excellent fast after Ramadan is God's month. Al-muharram, and the most excellent prayer after what is prescribed is prayer during the night. 
Sahih Muslim, Book #006, Hadith #2611 

It was narrated that Abu Hurairah may Allah be pleased with him said: A man came to the Prophe Peace be upon him and said: Which fasting is best after the month of Ramadan? He Peace be upon him said: The month of Allah which is called Muharram. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742 (Sahih)

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 1883
-----------------------------------------
Abu Darda Radi Allahu Anhu reported The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam Said
If anyone learns by heart the first ten verses of the Surah al-Kahf, he will be protected from the Dajjal.
Sahih Muslim, Book 6, Hadith 311

Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi

Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye) 
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009

Abu hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya apney gharo ko Qabre na banao aur jis ghar mein Surah Al-Baqarah padi jati hai wahan shaitan dakhil nahi hota 
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 784-Sahih 
-----------------------------------------
Narrated Abu Masud Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night, that will be sufficient for him.
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530

Narrated Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: Do not turn your houses into graves. Indeed Ash-Shaitan does not enter the house in which Surah Al-Baqarah is recited. 
Jamia Tirmidhi , Vol. 1, Book 42, Hadith 2877-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Fatima (Radi allahu anha) ka darja

Bismillah-irahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Fatima (Radi allahu  anha) ka darja

Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Fatima mere Jism ka ek tukda hai jisney usey naraz kiya usney mujhe naraz kiya.
Sahih Bukhari, Vol 5, 3767
------------------------------------------------

Narrated Al-Miswar bin Makhrama Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fatima is a part of me, and whoever makes her angry, makes me angry."
Sahih Bukhari,  Book 57, # 111

Hadith: Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Hasan  aur Hussain  Radi Allahu Anhuma Duniya mein mere Do khshubudar phool hain

Ibn Abi Nu'm se rivayat hai ki ek shaksh ne Abdullah bin umar radi allahu Anhuma se pucha ki agar koi shaksh (ehraam ki halat mein) makhkhi maar de to uska kaffara kya hoga is par Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya Iraq ke log makhkhi ke baarey mein sawal kartey hain jabki yahi log Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke nawasey ko Qatl kar chukey hain jinkey baarey mein Rasoollallah Sallallahu Alaihi  ne farmaya tha ki ye dono (Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhuma) Duniya mein mere Do khshubudar phool hain
Sahih Bukhari,  Vol 5, 3753
---------------------------------------------
Narrated Ibn Abi Nu'm radi allahu anhu : A person asked 'Abdullah bin 'Umar radi allahu anhu whether a Muslim could kill flies. I heard him saying (in reply). "The people of Iraq are asking about the killing of flies while they themselves murdered the son of the daughter of Allah's Apostle  Peace be upon him. About whome  the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, They ( Hasan and Husain Radi Allahu Anhuma) are my two sweet basils (smelling flowers)  in this world." 
Sahih Bukhari, Book #57, Hadith #96

Hadith: Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai tu bhi in sey Muhabbat rakh

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai  tu bhi in sey Muhabbat rakh 

Al-Bara Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ki  Hasan Radi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wasallam key kaandhey mubarak par they aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ye farma rahey they ki Ya Allah mujhe in sey Muhabbat hai  tu bhi in sey Muhabbat rakh 
Sahih Bukhari, vol 5 , 3749
---------------------------------------------------
Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu : I saw the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam carrying Al-Hasan Radi Allahu Anhu on his shoulder an saying, O Allah! I love him, so please love him.
Sahih Bukhari,Book 57, Number 92:

Hadith: Jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey wo hum mein se nahi hai

Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim

Hadith:  Jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey wo hum mein se nahi hai

