Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Bidat (innovation). Show all posts
Showing posts with label Bidat (innovation). Show all posts

Tuesday, September 2, 2025

Hadith : Allah subhanahu Bidat karne walo ki tauba Qubul nahi farmata

 *Bismillahirrahmanirraheem*

✦ :  *Hadith : Allah subhanahu Bidat karne walo ki tauba Qubul nahi farmata*

------------------

قالَ رَسُولَ اللّهِ ﷺ إِن الله احتجز التَّوْبَة عن صَاحب كُلِّ بِدْعَة

-------------

✦ : Anas Radi Allahu Anhu se  rivayat hai ki RasoolAllah Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ne her Bidati ki tauba se parda (hijab) kiya hua hai. (yani uski Tauba qubul nahi ki jati)

Al-Silsila-tus-Sahiha  #1620

----------

انس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا

اللہ سبحانہ و تعالیٰ نے ہر بدعتی کی توبہ سے پردہ (حجاب) کیا ہوا ہے۔ (یعنی اس کی توبہ قبول نہیں کی جاتی)

السلسلة الصحيحة  # 1620

----------

✦ :अनस रदी अल्लाहु अनहू से रिवायत है  रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुब्हानहु ने हर बिदअती की तौबा से पर्दा (हिजाब) किया हुआ है। (यानि उसकी तौबा क़बूल नहीं की जाती)

अल सिलसिला सहीहा # 1620

----------

✦ : Narrated by Anas radi allahu anhu that RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam said  Allah subhanahu has screened himself from the repentance of each innovator  (means their repentance will not be accepted)

Al-Silsila-tus-Sahiha  #1620

Sunday, November 3, 2019

✦: Mafhum e Hadith: Deen mein nayee cheezin Ejad karne walon ko hauz e kauther se dur kar diya jayega

*Bismillahirrahmanirraheem*

*✦: Mafhum e Hadith:  Deen mein nayee cheezin Ejad karne walon ko hauz e kauther se dur kar diya jayega*
---
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Mere kuch saathi mere hawz ( Al-kauther) par mere samne laye jaynge aur main unhey pahchaan  lunga lekin phir unko mere  samne se hata diya jayega, Main is par kahunga ki ye mere saathi  hain , lekin mujhse kaha jayega ki Aapko maalum nahi ki unhone Aap key baad kya kya nayee cheezin Ejad kar lee thi.
Sahih Bukhari , Jild 8, 6582
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  میرے کچھ ساتھی حوض پر میرے سامنے لائے جائیں گے اور میں انہیں پہچان لوں گا لیکن پھر وہ میرے سامنے سے ہٹادئیے جائیں گے ۔ میں اس پر کہوں گا کہ یہ تو میرے ساتھی ہیں ۔ لیکن مجھ سے کہا جائے گا کہ آپ کو معلوم نہیں کہ انہوں نے آپ کے بعد کیا کیا نئی چیزیں ایجاد کر لی تھیں
صحیح بخاری جلد ٨، ٢٥٨٢ 
---
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया मेरे कुछ साथी  हौज़ (अल-कौसर) पर मेरे सामने लाए जाएंगे और मैं उन्हें पहचान लूंगा लेकिन फिर वह मेरे सामने से हटा दिए जाएंगे। मैं इस पर कहूंगा कि यह तो मेरे साथी हैं। लेकिन मुझसे कहा जाएगा कि आप को मालूम नहीं कि उन्होने आप के बाद क्या क्या नई चीजें ईजाद कर ली थीं
सही बुखारी, जिल्द 2,  6582
---
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said, Some of my companions will come to me at my Lake Fount, and after I recognize them, they will then be taken away from me, whereupon I will say, 'My companions!' Then it will be said, 'You do not know what they innovated (new things) in the religion after you. 
Sahih Bukhari book 76 , 584
https://twitter.com/OnlyQuranHadith

