Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Paaki-Napaki (Cleanliness). Show all posts
Showing posts with label Paaki-Napaki (Cleanliness). Show all posts

Thursday, May 9, 2019

Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab




Bismillahirrahmanirrahim


✦ Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab
-------------
✦ Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayata hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya ek Allah ke ek bande ke bare mein Hukum diya gaya ke usko Qabr mein mein sau (100) kode maaray jayen. wo(is azab ko kam karne ki) ilteja aur duayen karta raha yaha tak ki ek koda rah gaya. Jab ye koda usko lagaya gaya to uski Qabr aag se bhar gayee, jab us saza ka asar khatam ho gaya aur usko hosh aa gaya to usne farishto se pucha tum ne kis wajah se mujhe koda mara hai? Farishton ne kaha tum ne ek namaz bina paaki (tahatart) ke padi thi, aur dusra ye ki tu ek mazloom ke paas se guzra tha lekin tune uski madad nahi ki thi
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees # 554
-------------
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول الله ﷺ نے فرمایا: اللہ كے ایك بندے كے بارے میں حكم دیا گیا كہ اسے قبر میں سو كوڑے مارے جائیں۔ وہ التجاو دعائیں كرتا رہا حتی كہ ایك كوڑا بطور سزا رہ گیا۔ اسے ایك كوڑا مارا گیا، اس 
كی قبر آگ سے بھر گئی، جب آگ ختم ہوئی اور اسے كچھ افاقہ ہوا تو اس نے پوچھا : تم نے مجھے كس وجہ سے كوڑا مارا ہے؟ فرشتوں نے كہا: تم نے ایك نماز بغیر طہارت كے پڑھی تھی، اور تم ایك مظلوم كے پاس سے گزرے تھے لیكن تم نے اس كی مدد 
نہیں كی تھی۔
السلسلہ صحیحہ ٥٥٤ 
-------------
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह ﷺ ने फरमाया एक अल्लाह के एक बंदे के बारे में हुक्म दिया गया के उसको क़ब्र में में सौ (100) कोडे मारे जाएँ. वो(इस अज़ाब को कम करने 
की) इलतेजा और दुआएँ करता रहा यहा तक की एक कोड़ा रह गया. जब ये कोड़ा उसको लगाया गया तो उसकी क़ब्र आग से भर गयी, जब उस सज़ा का असर ख़तम हो गया और उसको होश आ गया तो उसने फरिश्तो से पूछा तुम ने किस 
वजह से मुझे कोड़ा मारा है? फरिश्तों ने कहा तुम ने एक नमाज़ बिना पाकी ( यानि नापाकी की हालत में ) के पढ़ी थी, और दूसरा ये की तू एक मज़लूम के पास से गुज़रा था लेकिन तूने उसकी मदद नही की थी
अल-सिलसिला-अस-सहिहा हदीस # 554




✦ The Punishment in Grave for praying without proper purification and....
-------------
Narrated by Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu The Prophet  ﷺ  saidA person was ordered to be lashed a  times in his grave he continuously asked Allah to decrease his punishment until only one lash remained , when he was lashed his grave was totally filled by fire when the fire was removed and he regain consciousness he asked Why was I lashed ? ( what is the reason behind this punishment) he was told You offered a prayer once without proper purification and you passed by an oppressed but you did not help him

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 554

Monday, December 16, 2013

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Baaligh par Jumaa ke din gusl wajib hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Baaligh par Jumaa ke din gusl wajib hai

Abu Saeed khazri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Baaligh par Jumaa ke din gusl wajib hai
Sahih Bukhari, Vol 4, 2665
--------------------------------------


Narrated Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Bath on Friday is compulsory for those who have attained the age of puberty." 
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 48, No. 833:

Sunday, December 9, 2012

Hadith: jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat mein) se humbistari karey to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa karey.


