Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Nawafil. Show all posts
Showing posts with label Nawafil. Show all posts

Sunday, March 6, 2022

✦: Hadith : Ghar mein Nawafil Namaz padhna Noor hai



Bismillahirrahmanirraheem


✦:  Hadith : Ghar mein Nawafil Namaz padhna Noor hai

--------

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bande ka apne ghar mein Nawafil Namaz padhna noor hai, ab jo chahta hai wo apne ghar ko munawwar aur raushan kar le

Musnad Ahmed- 2042- Sahih

----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بندے کے اپنے گھر میں نوافل نماز پڑھنا  نور ہے، اب جو چاہتا ہے وہ  اپنے گھر کو منور اور روشن کر لے 

مسند احمد- ۲۰۴۲- صحیح

----------

✦ :  रसूल अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया बन्दे का अपने घर मे नवाफिल नमाज पढना नूर है,अब जो चाहता है वो अपने घर को मुनव्वर और रौशन कर ले

मसनद अहमद- 2042- सहीह

-----------

✦ :  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said  Praying Nawafil (Voluntary) prayer at home is a light (Noor) for the slave, now whoever wants he may enlighten his home

Masnad Ahmed- 2042- Sahih


Tuesday, September 21, 2021

✦: Hadith: bahut zyada tauba karne wala shakhs hi Ishrak (chasht) ki namaz ki hifazat karta hai

 Bismillahirrahmanirraheem


✦:  Hadith:   bahut zyada tauba karne wala shakhs hi Ishrak (chasht) ki namaz ki hifazat karta hai
------
✦:  Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya bahut zyada tauba karne wala shakhs hi Ishrak (chasht) ki namaz ki hifazat karta hai aur yahi Salat-Al Awwabeen (bahut zyada tauba karne walon ki namaz) hai
Silsila As-Sahiha - 772
------
رسول  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا  بہت زیادہ توبہ کرنے والا شخص ہی اشراق (چاشت) كی نماز كی حفاظت كرتا ہے، اور یہی  صلاة الأوابين (بہت زیادہ توبہ کرنے والوں کی نماز) ہے  
سلسلہ صحیحہ - ٧٧٢ 
------
✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया बहुत ज़्यादा तौबा करने वाला शख्स ही इशराक़ (चाश्त) की नमाज़ की हिफाज़त करता है  और यही सलात अलअव्वाबीन (बहुत ज़्यादा तौबा करने वालों की नमाज़ ) है 
सिलसिला अस-सहिहा - 772
------
✦:  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said The person who turn to Allah in repentance is the only one who guard his ishraq (forenoon /  Duha ) prayer strictly , and it is the prayer of Al Awwabeen (The one who Ask too much forgiveness from Allah)
Silsila As-Sahiha -772



Sunday, January 31, 2021

✦ : Mukamal Hajj aur Umrah ka sawab


Bismillahirrahmanirraheem

✦ : Mukamal Hajj aur Umrah ka sawab
--------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis shaks ne subah ki namaz jamat ke sath padhi phir baith kar Allah subhanahu ka zikr karne laga yaha tak ke suruj tulu ho gaya phir do rakat (Chasht / Ishraq) padhi to usko Mukammal, mukammal, mukammal hajj aur umrah ka sawab hoga
--------
  رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا  جس شخص نے صبح كی نماز جماعت كے ساتھ پڑھی پھر بیٹھ كر اللہ كا ذكر كرنے لگا ،حتیٰ كہ سورج طلوع ہوگیا، پھر دوركعتیں پڑھیں تو اس کو مکمل، مکمل اور مکمل حج اور عمرے كا ثواب ہوگا
--------
✦ : रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जिस शख्स ने सुबह की नमाज़ जमात के साथ पढ़ी फिर बैठ कर अल्लाह सुबहानहु का ज़िक्र करने लगा यहाँ तक की सूरज तुलु हो गया फिर दो रकात (चाश्त / इशराक़) पढ़ी तो उसको मुक़म्मल , मुक़म्मल , मुक़म्मल  हज और उमरह का सवाब होगा 
--------
✦ : Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said:   Whoever prays Fajr in congregation, then sits remembering Allah until the sun has risen, and after that he prays two Rak'ah then he will get  complete , complete , complete  reward of a Hajj and Umrah   
Al-Silsla-As-Sahiha - 746


Tuesday, April 7, 2020

Hadith : Jo Chasht ki 2 rakat namaz ada kar le to wo aisa gunah se paak ho jayega jaise ki uski maa ne usko abhi paida kiya ho


