Search This Blog

Autoblog

Sunday, May 25, 2014

Al Quran : Gharo mein salam karke dakhil hua karo

Bismillahirrahmanirrahim  


Al Quran : Momeeno Apne Gharon ke siwa Dusre  gharon mein un gharwlon se ejazat liye bina aur unhe salam kiye bina dakhil na hua karo ye tumhare haq mein behtar hai
Al Quran : Surah An Noor (24),  Aayah 27

---------------------------
O you who believe! Enter not houses other than your own, until you have asked permission and greeted those in them; that is better for you
Al Quran : Surah An Noor (24),  Aayah 27

Dua from Quran- Eh mere RAB tu meri taraf jo naimat Nazil karey Main uska Mohtaj hu

Bismillahirrahmanirrahim

Dua from Quran

 رَبِّ إِنِّي لِمَا أَنزَلْتَ إِلَيَّ مِنْ خَيْرٍ فَقِيرٌ

Eh mere RAB tu meri taraf jo naimat Nazil karey Main uska Mohtaj hu
Al Quran , Surah Al-Qasas (28)-24

-----------------------------------------
My Lord! Truly, I am in need of whatever good that You bestow on me

Al Quran , Surah Al-Qasas (28)-24

Al Quran: Kahney laga boseeda (choora) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai

Bismillahirrahmanirrahim  

Al Quran:  Kahney laga boseeda (choora) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai kah do ki unko wo zinda karega jisneyinko pahli baar paida kiya tha aur wo sab kuch banana janta hai
Al Quran, Surah yaseen (36) verse 78-79

Kya hum Mar jayenge aur mitti aur haddiyan ho jayenge to kya hum phir uthaye jayenge , aur kya hamarey pahley Baap dada bhi. Kah do ki haan aur tum zaleel honey waley honge
Al Quran, Surah As-Saafat  (37) verse 16-18

Al Quran:Kya Insaan Samajhta hai ki hum uski haddiyan jama nahi karengey ? Jarur karenge , hum to us par Qadir hain ki uski por por (fingertips) durast kar de
Surah Al-Qiyamah  (75) verse 3-4
-----------------------------------------------------------------

He says: "Who will give life to these bones after they are rotten and have become dust?" Say: He will give life to them Who created them for the first time! And He is the All-Knower of every creation!"
Al Quran, Surah yaseen (36) verse 78-79

When we are dead and have become dust and bones, shall we (then) verily be resurrected?            And also our fathers of old?"
Say : Yes, and you shall then be humiliated.
Al Quran, Surah As-Saafat  (37) verse 16-18

Al Quran: Does man (a disbeliever) think that We shall not assemble his bones?
Yes, We are Able to put together in perfect order the tips of his fingers.
Surah Al-Qiyamah  (75) verse 3-4

Al Quran: Agar tum unko (kafiron ko) ladaii mein pao to unhe aisee saza do ki jo log unke peechey hain wo unko dekhkar bhag jaye taki unhe ibrat mile

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Agar tum unko (kafiron ko) ladaii mein pao to unhe aisee saza do ki jo log unke peechey hain wo unko dekhkar bhag jaye taki unhe ibrat mile
Al Quran Surah
Al-Anfal (8), Verse 57
---------------------------------------------------------
Al Quran:  So if you gain the mastery over them in war, punish them severely in order to disperse those who are behind them, so that they may learn a lesson.

Al Quran Surah Al-Anfal (8), Verse 57

Al Quran: Aaj momeen kaafiron se hansee karenge

Bismillahirrahmanirrahim  

Al Quran: Aaj momeen kaafiron se hansee karenge (aur) takhton par ( baithey huye) unka haaal dekh rahey honge..

