Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 8, 2016

✦ Islamic Quiz-95✦


 Islamic Quiz-95

Sawal : Jab koi musalman ek neki krta hai to usko maximum kitni neki ka sawab milta hai ?
A. 7
B. 70
C. 700
D. 7000
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------
Quiz : If any muslim do a single good deeds, how many maximum good deeds written for him for this ?
A. 7
B. 70
C. 700
D. 7000
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab C
-----------------
Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki tum mein se koi shakhsh jab apney islam ko umdah bana le (yani Nifaq aur riya se paak kar le) to har neik kaam jo wo karta hai uskey ewaz 10 se lekar 700 guna tak nekiyan likhi jati hain aur har bura kaam jo wo karta hai wo utna hi likha jata hai ( jitna usney kiya)
 Sahih Bukhari , 42 

------------------------

Answer C – 700

Narrated Abu Huraira Radi Allaho Anho: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If any one of you improve (follows strictly) his Islamic religion then his good deeds will be rewarded ten times to seven hundred times for each good deed and a bad deed will be recorded as it is." 
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 2, Number 41 

✦ Islamic Quiz-94✦


 Islamic Quiz-94

Sawal: Salsabil kya hai ?
A. Jannat ka ek ghar (Home)
B. jannat ki hoor ( hoor)
C. Jannat ki ek machli (fish)
D. Jannat ka ek chasma (fountain)
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
-------
What is salsabil ?
A. A house in paradise
B. A Hoor of paradise
C. A fish of paradise
D. A fountain (spring) of paradise
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab D
---------------
Bismillahirrahmanirrahim

وَيُسْقَوْنَ فِيهَا كَأْسًا كَانَ مِزَاجُهَا زَنجَبِيلًا  

عَيْنًا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلْسَبِيلًا


Al Quran : Aur waha ( jannat mein) unko aisee sharab pilayee jayegi jismein sonth (adrak) ki aamazish hogi, wo waha ek chashma (fawwara) hai jiska naam salsabil hai 
Surah Al-insan (76) , Verse 17-18
-----------
Answer D

Al Quran: And they will be given to drink there of a cup (of wine) mixed with Zanjabil (ginger),[From] a fountain(spring)  within Paradise named Salsabeel.

Surah Al-insan (76) , Verse 17-18

✦ Islamic Quiz-93✦


 Islamic Quiz-93

Sawal: Jibril alaihi salam ke kitne par (wings) hain
A. 40
B. 600
C. 70
D. 200
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------
How many wings does Jibril alaihi salam has ?
A. 40
B. 600
C. 70
D. 200
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab  600

Ash-Shaibani radi allahu anhu ne kaha ki maine Zirr bin habish radi allahu anhu se Quran ki is aayat ke baare mein pucha jismein Allah ne farmaya 

"
فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى * فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى"
yani (un dono mein) do kamano ka faasla rah gaya ya us se bhi kam , phir Allah ne apne bande par wahi nazil farmayee aur jo kuch bhi nazil faramyee wo nazil farmayee
Surah An najam (50) , Aayat 10|

is pr Abdullah bin masood radi allahu anhu ne kaha ki Rasool-Allah salalalahu alaihi wasallam ne Jibril alaihi salam ko dekha tha jinke 600 par (wings) they
Sahi Bukhari, Vol 6, 4857
----------------
Correct Answer is B : 600


Narrated Ash-Shaibani radi allahu anhu:
I asked Zirr bin habish radi allahu anhu about the Statement of Allah: 
"
فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى * فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى"
And was at a distance of two bows' length or (even) nearer. So (Allah) revealed to His slave [Muhammad Sal-Alalhu alaihi wasallam through Jibril alaihi salam] whatever He revealed.
(Al Quran , 53: 10) 

Abdullah (bin Mas`ud) informed us that Muhammad al-Alalhu alaihi wasallam had seen Gabriel (Jibril alaihi salam) with six hundred wings."
Sahi Bukhair, Book 60, Hadith 380

✦ Islamic Quiz-92✦


 Islamic Quiz-92

Sawal: Surah fatiha mein Allah subhanahu ke kitne naam hain ( including Allah)

A. 3
B. 4
C. 5
D. 7
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------

Quiz: How many Allah's names are there in Surah Fatiha (includin Allah)

A. 3
B. 4
C. 5
D. 7
E. None of the above
F. I want to know

Correct Answer is 5


Allah, RAB, Ar-Rahman, Ar-Rahim, Malik

✦ Islamic Quiz-91✦

 Islamic Quiz-91

Sawal: Jo log Rasool-Allah sal-Allahu ke saath hain unki pahchan Quran mein kya batayee gayee hai ?