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Abdullah bin Abbas Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya us shaksh ke baarey mein jo apni haayeza biwi ( yani haiz ki halat mein) se humbistari karey to wo ek dinar ya aadha dinar sadqa karey.
Sunan Nasaii, Vol 1, 292 ( Sahih)

Anas Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Yahudiyon mein se jis waqt kisi khatun ko haiz aata to wo apney saath na usey khilatey aur na ek makan mein uskey saath rahtey, Sahaba Radi-Allahu-Anhuma ne iskey mutalliq pucha to  is par Allah Subhanahu ne ye aayat nazil farmayee jiska mafhum hai ki

Aur Aapsey Haiz ke baarey mein puchtey hain kah dijiye ki wo Najasat (Napaki) hai isliye Haiz mein aurton se dur raho aur unkey paas na jao ( yani humbistari na karo) yahan tak ki wo paak ho jayain phir jab wo paak ho jaye to unkey paas jao jahan se Allah ne tumhey hukm diya hai beshaq Allah Tauba karney walo ko Dost rakhta hai aur bahut paak rahney walon ko dost rakhta hai - Al Quran 2:222

Phir Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne Sahaba karam Radi-Allahu-Anhuma se farmaya ki wo Aurton se Haiz ki halat mein saath khilayein Peelayein aur ek makan mein saath rahain aur humbistari (intercourse) ke alawa tamam kaam karain.
Sunan Nasaii, Vol 1, 291 ( Sahih)


---------------------------------------------------

It was narrated that Anas Radi-Allahu-Anhu  said: "When one of their womenfolk menstruated, the Jewswould not eat or drink with them, nor mix with them in their houses. They asked the Prophet of Allah  Peace be upon him  about that, and Allah Mighty and Sublime revealed

They ask you concerning menstruation. Say: that is an Adha (a harmful thing for a husband to have a sexual intercourse with his wife while she is having her menses), therefore keep away from women during menses and go not unto them till they are purified. And when they have purified themselves, then go in unto them as Allah has ordained for you Truly, Allah loves those who turn unto Him in repentance and loves those who purify themselves
Al Quran
, 2 : 222 ) So the Messenger Allah commanded them to eat and drink with them (menstruatingwomen) and to mix with them in their houses, and to do everything
with them except intercourse.
Sunan Nasaii, Vol 1, 289 (Sahih)


It was narrated from Ibn Abbas from the Prophet  Peace be upon him Concerning a man who has had intercourse with his wife while she was menstruating: "Let him give a Dinar or half a Dinar in charity
Sunan Nasaii, Vol 1, 290  (Sahih)

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya tumhara haiz tumharey haath mein to nahi hai.


 Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tumhara haiz tumharey haath  mein to nahi hai.

Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya ki Mujhe Masjid mein Chatayee ( boriya, Mat) lakar do to mainey Arz kiya ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  main haiz ki halat mein hu , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tumhara haiz tumharey haath  mein to nahi hai.
Sunan Nasaii , Vol 1, 274 (Sahih)


Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ka sir Mubarak hum mein se (yani  wives  mein se) kisi ki Godd ( lap) mein hota aur wo khatun ( wife)  haiz ki halat mein hoti  aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  Quran ki Tilawat bhi farmatey
Sunan Nasaii , Vol 1, 277 (Sahih)


Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki Main Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam   ke sir Mubarak mein kanghi kiya karti thi haalanki us waqt mujhe haiz ( period) aa raha hota.
Sunan Nasaii , Vol 1, 280 (Sahih)

Tashreeh: Jahiliyat ke zamaney mein Aurat ko haiz aaney par uska bistar alag kar diya jata tha usey chua nahi jata tha aur us sey ghar ke bahut se kaam nahi karwaye jatey they, Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne Apni zawja  se haiz ki halat mein   is tarah muamla farma kar un sab baton ko khatam kar diya.
--------------------------------------------------

It was narrated that  from the Aisha may Allah be pleased with her that The Messenger Peace be upon him  said Give me the mat from the Masjid  She said:  I am menstruating. The Messenger of Allah said: "Your menstruation is not in your hand.
Sunan Nasaii , Vol 1, 272 (Sahih)

It was narrated that  from the Aisha may Allah be pleased with her that  The head of the Messenger  of  Allah would rest in the lap of one of us when she was menstruating, and he would recite Quran.
Sunan Nasaii , Vol 1, 275, 278 (Sahih)

It was narrated that  from the Aisha may Allah be pleased with her that  I used to comb the Messenger of Allah Peace be upon him when I was menstruating.
Sunan Nasaii , Vol 1, 278 (Sahih)

Explanation: During the days of pre-Islamic ignorance, women were deemed inferior beings Especially during her menstrual cycles she was branded untouchable, and was
distanced from society. Consequently, many women became susceptible to
developing an inferiority complex. By this Hadith Allah’s Messenger Peace be upon him put an end to the illtreatment of women. consider, for instance, the tender consideration he Peace be upon him showed to his menstruating wife.