Jo Gunaahgar ( kaafir) hain wo ( Duniya mein) Momeeno se hansee kiya karte they, Aur jab unke pass se Guzartey to haqarat se ishaarey karte  Aur jab apney ghar ko jaatey to itratey huye jaatey , aur jab in ( momeeno) ko dekhtey to kahtey ki ye to gumraah hain,
Haalanki wo un par nigraah (watchers )bana kar nahi bhejey gaye hain,  To Aaj momeen kaafiron se hansee karengey (aur) takhton par ( baithey huye) unka haaal dekh rahey honge , to kaafiron ko unke kaamo ka badla mil gaya.
Al Quran , Surah Al-Mutaffifin (83), Verse 29-36
----------------------------------------------------
Verily, (during the worldly life) those who committed crimes ( kaafir) used to laugh at those who believed.And, whenever they passed by them, used to wink one to another (in mockery). And when they returned to their own people, they would return jesting;And when they saw them, they said: "Verily these have indeed gone astray!" But they (disbelievers, sinners) had not been sent as watchers over them (the believers).But this Day (the Day of Resurrection) those who believe will laugh at the disbelievers, On (high) thrones, looking (at all things).Are not the disbelievers paid (fully) for what they used to do?

Al Quran , Surah Al-Mutaffifin (83), Verse 29-36

Al Quran : Tum darja ba Darja ( Rutba-e-Aala) par chadhoge


Bismillahirrahmanirrahim  

Al Quran : Humein Shaam ki surkhi ki Qasam , Aur raat ki aur jin cheezon ko wo ikaththa kar leti hai unki , aur chaand ki jab kaamil ho jaye , ki Tum darja ba Darja ( Rutba-e-Aala) par chadhoge
Al Quran, Surah inshiqaq (84) Verse 16-19

-----------------------------------------------------
So I swear by the afterglow of sunset;And by the night and whatever it gathers in its darkness, And by the moon when it is at the full. You shall certainly travel from stage to stage
Al Quran, Surah inshiqaq (84) Verse 16-19

Al Quran : Agar tum nahi niklogey to ALLAH tumko badi takleef ka azab dega aur tumhari jagah dusrey log paida kar dega

Bismillahirrahmanirrahim  

Al Quran : Agar tum nahi nikloge to ALLAH tumko badi takleef ka azab dega aur tumhari jagah dusrey log paida kar dega


Al Quran : Momeeno tumhey kya hua hai ki jab tumse kaha jata hai ki ALLAH  ki raah mein niklo to tum (susti ke sabab se) zameen par girey jate ho ( yani gharon se nikalna nahi chahtey) kya tum aakhirat ( ki naimaton) ko chorh kar duniya ki zindagi par khush ho baithey ho , duniya ki zindagi ke fayde to aakhirat ke muqabley mein bahut kam hai.

Aur agar tum nahi niklogey to ALLAH  tumko badi takleef ka azab dega aur tumhari jagah dusrey log paida kar dega aur tum uska kuch nuksan nahi pahuncha sakoge.

Al Quran , Surah At-Tauba , Verse 38-39
----------------------------------------------------------------------

O you who believe ! What is the matter with you, that when you are asked to march forth in the Cause of ALLAH , you cling heavily to the earth? Are you pleased with the life of this world rather than the Hereafter? But little is the enjoyment of the life of this world as compared to the Hereafter.   
If you march not forth, He will punish you with a painful torment and will replace you by another people; and you cannot harm Him at all, and ALLAH is Able to do all things.


Al Quran , Surah At-Tauba , Verse 38-39

Al Quran: Unhey wohi zinda karega jisney usey pahli baar paida kiya tha

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran:  Unhey wohi zinda karega jisney usey pahli baar paida kiya tha

77. Kya insaan nahi janta ki humney usey Mani (Semen drop) ke ek Qatrey se banaya hai , phir wo khullam khulla dushman banker jhagadney laga

78 .Aur hamari nisbat baatein banaye laga aur apna paida hona bhul gaya,  kahney laga Boshida (chura chura) haddiyon ko kaun zinda kar sakta hai

79. Kah do unhey wohi zinda karega jisney usey pahli baar paida kiya tha wo sab kuch banana janta hai

80. Wo jisney tumharey liye sabz darakht se Aag paida kar di  ki tum jaldi se us sey Aag sulga letey ho

81. Kya wo jisney Aasman aur zameen ko bana diya us par Qadir nahi ki un jaise aur banaye,  kyun nahi wo bahaut kuch bananey wala mahir hai