Sunday, May 12, 2019

Hadith : jisne hamare Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to wo Qubul nahi kiya jayega



Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : jisne hamare Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to wo Qubul nahi kiya jayega
-----------------


Ibn Umar Radi Allahu ke pass ek shakhs ko cheenk aayee to usne kaha Alhamdulillah Wa As salamu Ala Rasool-Allah , Ibn Umar radi allahu anhu ne us se kaha cheenk aane par Alhamdulillah Wa As salamu Ala Rasool-Allah main bhi 

kah sakta hu magar Rasool-Allah Sal-Aallahu alaihi wasallam ne humko is tarah nahi sikhaya hai bulki Aap ne humen ye kalimat sikhaye Alhmadulillah Ala kulli haal (ya Alhamdulillah)

jamia Tirmizi , Jild 2, 634-Hasan



✦ Note : is hadith se ye malum hua ki deen mein koi bhi kaam apni marzi se badhana jayaz nahi hai chahe wo achchi baat hi kyu na ho, yaha bazahir to us shakhs ne cheenk aane par RasoolAllah ﷺ par salam bheja tha jo ki ek achcha amal tha magar Aap ﷺ aur unke hidayat yafta sahaba radi allahu anhuma se ye amal sabit nahi tha isliye us shaksh ko is se mana kar diya gaya

✦ Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne hamare Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to wo qubul nahi kiya jayega
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14 -Sahih

✦ Jabir bin Abdulah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam apne khutbe mein ALLAH subhanahu ki hamd aur sana bayan farmate jaisa ki uska haq hai , Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate jisko ALLAH subhanahu ne hidayat di usko koi gumrah karne wala nahi aur jisko ALLAH sbhanahu gumrah kar de usko koi hidayat dene wala nahi, beshak sabse sachchi kitab ALLAH ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa Mumahhad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka tareeqa hai, sabse bure cheez (deen mein) naye naye kaam paida karna hai , har naya kaam bidat hai, aur har bidat gumrahi hai aur har gumrahi jahannam mein le jayegi
Sunan Nasaii, Vol 2, 1581-Sahih
------------

 इब्न उमर रदी अल्लाहू के पास एक शख्स को छींक आई तो उसने कहा अल्हाम्दुलिल्लाह वा अस सलामू अला रसूल-अल्लाह , इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हु ने उस से कहा छींक आने  पर अल्हाम्दुलिल्लाह वा अस सलामू अला रसूल-अल्लाह  मैं भी कह सकता हूँ   मगर रसूल-अल्लाह सल-आल्लाहू अलैही वसल्लम  ने हमको इस तरह नही सिखाया है बल्कि आप ने हमें ये कलीमात सिखाए अल्हम्दुलिल्लाह अला कुल्ली हाल (या अल्हाम्दुलिल्लाह)
जामिया तिरमिज़ी  , जिल्द 2, 634-हसन

✦ नोट : इस हदीस  से ये मालूम हुआ की दीन में कोई भी काम अपनी मर्ज़ी से बढ़ाना जायज़ नही है चाहे वो अच्छी बात ही क्यूँ  ना हो, यहाँ बज़ाहिर तो उस शख्स ने छींक आने पर ऱसूलाल्लह ﷺ पर सलाम भेजा था जो की एक अच्छा अमल था मगर आप ﷺ और उनके हिदायत याफ़्ता सहाबा रदी अल्लाहू अन्हुमा से ये अमल साबित नही था इसलिए उस शख्स  को इस से मना कर दिया गया
उम्म  आएशा रदी अल्लाहू अन्हा  से रिवायत है की रसूल अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम  ने फरमाया जिसने हमारे दीन  में ऐसी बात का ईज़ाफा किया जो उसमें नही तो वो क़ुबूल नही किया जाएगा
सुनन इब्न माजा, जिल्द  1 , #14 -सही

जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम अपने खुतबे में अल्लाह सुबहानहु की हम्द और सना बयान फरमाते जैसा की उसका हक है फिर आप सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम फरमाते जिसको अल्लाह सुबहानहु हिदायत दे उसको कोई गुमराह करने वाला नहीं और जिसको अल्लाह सुबहानहु गुमराह कर दे उसको कोई हिदायत देने वाला नहीं बेशक सबसे सच्ची किताब  अल्लाह की किताब है और सबसे बेहतर तरीका मुहम्मद सलअल्लाहु अलैहि वसल्लम का तरीका है सबसे बुरी चीज़ (दीन में) नए नए काम पैदा करना है और हर नया काम बिदअत है 
और हर बिदअत गुमराही है और हर गुमराही जहन्नम में ले जाएगी 
सुनन नसाई , जिल्द : 2, हदीस : 1581 - सही

---------------------
حدیث : جس  نے ہمارے  دین میں کوئی ایسی بات  کا اضافہ کیا جو اس میں
  نہیں ہے، تو وہ قبول نہیں کیا جائے گا
------------------
ابن عمر رضی الله عنہما کے پہلو میں بیٹھے ہوئے ایک شخص کو چھینک آئی تو اس نے کہا «الحمدللہ والسلام علی رسول اللہ» یعنی تمام تعریف اللہ کے لیے ہے اور سلام ہے رسول اللہ ﷺ پر۔ ابن عمر رضی الله عنہما نے کہا: کہنے کو تو میں بھی «الحمدللہ والسلام علی رسول اللہ» کہہ سکتا ہوں لیکن اس طرح کہنا رسول اللہ ﷺ نے ہمیں نہیں سکھلایا ہے۔ آپ ﷺ نے ہمیں یہ کلمات سیکھائے ہیں الحمد لله على كل حال» (یا الحمد لله)
جامہ ترمیزی جلد ٢ حدیث ٦٣٤-صحیح

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس  نے ہمارے  دین میں کوئی ایسی بات  کا اضافہ کیا جو اس میں  نہیں ہے، تو وہ قبول نہیں کیا جائے گا
سنن ابن ماجہ جلد ١ حدیث ١٤-صحیح

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم اپنے خطبہ میں اللہ کی حمد و ثنا بیان کرتے جو اس کی شایان شان ہوتی، پھر آپ فرماتے: جسے اللہ راہ دکھائے تو کوئی اسے گمراہ نہیں کر سکتا، اور جسے گمراہ کر دے تو اسے کوئی ہدایت نہیں دے سکتا، سب سے سچی بات اللہ کی کتاب ہے، اور سب سے بہتر طریقہ محمد صلی اللہ علیہ وسلم کا طریقہ ہے، اور بدترین کام نئے کام ہیں، اور ہر نیا کام بدعت ہے اور ہر بدعت گمراہی ہے، اور ہر گمراہی جہنم میں لے جانے والی ہے ، پھر آپ فرماتے: میں اور قیامت دونوں اس قدر نزدیک ہیں جیسے یہ دونوں انگلیاں ایک دوسرے سے ملی ہیں ، اور جب آپ قیامت کا ذکر کرتے تو آپ کے دونوں رخسار سرخ ہو جاتے، اور آواز بلند ہو جاتی، اور آپ کا غصہ بڑھ جاتا جیسے آپ کسی لشکر کو ڈرا رہے ہوں، اور کہہ رہے ہوں: (ہوشیار رہو! دشمن) تم پر صبح میں حملہ کرنے والا ہے، یا شام میں، پھر آپ فرماتے: جو (مرنے کے بعد) مال چھوڑے تو وہ اس کے گھر والوں کا ہے، اور جو قرض چھوڑے یا بال بچے چھوڑ کر مرے تو وہ میری طرف یا میرے ذمہ ہیں، اور میں مومنوں کا ولی ہوں 