Mafhum-e-Hadith: janabat ki halat mein wudhu karkey sona chahiye



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  janabat ki halat mein wudhu karkey sona chahiye

Abdullah bin umar  Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se pucha gaya ki kya hum logon mein se koi Janabat ki halat  mein so sakta hai to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya (HAAN)  jis waqt waqt wo wudhu kar le
Sunan Nasaii , Vol 1, 262 ( Sahih)

Abdullah bin umar  Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki  Umar Radi-Allahu-Anhu  ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se pucha ki mujhko Raat je janabat ho jati hai , to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya tum Wudhu kar lo aur sharmgaah ko dho  lo  phir uskey baad so saktey ho
Sunan Nasaii , Vol 1, 263 ( Sahih)

Baab: Paki  ka bayan :  Agar Janubi  shaksh wudhu na karey :

Ali Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya us ghar mein (rahmat ke) farishtey dakhil nahi hotey jis ghar mein Kutta , tasweer ya Junubi  shaksh ho
Sunan Nasaii , Vol 1, 264 ( Hasan)

--------------------------------------------------------------------------------------------
It was narrated from  Abdullh bin Umar that  umar may Allah be pleased with him said: O  Messenger of Allah Peace be upon him May any one of us sleep while he is Junub?"  He Peace be upon him  said: (YES) When he performs Wudu.
Sunan Nasaii , Vol 1, 260 ( Sahih)

It was narrated that Ibn 'Umar said: "Umar mentioned to the Messenger of Allah Peace be upon him  that he became Janub at night, the Messenger of Allah  Peace be upon him said 'Perform Wudhu and wash your Private parts  then sleep.
Sunan Nasaii , Vol 1, 261 ( Sahih)

Chapter : If A Janub  person does not perform Wudhu :
It was narrated from Ali  may Allah be pleased with him said that the Prophet Peace be upon him  said: The angels do not enter a house where there is an image, a dog or a Junub person. (Hasan)
Sunan Nasaii , Vol 1, 262 ( Hasan)

Janub  :
impure due to sexual intercourse or semen discharge

Tuesday, November 20, 2012

Mafhum-e-Hadith: Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ? - HAAN


BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

<< Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ? - HAAN>>

Umm salma Radi-Allahu-Anha  se rivayat hai ki ek aurat ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Allah subhanahu haq baat kahney se sharam aur haya mahsus nahi karta.Kya aurat ko Ehatlaam ho jaye to usko ghusal karna lazim hai ?
Aap Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya HAAN jis waqt aurat (napaak)paani (sharmgaah par) dekhey  ye baat sunkar umm salma ko hansee aa gayee aur farmaney lagi kya aurat ko bhi ehatlaam hota hai ? Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-wasallam ne farmaya agar nahi hota to (bachchey ki)shakal aur surat kis tarah se (waldein ki) mushabah hoti
Sunan Nasaii, Vol 1, 199  (Sahih)
------------------------------------------------------
Narrated  Authority of  Umm Salamah may ALLAH be pleased with her that a women said: "Oh messenger of Allah may ALLAH be pleased with him , Allah is not shy to tell the truth. Does a woman have to perform Ghusl if she has a wet dream?" He Peace be upon him  said: "Yes, if she sees water." Umm Salamah  laughed and said: "Do women really have wet dreams?" The Messenger of Allah may ALLAH be pleased with him  said how else would her child resemble her?"
Sunan Nasaii, Vol 1, 197  (Sahih)

Monday, October 22, 2012

Mafhum-e-Hadith : Haiz (menstruating woman) aur Nifas wali Aaurtein Hajj ke tamam arkaan ada karey siwaye tawaf-e-kaab ke


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith : Haiz (menstruating woman) aur Nifas wali Aaurtein Hajj ke tamam arkaan ada karey siwaye tawaf-e-kaab ke

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Haiz (menstruating woman) aur Nifas wali Aaurtein jab Meeqat par aaye to ghusal karkey ehraam baandh le,  aur Hajj ke tamam arkaan ada karey siwaye tawaf-e-kaaba ke
Sunan Abu Dawud, vol1, 1731
--------------------------------------------------------------------
Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhuma : The Prophet (peace_be_upon_him) said: A menstruating woman and the one who delivered a child should take a bath, put on ihram and perform all the rites of hajj except circumambulation of the House (Ka'bah) when they came to the place of wearing ihram
Sunan Abu Dawud,
Book 10, Number 1740:

