Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 8, 2016

✦ Islamic Quiz-58✦


 Islamic Quiz-58

Sawal: Wo Kaunse sahabai hain Jo Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallamn ki baargah mein Ashaar (Naat) padha karte they aur Aap unko dua diya karte they ?
A. Hasan bin Ali radi allahu anhu
B. Abu Bakr radi allahu anhu
C. Hassan bin Sabit radi allahu anhu
D. ye Islam mein jayaz nahi
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
----------------
Quiz: What is the name of that Sahabi, who used to read poetry (Nasheed) for prophet peace pe upon him and Prophet peace pe upon him used to give dua to him.
A. Hasan bin Ali radi allahu anhu
B. Abu Bakr radi allahu anhu
C. Hassan bin Thabit radi allahu anhu
D. This is not allowed in Islam
E. None of the above
F. I want to know




Sahi jawab C
---------------------
Aisha radi allahu anha se rivayat hai ki hassan bin thabit radi allahu anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se mushrikeen (Quraish) se ( Ashaar mein) bahas karne ki ejazat chahe to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki phir main bhi to unke ( Quresh ke) khandan se hu is par Hassan radi allahu anhu ne kaha ki main aapko ( Ashaar ke jariye) is tarah saaf nikal lunga jaise aate mein se baal nikal liya jata hai , , Hisham radi alalhu anhu ne apne walid se rivayat kiya ki jab main Hassan radi Allahu anhu ko Aisha rdi allahu anha lke samne bura kahne laga to unhone kaha ki inhe bura na kaho ye Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki taraf se madafiat kiya karte they ( yani unki shaaa mein ashaar padhte they)
Sahi Bukhari, 3531

Abdul rahman bin Auf se Radhi Allahu Anhu rivayat hai ki unhone Hassan bin Sabit ansari Radhi Allahu Anhu se suna wo Abu hurairah ko Gawaah bana kar kah rahe the ki EH Abu Huraira Main Aapko ALLAH ki kasam dekar puchta hu kya tumne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se suna hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh Hassan ALLAH ke Rasool ki taraf se Mushriko ko Jawab do Eh ALLAH Rooh al Quddus ke zariye unki madad kar, Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu ne farmaya HAAN
Sahih Bukhari, Vol 7, 6152

Ubai bin Ka'b Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kuch Asha’ar (Hamd or Naat) mein Danayee ( Wisdom) hoti hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6145
-----------------
Correct Answer is C: 

Narrated `Aisha radi allahu anha:
Once Hassan bin Thabit asked the permission of the Prophet (Peace be upon him) to lampoon (i.e. compose satirical poetry defaming) the infidels. The Prophet (Peace be upon him) said, "What about the fact that I have common descent with them?" Hassan replied, "I shall take you out of them as a hair is taken out of dough." Narrated `Urwa: I started abusing Hassan in front of `Aisha, whereupon she said. "Don't abuse him, for he used to defend the Prophet (with his poetry).
Sahih Bukhari, Book 56, Hadith 731

Narrated Abu Salama bin 'Abdur-Rahman bin 'Auf: that he heard hassan bin thabit Al-Ansari Radhi Allahu Anhu asking the witness of Abu Huraira, saying,
"O Abu- Huraira! I beseech you by ALLAH (to tell me). Did you hear ALLAH's Apostle Peace be upon him saying''O hassan ! Reply on behalf of ALLAH's Apostle. O ALLAH ! Support him (hassan) with the Holy Spirit (Gabriel).'?"
Abu Huraira Radhi Allahu Anhu said, "Yes."
Sahih Bukhari, Book 73, Hadith 173

Narrated Ubai bin Ka'b: ALLAH's Apostle Peace be upon him said, "Some poetry contains wisdom." 
Sahih Bukhari , Book #73, Hadith #166

Category

Total Pageviews