*Bismillahirahmanirraheem*

✦ *Hadith : Jo Chasht ki 2 rakat namaz ada kar le to wo aisa gunah se paak ho jayega jaise ki uski maa ne usko abhi paida kiya ho*
-----
✦ Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  tum mein se jo koi suraj nikalne ke baad khade hokar (ishraq ya chasht ke waqt) achchi tarah wuzu kare aur phir 2 rakat namaz padhe to uske sare gunah is taraf maaf kar diye jayenge jaise ki uski maa ne usko abhi paida kiya ho
Masnad Ahmed, 2250-Sahih
-----
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا  تم میں سے جو کوئی سوره نکلنے کے بعد کھڑے ہو کر ( اشراق یا چاشت کے وقت) اچھی طرح وضو کرے اور پھر  دو رکعت نماز پڑھے تو اس کے  سارے گناہ اس طرح معاف کر  دیئے جائیں گے جیسے اس کی ماں نے اسے ابھی پیدا کیا ہو  
مسند احمد ٢٢٥٠ -صحیح 
-----
✦ रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया तुम में से जो कोई सूरज निकलने के बाद खड़े होकर (यानि इशराक या चाश्त के वक़्त) अच्छी तरह वुजू करे और फिर 2 रकात नमाज़ अदा करे तो उसके सारे गुनाह इस तरह माफ़ कर दिए जायेंगे जैसे की उसकी माँ ने उसको अभी पैदा किया हो
मसनद अहमद 2250-सही 
----
✦ Rasool-Allah  Sallallahu Alaihi wasallam said Whoever gets up when the sun has risen (time of Ishraq or chasht) and does wudoo (Ablution) and does it well, then stands and prays two rakahs,  he will be as free of his sins as the day his mother bore him
Masnad Ahmed, 2250-Sahih

Thursday, September 12, 2019

Madine walo par zulm karne walo ki saza

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Madine walo par zulm karne walo ki saza
------
✦ Rasool-Allah SallAlalahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne madina walo par zulm kiya ya unhe daraya to Allah subhanahu unko darayega aur un par Allah aur uske farishto aur tamam logo ki laanat hogi aur Qayamat ke din Allah uski koi bhi farz aur nafil ibadato ko qubul nahi karega
Musnad Ahmad 12649-Sahih
------
سول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا جس نے  مدینہ والوں پر ظلم کیا  یا ان کو ڈرایا تو  اللہ سبحانه ان کو  ڈرائے گا اور اس پر اللہ اور اس کے فرشتوں اور تمام لوگوں کی لعنت ہو گی اور قیامت کے دن اللہ سبحانه اس کی کوئی بھی  فرض  یا  نفل عبادت قبول نہیں کرے گا۔
مسند احمد ١٢٦٤٩-صحیح 
------
✦ रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जिसने मदीना वालों पर ज़ुल्म किया या उन्हे डराया तो अल्लाह सुबहानहु उनको डराएगा और उन पर अल्लाह और उसके फरिश्तों और तमाम लोगो की लानत होगी और क़यामत के दिन अल्लाह सुबहानहु उस की कोई भी उनकी फ़र्ज़ और नफिल बादतों को क़ुबूल नही किया जाएगा
मसनद अहमद 12649-सही
------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever terrorizes the people of Medina with oppression, then Allah will terrorize him. The curse of Allah, the  angels, and the people altogether will be upon him. Allah will not accept his obligatory or voluntary good deeds on the day of Resurrection.
Musnad Ahmad 12649-Sahih

Wednesday, May 8, 2019

Hadith: Allah Subhanhu us bande par raham kare jo asar se pahle chaar rakaat (sunnat) padhe



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Allah Subhanhu us bande par raham kare jo asar se pahle chaar rakaat (sunnat) padhe 
-------------

✦ Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Asar se pahle 4 rakaat (sunnat) padhte they 
Jamia Tirmizi, Jild 2,410-Hasan

✦ Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanhu us bande par raham farmaye jo asar se pahle chaar rakaat (sunnat) padhe 
Jamia Tirmizi, Jild 2,411-Hasan
✦ Hazrat tameem dari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bandey se Qayamat ke Roz sabse pahley namaz ka hisab hoga agar uski Namazein puri hongi to uskey Nawafil alag se likh diye jayengey aur agar usney namazein puri nahi ki hongi to ALLAH taala apney farishton se farmayega dekho kya mere bandey ke pass Nawafil hain ? to un nawafil ke zariye jo faraaeez usney zaya kar diye unki takmeel kar do phir baqi Aamal ka Hisab bhi isi tarah hoga 
Sunan Ibn Majah, Vol1, 1426 –Sahih
-------------

حضرت علی رضی اللہ عنہ سے روایت ہےنبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم عصر سے پہلے چار رکعتیں پڑھتے تھے، 
جامع ترمذی جلد ۲ ۴۱۰


نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ تعالیٰ اس شخص پر رحم کرے جس نے عصر سے پہلے چار رکعتیں پڑھیں
جامع ترمذی جلد ۲ ۴۱۱


نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: قیامت کے دن بندے سے جس چیز کا سب سے پہلے حساب لیا جائے گا وہ نماز ہو گی، اگر اس نے نماز مکمل طریقے سے ادا کی ہو گی تو نفل نماز علیحدہ لکھی جائے گی، اور اگر مکمل طریقے سے ادا نہ کی ہو گی تو اللہ تعالیٰ اپنے فرشتوں سے کہے گا: دیکھو، کیا میرے بندے کے پاس نفل نمازیں ہیں، تو ان سے فرض کی کمی کو پورا کرو، پھر باقی اعمال کا بھی اسی طرح حساب ہو گا ۔ 
سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۱۴۲۶
----------------------

✦ हज़रत अली रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम असर से पहले 4 रकात (सुन्नत) पढ़ते थे
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 2, 410-हसन

✦ इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु उस बंदे पर रहम फरमाए जो असर से पहले चार रकात (सुन्नत) पढ़े
जामिया तिरमिज़ी, जिल्द 2,411-हसन

✦ हज़रत तमीम दारी रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बंदे से क़यामत के रोज़ सबसे पहले नमाज़ का हिसाब होगा अगर उसकी नमाजें पूरी होंगी तो उसके नवाफिल अलग से लिख दिए जाएँगे और अगर उसने नमाजें पूरी नही की होंगी तो अल्लाह सुबहानहु अपने फरिश्तों से फरमाएगा देखो क्या मेरे बंदे के पास नवाफिल हैं ? तो उन नवाफिल के ज़रिए जो फराईज़ उसने ज़ाया कर दिए उनकी तकमील कर दो फिर बाक़ी आमाल का हिसाब भी इसी तरह होगा
सुनन इब्न माजा, जिल्द 1, 1426 सही

---------------------------------

✦ Ali Radi Allahu Anhu narrated The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to pray four Rak'ah before Al-Asr
Jamia Tirmizi, Book 2, Hadith 429-Hasan

✦ Ibn Umar Radi Allahu Anhu narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: May Allah have mercy upon a person who prays four before Al-Asr.
Jamia Tirmizi, Book 2, Hadith 430-Hasan

✦ It was Narrated from tamim dari may ALLAH be pleased with him that the Prophet Peace be upon him said The first thing for which A person will be brought to a account on the Day of Resurrection will be his prayer (Salah) . If it is complete then the voluntary (Nawafil) prayer will also be recorded for him (As an increase) If it is not complete then Allah will say to his Angels Look and see wheather you find any voluntary (Nawafil) prayer for my slave and take them to make up what is lacking from his obligatory (farz) prayers then All his deeds will be recokened in like manner
Sunan Ibn Majah, Volume 1, #1426 - Sahih

Hadith: Jab farz namaz ki takbir (iqamah) ho jaye to farz namaz ke siwa koi aur namaz nahi padhni chahiye


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: Jab farz namaz ki takbir (iqamah) ho jaye to farz namaz ke siwa koi aur namaz nahi padhni chahiye
-------------------
✦ Hadith : Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab farz namaz ki takbir (iqamat) ho jaye to farz namaz ke siwa koi aur namaz nahi padhni chahiye
Sahih Muslim, Jild 1, 1644

✦ Ibn buhaina Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek baar subah ke namaz ki takbir hone lagee aur Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne dekha ki ek shakhs namaz padh raha hai aur muazzin takbir kah raha hai to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne faramya ki kya tum subah ki 4 rakat (farz) padhte ho ?
Sahih Muslim, jild 1, 1650

✦ Abdullah bin Sarjis Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaks masjid mein aaya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam subah ki farz namaz padha rahe they usne masjid ke kinare par do rakaat sunnat padhi aur phir Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath sharik ho gaya jab Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne salam phera to farmaya eh falah tumne farz namaz kisko gina ? jo akele padhi wo ya jo hamare saath padhi wo ?
Sahih Muslim, jild 1, 1651

✦ Note: Kuch hamare farz namaz ke waqt khas karke fajar ke waqt aqamat ho jane ke baad bhi aakar pahle sunnat padhte hain wo is hadith ke hisab se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke hukm ke khilaf amal karte hain.
----------------------------------

حضرت ابو ہریرۃ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے اور انھوں نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی ، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ، " جب نماز کے لئے اقامت ہوجائے تو فرض نماز کے سوا کوئی نماز نہیں ۔ " 
صحیح مسلم جلد ۱ ۱۶۴۴

حضرت ( عبداللہ ) ابن بحینہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت کی ، کہا : صبح کی نماز کی اقامت ( شروع ) ہوئی تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ایک شخص کو نماز پڑھتے دیکھا جبکہ موذن اقامت کہہ رہا ہے تو آپ نے فرمایا : " کیا تم صبح کی چار رکعتیں پڑھو گے؟ " 
صحیح مسلم جلد ۱ ۱۶۵۰