سنن نسائی جلد ٢ حدیث ١٥٨١-صحیح
-----------------


✦ Hadith : Whoever innovates something in this matter of ours (Islam) that is not part of it, will have it rejected.
------------------
✦ A man sneezed beside Ibn Umar Radi allahu anhu and said: Al-Hamdulillah Wa As-Salamu Ala RasoolAllah. (All praise is due to Allah, and peace upon the Messenger of Allah)'. So Ibn 'Umar said: I can also say Al-Hamdulillah Wa As-Salamu Ala RasoolAllah. but this is not what the Messenger of Allah (ﷺ) taught us. He taught us to say: Al-Hamdulillah Ala Kulli Hal (or Alhamdulillah)."
Jamia Tirmizi,Book 41, Hadith 2738-Hasan

✦ Explanation : By this hadith we have come to know that anything which is not done or approved by Prophet ﷺ or his guided companion then it will be rejected even though its good practice.

Narrated Aisha may ALLAH be pleased with her that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: Whoever innovates something in this matter of ours(Islam) that is not part of it, will have it rejected
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 14-sahih

✦ It was narrated that Jabir bin Abdullah Radhi allahu anhu said:In his Khutbah the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to praise Allah as He deserves to be praised, then he would say: 'Whomsoever Allah subhanahu guides, none can lead him astray, and whomsoever Allah subhanahu sends astray, none can guide. The truest of word is the Book of Allah and best of guidance is the guidance of Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam . The worst of things are those that are newly invented (in religion) ; every newly-invented thing is an innovation and every innovation is going astray, and every going astray is in the Fire.
Sunan Nasaii, Book 19, Hadith 1579-Sahih

Thursday, May 9, 2019

Hadith : Jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai
--------------
✦ Abu Tufail Amir se rivayat hai ki main hazrat Ali Radi Allahu Anhu ke pass baitha tha itne mein ek shakhs aaya aur kahne laga Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aapko kuch chup kar (secretaly) batlaya hai , to Hazrat Ali Radi Allahu Anhu naraz huye aur kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe aisee koi cheez nahi batlayee jo dusro se chupa li ho, siwaye chaar baato ke , wo shaksh kahne laga ki Eh Ameerul momeneen wo baatein kaunsi hain to hazrat Ali Radi Allahu Anhu ne kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmayee Jo apne walid par laanat kare us par Allah ki laanat hai , jo Allah ke siwa kisi aur ke liye Qurbani kare us par bhi Allah ki laanat hai, jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai aur jo zameen ke nishan (boundry line) ko badal de us par bhi Allah ki laanat hai

Sahih Muslim, Jild 5 , 5124
---------------
✦ अबू तुफैल आमिर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की मैं हज़रत अली रदी अल्लाहू अन्हु के पास बैठा था इतने में एक शख्स आया और कहने लगा रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने आपको कुछ छुप कर (secretly) बतलाया है , तो हज़रत अली रदी अल्लाहू अन्हु नाराज़ हुए और कहा की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने मुझे ऐसी कोई चीज़ नही बतलाई जो दूसरो से छुपा ली हो, सिवाए चार बातों के , वो शख्स कहने लगा एह अमीरुल मोमिनीन वो बातें कौनसी हैं तो हज़रत अली रदी अल्लाहू अन्हु ने कहा की आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जो अपने वालिद पर लानत करे उस पर अल्लाह की लानत है , जो अल्लाह के सिवा किसी और के लिए क़ुर्बानी करे उस पर भी अल्लाह की लानत है, जो दीन में नये नये काम निकालने वाले (बिदअती) को जगह दे उस पर भी अल्लाह की लानत है और जो ज़मीन के निशान (boundary lines) को बदल दे उस पर भी अल्लाह की लानत है
सही मुस्लिम, जिल्द 5 , 5124
------------------

