Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Imaan ( faith). Show all posts
Showing posts with label Imaan ( faith). Show all posts

Monday, May 16, 2022

Allah ke liye dosti aur Allah ke liye dushmani Mazbut imaan ki nishani hai

 *Bismillahirrahmanirraheem*

✦ : *Allah ke liye dosti aur Allah ke liye dushmani Mazbut imaan ki nishani hai*

-----

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Abu Dharr Radi Allahu Anhu se kaha Imaan ka kaunsa kadaa mazboot hai ? unhone kaha Allah auruska Rasool behtar jante hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ke liye dosti aur Allah ke liye dushmani Allah ke liye mohabbat aur Allah ke liye nafrat

Al-Silsila-tus-Sahiha 1121

-----

رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے ابو ذر  رضی اللہ عنہ سے كہا: ایمان كا كونسا كڑا مضبوط ہے؟  انہونے کہا  اللہ اور اس كا رسول بہتر جانتے ہیں۔ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ كے لئے دوستی اور اللہ كے لئے دشمنی اللہ كے لئے محبت اور اللہ كے لئے نفرت

السلسلہ صحیحہ  1121 

----

✦ :  रसूल अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने अबू जर रदी अल्लाहु अनहू से  फ़रमाया ईमान का कौन सा कड़ा मजबूत है तो  उन्होंने कहा अल्लाह और उसका रसूल बेहतर जानते हैं फिर आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह के लिए दोस्ती और अल्लाह के लिए दुश्मनी और अल्लाह के लिए मुहब्बत और अल्लाह के लिए नफरत 
सिलसिला सहिहा 1121

-----

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said to Abu Dharr Radi Allahu Anhu Which faith is the strongest handhold of faith ? He said Allah and his Prophet Knows best, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Said Friendship for the sake of Allah and  enmity for the sake of Allah, Love for the sake of Allah and Hate for the sake of Allah

Al-Silsila-tus-Sahiha 1121

Wednesday, May 8, 2019

Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye


Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith Qudsi: RAB ka irshad hua ki Subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye 
----------------------------
✦ Zaid bin khalid jahni Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne humein Hudebiya mein subah ki namaz padhayee aur raat ko barish ho chuki thi , namaz se farig hone ke baad Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne logo ki taraf munh kiya aur farmaya , malum hai tumhare RAB ne kya farmaya hai , logon ne kaha ki Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam khoob jante hain ,Aap ne farmaya ki tumhare RAB ka irshad hai ki subah huyee to mere kuch bande momeen rahe aur kuch kafir ho gaye jisne kaha ki Allah ke fazal aur rahmat se hamare liye barish huyee to wo mera momeen hai aur sitaro ka munkir hai aur jisne kaha ki falah sitare ki falah jagah par aane se barish huyee to wo mera munkir hai(yani mujhse kufr kiya) aur sitaro ka momeen hai (yani sitaro par iman rakhne wala hai)
Sahih Bukhari, Jil1, 846

✦ ज़ैद बिन खालिद अल-जुहानी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने हूमें हुदेबिया में सुबह की नमाज़ पढ़ाई और रात को बारिश हो चुकी थी , नमाज़ से फारिग होने के बाद आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने लोगो की तरफ मुँह किया और फरमाया , मालूम है तुम्हारे रब ने क्या फरमाया है , लोगों ने कहा की अल्लाह और उसके रसूल सललल्लाहू अलैही वसल्लम खूब जानते हैं ,आप ने फरमाया की तुम्हारे ऱब का इरशाद है की सुबह हुई तो मेरे कुछ बंदे मोमीन रहे और कुछ काफ़िर हो गये जिसने कहा की अल्लाह के फ़ज़ल और रहमत से हमारे लिए बारिश हुई तो वो मेरा मोमीन है और सितारो का मुनकीर है और जिसने कहा की फ़लाह सितारे की फ़लाह जगह पर आने से बारिश हुई तो वो मेरा मुनकीर है(यानी मुझसे कुफ्र किया) और सितारो का मोमीन है (यानी सितारो पर ईमान रखने वाला है)
सही बुखारी, जिल्द 1, 846
---------------------------------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے ہمیں حدیبیہ میں صبح کی نماز پڑھائی اور رات کو بارش ہو چکی تھی نماز سے فارغ ہونے کے بعد آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے لوگوں کی طرف منہ کیا اور فرمایا معلوم ہے تمہارے رب نے کیا فرمایا ہے۔ لوگوں نے کہا کہ اللہ اور اس کے رسول خوب جانتے ہیں (آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ) تمہارے رب کا ارشاد ہے کہ صبح ہوئی تو میرے کچھ بندے مجھ پر ایمان لائے۔ اور کچھ میرے منکر ہوئے جس نے کہا کہ اللہ کے فضل اور اس کی رحمت سے ہمارے لیے بارش ہوئی تو وہ میرا مومن ہے اور ستاروں کا منکر اور جس نے کہا کہ فلاں تارے کے فلانی جگہ پر آنے سے بارش ہوئی وہ میرا منکر ہے اور ستاروں کا مومن۔
------------------

