Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Fitney-Fasad(Affliction and trial). Show all posts
Showing posts with label Fitney-Fasad(Affliction and trial). Show all posts

Thursday, April 2, 2020

Hadith : Fasad aur fitno ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise meri taraf Hijrat karne ka



*Bismillahirahmanirraheem*

✦ *Hadith : Fasad aur fitno ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise meri taraf Hijrat karne ka*
----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Fasad aur fitno ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise meri taraf Hijrat karne ka
Sahih Muslim, 7400 
----
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا فساد اور فتنہ  کے وقت عبادت  کرنے کا ثواب ایسا ہے جیسے میری طرف ہجرت کرنے کا 
صحیح مسلم ٧٤٠٠ 
----
✦  रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया फसाद और फ़ितनों के वक़्त ईबादत करने का सवाब ऐसा है जैसे मेरी तरफ हिजरत करने का 
सही मुस्लिम  7400 
----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said Worshiping during the period of widespread turmoil is like emigration towards me
Sahih Muslim, Book 41, 7042

Tuesday, June 9, 2015

adith: Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab take ki ek shaksh dusre ki Qabr ke pass se guzre aur kahe ki kaash main bhi isi jagah mein hota

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab take ki ek  shaksh dusre ki Qabr ke pass se guzre aur kahe ki kaash main bhi isi jagah mein hota

Hadith: Abu Hurairah Radi allahu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam nahi hogi jab take ki ek  shaksh dusre ki Qabr ke pass se guzre aur kahe ki kaash main bhi isi jagah mein hota
Sahih Bukhari, Vol 8, 71
अबु हुरैराह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सल्ललाहु अलैहि वस्सलम ने फ़रमाया क़यामत उस वक़्त क़ायम नहीं होगी जब तक के एक शख्स दूसरे की क़ब्र के पास से गुज़रे और कहे की काश मैं भी इसी जगह में होता।
सही बुखारी , जिल्द 8 ,हदीस 71

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu  The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The Hour will not be established till a man passes by a grave of somebody and says, 'Would that I were in his place.' "
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 231

Monday, May 18, 2015

Hadith: Anqareeb aise fitne barpa honge jis waqt baithne wala khade hone wale se behtar hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Anqareeb aise fitne barpa honge jis waqt baithne wala khade hone wale se behtar hoga


Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Anqareeb aise fitne barpa honge jis waqt baithne wala khade hone wale se behtar hoga aur khada hone wala unmein se chalne wale se behtar hoga aur chalne wala unmein dodne wale se behtar hoga jo dur se unmein jhaank kar bhi dekhega to wo unko bhi samet lenge us waqt jis kisi ko koi panah ki jagah mil jaye ya bachne ka muqam mil jaye to usmein chala jaye
Sahih Bukhari, Vol8, 7081
-------------------------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "There will be afflictions (in the near future) during which a sitting person will be better than a standing one, and the standing one will be better than the walking one, and the walking one will be better than the running one, and whoever will expose himself to these afflictions, the will destroy him. So whoever can find a place of protection or refuge from them, should take shelter in it." 

Hadith: Wo (Fitne) baarish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo (Fitne)  baarish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain


Ma'qil bin Yasar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Fasaad aur fitne ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise mere paaas(meri taraf) Hijrat karne ka. 
Sahih Muslim, 7400 


Usama bin Zaid Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya main fitno ko dekhta hu ki wo baarish ke qatron ki tarah tumhare gharon mein dakhil ho rahe hain
Sahih Bukhari, 7060


اللَّهُمَّ  إِنِّي  َأَعُوذ بِك مِنْ فِتْنَة الْمَحْيَا وَالْمَمَات
“Allahumma inni Awuzubika min fitnatil mahya wal mamaat”

Ya ALLAH main teri panaah chahta hu Zindagi aur maut ke fitno se.

----------------------------------------------------------------------------------

Ma'qil bin Yasar Radhi Allahu Anhu reported ALLAH's Apostle (may peace be upon him) as saying: Worshiping during the period of widespread turmoil is like emigration towards me. 
Sahih Muslim, Book 041, Number 7042


Narrated Usama bin Zaid Radhi Allahu Anhu  the Prophet Peace be upon said,
"I see afflictions falling among your houses as rain drops fall." 