حضرت ابوالطفیل عامر رضی اللہ تعالیٰ عنہ فرماتے ہیں کہ میں حضرت علی رضی اللہ تعالیٰ عنہ بن ابی طالب کے پاس تھا کہ ایک آدمی آیا اور اس نے عرض کیا نبی صلی اللہ علیہ وسلم آپ کو چھپا کر کیا بتاتے تھے؟ حضرت علی رضی اللہ تعالیٰ عنہ غصہ میں آگئے اور فرمایا نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے مخفی طور پر کوئی ایسی چیز نہیں بتائی تھی کہ جو دوسرے لوگوں کو نہ بتائی ہو سوائے اس کے کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے مجھے چار باتیں ارشاد فرمائی ہیں اس آدمی نے عرض کیا اے امیر المومنین وہ کیا ہیں؟ حضرت علی رضی اللہ تعالیٰ عنہ نے فرمایا ایسے آدمی پر اللہ کی لعنت ہوتی ہے کہ جو آدمی اپنے والدین پر لعنت کرتا ہے ایسے آدمی پر اللہ کی لعنت ہوتی ہے کہ جو اللہ تعالیٰ کے علاوہ کسی اور کی تعظیم کے لئے ذبح کرے اور ایسے آدمی پر بھی اللہ تعالیٰ کی لعنت ہوتی ہے کہ جو کسی بدعتی آدمی کو پناہ دیتا ہے اور ایسے آدمی پر بھی اللہ کی لعنت ہوتی ہے کہ جو آدمی زمین کی حدبندی کے نشانات کو مٹاتا ہے۔

---------------------
✦ Abu Tufail Amir radi Allahu Anhu  reported I was in the company of Ali b. Abi Talib, when a person came to him, and said: What was it that Allah's Apostle (ﷺ) told you in secret? Thereupon he (Ali radi Allahu Anhu) was enraged and said: Allah's Apostle (ﷺ) did not tell me anything in secret that he hid from people, except that he told me four things. He said: Commader of Faithful, what are these? He Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah cursed him who cursed his father; Allah cursed him who sacrificed for anyone besides Allah; and Allah cursed him who accommodates an innovator (in religion) ; and Allah cursed him who changed the minarets (the boundary lines) of the land.
Sahih Muslim, Book 22, Hadith 4876

Wednesday, May 8, 2019

✦ Hadith: Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai

--------------
✦ Al Quran : Eh Imaan walo ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki farmabardari karo aur un logon ki bhi jo tum mein se hakim hain , aur agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf ho jaye to usko ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) ki taraf rujoo karo , ye bahut achchi baat hai aur anjam ke lihaz se bahut behtar hai
Surah An-Nisa (4) Verse 59



✦ Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne aisee taqreer farmayee jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ye to rukhsat karne wale ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiske din aur raat barabar hain is se wo hatega jo Halaq hone wala hoga jo tum mein se zinda rahega wo bahut zyada ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena aur tum par ki Ita’at ameer lazim hai chahe wo habshi ghulam ho kyunki momeen nakel daale huye oont ki tarah hota hai jidhar chalaya jata hai ita’at karta hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 -Sahih
--------------
✦ अल-कुरान: एह ईमान वालों अल्लाह और उसके रसूल सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की फरमाबरदारी करो और उन लोगों की भी जो तुम में से हाकिम है और अगर किसी बात में तुम में इख्तिलाफ हो जाए तो अल्लाह और उसके रसूल सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ( के हुक्म) की तरफ रुजू करो , ये बहुत अच्छी बात है और अंजाम के लिहाज़ से बहुत बेहतर है
सुरह अन-निसा (4) , आयत 59

