Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Khwab (Dream). Show all posts
Showing posts with label Khwab (Dream). Show all posts

Wednesday, May 8, 2019

Hadith: jisne mujhe khwab mein dekha wo kisi din mujhe jaagte huye bhi dekhega



Bismillahirrahmanirrahim 


✦ Hadith: jisne mujhe khwab mein dekha wo kisi din mujhe jaagte huye bhi dekhega
-------------------
✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne mujhe khwab mein dekha usne mujh hi ko dekha kyunki shaitan meri surat nahi bana sakta
Sahih Muslim, jild 5, 5919

✦ Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne mujhe khwab mein dekha wo kisi din mujhe jaagte huye bhi dekhega aur shaitan meri surat nahi bana sakta
Sahih Bukhari, Jild 5,6993
------------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने मुझे ख्वाब में देखा उसने मुझ ही को देखा क्यूंकी शैतान मेरी सूरत नही बना सकता
सही मुस्लिम, जिल्द 5, 5919

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने मुझे ख्वाब में देखा वो किसी दिन मुझे जागते हुए भी देखेगा और शैतान मेरी सूरत नही बना सकता
सही बुखारी, जिल्द 5,6993
------------------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس نے مجھے خواب میں دیکھا، یقیناً اس نے مجھے ہی دیکھا کیونکہ شیطان میری صورت میں نہیں آ سکتا ۔



حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ میں نے نبی کریم  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا ‘ آپ نے فرمایا کہ جس نے مجھے خواب میں دیکھا تو کسی دن مجھے بیداری میں بھی دیکھے گا اور شیطان میری صورت میں نہیں آ سکتا

-------------------
✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu  I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saying, "Whoever sees me in a dream will see me in his wakefulness, and Satan cannot imitate me in shape
Sahih Bukhari, Book 87, Hadith 122

✦ Abu Huraira reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam as saying:He who saw me in a dream in fact saw me, for the satan does not appear in my form.
Sahih Muslim, Book 29, Hadith 5635

Monday, May 18, 2015

Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Abu Qatada Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Achche khwab ALLAH ki taraf se hote hain aur bure khwab shaitan ki taraf se hote hain
Sahih Bukhari, Vol 8, 6984

Hazrat Abu Said Khudri Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jab tum mein se koi aisa khwab dekhe jise wo pasand karta ho to wo ALLAH subhanahu ki taraf se hota hai is par ALLAH ki Hamd (shukr ada) kare  aur dusron ko bata de Lekin agar koi aisa khawab dekhta hai jo use napasand ho to ye shaitan ki taraf se hota hai isliye uski buraii se pannah maange aur kisi se us khwab ka zikr na kare , ye khwab use kuch nuksaan nahi pahucha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6985 

Narrated Abu Qatada Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "A true good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan."
Sahih Bukhari, Volume 9, Book 87, Number 113:


Narrated Abu Sa'id Al-Khudri Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, If anyone of you sees a dream that he likes, then it is from ALLAH, and he should thank ALLAH for it and narrate it to others; but if he sees something else, i.e., a dream that he dislikes, then it is from Satan, and he should seek refuge with ALLAH from its evil, and he should not mention it to anybody, for it will not harm him.

Sahih Bukhari, Vol 9, Book 87, No. 114

Tuesday, September 16, 2014

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se
-------------------------------------------
Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya beshaq achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se hota hai isliye jab tum mein se koi shaksh aisa khwab dekhe jo bura ho to , 3 baar bahine taraf (left side) thu thu kare aur us khwab ki buraii se ALLAH ki panaah mange is tarah us khwab ka usey koi nuksaan nahi hoga,  Abu salma ne kaha ki kuch khwab mujh par pahaad se bhi ziyada bhari hote the lekin  jabse maine ye Hadith suni us par amal karne laga , ab mujhe koi parwah nahi hoti.
Sahih Muslim,  Vol 7, 5747
-------------------------------------------

Narrated Abu Qatada Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "A good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with ALLAH from its evil for then it will not harm him."
 Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 643


Total Pageviews