A. Wo Bait-ALlah ka hajj karte hain
B. Wo kafiro aur dushmano ke saath bhi raham dil hote hain
C. Wo Ramzan ke roze rakha karte hain
D. Wo kafiro par sakht aur aapas mein raham dil hain
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------

What  Quran said about the people who are with  Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam ?

A. Those perform Hajj of bait Allah
B. Those are merciful with disbelievers and enemies.
C. Those perform fasting of Ramzan
D. Those are severe against disbelievers, and merciful among themselves
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab D

Al Quran: Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam Allah ke Rasool hain aur jo log unke saath hain wo kuffar par sakht hain aur aapas mein raham dil hain,
tum unhe dekhoge ki ruku aur sujud kar rahein , Allah ka fazal aur khushnudi talash karte hain unki pahchan unke chehro par sajdo ke nishan hain
Surah Fath (48),  Aayat 29


Answer D

Al Quran: Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam  is the Messenger of Allah. And those who are with him are severe against disbelievers, and merciful among themselves. You see them bowing and falling down prostrate (in prayer), seeking Bounty from Allah and (His) Good Pleasure. The mark of them (i.e. of their Faith) is on their faces (foreheads) from the traces of prostration (during prayers).

✦ Islamic Quiz-90✦


 Islamic Quiz-90

Sawal: HAWIYAH kya hai ?
A. Dahakti huyee aag
B. Dozakh ka pool
C. Dozakhiyo ka khana
D. Qabr ka andhera
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------
Quiz : What is HAWIYAH ?
A. Fiercely blazing Fire
B. The bridge of Hell
C. The food for the people of Hell
D. The darkness of grave
E. None of the above
F. I want to know

Sahi jawab A

Al Quran: Khad khadaney wali, Khadkhadaney wali kya hai, Aur tum kya jano ki Khadkhadane wali kya hai 
Jis Din log aisey ho jayenge jaise bikhre huye patange, 
Aur pahaad aisey ho jayenge jaise dhunki huyee rang birangi oon
to jiske (Neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga 
Aur jiske (aamal ke) wajan halke honge , uska thikana haawiya hai
Aur tum kya samjhey ki HAWIYAH kya cheez hai, dahakti huyee aag hai
Al Quran , Surah Al Qaria (101)
-------------------------------------

Correct answer A

Al-Qariah (the striking Hour), What is the striking (Hour)?
And what will make you know what the striking (Hour) is?  
It is a Day whereon mankind will be like moths(insects) scattered about.
And the mountains will be like carded wool 
Then as for him whose balance (of good deeds) will be heavy,He will live a pleasant life (in Paradise). But as for him whose balance (of good deeds) will be light,  He will have his home in Hawiyah And what will make you know what it is?  (It is) a fiercely blazing Fire!

Al Quran , Surah Al Qaria (101)

✦ Islamic Quiz-89✦


 Islamic Quiz-89

Sawal: Sulaiman alaihi salam ke alawa aur kaunse Nabi Inmein se parindo ki boli jante they ?
A. Yaqub alaihi salm
B. Hood alaihi salam
C. Dawud alaihi salam
D. Aur koi nahi jaanta tha
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-------------------------
Quiz: Who else knows the languages of birds besides Sulaiman alaihi salam ?
A. Yaqub alaihi salm
B. Hood alaihi salam
C. Dawud alaihi salam
D. Nobody else knows
E. None of the above
F. I want to know


 Sahih Jawab  C

Al Quran : Aur humne Dawud alaihi salam aur Sulaiman alaihi salam ko ilm diya aur kahne lage Allah ka shukr hai jisne humen imaan wale bando par fazilat di, aur 
Sulaiman Alaihi Salam Dawud alaihi salam ke waris huye aur kahne lage ki eh logo humein parindo ki boli sikhayee gayee hain aur humko har tarah ke saaz aur 
saman diye gaye hain beshak ye sareeh fazilat hai
Surah An-Naml (27) , 15-16
----------------
Answer C


Al Quran : And indeed We gave knowledge to Dawud and Sulaiman (Solomon), and they both said: "All the praises and thanks be to Allah, Who has preferred 
us above many of His believing slaves!" And Sulaiman inherited (the knowledge of) Dawud . He said: "O mankind! We have been taught the language of 
birds, and on us have been bestowed all things. This, verily, is an evident grace (from Allah)."
Surah An-Naml (27) , 15-16