✦ Narrated Zaid bin Khalid Al-Juhani Radi Allahu Anhu 
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam led us in the Fajr prayer at Hudaibiya after a rainy night. On completion of the prayer, he faced the people and said, "Do you know what your Lord has said (revealed)?" The people replied, "Allah and His Apostle Sallallahu Alaihi wasallam know better." He said, "Allah has said, 'In this morning some of my slaves remained as true believers and some became non-believers; whoever said that the rain was due to the Blessings and the Mercy of Allah had belief in Me and he disbelieves in the stars, and whoever said that it rained because of a particular star had no belief in Me but believes in that star.' "
Sahih Bukhari, Book 12, Hadith 807

Saturday, November 28, 2015

AL Quran : Hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte

Bismillahirrahmanirrahim

AL Quran :
Hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte


Hadith: Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki do aadmiyon ne aapas mein gaali galoch ki jinmein se ek musalman tha aur dusra yahudi tha , Mualman ne kaha us RAB ki kasam jisne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ko sare jahan par barguzida kiya hai , Yahudi ne kaha ki us RAB ki kasam jisne Musa Alaihi salam ko sare jahan par barguzida kiya hai , rawi ne kaha ki musalman yahudi ki baat sunkar khafa ho gaya aur uske munh par ek tamancha maar diya.
Yahudi Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke pass gaya aur sara waqiya arz kiya , phir Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Musa alaihi salam par mujhko fazilat na do kyunki Qaymata ke din soor phunkte hi sab behosh ho jayenge aur main sabse pahla shaks hunga jisko hosh aayega aur main dekhunga ki Musa alaihi salam Arsh ilahi ka kona thame huye hain mujhe ye nahi malum ki Musa alaihi salam un logo mein they jo behosh huye ya phir mujhse pahle hosh mein aaye ya phir Allah subhanahu ne unko behosh nahi hone diya
Sahih Bukhari, Vol 8, 6517

Al Quran : Rasool (Sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi. Sab imaan rakhte hain Allah par aur aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , ( aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285

------------------------------------------------


Hadith: Narrated Abu Huraira Radhi allahu anhu :
Two men, a Muslim and a Jew, abused each other. The Muslim said, "By Him Who gave superiority to Muhammad over all the people." On that, the Jew said, "By Him Who gave superiority to Moses over all the people." The Muslim became furious at that and slapped the Jew in the face. The Jew went to Allah's Messenger (sallallahu alaihi wasallam ) and informed him of what had happened between him and the Muslim.

Allah's Apostle sallallahu alaihi wasallam said, "Don't give me superiority over Moses, for the people will fall unconscious on the Day of Resurrection and I will be the first to gain consciousness, and behold ! Moses will be there holding the side of Allah's Throne. I will not know whether Moses has been among those people who have become unconscious and then has regained consciousness before me, or has been among those exempted by Allah from falling unconscious."
Sahih Bukhari, Vol. 8, Book 76, Hadith 524


Al Quran: The Messenger (Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels, His Books, and His Messengers. (They say), "We make no distinction between one another of His Messengers" - and they say, "We hear, and we obey. (We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all)."
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 285