Abdullah bin masood Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya  jo shaksh apney rukhsar peetey, girebaan phadey ( kapdey phaadey) aur jahiliyat ke zamaney ki tarah baatain karey wo hum mein se nahi hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1297
--------------------------------------------------
Narrated Abdullah bin masood may Allah be pleased with him the Prophet Peace be upon him said He who slaps his cheeks, tears his clothes and follows the ways and traditions of the Days of Ignorance is not one of us.
Sahih Bukhari, , Book #23, Hadith #382

Hadith: Jisney mujhe Khwab mein dekha usney mujhe hi dekha


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jisney mujhe Khwab mein dekha usney mujhe hi dekha

Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  mere naam ke upar apney naam rakho  magar meri kuniyat (abul-Qasim) ikhtiyar na karo aur jis shaksh ne mujhe khwab mein dekha to beshaq usney mujhe dekha kyunki shaitan meri surat mein nahi aa sakta .
Sahih Bukhari, Vol 1, 110

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Name yourselves with my name (use my name) but do not name yourselves with my Kunya name (i.e. Abu-l Qasim). And whoever sees me in a dream then surely he has seen me for Satan cannot impersonate me. 
Sahih Bukhari,, Vol 1, Book 3, No. 110: 

Al Quran : Nabee ki Biwiyan unki (momeeno ki ) Maa hain

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Al Quran : Nabee momeeno par unki jaano se bhi
Ziyada haq rakhtey hain aur Nabee ki Biwiyan unki  (momeeno ki ) Maa hain 

Al Quran , Al-Ahzab, Chapter #33, Verse #6
--------------------------------------
The Prophet is closer to the believers than their ownselves, and his wives are their (believer's) mothers .
AL Quran , Al-Ahzab, Chapter #33, Verse #6

Hadith: wo Azab e Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  wo Azab e Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya
Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi ( achcha) amal wo karta tha
ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega  aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega  
Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat  se mutmaeen uthayega 
Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih

-------------------------------------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said:
“Whoever dies being prepared in the cause of Allah, will be given continuously the reward for the good deeds that he used to do, and he will be rewarded with provision, and he will be kept safe from Fattan ( fitna or punishment of grave)  and Allah will raise him on the Day of Resurrection free of fright.”
Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 24, Hadith 2767-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Allah subhanahu Qayamat ke pahley usey sakht museebat mein daal dega

Bismillahirrahmanirrahim

 Mafhum-e-Hadith: Allah subhanahu Qayamat ke pahley usey sakht museebat mein daal dega

Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney na kisi ghazwey mein hissa liya , aur na hi Ghazi (Allah ki raah mein ladney waley) ko koi saman faraham kiya  , aur na hi Ghazi ke ghar walo ke saath achcha bartaw kiya to Allah subhanahu Qayamat ke pahley usey sakht museebat mein daal dega
Sunan ibn Majah, Vol 2, 919 – Hasan


It was narrated from Abu Umamah Radi Allahu Anhu that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: “Whoever does not fight, or equip a fighter, or stay behind to look after a fighter’s family, Allah will strike him with a calamity before the Day of Resurrection.”

Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 24, #2762-Hasan

Mafhum-e-Hadith: Mujahid ki madad karney ka sawab

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Mujahid ki madad karney ka sawab

Umar bin khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya
Jo shaksh ALLAH ki raah mein ladney wale ko saman faraham karey , yahan tak ki wo rawana ho jaye to
us saman faraham karwane wale ko bhi Mujahid ke barabar tab tak Ajar milta rahega jab tak ki mujahid is duniya se chala na jaye ya wapas na laut aaye
Sunan ibn Majah, Vol 2, 915 - Sahih

It was narrated that ‘Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu said:I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  say: Whoever equips a warrior in the cause of Allah until he is fully equipped, he will have a reward like his, until he dies or returns.”