اللَّهُمَّ  إِنِّي  َأَعُوذ بِك مِنْ فِتْنَة الْمَحْيَا وَالْمَمَات

Oh ALLAH I seek refuge you from the trial of life and death

Monday, September 15, 2014

Hadith: jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagenge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagenge

Anas Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya ki Qayamat ki nishaniyon mein se ye bhi hai ki Quran aur Hadith ka ilm utha liya jayega aur jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagengey, mard kam ho jayenge aur aurton ki taadad ziyada ho jayegi, Haalat ye ho jayegi ki 50 aurton ko sanbhalne
( khabar lene) wala ek mard hoga

( Ulma kahte hain ki aksar mard shaheed ho jayenge ya mar jayenge aur unke ghar ke members ki kifayat karne wala koi na hoga to ek mard apne tamam rishte daro ke liye kamayega jismein khala,chachi, bahan aur dusri sari rishte wali aurtein shamil hogi)

Sahih Bukhari, Vol 6, 5231

-------------------------------------------------------------
Narrated Anas: Radi AllahuAnhu  I heard from ALLAH's Apostle and none other than I will tell you of it. I heard ALLAH's Apostle saying, "From among the portents of the Hour are the following: Religious knowledge will be taken away; General ignorance (in religious matters) will increase; illegal Sexual intercourse will prevail: Drinking of alcoholic drinks will prevail. Men will decrease in No., and women will increase in No., so much so that fifty women will be looked after by one man."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 158:

Wednesday, August 27, 2014

Hadith: Aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi

Usama bin zaid radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam
 Ne farmaya mainey apney baad mardon ke liye aurton ke fitnon se bada nuksaan dene wala aur koi fitna nahi chora hai.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5096

---------------------------------------
Narrated Usama bin Zaid Radi AllahuAnhu: The Prophet SallallahuAlaihi wasallam said,
 "After me I have not left any affliction more harmful to men than women.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 62, No. 33: 

Thursday, August 21, 2014

Hadith: Ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi


Abu Said khudri Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek zamana aayega jab musalman ka sabse umda maal uski bakriyan hongi jinhe wo pahaad ki chotiyon aur baarish ki waadiyon mein le kar chala jayega taki us tarah apne deen aur iman ko fitno se bacha le.
Sahih Bukhari,
Vol 4,3300
------------------------------------------------------


Narrated Abu Said al-Khudri Radiallahu anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, There will come a time when the best property of a man will be sheep which he will graze on the tops of mountains and the places where rain falls (i.e. pastures) escaping to protect his religion from afflictions.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 519

Tuesday, April 29, 2014

Haidth: Aakhir Zamane mein kuch log niklege jo Naujawan honge , Bewakoof honge

Bismillahirrahmanirrahim

Haidth:  Aakhir Zamane mein kuch log niklege  jo Naujawan hongey , Bewakoof honge

Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne  farmaya Aakhir Zamaney mein kuch log niklegey jo Naujawan hongey , Bewakoof hongey, logon mein sabse behatreen baatein karengey , Quran parhengey jo unkey halaq se neechey nahi utrega, Islam se is tarah Be Faiz rah jayengey jis tarah Teer shikar se Be Nishaan ghuzar jata hai jo unsey miley unse Qital karey kyunki unko Qatl karna ALLAH ke nazdeek Ajar ka kaam haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , #  168 –Sahih


Abu Saeed Khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki mainey Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   ko aisee Qaum ka Zikr karte huye suna jo khub ibadat karengey , tum mein se har koi Apni namaz ko Unki namaz se kamtar janega, aur Apney Rozey ko unkey Rozey se kamtar janega wo Deen se is tarah Befaiz rah jayengey jis tarah Teer shikar mein se BE Nishaan guzar jata haiSunan Ibn Majah, Vol 1 , # 169-Sahih

-----------------------------------

“The Messenger of Allah (saw) said: 'At the end of time there will appear a people with new teeth (i.e., young in age), with foolish minds. They will speak the best words ever uttered by mankind and they will recite the Qur'an, but it will not go any deeper than their collarbones. They will pass through Islam like an arrow passes through its target. Whoever meets them, let him kill them, for killing them will bring a reward from Allah for those who kill them.”
Sunan Ibn Majah, Vol 1 ,  168 –Sahih