Friday, September 4, 2015

Hadith: Beshak usne apna imaan mukammal kar liya

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Beshak usne apna imaan mukammal kar liya

Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshak usnee apna imaan mukammal kar liya
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1254 -Sahih
------------------


Narrated Abu Umama Radi Allahu Anhu  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said: If anyone loves for Allah's sake, hates for Allah's sake, gives for Allah's sake and withholds for Allah's sake, he will have perfect faith.
Sunan Abu Dawud,
Book 41, Hadith 4664-Sahih

Monday, May 18, 2015

Hadith: 3 baatein jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: 3 baatein jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega

Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya 3 baatein aisee hain jismein payee gayee wo Imaan ki mithas pa lega ,Awwal ye ki ALLAH aur uske Rasool Sal-Allahu Alaihi Wasallam  use sabse ziyada aziz ho, dusra ye ki wo kisi shaksh se muhabbat sirf ALLAH ke liye karey, teesra ye ki use kufr ki taraf laut jana itna nagawar ho jaisa ki aag mein phenk diya jana
Sahih Bukhari, Vol8, 6941
---------------------------------------------------------

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle said, "Whoever possesses the (following) three qualities will have the sweetness of faith (1): The one to whom ALLAH and His Apostle becomes dearer than anything else; (2) Who loves a person and he loves him only for ALLAH's Sake; (3) who hates to revert to atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the Fire."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 85, Number 74

Sunday, December 28, 2014

Mafhum-e-Hadith: Musalman ko ko Kaafir ya Fasiq na kaho


Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Musalman ko ko Kaafir ya Fasiq na kaho

Abu Dhar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahe aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahne wala kaafir ya fasiq ho jayega
Sahih Bukhari, Vol 7, 6045

Hazrat Abdullah bin umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki jis shaksh ne bhi apne bhai (yani musalman) ko ye kaha ki Eh kaafir to un dono mein se ek kaafir ho gaya.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6104


------------------------------------

Narrated Abu Dhar Radhi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, "If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq') or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him ( to the accuser) if his companion (the accused) is innocent."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 71:

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, 'If anyone says to his brother, 'O misbeliever! Then surely, one of them such."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 125m:

Tuesday, April 29, 2014

Mafhum-e-Hadith: Imaan wala hone ke liye Chaar cheezon par Imaan lana jaruri hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Imaan wala hone ke liye Chaar cheezon par Imaan lana jaruri hai


Hazrat Ali Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya banda tab tak imaan wala nahi ho sakta jab tak wo chaar cheezon par imaan na le aaye ALLAH wahdahu la-sharik par, ( yani ALLAH ek hai aur uskey siwa koi maabud nahi), mere Rasool hone par, maut ke baad zinda hone par aur taqdeer par
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  81-Sahih

Narrated Ali may ALLAH be pleased with him  The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'No slave truly believes until he believes in four things: in ALLAH alone with no partner; that I am the Messenger of ALLAH; in the resurrection after death; and in the Divine Decree (Qadar).
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #  81-Sahih

Mafhum-e-Hadith: Allah farmayega usko bhi jahannam se nikal lo jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Mafhum-e-Hadith: Allah farmayega usko bhi jahannam se  nikal lo  jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

 Abu Saeed Khudri Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jab Allah momeen ko Aag se khulasi ( nijat) de dega aur wo mutmaeen ho jayengey to tum mein se koi duniya mein is tarah apney saathi ke liye nahi jhagda hoga jis tarah momeen apney RAB se apney bhaeeyon ke liye jhagda karengey jo aag mein dakhil kiye ja chukey hain (wo kahngey) hamarey bhai hamarey saath Namaz parhtey they , Roza rakhtey they, Hajj kartey they aapney unko jahannam mein kyu dakhil  kiya, Allah taala farmayega jao aur jinko tum unmein se pahchantey ho nikal lo wo unkey pass aayngey aur unko unki shaklo se pahchan lengey , Aag ne unke chehro ko nahi jhulsaya hoga ,kuch unmein se wo hongey jinhey aag ne aadhi pindali tak pakad rakha hoga , kuch aisey hongey jinhey ghutno tak pakad rakha hoga wo momeen unko nikal lengey wo kahngey ki eh hamrey RAB humney unko nikal liya jinka tuney hukm diya tha. Phir Allah taala farmayega usko bhi nikal lo jiskey dil mein deenar ke wazan ke barabar Imaan ho phir farmayega usko bhi nikal lo jiskey dil mein aadhey deenar ke wazan ke barabar  iman ho, phir farmayega usko bhi nikal lo  jiskey dil mein Rayee ke daaney ke barabar imaan ho