82. Uski to ye shaan hai ki jab wo kisi cheez ka iarada karta hai to itna hi farma deta hai ki ho ja so wo ho jati hai

83.  Wo Zaat (Yani ALLAH) paak hai  jiske haath mein har cheez ka kamil ikhtiyar hai aur uski taraf tum lotaye jaogey
Al Quran , Surah yaseen, Verse 77-83
---------------------------------------------------------------------
English Translation:
77       Does not man see that We have created him from Nutfah (mixed male and female sexual discharge - semen drops). Yet behold he (stands forth) as an open opponent.          
78       And he puts forth for Us a parable, and forgets his own creation. He says: "Who will give life to these bones after they are rotten and have become dust?"   
79       Say:  He will give life to them Who created them for the first time! And He is the All-Knower of every creation! 
80       He Who produces for you fire out of the green tree, when behold you kindle therewith. 
81       Is not He Who created the heavens and the earth, Able to create the like of them? Yes, indeed! He is the All-Knowing Supreme Creator
82       Verily, His Command, when He intends a thing, is only that He says to it, "Be!" - and it is!
83       So glorified be He and exalted above all that they associate with Him, and in Whose Hands is the dominion of all things: and to Him you shall be returned.

Al Quran , Surah yaseen, Verse 77-83

Al Quran : Aur Un Logon se mat jhagdo jo apne Dil mein Daga rakhte hain

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Aur  Un Logon se mat jhagdo jo apne Dil mein Daga rakhte hain , jo shaksh Dagabaaz Gunahgar ho beshak ALLAH usey pasand nahi karta, ye log Insano se chupte hain aur ALLAH se nahi chupte halanki wo us waqt bhi unke saath hota hai jabki raaat ko chup kar uski marzi ke khilaf mashware  karte hain aur unke sare Aamal par ALLAH ehata karne wala hai
Al Quran: An-Nisa (4) ,  107-108
-----------------------------------------
Al Quran : And argue not on behalf of those who deceive themselves. Verily, ALLAH does not like anyone who is a betrayer, sinner.
They may hide (their crimes) from men, but they cannot hide (them) from ALLAH; for He is with them (by His Knowledge), when they plot by night in words that He does not approve. And ALLAH ever encompasses what they do.
Al Quran: An-Nisa (4) ,  107-108

Al Quran : Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt aa jaye to..

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Tum par farz kiya jata hai ki jab tum mein se kisi ke Maut ka waqt aa jaye to agar wo kuch Maal chhodh jane wala ho to Maa Baap aur Rishteydaron ke liye Dastur ke Mutabiq Wasiyat kar jaye
Al Quran , Surah Al Baqara( 2) # 180

--------------------------------------------
Al Quran : It is prescribed for you, when death approaches any of you,  if he leaves wealth, that he makes a bequest to parents and next of kin, according to reasonable manners.
Al Quran , Surah Al Baqara( 2) # 180


Al Quran : Eh Imaan walo Sabar aur namaz se madad liya karo Beshaq Allah Sabr karney walon ke saath hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Eh Imaan walo Sabar aur namaz se madad liya karo Beshak Allah Sabr karney walon ke saath hai
Surah Al-Baqarah (2) # 153

Al Quran : Allah subhanahu hamare liye kaafi hai aur wo sabse behtar kaam bananey wala hai
Surah Aal-e-Imran ( 3) # 173

-------------------------------------------

Al Quran: O you who believe! Seek help in patience and As-Salat (the prayer). Truly! Allah is with As-Sabirun (the patient).
 
Surah Al-Baqarah (2) # 153


Allah is sufficient for us and He is the Best Guardian
Surah Aal-e-Imran ( 3) # 173

Al Quran: Aur Allah tumhara Madadgaar hai to tum par koi Ghalib Nahi Aa Sakta

Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  


Al Quran: Aur Allah tumhara Madadgaar hai to tum par koi Ghalib Nahi Aa Sakta aur agar wo tumhey chhodh de to phir kaun hai ki tumhari Madad karey ? Aur Momeeno ko chahiye ki Allah hi par bharosa rakhey
AL Quran Surah Aal-e-Imaran , Verse 160 

-------------------------------------------------------

If Allah helps you, none can overcome you; and if He forsakes you, who is there after Him that can help you? And in Allah (Alone) let believers put their trust.
Al Quran , Aal-e-Imran, Chapter 3, Verse 160

Al Quran: Kis Cheez ne tumhey Dojakh mein daala ?