✦ अल-इरबाद बिन सारिया रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने ऐसी तक़रीर फरमाई जिस से आँखों से आँसू बह निकले और दिल काँप उठे, हमने अर्ज़ किया या रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ये तो रुखसत करने वाले की नसीहत है आप हमसे किसी चीज़ का अहद ले ले, आपने फरमाया मैं तुमको ऐसी हमवार ज़मीन पर छोड़ कर जा रहा हू जिसके दिन और रात बराबर हैं इस से वो हटेगा जो हलाक़ होने वाला होगा 
जो तुम में से ज़िंदा रहेगा वो बहुत ज्यादा इख्तिलाफ देखेगा तुम पर मेरा तरीक़ा और मेरे हिदायत याफ़्ता खुलफा का तरीक़ा लाज़िम है इसको दाँतों से मज़बूत पकड़ लेना और तुम पर अमीर की इताअत लाज़िम है चाहे वो हबशी गुलाम हो क्यूंकी मोमीन नकेल डाले हुए ऊँट की तरह होता है जिधर चलाया जाता है इताअत करता है-
सुनन इब्न माज़ा , जिल्द 1 , 43 - सही

---------------
اے ایمان والو! اللہ کی اطاعت کرو اور رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی اطاعت کرو اوراپنے میں سے (اہلِ حق) صاحبانِ اَمر کی، پھر اگر کسی مسئلہ میں تم باہم اختلاف کرو تو اسے اللہ اور رسول (صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم) کی طرف لوٹا دو اگر تم اللہ پر اور یومِ آخرت پر ایمان رکھتے ہو، (تو) یہی (تمہارے حق میں) بہتر اور انجام کے لحاظ سے بہت اچھا ہے
  القرآن سوره انساء  (٤) آیت  ٤٣ - صحیح 


رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہمیں ایسی نصیحت فرمائی جس سے ہماری آنکھیں ڈبدبا گئیں، اور دل لرز گئے، ہم نے کہا: اللہ کے رسول! یہ تو رخصت ہونے والے کی نصیحت معلوم ہوتی ہے، تو آپ ہمیں کیا نصیحت کرتے ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں نے تم کو ایک ایسے صاف اور روشن راستہ پر چھوڑا ہے جس کی رات بھی دن کی طرح روشن ہے، اس راستہ سے میرے بعد صرف ہلاک ہونے والا ہی انحراف کرے گا، تم میں سے جو شخص میرے بعد زندہ رہے گا وہ بہت سارے اختلافات دیکھے گا، تم پر میرا اور میرے ہدایت یافتہ خلفاء راشدین کا طریقہ لازم ہے  اس کو اپنے دانتوں سے مضبوطی سے پکڑ لینا  اور امیر کی اطاعت کرنا، چاہے وہ کوئی حبشی غلام ہی کیوں نہ ہو، اس لیے کہ مومن نکیل لگے ہوئے اونٹ کی طرح ہے، جدھر اسے لے جایا جائے ادھر ہی چل پڑتا ہے ۔

------------

✦ Hadith: I urge you to adhere to what you know of my Sunnah and the path of the Rightly-Guided Caliphs
--------------
✦ Al Quran : O you who believe! Obey Allah and obey the Messenger (Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ), and those of you (Muslims) who are in authority. (And) if you differ in anything amongst yourselves, refer it to Allah and His Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam , if you believe in Allah and in the Last Day. That is better and more suitable for final determination.
Surah An-Nisa (4) Verse 59


✦ Hadith: Narrated Abdur Rahman bin Amr As-Sulami that he heard Al-Irbad bin Sariyah say: “The Messenger of ALLAH Peace be upon him delivered a moving speech to us which made our eyes overflow with tears and made our hearts melt. We said: 'O Messenger of ALLAH, this is a speech of farewell. What do you enjoin upon us?' He said: 'I am leaving you upon a (path of) brightness whose night is like its day. No one will deviate from it after I am gone but one who is doomed. Whoever among you lives will see great conflict. I urge you to adhere to what you know of my Sunnah and the path of the Rightly-Guided Caliphs, and cling stubbornly to it. And you must obey, even if (your leader is) an Abyssinian slave. For the true believer is like a camel with a ring in its nose; wherever it is driven, it complies.” 
Sunan Ibn Majah, Book 1 , Hadith 43 - Sahih