Sunan ibn Majah, Vol. 1, Book 24, Hadith 2758-Sahih

Hadith: Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith:  Noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai

Hazrat Abu Malik Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya noha (Matam) karna jahiliyat ka kaam hai , aur noha karney wali agar bina tauba ke mar jaye to Allah subhanhu usko tarkol ka libas aur Dozakh ke sholo ka kurta pahnayega
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 ( Hasan)
-----------------------------
It was narrated from Abu Malik Ashari that the Messenger of Allah said: Wailing is one of the affairs of the Days of Ignorance, and if the woman who wails dies without having repented, Allah will cut a garment of pitch (tar) for her and a shirt of flaming fire. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1581 (Hasan)

Hadith: Tum mein se har ek daaye (right) haath se khaye, daaye haath se peeye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum mein se har ek daaye (right) haath se khaye, daaye haath se peeye

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Tum mein se har ek daaye (right) haath se khaye, daaye haath se peeye, daaye haath se  koi cheez le aur daaye haath se hi de  kyunki shaitan baaye (left) haath se khata hai , baaye haath se peeta hai , baaye haath se cheez deta aur baaye haath se hi leta hai
Sunan ibn Majah, Vol 3, 147-Sahih

It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said:
“Let one of you eat with his right hand and drink with his right hand, and take with his right hand and give with his right hand, for Satan eats with his left hand, drinks with his left hand, gives with his left hand and takes with his left hand.”
Sunan ibn Majah,  Book 29, Hadith 3266-Sahih 

Hadith: jab tum mein se koi khana khaney lagey to Bismillah kahey

Bismillahirrahmanirrahim 


Hadith: jab tum mein se koi khana khaney lagey to Bismillah kahey

Aisha Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ek baar apney 6 sahaba Radi Allahu Anhuma saath khana kha rahey they ki wahan ek dehati aaya aur do niwalo mein sara khana kha gaya to Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya agar ye Bismillah kahta to ye khana tum sabko kaafi ho jata,

jab tum mein se koi khana khaney lagey to Bismillah kahey  aur agar wo (shuru mein) Bismillah kahna bhul jaye to ( yaad aaney par) Bismillah fi awwalihi wa aakhirihi kahey
Sunan ibn Majah, Vol 3, 145-Sahih

 -------------------------------------------------

It was narrated that Aishah Radi Allahu Anha said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  was eating food with six of his Companions when a Bedouin came and ate it all in two bites. The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: ‘If he had said Bismillah, it would have sufficed you (all). 
When any one of you eats food, let him say Bismillah, and if he forgets to say Bismillah at the beginning, let him say Bismillah fi awwalihi wa akhirih (In the Name of Allah at the beginning and at the end).’”



Sunan ibn Majah,  Book 29, Hadith 3264-Sahih

Hadith: Masjid Al-haram mein ek namaz dusri masajido ki lakho namazo se afzal hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Masjid Al-haram mein ek namaz dusri masajido ki ek lakh namazo se afzal hai 


Jaber Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri masjid mein ek namaz masjid-Al-haram ke siwa baqi masajido ki hazar namazo se afzal hai aur Masjid Al-haram mein ek namaz dusri masajido ki ek lakh namazo se afzal hai

Sunan Ibn Majah- Vol. 1, Book 5, 1406-Sahih

Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri masjid mein ek namaz masjid-Al-haram ke alawa baqi masajido ki hazar namazo se afzal hai
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1405-Sahih

English Translation:
jaber Radi Allahu Anhu narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said One prayer in my Masjid is better than one thousand prayers elsewhere, except the Sacred masjid ( Masjid Al haram) , and one prayer in the Sacred masjid ( Masjid Al haram) is better than one hundred thousand prayers elsewhere.”
Sunan Ibn Majah- Vol. 1, Book 5, 1406-Sahih

Ibn Umar Radi Allahu Anhu narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said One prayer in this Masjid of mine is better than one thousand prayers in any other Masajid except the Masjid-Al-Haram
Sunan Ibn Majah- Vol. 1, Book 5, 1405-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Bachchey ka Hajj aur us par sawab


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bachchey ka Hajj aur us par sawab

Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne ek bachche ko Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke samne pesh kiya aur arz kiya ki kya isko zimmey bhi hajj karna lazim hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN aur tumko iska sawab milega 
Sunan Nasaii, Vol 2, 558 – Sahih



It was narrated that Ibn Abbas Radi Allahu Anhu said A woman lifted a child up to the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam and said: 'Is there Hajj for this one?'
He Sallallahu Alaihi Wasallam said: Yes, and you will be rewarded.