Bismillah irrahman nirrahim

*Jannat waley Dozakh walon se puchengey..

Al Quran:  Kis Cheez ne tumhey Dojakh mein daala ? 
Wo jawab dengey ki  Hum namaz nahi parhtey they
Aur Na Miskeeno ko khana khilatey they
Aur bakwaas karney walon ke saath bakwas kiya kartey they
Aur insaaf ke din ( Qayamat) ko jhootlaya kartey  they,yahan tak ki humein maut aa pahunchi
Al Quran , Al-Muddathir , Ch #74  Verse #42-47

Dua:
رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلاَةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاء
Eh Mere Rab mujhe aur meri aulad ko Namaz Qayam karney wala bana de, Eh hamare Rab aur meri Dua Qubul farma.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), Aayah: 40
----------------------------------------------------------
English Translation:
Al Quran:  What has caused you to enter Hell?"  They will say: We were not of those who used to offer the Salat (prayers), Nor we used to feed Al-Miskin (the poor) and we used to talk falsehood (all that which Allah hated) with vain talkers. 
And we used to be lie the Day of Recompense,
Until there came to us (the death) that is certain."
Al Quran , Al-Muddathir , Ch #74  Verse #42-47

Dua:
O my Lord! Make me one who performs As-Salaat (Iqaamat-as-Salaat), and (also) from my offspring, our Lord! And accept my invocation.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), Aayah: 40

Al Quran : Eh logon Allah ke us Ehsaan ko yaad karo jo tum par hai

Bismillah irrahman nirrahim

Al Quran : Eh logon Allah ke us Ehsaan ko yaad karo jo tum par hai bhala Allah ke siwa koi aur bhi khaliq hai jo tumhe Aasman aur Zameen se Rozi deta hai uskey siwa aur koi Maabud nahi phir kaha ultey ja rahey ho
Al Quran,  Surah Fatir (35), #3

----------------------------------------------------
O mankind! Remember the Grace of Allah upon you! Is there any creator other than Allah who provides for you from the sky (rain) and the earth? La ilaha illa Huwa (none has the right to be worshipped but He). How then are you turning away (from Him)?

Al Quran,  Surah Fatir (35), #3

Al Quran : Kafiron ko Duniya ki Zindagi bhali lagti hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Kafiron ko Duniya ki Zindagi bhali lagti hai aur wo un logon ka mazaq udate hain jo Imaan laye halanki jo log parhaizgaar hain wo Qayamat ke din unse baalatar honge aur Allah jisey chahe be hisab rizq deta hai
Al Quran, Al-Baqara  (2) ,  #212

----------------------------------
Al Quran : Beautified is the life of this world for those who disbelieve, and they mock at those who believe. But those who obey  Orders of Allah and keep away from what He has forbidden, will be above them on the Day of Resurrection. And Allah gives (of His Bounty, Blessings, Favours, Honours on the Day of Resurrection) to whom He wills without limit.
Al Quran, Al-Baqara  (2) ,  #212


Al Quran : Aur Zameen par koi chalne wala nahi hai magr uska Rizq Allah ke zimmey hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Aur Zameen par koi chalne wala nahi hai magr uska Rizq Allah ke zimmey  hai aur wo jaanta hai jahan wo thaharta hai aur jahan wo sonpa jata hai sab kuch kitab e roshan mein hai.
Al Quran, Surah Hud (11) , Aayah 6
-------------------------------------------------------

And no moving (living) creature is there on earth but its  provision is due from Allah. And He knows its dwelling place and its deposit . All is in a Clear Book
Al Quran, Surah Hud (11) , Aayah 6

Al Quran: Agar tum Un Bade bade Gunaahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumharey (chotey) gunaah maaf kar dengey


Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim

Al Quran: Agar tum Un Bade bade Gunaahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumharey (chotey) gunaah maaf kar dengey aur tumhe Ezzat ke Maqam mein dakhil karengey
Al Quran, Surah Nisa (4) Aayah 31
----------------------------------------
If you avoid the great sins which you are forbidden to do, We shall expiate


from you your (small) sins, and admit you to a Noble Entrance
Al Quran, Surah Nisa (4) Aayah 31