Narrated  Abu Salamah may ALLAH be pleased with him  “I said to Abu Saeed Khudri: 'Did you hear the Messenger of Allah (saw) mention anything about the Haruriyyah (a sect of Khawarij?' He said: 'I heard him mention a people who would appear to be devoted worshippers: “Such that any one of you would regard his own prayer and fasting as insignificant when compared to theirs. But they will pass through Islam like an arrow passing through its target, then he (the archer) picks up his arrow and looks at its Iron head but does not see anything, then he looks at the shaft and does not see anything then he looks at the band: that which is wrapped around the Iron head where it is connected to the shaft, then he looks at the feather and is not sure whether he sees anything or not
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , 169-Sahih

Thursday, November 7, 2013

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: jo Surah kahaf ki shuru ki 10 aayatein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega

Abu Darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo Surah Al-kahaf ki shuru ki 10 aaytein yaad kar le wo Dajjal ke fitney se bach jayega
Sahih Muslim, Vol 1, 1883
-----------------------------------------
Abu Darda Radi Allahu Anhu reported The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam Said
If anyone learns by heart the first ten verses of the Surah al-Kahf, he will be protected from the Dajjal.
Sahih Muslim, Book 6, Hadith 311

Thursday, October 4, 2012

Hadith: Aurton se bacho isliye ki Awwal fitna banee israeel ka aurton se shuru hua.


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Aurton se bacho isliye ki Awwal fitna banee israeel ka aurton se shuru hua.

Abu Saeed khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallho alaihi wasallam ne farmaya Duniya Sheeree aur sabz hai , Allah taala tumko haakim karney wala hai duniya mein phir dekhega tum kaisey amal kartey ho to bacho duniya se ( yani aisee duniya se bacho jo Allah taala se ghafil kar de)  aur aurton se bacho isliye ki Awwal fitna banee israeel ka aurton se shuru hua.
Sahih Muslim , Vol6, 6948
 ----------------------------------------------------------------
Abu Sa'id Khudri reported that Allah's Messenger (may peace be upon him) said: The world is sweet and green (alluring) and verily Allah is going to install you as vicegerent in it in order to see how you act. So avoid the allurement of world and avoid the allurement of women: verily, the first trial for the people of Israeell was caused by women.
Sahih Muslim Book 036, Number 6606

Hadith: wahan (najd mein) to zalzaley aur fitney hongey aur Shaitan ka sing wohi se tulu hoga


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith:Najd mein zalzaley aur fitney hongey aur Shaitan ka sing wohi se tulu hoga

 Abdullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Allah Shaam aur Yemen par barkat nazil farma, is par logon ne kaha ki hamarey Najd ke liye bhi barkat ki Dua kar dijiye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne phir wohi farmaya Eh Allah mulk-e-Shaam aur yemen par barkat nazil farma, is par logon ne kaha ki hamarey Najd mein ? to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya wahan to zalzaley aur fitney hongey aur Shaitan ka sing wohi se tulu hoga
Sahih Bukhari, Vol 8, 7094
Sahih Bukhari, Vol2, 1037
-----------------------------------------------------------------------------------------
Hadith: In Najd there will be appear earthquakes and afflictions..

Narrated Ibn 'Umar Radi Allahu Anhu  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "O Allah! Bestow Your blessings on our Sham! O Allah! Bestow Your blessings on our Yemen." The People said, "And also on our Najd." He said, "O Allah! Bestow Your blessings on our Sham (north)! O Allah! Bestow Your blessings on our Yemen." The people said, "O Allah's Apostle! And also on our Najd." I think the third time the Prophet said, "There (in Najd) is the place of earthquakes and afflictions and from there comes out the side of the head of Satan."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 88, Number 214

(Note: Currently Shaam belong to Syria, Lebanon,Jordan etc. and  Najd belong to Iraq )

Hadith: Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Hadith: Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl


Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qayamat us waqt tak na aayegi jab tak ilm-e-deen utha na liya jaye aur zalzalon ki kasrat na ho jaye aur Waqt jaldi jaldi guzarney na lag jaye aur Fitney fasaad aa jayengey, aur harj bad jayega harj yani Qatl, aur tumharey andar maal-wa-Daulat itni ziyada ho jayegi ki wo ubal Parhega (overflow)
Sahih Bukhari, Vol1, 1036


The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The Hour (Last Day) will not be established until (religious) knowledge will be taken away , earthquakes will be very frequent, time will pass quickly, afflictions (problem or trouble) will appear, murders will increase and money will overflow amongst you."
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 17, Number 146: 

Total Pageviews