Saturday, September 19, 2015

Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge
----------------------
Hadith: Umma aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Umma habiba aur Umm salma radi alllahu anhuma ne ek Kalisa (church) ka zikr kiya jise unhone habsha mein dekha tha usmein moortein (tasweerain) thi unhone uska tazkara Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se bhi kiya, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki agar koi Neik shaksh mar jata to wo log uski Qabr par masjid banate aur usmein yahi tasweerain bana dete , ye log ALLAH ki baargaah mein Qayamat ke din Tamam makhluq mein bure honge
Sahih Bukhari , Vol 1, # 427 

----------------------

Narrated Aisha radi allahu anha Um Habiba and Um Salama Radhi Allahu Anhuma mentioned about a church they had seen in Ethiopia in which there were pictures. They told the Prophet peace be upon him  about it, on which he peace be upon him  said, If any religious man dies amongst those people they would build a place of worship at his grave and make these pictures in it. They will be the worst creature in the sight of ALLAH on the Day of Resurrection.
Sahih Bukhari,  Book 8, #419

Tuesday, February 24, 2015

Mafhum-e-Hadith: Kuch log Hauz-e-kauther se dur kar diye jayenge

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Kuch log Hauz-e-kauther se dur kar diye jayenge

Anas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya
Mere kuch saathi mere hawz ( Al-kauther) par mere samne laye jaynge aur main unhe pahchaan bhi lunga lekin  phir unko mere samne se hata diya jayega to Main kahunga ki ye mere saathi hain , lekin mujhse kaha jayega ki Aapko maalum nahi ki Aapke baad unhone kya kya cheezin Ejad kar li thi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6582

اللهم إني أسألك حبك وحب من يحبك ، والعمل الذي يبلغني حبك
Eh ALLAH main tujhse teri mohabbat aur har us shaksh ki mohabbat ka sawal karta hun jo tujhse mohabbat karta ho, aur us amal ki mohabbat ka jo mujhe teri mohabbat tak pahuncha de
(Tirmidhi)

-----------------------------------------------

Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Some of my companions will come to me at my Lake Fount, and after I recognize them, they will then be taken away from me, whereupon I will say, 'My companions!' Then it will be said, 'You do not know what they innovated (new things) in the religion after you."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, Number 584:

اللهم إني أسألك حبك وحب من يحبك ، والعمل الذي يبلغني حبك
O ALLAH! I ask of You Your love, the love of whoever loves You and the love of those deeds which would draw me to attaining Your love.
(Tirmidhi)

Monday, December 1, 2014

Hadith: Jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di ..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di ..

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam  ne farmaya jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di aur uski pairwi ki gayee to usko pairwi karney walon ke barabar gunaah milega aur  pairwi karne walo ke gunah mein koi kami nahi hogi aur jis dawat dene walon ne hidayat ki taraf bulaya phir uski pairwi ki gayi to usko pairwi karney walo ke barabar Ajar milega aur pairwi karney walo ke Ajar mein kuch kami nahi ki jayegi
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 205 -Sahih
--------------------------------------------------------

It was narrated from Abu Hurairah may ALLAH be pleased with him  that the Messenger of ALLAH  said: "Whoever calls people to true guidance, will have a reward equal to that of those who follow him, without that detracting from their reward in the slightest. And whoever calls people to misguidance, will have a (burden of) sin equal to that of those who follow him, without that detracting from their sins in the slightest.