Al Quran: jiske (neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: jiske (neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga

Al Quran : Khad khadaney wali, Khadkhadaney wali kya hai,
Aur tum kya jano ki Khadkhadaney wali kya hai
Jis Din log aisey ho jayenge jaise bikhrey huye patangey,
aur pahaad aisey ho jayenge jaise dhunki huyee rang birangi oon
to jiske (Neik Aamal ke) wajan bhari honge, wo Dil pasand Aish mein hoga
Aur jiske (aamal ke) wajan halke honge , uska thikana haawiya hai
Aur tum kya samjhey ki hawiya kya cheez hai, dahakti huyee aag hai
Al Quran , Surah Al Qaria (101)
 ----------------------------------------
Al-Qariah (the striking Hour), What is the striking (Hour)?
And what will make you know what the striking (Hour) is?  
It is a Day whereon mankind will be like moths(insects) scattered about.
And the mountains will be like carded wool 
Then as for him whose balance (of good deeds) will be heavy,He will live a pleasant life (in Paradise). But as for him whose balance (of good deeds) will be light,  He will have his home in Hawiyah And what will make you know what it is?  (It is) a fiercely blazing Fire!

Al Quran , Surah Al Qaria (101)

Al Quran : Tumhari takleef unko giraah (yani apni) malum hoti hai

Bismillah irrahman nirrahim

Al Quran : Tumhare pass tum hi mein se Ek Rasool (Muhammad Sallallahu alalihi wasallam) aaye hain tumhari takleef unko giraah (yani apni)  malum hoti hai , aur tumhari bhalaii ke khwahish mand hai aur momeeno par nihayat shafqat karney waley (aur) Meharbaan hain.
Al Quran, Surah At-Taubah  Ch#9, Verse # 128

Hadith: Aisha Radi Allahu Anha bayan karti hain ki Allah ki kasam Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne kabhi apney zaati Muaamley mein kisi se badla nahi liya, haan magar jab Allah ki hurmaton ko toda jata to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Allah subhanahu ke liye badla letey they
Sahih Bukhari, Vol 8, 6786
---------------------------------------------
English Translation:
Verily, there has come unto you a Messenger (Muhammad peace be upon him)
from amongst yourselves . It grieves him that you should receive any
injury or difficulty. He (Muhammad peace be upon him) is anxious over you
for the believers (He peace be upon him is) full of pity, kind, and merciful.
Al Quran, Surah At-Taubah  Ch#9, Verse # 128

Hadith: Narrated Aisha Radi Allahu Anha : By Allah, he Sallallahu Alaihi Wasallam  never took revenge for himself concerning any matter that was presented to him, but when Limits  of Allah were transgressed, he Sallallahu Alaihi Wasallam would take revenge for the Sake of Allah.
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 81, Number 777

Al Quran : Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Eh Imaan walo Insaaf par Qayam raho , Allah ki taraf gawahii do , chahey Apni jaano par ho ya Apney Maan Baap aur rishteydaron par , chahey koi Maaldaar ho ya faqeer ,  ALLAH  inka tumse ziyada khair khwah hai.
Al Quran, Surah  An-Nisa,(4) #135

------------------------------------------------

O you who believe! Stand out firmly for justice, as witnesses to Allah, even though it be against yourselves, or your parents, or your kin, be he rich or poor, Allah is a Better Protector to both (than you).

Al Quran An-Nisa  (4), Verse #135

Al Quran : Eh Imaan walo Islam mein puri tarah ( shariyat par chaltey huye) Dakhil ho jao

Bismillah Ar-Rahman Ar-Rahim  

Al Quran : Eh Imaan walo Islam mein puri tarah ( shariyat par chaltey huye) Dakhil ho jao aur Shaitan ke Qadmo ki pairwi na karo kyunki wo tumhara khula Dushman hai
Surah Al-Baqara (2),  Verse 208

--------------------------------------------------
O you who believe! Enter perfectly in Islam (by obeying all the rules and regulations of the Islamic religion) and follow not the footsteps of Shaitan (Satan). Verily! He is to you a plain enemy.
Surah Al-Baqara (2),  Verse 208

Category

Total Pageviews