Abu saeed Radi-Allahu-Anhu  ne kaha ki  jo usko sach na maaney wo Quran ki ye aayat parh le ki “Allah kisi par ek zarra barabar bhi Haq talfi nahi karta aur agar neki ho to usko duguna kar deta hai aur apney pass se bada sawab deta hai-4:40

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 60 (Sahih)

-------------------------------------------------------------------------
 
Narrated Abu Said Al-Khudri  The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: 'When ALLAH has saved the believers from Hell and they are safe, none of you will dispute with his companion more vehemently for some right of his in this world than the believers will dispute with their Lord on behalf of their brothers in faith who have entered Hell. They will say, “Our Lord! They are our brothers, they used to pray with us, fast with us and perform Hajj with us, and you have admitted them to Hell.” He will say: “Go and bring forth those whom you recognize among them.” So they will come to them, and they will recognize them by their faces. The Fire will not consume their faces, although there will be some whom the Fire will seize halfway up their shins, and others whom it will seize up to their ankles. They will bring them forth, and will say, “Our Lord, we have brought forth those whom You commanded us to bring forth.” Then He will say: “Bring forth those who have a Dinar's weight of faith in their hearts, then those who have a half a Dinar's weight of faith in their hearts, then those who have a mustard-seed's weight ( of faith in their heart).”

Abu Sa'eed  Radi-Allahu-Anhu  said: “He who does not believe this, let him recite: 'Surely, ALLAH wrongs not even of the weight of an atom (or a small ant), but if there is any good (done), He doubles it, and gives from Him a great reward.'”(4:40)

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 60 (Sahih)

Wednesday, April 17, 2013

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Qabr mein honey wala ek sawal,Tu inkey (Rasoollallah Sallalllahu Alaihi wasallam ke) baarey kein kya kaha karta tha ?

Anas bin malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallaho Alaihi wasallam ne farmaya banda jab apni Qabr mein rakha jata hai aur uskey saathi jab peeth mod kar jatey hain to wo unki jutiyon ki aawaz sunta hai phir do farishtey uskey paas aatey hain usko bithatey hain aur us sey kahtey hain tu in shaksh ke baarey mein kya kaha karta tha( yani Muhammed Sallallahu alaihi wasallam ke baarey mein) momeen kahta hai Main gawahi deta hun ki wo Allah ke bandey hain aur uskey Rasool hain, Allah taala un par apni Rahmat aur salam bhejey, us sey kaha jata hai ki tu apna (pichla) thikana dekh jahannam mein , Allah taala ne iskey badley tujhe jannat mein thikana diya, Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo apney dono thikaney dekhta hai, Qatada ne kaha Anas ne humse zikr kiya ki uski Qabr 70 haath chodi ho jati hai aur sabzey se bhar jati hai (yani bageecha ban jata hai) Qayamat tak. 
Sahih Muslim , Vol6, 7216 
--------------------------------
English Translation:
Anas b. Malik Radi allahu anhu reported Allah's Apostle (may peace be upon him) said: When the servant is placed in his grave and his companions retrace their steps arid he hears the noise of the footsteps, then two angels come to him and make him sit and say to him: What you have to say about this person (Prophet Peace be upon him)? If he is the believer, it would say: I bear testimony to the fact that he is a servant of Allah and His Messenger. Then it would be said to him: Look to your (previous) seat in the Hell- Fire, for Allah has substituted (the seat of yours) with a seat in Paradise. Allah's Messenger (may peace be upon him) said: He would be shown both the seats. Qatada said: It was mentioned to us that his grave (the grave of a believer) expands to seventy cubits and is full with verdure until the Day when they would be resurrected. 
Sahih Muslim, Book 040, Number 6862:

Sunday, April 7, 2013

Hadith: Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai



Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ( Qayamat ke kareeb) Imaan madiney mein simat kar is tarah aa jayega jaisey saanp simat kar apney bill mein aa jata hai
Sahih Bukhari,  Vol 3, 1876


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle said, "Verily, Belief returns and goes back to Medina as a snake returns and goes back to its hole (when in danger)."

Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 100

Tuesday, December 25, 2012

Al Quran : Beshaq jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Beshaq Jo log kaafir hain , Ahla-e-kitaab (mein se)  aur  mushrik wo dojakh ki Aag mein parey rahngey (aur) hamesha usmein rahngey , Ye log sab makhluq se badtar hain

Beshaq  jo log imaan laye aur neik kaam kartey rahey wo tamam makhluq se behtar hain
Al  Quran , Surah bayyina(98), verse 6-7
--------------------------------------------
Verily, those who disbelieve (in the religion of Islam, the Qur an and Prophet Muhammad  Sallallahu Alaihi Wasallam ) from among the people of the Scripture (Jews and Christians) and Al-Mushrikun will abide in the Fire of Hell. They are the worst of creatures
Verily, those who believe  and do righteous good deeds, they are the best of creatures.
Al  Quran , Surah bayyina(98), verse 6-7

Sunday, December 9, 2012

Hadith: Haya (Sharam) bhi imaan ka hissa hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Haya (Sharam) bhi imaan ka hissa hai

 Salim Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne ek shaksh ko suna wo apney bhai ko Haya ki naseehat kar raha tha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haya bhi imaan ka hissa haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , # 58 (Sahih)

--------------------------------------------
Narrated Salim Radi Allahu Anhu  that his father said: “The Prophet Peace be upon him heard a man urging his brother to be modest. He said: 'Indeed, modesty is a branch of faith.'” 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 58 (Sahih)

Thursday, October 18, 2012

Mafhum-e-Hadith: Sabse Afzal Amal Allah aur uskey Rasool par Imaan lana


 Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Mafhum-e-Hadith: Sabse Afzal Amal Allah aur uskey Rasool par Imaan lana

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana, kaha gaya uskey baad kaunsa ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ALlah ki raah mein Jihad karna kaha gaya phir  kya hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabroor
Sahih Bukhari,  Vol2, 1519
----------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  was asked, "Which is the best deed?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To believe in Allah and His Apostle." then asked, "Which is the next (in goodness)?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said, "To participate in Jihad in Allah's Cause." then asked, "Which is the next?" He Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "To perform Hajj-Mabrur. "
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 594: 

Sunday, October 7, 2012

Mafhum-e-hadith: jismein ye 3 khaslatein (baatein) paida ho jaye usney Imaan ki mithas ko pa liya


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: jismein ye 3 khaslatein (baatein) paida ho jaye usney Imaan ki mithas ko pa liya


Hazrat Anas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 3 khaslatein (Qualities) aisee hain ki jismein ye paida ho jaye usney Imaan ki mithas ko pa liya:

Awwal ye ki  Allah aur uska Rasool uske nazdeek sabse Jiyada mehboob ban jaye,  dusra ye ki   kisi insaan se sirf Allah ki Raza ke liye mohabbat kare, teesra ye ki wo kufr mein wapas lautney ko aisa bura janey jaisa ki aag mein daley jenny ko bura samajhta hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan  No. 21

--------------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith:

1. The one to whom Allah and His Apostle becomes dearer than anything else.
2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake.3. Who hates to revert to Atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 15

Tamam logon mein sabse ziyada Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se Muhabbat


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Mafhum-e-Hadith: Tamam logon mein sabse ziyada Rasoollallah  Sallallahu Alaihi Wasallam se Muhabbat 

Hazart Anas Radiallahu anhu se riyayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak uskey walid aur uski aulad aur tamam logo se jiyada uskey dil mein meri mohabbat na ho jaye
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan , 14
-------------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "None of you will have faith till he loves me more than his father, his children and all mankind."
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No. 14