Sunan Nasaii, Vol. 3, Book 24, Hadith 2648

Hadith: meri masjid mein ek namaz masjid-Al-haram ke siwa baqi masajido ki hazar namazo se afzal hai

Bismillahirrahmanirrahim
  
Hadith: meri masjid mein ek namaz masjid-Al-haram ke siwa baqi masajido ki hazar namazo se afzal hai 

Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri masjid mein ek namaz masjid-Al-haram ke siwa baqi masajido ki hazar namazo se afzal hai
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1405-Sahih

Ibn Umar Radi Allahu Anhu narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said
One prayer in this Masjid of mine is better than  one thousand prayers in any other Masajid except the Masjid-Al-Haram
Sunan Ibn Majah- Vol. 1, Book 5, 1405-Sahih

Hadith: Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain Ghazi , Hajj karney wala aur umrah karney wala

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain Ghazi , Hajj karney wala aur umrah karney wala

Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ke mehmaan 3 (tarah ke log) hain
Ghazi ( Allah ki raah mein ladney wala),  Hajj karney wala aur umrah karney walaSunan Nasaii, Vol 2, 536 – Sahih


It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam: The guests of Allah are three:  The ghazi, the Haaj
(The one who go to perform Hajj)  and the Mutamir ( The one who go to perform Umrah ) 
Sunan Nasaii , Vol. 3, Book 24, #2620-Sahih

Hadith: Shaheed ki Shafaat uskey gharwalon ke 70 logon ke haq mein Qubul ki jayegi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shaheed ki Shafaat uskey  gharwalon ke 70 logon ke haq mein Qubul ki jayegi

Hazrat Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Shaheed ki Shafaat uskey  gharwalon ke 70 logon ke haq mein Qubul ki jayegi
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 750 -Sahih
----------------------------------------------------------------
Narrated Abud Darda  Radi Allahu Anhu : The Prophet  peace_be_upon_him  said: The intercession of a martyr will be accepted for seventy members of his family.
Sunan Abu Dawud, Book 14, 2516-Sahih


Hadith: ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai

Hadith: ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai 

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya HAJJ mabrur ka jannat ke siwa koi sila nahi hai aur ek umrah dusrey umrah tak hone wale gunaho ka kaffara hai 
Sunan Nasaii, Vol 2, 533 – Sahih 

English Translation:
It was narrated that Abu Hurairah Radi Allahu Anhu said: "The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Hajj al-Mabrur brings no reward other than Paradise, and from one 'Umrah to another is expiation for what came in between. 
Sunan Nasaii , Book 24, #2623-Sahih

Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai

Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim 

Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai

Jarir the freed slave of Muawiyah radi allahu anhu said: Muawiyah delivered a sermon in his sermon he mentioned that the Messenger of Allah Peace be upon him forbade wailing. 
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)

Narrated Umm Atiyyah Radi-Allahu-Anha The Messenger of Allah Peace be upon him prohibited us to wail.
Sunan Abu Dawud, Book 20, 3121 ( Sahih)

---------------------------------------------------------
Urdu Translation:

Jarir ne farmaya ki Muawiyah radi allahu anhu ne apney khutbey mein kaha ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne Noha karney se mana farmaya hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1580 (Sahih)

Umma Atiyyah Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne humein Noha (matam) karney se mana farmaya hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, #1350 ( Sahih)

Category

Total Pageviews