✦ Islamic Quiz-88✦


 Islamic Quiz-88

Sawal: Ismein se kaunsi aayatein Rasool-Allah Sa-Allahu alaihi wasallam ko Mairaj ke roz ata ki gayee ?
A. Aayat-Al-Kursi
B. Surah Baqarah ki aakhri aaytein
C. Surah Kahaf ki aakhri aayatein
D. Surah Fatiha ki sari aayatein
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------------------
Quiz: Which verses were given to Prophet Muhammed Sa-Allahu alaihi wasallam on the night of journey (Mairaj) ?
A. Aayat-Al-Kursi
B. The last verses of Surah Baqarah
C. The last verses pf Surah Kahaf
D. The All verses of Surah Fatiha
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab  B
Surah baqarah ki aakhri aayatein



Abdullah bin masood Radi allahuanhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ko Mairaj hua to Aap sidaratul muntaha tak pahunchey aur wo chatey (sixth) aasman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le 
liya jata hai Rasool-Allah SallallahuAlaihi wasallam ko wahan 3 cheezein di gayee 
Ek Paanch (5) namazein, 
dusra Surah Baqra ki Aakhri aaytein, 
Teesra Alllah subhanahu ne baksh diya Aap SallallahuAlaihi Wasallam ki ummat mein se har us shakhs ko jo Allah ke Saath Shirk nahi kare 
Sahih Muslim ,Vol1, 1 
-------------------------


Answer B
It is narrated on the authority of Abdullah bin masood that when the Messenger of Allah (may peace be upon him) was taken for the Night journey, he was taken 
to Sidrat-ul-Muntaha, which is situated on the sixth heaven, where terminates everythingthatascendsfromtheearth and is held there, and where terminates every- 
thing that descends from above it and is held there
The Messenger of Allah (may peace be upon him) was given three (things): he was given five prayers, he was given the concluding verses of Sura al-Baqara, 
and remission of serious Sins for those among his Ummah who associate not anything with Allah 
Sahih Muslim, Book #001, Hadith #032

✦ Islamic Quiz-87✦


 Islamic Quiz-87

Sawal: Allah subhanahu ne ye kiske liye Quran mein ye farmaya hai ki

"jab tum unhe dekhoge to aisa lagega jaise bikhre huye moti hain"
A. Jannat ki Hoor
B. Jannat mein khidmat karne wale ladke
C. Jannat mein momeeno ka mahal
D. Janat mein rahne wale Shaheed
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

----------------
Quiz : For whom Allah subhanahu said in Quran ?

If you see them, you would think them scattered pearls.
A. The Hoor of jannah
B. The boys of jannah who will serve
C. The Palace of jannah for the believer
D. The Martyr who will live in jannah
E. None of the above
F. I want to know



Correct answer is B
------------------------------
Bismillahirrahmanirrahim 

عَيْنًا فِيهَا تُسَمَّىٰ سَلْسَبِيلًا

وَيَطُوفُ عَلَيْهِمْ وِلْدَانٌ مُّخَلَّدُونَ إِذَا رَأَيْتَهُمْ حَسِبْتَهُمْ لُؤْلُؤًا مَّنثُورًا

وَإِذَا رَأَيْتَ ثَمَّ رَأَيْتَ نَعِيمًا وَمُلْكًا كَبِيرًا

Al Quran : Jannat mein ek nahar hai jiska naam salsabil hai, Aur uske pass (jannat mein ) mein ladke aate jaate honge jo hamesha (ek hi halat par) rahenge jab tum un par nigah daalo to khayal karoge ki jaise bikhre huye moti hain, aur jab tum waha (jannat mein) dekhoge to bahut zayada naimatein aur azeem saltanat dekhoge 
Surah Al insan (76) , Verse 18-20
---------------------
Al Quran : A spring there, called Salsabil.And round about them will (serve) boys of everlasting youth. If you see them, you would think them scattered pearls. And when you look there (in Paradise), you will see a delight (that cannot be imagined), and a great dominion.
Surah Al insan (76) , Verse 18-20

✦ Islamic Quiz-86✦


 Islamic Quiz-86

Sawal: Durud e ibrahim mein Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ka naam kitni baar aaya hai ?

A. 5
B. 8
C. 2
D. 4
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
---------------
Quiz: How many times the name of prophet Muhammad (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) mentioned in Durud-e-ibrahim ?

A. 5
B. 8
C. 2
D. 4
E. None of the above
F. I want to know

Correct Answer is D 4 baar

اللــــــــهم صل على محمد وعلى آل محمد  كما صليت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم  إنك حميد مجيد
  .اللـــــــهم بارك على محمد وعلى آل محمد  كما باركت على إبراهيم وعلى آل إبراهيم إنك حميد مجيد

 Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid. 

Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.

✦ Islamic Quiz-85✦


 Islamic Quiz-85

Sawal: Wo kaunsa kaam hai jisko nahi  karne se Allah ka azab nazil hone ka andesha rahta aur dua maagne par dua bhi Qubul nahi hoti ?
A. Achchi baat ki hidayat aur bure kaam se na rokne se
B. Zalimo ke khilaf Maidan e jung mein na nikale se
C. Namaz jamaat se na padhne se
D. Bewao aur miskeeno ki madad nahi karne se
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

--------------------
Quiz: There is a good deed , if a person don't do it Allah may send his punishment and will also not respond to the supplication, What is that deed ?
A. Command good and forbid evil
B. Fight against oppressive in battle field
C. Praying with congregation
D. Help to Widow and Poor
E. None of the above
F. I want to know


Sahih jawab  A

Hudhaifah bint Al-Yaman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us ALLAH ki qasam jiske haath mein meri jaan hai Logo ko achchi baat ki hidayat karte raho aur bure kaam se rokte rahowarna Qareeb hai ki ALLAh subhanahu tum logo par azab bhej de aur tum duaayein mango aur wo qubul na kare
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 42-Hasan
-----------------------
Correct Answer is A


Hudhaifah bint Al-Yaman Radi Allahu Anhu narrated that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: "By the One in Whose Hand is my soul! Either you command good and forbid evil, or Allah will soon send upon you a punishment from Him, then you will call upon Him, but He will not respond to you. "
Jamia Tirmidhi, Vol. 4, 2169-Hasan

✦ Islamic Quiz-84✦

  
 Islamic Quiz-84

Sawal: Ek Nabi jinhone ne ek kafir baadshah ko khul-e-aam ye kahkar challenge kiya tha ki 

"Beshak mera ALLAH wo hai jo Suraj ko mashrik (east) se nikalta hai tu use maghrib (paschim) se nikal kar bata "
Un Nabi ka kya Naam hai ?
A.Yaqub Alaihi salam
B. Isa alaihi salam
C.Ibrahim Alaihi salam
D.Musa alaihi salam
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------
Quiz : Once A Prophet gave open challenge to a kafir emperor by saying
Verily ! ALLAH brings the sun from the east; then bring it you from the west."
Who was that prophet ?
A.Yaqub Alaihi salam
B. Isa alaihi salam
C.Ibrahim Alaihi salam
D.Musa alaihi salam
E. None of the above
F. I want to know


Sahi jawab C:
--------------------------
Al Quran : Kya tumne us shaksh ko nahi dekha jisne Ibrahim (Alaihi salam) se uske RAB ke liye jhagda kiya kyunki ALLAH ne usko sultanut di thi, Jab Ibrahim(Alaihi salam) ne kaha ki Mera RAB wo hai jo zinda karta hai aur maarta hai usne kaha ki main bhi zinda karta hu aur maarta hun , Ibrahim (Alaihi salam) ne kaha ki Beshak ALLAH Suraj ko mashriq (purab) se nikalta hai tu usey maghrib (paschim) se le aa , tab wo kaafir hairan rah gaya aur ALLAH be insaafon ko seedhi Raah nahi dikhata.
Surah Al-Baqara, (2), Verse 258
-------------
Correct Answer is C:


Have you not looked at him who disputed with Ibrahim (alaihi salam) about his Lord (ALLAH), because ALLAH had given him the kingdom? When Ibrahim (alaihi salam) said (to him): "My Lord (ALLAH) is He Who gives life and causes death." He said, "I give life and cause death." Ibrahim (alaihi salam) said, "Verily! ALLAH brings the sun from the east; then bring it you from the west." So the disbeliever was utterly defeated. And ALLAH guides not the people, who are Zalimun (wrong-doers).
Al-Baqara, Chapter #2, Verse #258

✦ Islamic Quiz-83✦

 Islamic Quiz-83

Sawal: Ek baadshah kaaba sharif par apne haathiyo ke lashkar ke saath attack karne aaya tha aur Allah ne phir aasman se parinde bhej kar uske lashkar ko tabah kar diya , jiska zikr Surah feel mein kiya gaya , us baadshah ka kya naam tha ?
A. Firaun
B. Namrud
C. Qarun
D. Abraha
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------------
Quiz : Once a ruler came to destroy Kaaba with a large army and elephants , Allah sent birds from sky and they killed their whole army and thios event was mention in Surah feel , what was the name of that ruler ?
A. Firaun
B. Namrud
C. Qarun
D. Abraha
E. None of the above
F. I want to know



