Search This Blog

Autoblog

Tuesday, November 8, 2016

✦ Islamic Quiz-72✦

 Islamic Quiz-72

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kiske liye ye farmaya tha ki unse sirf momeen hi muhabbat rakhega aur sirf munafiq hi bugz rakhega aur jo unse muhabbat kare to Allah us se Muhabbat karega aur jo unse bugz rakhe Allah unse bugz rakhega ?

A. Muhajiirin ( Jinhone Makka se madina Hijrat ki)
B. Ansar ( Jinhone madina mein Muhajirin ki madad ki thi)
C. Khulfa-e-Rashedin ( Abu bakr , Umar , Uthman and Ali Radi allahu anuma)
D. Ahl-e-bait
E. inmein se koi nahi
F. Sahi jawab ka intezar hai
--------------------------------
Quiz: For whom Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said that None loves them but a believer, and none hates them but a hypocrite. So Allah will love him who loves them, and He will hate him who hates them. ?

A. Muhajirin ( The one who migrant from makka to madina)
B. Ansar ( The one who help Muhajirin in madina)
C. Khulfa-e-Rashedin ( Abu bakr , Umar , Uthman and Ali Radi allahu anuma)
D. Ahl-e-bait
E. None of the above
F. I want to know

Sahi Jawab B : Ansar

Al-Bara Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Ansar se sirf momeen hi muhabbat rakhega aur sirf munafiq hi bugz rakhega aur jo shaksh inse (Ansar se) muhabbat kare to Allah us se Muhabbat karega aur jo unse bugz rakhe Allah unse bugz rakhega
Sahih Bukhari, 3783
--------------------------------
Correct Answer is B : Ansar

Narrated Al-Bara Radi Allahu Anhu :
I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said "None loves the Ansar but a believer, and none hates them but a hypocrite. So Allah will love him who loves them, and He will hate him who hates them."
Sahih Bukhari, Book 58, Hadith 127

Category

Total Pageviews