Hadith: tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apney bhai ke liye wohi pasand na karey jo apney aap ke liye karta hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apney bhai ke liye wohi pasand na karey jo apney aap ke liye karta hai

Hazrat Anas  Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se koi shaksh Imaan wala nahi hoga jab tak apney bhai ke liye wohi pasand na karey jo apney aap ke liye karta hai
Sahih Bukhari, Iman ka Bayan ,13
--------------------------------------------------------------------
Narrated Anas Radiallahu anhu :The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself." 
Sahih Bukhari , Vol 1, Book 2, No.  13

Tuesday, October 2, 2012

Mafhum-e-Hadith :Takleef dene wali cheez ko raastey se hata dena bhi Imaan ka hissa hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim


Mafhum-e-Hadith :Takleef dene wali cheez ko raastey se hata dena bhi Imaan ka hissa hai

Hazrat
  Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya  imaan ki 60 se kuch upar ya 70 hissey (baab) hain  jismein sabse kaam takleef dene wali cheez ko raastey se hata dena hai aur sabse ziyada LA iLAHA iLLALLAH kahna hai aur haya bhi IMaan ka hissa hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 57 (Sahih)
-----------------------------------------------------------

Narrated Abu Hurairah Radi Allahu Anhu
   The Messenger of ALLAH Peace be upon him said: Faith has sixty-some or seventy parts, the least of which is to remove a harmful thing from the road and the greatest of which is to say La illaha illallah (none has the right to be worshipped but ALLAH)  And modesty is a branch of faith.Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 57  (Sahih)

Monday, September 24, 2012

Hadith: kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana

Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi 
wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana, kaha gaya uskey baad kaunsa ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ki raah mein Jihad karna kaha gaya phir
 kya hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabroor
Sahih Bukhari, Vol1, 26
--------------------------------
Narrated Abu Huraira  Radi Allahu Anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam was asked, "What is the best deed?" He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "To believe in Allah and His Apostle (Muhammad). The questioner then asked, "What is the next  He replied, "To participate in Jihad in Allah's Cause." The questioner again asked, "What is the next ?" He replied, "To perform Hajj 'MubrurSahih Bukhari  Volume 1, Book 2, Number 26: 

Hadith: 3 khaslatein (aadatein) aisee hai ki jismein ya paida ho jaye usney Imaaan ki mithas ko pa liya



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

 Hadith: 3 khaslatein (aadatein) aisee hai ki jismein ya paida ho jaye usney Imaaan ki mithas ko pa liya

Anas radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya 3 khaslatein (aadatein) aisee hai ki jismein ya paida ho jaye usney Imaaan ki mithas ko pa liya, awwal ye ki Allah aur uska Rasool uskey nazdeek sabse ziyada mehboob ban jaye dusrey ye ki wo kisi insaan se sirf Alllah ki Raza ke liye Muhabbat rakhey, teesrey ye ki wo Kufr mein wapas lautney ko aisa bura jaaney jaisa ki 
Aag mein daley jaaney ko bura janta hai
Sahih Bukhari,  Vol1, 16

-------------------------------------------------

Narrated Anas Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith:
1. The one to whom Allah and His Apostle becomes dearer than anything else
2. Who loves a person and he loves him only for Allah's sake.
3. Who hates to revert to Atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, No. 16

Hadith: Tum mein se koi bhi Imaan wala na hoga jab tak Main uskey walid aur Aulad se bhi ziyada uska mehboob na ban jauu



Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Tum mein se koi bhi Imaan wala na hoga jab tak Main uskey walid aur Aulad se bhi ziyada uska mehboob na ban jauu

Abu hurarirah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qasam hai us zaat ki jiskey haath mein meri jaan hai tum mein se koi bhi Imaan wala na hoga jab tak Main uskey walid aur Aulad se bhi ziyada uska mehboob na ban jauu
Sahih Bukhari, Vol1, 14.

--------------------------------------------------
Hadith: None of you will have faith till he loves me more than his father and his children

Narrated Abu Hurair Radi Allahu Anhu: "Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "By Him in Whose Hands my life is, none of you will have faith till he loves me more than his father and his children.
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, Number 14

Total Pageviews