Correct Answer is D Abraha

Refrence Tafseer Surah Feel (105)
Urdu:
http://qurango.com/images/t5/692.jpg

✦ Islamic Quiz-82✦


 Islamic Quiz-82

Sawal : Quran ko sunkar ye kisne kaha ?
إِنَّا سَمِعْنَا قُرْآنًا عَجَبًا يَهْدِي إِلَى الرُّشْدِ فَآمَنَّا بِهِ ۖ وَلَن نُّشْرِكَ بِرَبِّنَا أَحَدًا
Humne ek ajeeb Quran suna , jo bhalayee ka raasta batata hai so hum us par imaan le aaye aur hum apne RAB ke saath kisi ko sharik nahi karenge
A. Kuffar e Makka ne
B. Farishto ki ek jamaat ne
C. Jinno ki ek jamaat ne
D. Parindo ke ek jhund ne
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

---------------------
Quiz : After listening Quran who said these ?
إِنَّا سَمِعْنَا قُرْآنًا عَجَبًا يَهْدِي إِلَى الرُّشْدِ فَآمَنَّا بِهِ ۖ وَلَن نُّشْرِكَ بِرَبِّنَا أَحَدًا
Verily, we have heard a wonderful Recitation (this Qur'an) , It guides to the Right Path, and we have believed therein, and we shall never join (in worship) anything with our Lord (Allah)
A. Disbelievers of Makka
B. A group of angels
C. A group of Jinn
D. A group of Birds
E. None of the above
F. I want to know




Sahi Jawab C

قُلْ أُوحِيَ إِلَيَّ أَنَّهُ اسْتَمَعَ نَفَرٌ مِّنَ الْجِنِّ فَقَالُوا إِنَّا سَمِعْنَا قُرْآنًا عَجَبًا
يَهْدِي إِلَى الرُّشْدِ فَآمَنَّا بِهِ ۖ وَلَن نُّشْرِكَ بِرَبِّنَا أَحَدًا

( Eh Muhammaed Sal-Alahu alaihi wasallam) kah do ki mere paas wahi aayee hai ki jinno ki ek jamaat ne (is Quran ko) suna to kahne lage ki humne ek ajeeb Quran suna , jo bhalayee ka raasta batata hai so hum us par imaan le aaye aur hum apne RAB ke saath kisi ko sharik nahi karenge 
Surah Jinn (72) Aayat 1-2
-------------------
Correct Answer is C


Say (O Muhammad Sal-Alahu alaihi wasallam): It has been revealed to me that a group (from three to ten in number) of jinn listened (to this Qur'an). They said: 'Verily, we have heard a wonderful Recitation (this Qur'an) , It guides to the Right Path, and we have believed therein, and we shall never join (in worship) anything with our Lord (Allah).
Surah Jinn (72) Aayat 1-2

✦ Islamic Quiz-81✦


 Islamic Quiz-81

Sawal: Wo kaunsi qaum thi jinhone Qayamat ko jhoothlaya to Allah subhaanhu ne ek haibatnak cheekh (aawaz) ke jariya unhe halaq kar diya ?
A. Qaum e Aad
B. Qaum e samud
C. Qaum e loot
D. Qaum e Nooh
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai

-----------------------------
Quiz : What is the name of that people who denied the Qayamah so they were destroyed by the awful cry ?
A. The people of Aad
B. The people of Thamud (samud)
C. The people of loot
D. The people of Nooh
E. None of the above
F. I want to know


Sahi ajwab B

Al Quran : Sach much hone wali ( yani qayamat) , wo sach much hone wali kya hai , aur tumko kya malum ki wo sach much hone wali (Qayamat) kya hai ,
Qaum e Samud aur aad ne us khadkhade wali (Qayamat) ko jhoothlaya tha , to samud ko sakht haibatnak cheekh se halaq kar diya gaya aur qaum e aad ko sakht aandhi se halaq kar diya gaya
Surah Haqqa (69) Verse 1-6

------------------

Correct answer is B

1. The Inevitable (the Day of Resurrection)!
2. What is the Inevitable?

3. And what will make you know what the Inevitable is?

4. Thamud and AAd people denied the Qari'ah (the striking Hour of Judgement)!

5. As for Thamud, they were destroyed by the awful cry!

6. And as for AAd, they were destroyed by a furious violent wind!

Surah Haqqa (69) Verse 1-6

Category

Total Pageviews