Thursday, October 18, 2012

Mafhum-e-Hadith: Wudhu kartey waqt Naak saaf karo


 Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever performs ablution should clean his nose with water by putting the water in it and then blowing it out
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 162:
------------------------------------------------------------------Abu Hurirah Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  jo shaksh wudhu karey usey chahiye ki paani andar dalkar naak saaf karey aur usey (pani ko) phir bahar nikal de
Sahih Bukhari, Vol 1,161

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain


Bismillah irrahman nirrahim

Hadith: Uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain

Nu'am Al-Mujmir radi allahu anhu se rivayat hai ki main Abu Hurirah Radiallahu anhu ke saath masjid ki chat (roof) par chada unhoney wudhu kiya aur kaha ki mainey Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam se suna ki meri ummat ke log wudhu ke nishaanat ki wajah se Qayamat ke din "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( Safaid Peshani aur Safaid haath paaw waley) kah kar bulaye jayengey to tum mein jo koi apni chamak badana chahta hai to wo bada le (yani regular wudhu karta rahey)
Sahih Bukhari, Vol 1, 136

Hazrat usman bin Affan Radi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Shaksh achchi tarah wudhu karey to uskey gunaah badan se nikal jaatey hain, yahan tak ki naakhuno ke neechey se bhi nikal jatey hain
Sahih Muslim, Vol1, 578

------------------------------------------------------------------------------

Narrated Nu'am Al-Mujmir Radiallahu anhu : Once I went up the roof of the mosque, along with Abu Huraira. He perform ablution and said, "I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "On the Day of Resurrection, my followers will be called "Al-Ghurr-ul-Muhajjalun" ( the person who have white hands ,legs and face) from the trace of Ablution and whoever can increase the area of his radiance should do so (i.e. by performing ablution regularly).' 
Sahih Bukhari, Vol 1, Book 4, No. 138: 

Uthman b. 'Affan reported: The Messenger of Allah (way peace be upon him) said: He who performed ablution well, his sins would come out from his body, even coming out from under his nails.
Sahih Muslim, Book 002, Number 0476: 

Saturday, October 13, 2012

Hadith: Mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahley ke Anbiya ko nahi di gayi thi


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahley ke Anbiya ko nahi di gayi thi

Jabir radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya mujhe paanch cheezein aisee Ata ki gayee hai jo mujh se pahley ke Anbiya ko nahi di gayi thi
1. Ek mahiney ki Raah se mera Ruaa’b daalkar meri madad ki gayee
2. Mere liye tamam zameen mein namaz parhney aur paki haasil karney ki ejazat hai
isliye meri ummat ke jis aadmee ki namaz ka waqt (jaha bhi) aa jaye  usey namaz parh
leni chahiye 
3. Mere liye maal ganimat halal kiya gaya
4.Pahley anbiya khas apni 
Qaumo ki hidayat ke liye bhejey jatey they lekin mujhe duniya ke tamam insaano ki hidayat ke liye bheja gaya hai 
5. Mujhe shafa’at ata ki gayee hain
Sahih Bukhari , Vol 1, # 438

------------------------------------------------------------
Narrated Jabir bin 'Abdullah may ALLAH be pleased with him : Allah's Apostle Peace be upon him said, "I have been given five things which were not given to any amongst the Prophets before me. These are:
1. Allah made me victorious by awe (by His frightening my enemies) for a distance of one month's journey.

2. The earth has been made for me (and for my followers) a place for praying and a thing to perform Tayammum. Therefore my followers can pray wherever the time of a prayer is due.

3. The booty has been made Halal (lawful) for me (and was not made so for anyone else).

4. Every Prophet used to be sent to his nation exclusively but I have been sent 1o all mankind.

5. I have been given the right of intercession (on the Day of Resurrection.)
Sahih Bukhari,  Volume 1, Book 8, #429

Saturday, October 6, 2012

Mafhum-e-Hadith: ( Ghusal karte waqt ) Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi


BISMILLAH-HIRRAHMAN-NIRRAHIM

Mafhum-e-Hadith: ( Ghusal karte waqt ) Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi

Thawban Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  se Ghusal e janabat ke baarey mein daryaft kiya to Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Mard ke liye to ye jaruri hai ki wo Apna sir khol kar ( yani baal khol kar) baalon ko dhoye yahan tak ki paani Baalon ki jado tak pahunch jaye magar Aurat ke liye sir ke baalon ko kholna zaruri nahi hai bulki isko chahiye ki wo Dono Haath se 3 martaba paani sir par Daal le
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 255
----------------------------------------------------------------------------
Narrated Thawban Radi Allahu Anhu  : Shurayh ibn Ubayd said: Jubayr ibn Nufayr gave me a verdict about the bath because of sexual defilement that Thawban may ALLAH be pleased with him  reported to them that they asked the Prophet  peace be upon him  about it. He (the Prophet) replied: As regards man, he should undo (open)  the hair of his head and wash it until the water should reach the roots of the hair. But there is no harm if the woman does not undo (open)  it (her hair) and pour three handfuls of water over her head.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # Book 1, Number 0255