Sunan Ibn Majah, Vol1, 206-Sahih

Sunday, April 7, 2013

Mafhum-e-hadith : jisney bhi yahan (madiney mein) bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim


Mafhum-e-hadith : jisney bhi yahan (madiney mein) bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai

Anas Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya madina Harem hai falah jagah se falah jagah tak, is hadd mein na koi darakht kaata jaye na jkoi bida’t ki jaye aur jisney bhi yahan bida’t nikali us par Allah taala aur tamam farishton aur insano ki laanat hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 1867

Narrated Anas Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Medina is a sanctuary from that place to that. Its trees should not be cut and no heresy should be innovated nor any sin should be committed in it, and whoever innovates in it an heresy or commits sins (bad deeds), then he will incur the curse of Allah, the angels, and all the people."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 30, No. 91:


Wednesday, October 31, 2012

Hadith: Unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain


Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain


Abdullah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallahu Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main Hauj-e-kausar par tum logo ka  paish khaima (predecessor) hunga aur tum mein se kuch log meri taraf aayengey jab main unhey hauj ka pani deney ke liye jhukunga to unhey mere samney se kheench liya jayega main kahunga ki Eh mere Rab ye to meri ummat ke log hain. Allah taala farmayega Aapko maaluum nahi,  ke unhoney aapkey baad deen mein kya nayee batein nikal li thi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7049
-------------------------------------------------------------------------------
Narrated 'Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "I am your predecessor at the Lake-Fount (Kauthar) and some men amongst you will be brought to me, and when I will try to hand them some water, they will be pulled away from me by force whereupon I will say, 'O Lord, my companions!' Then the Almighty will say, 'You do not know what they did after you left, they introduced new things into the religion after you.'"

Sahih Bukhari,  Vol 9, Book 88, No. 173

Sunday, September 30, 2012

Hadith: Sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: Sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai

Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu
  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya sabse behtar amr (amal ke liye)  Allah ki kitab hai aur sabse behtar tareeqa  Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai aur har Nayee baat gumrahi hai aur farmaya ki jis  shaksh ne marney ke baad  maal chorha wo uskei  warison ka hai aur jisney karz ya Ayaal  ( children) chorhey  wo mere zimmey hai

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)
-------------------------------------------------------------------------

Narrated Jabir bin Abdullah “Then the Messenger of ALLAH Peace be upon
 said  The best of matters is the Book of ALLAH and the best of guidance is the guidance of Muhammad Peace be upon him The most evil matters are those that are newly-invented, and every innovation (Bid'ah) is a going astray.' And he used to say: 'Whoever dies and leaves behind some wealth, it is for his family, and however leaves behind a debt or dependent children, then they are both my responsibility.'”Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 45 (Sahih)

Friday, September 28, 2012

Mafhum-e-Hadith: Unhoney Nayee nayee batein nikalee tumharey baad


Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Unhoney Nayee nayee batein nikalee  tumharey baad

Hazrat Ummul Momineen Salma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki  Rasoollallah Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhara pesh khaima hunga Hauz 
par to tum Hoshiyar rahokoi tum mein se Aisa na ho mere pass aaye phir hataya jaye jaisey bhatka hua oont hataya jata hai main kahunga ye kyun hataye jatey hain jawab milega tumhey malum nahi unhoney Nayee nayee batein nikalee  tumharey baad ( tarah tarah ki Bidatein Aaitqad  aur amal mein)  Main kahunga to dur ho
Sahih Muslim , Vol 6,  5974
-----------------------------------------------------------------
Umm Salma Radi Allahu Anha, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him  said Allah's Messenger  may peace be upon him  said: I shall be your harbinger on the Cistern; therefore, be cautious lest one of you should come (to me) and may be driven away like a stray camel. I would ask the reasons, and it would be said to me: You don't know what innovations they made after you. And I would then also say: Be away.
Sahi Muslim, Book 030, Number 5686:

Wednesday, September 26, 2012

Hadith: jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith: jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi hai

Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney hamarey Deen mein aisee baat ka Ezafa kiya jo usmein nahi to uski baat Qubul nahi  hai(Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , #14 
--------------------------------------------------------------

 Hadith: Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected

Narrated Aisha  may ALLAH be pleased with her that the Messenger of ALLAH Peace be upon him said: “Whoever innovates something in this matter of ours (i.e., Islam) that is not part of it, will have it rejected.” (Sahih)
Sunan Ibn Majah, Vol 1, # 14

Total Pageviews