Tuesday, October 2, 2012

Hadith: (Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai (Ghusal farz nahi)


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: (Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai (Ghusal farz nahi)
 
Sahl ibn Hunayf Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Main Madhi (mazi) ke baar baar nikalne se takleef mein mubtala rahta tha kyunki main aksar iski wajah se Ghusal kiya karta tha mainey Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  se is barey mein arz kiya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (Madhi nikalney) par sirf wudhu karna kaafi hai mainey arz kiya Ya Rasoollallah  allallhu Alaihi Wasallam  agar madhi kapdo par lag jaye to kya karu ? Aapney farmaya Ek chullu paani lekar us Muqam par chidak do jahan tumhey mehsus ho madhi lagi hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 210
-------------------------------------------------------------------------------
Narrated Sahl ibn Hunayf may ALLAH be pleased with him : I felt greatly distressed by the frequent flowing of prostatic fluid (Madhi). For this reason I used to take a bath very often. I asked the apostle of Allah  peace_be_upon_him about this. He Peace be upon him replied: Ablution will be sufficient for you because of this. I asked: O Apostle of Allah , what should I do if it smears my clothes. He Peace be upon him  replied: It is sufficient if you take a handful of water and sprinkle it on your clothe when you find it has smeared it.
Sunan Abu Dawud,Book 1, Number 0210
------------------------------------------------------------------------------
Explanation:
Other than urine, there are basically three types of discharges that are released from one’s private organs:
  1. Wadi (a thick white secretion immediately after uniration by some people)
  2. Madhi (a sort of slow release of lubricant just prior to a full sexual discharge)
  3. Mani (a full sexual discharge)
If only Wadi or Madhi is released, one does not require a ‘ghusl’ or full bath to purify himself; he must wash his private parts and the part of his clothes or body where the‘wadi’ or ‘madhi’ has touched, do the wudu, and he would be available for prayer.
If Mani is released, then it become obligatory to perform a ‘ghusl’ or full bath to purify oneself.
Allah knows Best

Monday, October 1, 2012

Mafhum-e-Hadith: Jin Aurton ke Haiz ke Din guzar jaye aur phir bhi paak na ho to wo Namaz parh sakti hain


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Jin Aurton ke  Haiz ke Din guzar jaye aur phir bhi paak na ho to wo Namaz parh sakti hain

Aayesha Radi Allahu Anha se Rivayat hai ki Fatima bint Abi Hubaish ki Beti ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam Main to Paak hi nahi hoti to kya mein bilkul Namaz chorh du Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Rag ka khoon hai Haiz nahi, isliye jab Haiz ke din ( jismein tumhey pahley Haiz aaya karta tha) aaye to Namaz chorh de aur jab Andazey ke Mutabiq wo din Guzar jaye to khoon Dho daal aur namaz parh
Sahih Bukhari, Vol 1, 306
----------------------------------------------------------------
Hadith: It is from a blood vessel and not the menses……

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu  : Fatima bint Abi Hubaish said to Allah's Apostle Peace be upon him , "O Allah's Apostle Peace be upon him  I do not become clean (from bleeding). Shall I give up my prayers?" Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam replied: "No, because it is from a blood vessel and not the menses. So when the real menses begins give up your prayers and when it (the period) has finished wash the blood off your body (take a bath) and offer your prayers."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 6, Number 303: 

Sunday, September 30, 2012

Hadith: SubhanAllah , Momeen kabhi Napak nahi ho sakta


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  SubhanAllah , Momeen kabhi Napak nahi ho sakta
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu  se Rivayat hai ki Madiney ki ek Gali (street) meri mulaqat Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  se huyee, us waqt mein Janabat ki haalat ( napaki ) mein tha isliye mein peechey rah kar laut gaya , aur Ghusal karkey wapas Aaya, to Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne daryaft farmaya ki Eh Abu Hurairah kaha chaley gaye they unhoney jawab diya ki Main Janabat (Napaki) ki Haalat mein tha isliye Mainey Aapkey saath bagair Ghusal ke baithna Bura jana Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya SubhanAllah Momeen kabhi Napak ( Najis) nahi ho sakta
Sahih Bukhari, Vol 1, 283
----------------------------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu  :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam came across me in one of the streets of Medina and at that time I was Junub ( Impure). So I slipped away from him and went to take a bath. On my return the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "O Abu Huraira Radi Allahu Anhu !  Where have you been?" I replied, "I was Junub, so I disliked to sit in your company." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Subhan Allah! A believer never becomes impure."
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 5, Number 281 

Mafhum-e-Hadith: Peshab ya pakhana rokkar namaz nahi parhni chahiye…


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Peshab ya pakhana rokkar namaz nahi parhni chahiye…

Hazrat Abu Hurairah Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah SallAlllahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh ALLAH aur Qayamat ke deen par yakeen rakhta ho usey liye jayaz nahi ki wo Peshaab pakhana ro kar ke  namaz parhey yahan tak ki wo insey faraghat hasil kar le
Sunan Abu Dawud,  Vol1, 91

---------------------------------------------------------------------
Mafhum-e-Hadith: Don’t pray  while you are  feeling the call of nature ( toilet)  until he becomes light….

Narrated AbuHurayrah Radi Alllahu Anhu  :The Prophet  peace_be_upon_him  said: It is not permissible for a man who believes in ALLAH and in the Last Day that he should say the prayer while he is feeling the call of nature until he becomes light (by relieving himself).
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 91

Saturday, September 29, 2012

Hadith: Jo shaksh mooch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith:  Jo shaksh mooch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai

Hazrat Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya paanch baatein fitrah ( yani paidayeeshi sunnat ) hain Khatna karna, naaf ke neechey ke baal hatana, baghal ke baal ukhadna , nakhun tarashna aur moonch ke baal qatarna.
Sunan Nisai, Vol1, #11

Hazrat  Zaid bin Arqam Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jo shaksh moonch ke baal na kaaatey wo hum mein se nahi hai
Sunan Nisai, Vol1, #13
-------------------------------------------------------

English Translation:
Narrated by Abu hurairah may ALLAH be pleased with him said The Prophet Peace 
be upon him said that Fitrah (Natural sunnah)  are five:  Circumcision, Shaving the pubes, plucking the armpit hairs, clipping the nails and, taking ( trimming)  from
the mustache. - Sunan Nasai, Vol1, #11

Narrated by  Zaid bin Arqam may ALLAH be pleased with him The Prophet Peace
be upon him said: Whoever does not trim his mustache, he is not one of us.
Sunan Nasai, Vol1, #13

Wednesday, September 26, 2012

Mafhum-e-Hadith: Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley Mein Jinno ki rozi hoti hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley Mein Jinno ki rozi hoti hai

Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu  se rivayat hai ki Jinno ki ek jamaat 
Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam ke khidmat mein hazir huyee unhoney arz kiya ki Eh Muhammad SallAlllahu Alaihi Wasallam Aap apni ummat ko mana farma dijiye Haddi (bones) , Leed ( Gobar) aur koyley se istinja karney se kyuki ALLAH Subhanahu ne ismein hamari Rozi rakhi hai, iskey baad  Rasoollallah  Sallallhu Alaihi Wasallam ne aisa karney se mana farma diya
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 39 (Sahih)
----------------------------------------------------------------
Narrated Abdullah ibn Mas'ud Radi Alllahu Anhu  A deputation of the jinn came to the Prophet peace_be_upon_him and said: O Muhammad SallAlllahu Alaihi Wasallam , forbid your community to cleans themselves with a bone or dung or charcoal, for in them ALLAH has provided sustenance for us. So the Prophet peace be upon him forbade them to do so.
Sunan Abu Dawud,  Book 1, Number 0039 (Sahih)

Hadith: Do Lannat waley kaamo se bacho..


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Do Lannat waley kaamo se bacho..

Hazrat Abu Hurairah Radi Alllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Do Laanat waley kaamo se bacho Sahaba Radi Alllahu anhuma ne pucha wo Do kaam kaun se hain Aap Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya Kisi Raahguzar mein Pakhana karna , 
ya Sayaadar jagah mein pakana karna 
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, 25 ( Sahih)
------------------------------------------------------------------
Narrated Mu'adh ibn Jabal Radi Alllahu Anhu  : The Apostle of ALLAH peace be upon him  said: Be on your guard against two things which provoke cursing: easing on the thoroughfares (roads) , and in the shade (of the tree).
Sunan Abu Dawud, Book 1,Number 0026 ( Sahih)

Total Pageviews