حضرت عبداللہ بن سرجس ( المزنی حلیف بنی مخزوم رضی اللہ تعالیٰ عنہ ) سے روایت ہے ، انھوں نے کہا : ایک آدمی مسجد میں آیا جبکہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم صبح کی نماز پڑھا رہے تھے ، اس نے مسجد کے ایک کونے میں دو رکعتیں پڑھیں ، پھر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ نماز میں شریک ہوگیا ، جب ر سول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے سلام پھیرا تو فرمایا : " اے فلاں! تو نے دو نمازوں میں سے کون سی نماز کو شمار کیا ہے؟اپنی اس نماز کو جو تم نے اکیلے پڑھی ہے یا اس کو جو ہمارے ساتھ پڑھی ہے
صحیح مسلم جلد ۱ ۱۶۵۱
----------------------

★ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जब फ़र्ज़ नमाज़ की तकबीर (ईकामत) हो जाए तो फ़र्ज़ नमाज़ के सिवा कोई और नमाज़ नही पढ़नी चाहिए
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 1644

✦ इब्न बुहाना रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक बार सुबह के नमाज़ की तकबीर होने लगी और रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने देखा की एक शख्स नमाज़ पढ़ रहा है और मुअज़्ज़ीन तकबीर कह रहा है तो रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की क्या तुम सुबह की 4 रकात (फ़र्ज़) पढ़ते हो ?
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 1650

✦ अब्दुल्लाह बिन सर्जिस रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की एक शख्स मस्जिद में आया रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम सुबह की फ़र्ज़ नमाज़ पढ़ा रहे थे उसने मस्जिद के किनारे पर दो रकात सुन्नत पढ़ी और फिर रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ शरीक हो गया जब आप सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने सलाम फेरा तो फरमाया एह फ़लाह तुमने फ़र्ज़ नमाज़ किसको गिना ? जो अकेले पढ़ी वो या जो हमारे साथ पढ़ी वो ?
सही मुस्लिम, जिल्द 1, 1651
------------------------------------

✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: When the Iqamah has been called for the Salat then there is no Salat except the obligatory.
Sahih Muslim, Book 4, 1532

✦ Ibn Buhaina Radi Allahu Anhu reported: The dawn prayer had commenced when the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam saw a person observing prayer, whereas the Mu'adhdhin had pronounced the Iqama. Upon this he (the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam ) remarked: Do you say four rak'ahs (of Fard) in the dawn prayer?
Sahih Muslim, Book 4, Hadith 1536

✦ Abdullah bin Sarjis reported A person entered the mosque, while the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam was leading the dawn prayer. He observed two rak'ahs in a corner of the mosque, and then joined the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam in prayer. When the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam had pronounced salutations (he had concluded the prayer), he said: O, so and so, which one out of these two prayers did you count (as your Fard prayer), the one that you observed alone or the prayer that you observed with us?
Sahih Muslim, Book 4, 1537

Saturday, November 28, 2015

Hadith Qudsi : Allah subhaanhu farmata hai mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu

Bismillahirrahmanirrahim



Hadith Qudsi : Allah subhaanhu farmata hai mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu
---------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai  Jisne mere kisi wali se Dushmani ki usey meri taraf se Elan-e-Jung hai  aur Mera banda jin jin ibadaton  se Mera Qurb hasil karta hai  (yani mere kareeb aata hai unmein se) koi ibaadat mujhko us se ziyada  pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( jaise Namaz Roza , Hajj , Zakat..)  Aur mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna
ziyada nazdeek ho jata hai ki main us se Muhabbat karne lag jata hu phir jab  main us se Muhabbat karne lag jata hu to Main uska Kaan (ear) ban jata hu jis se wo sunta hai,uski Aankh ban jata hu jis se wo dekhta hai , uska haath  ban jatahu jis se wo pakadta hai , uska paaw (leg) ban jata hu jis se wo
chalta hai. Aur agar mujhse maangta hai to main usey deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai  to main usko Mehfooz rakhta hu Aur main jo kaam karna chahta hu usmein mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momeen bande ki Jaan nikalne mein hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta 
Sahih Bukhari, Vol 7, 6502 
----------------------
हदीस कुदसी : अबू हुरैरा रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया
अल्लाह सूबहानहु फरमाता है  जिसने मेरे किसी वली से दुश्मनी की उसे मेरी
तरफ से एलान-ए-जुंग है और मेरा बंदा जिन जिन इबादतों से मेरा कुर्ब हासिल
करता है (यानि मेरे करीब आता है उनमें से) कोई ईबादत मुझको उस से ज़्यादा
पसंद नही है जो मैने  उस पर फ़र्ज़ की है (जैसे नमाज़,रोज़ा,हज, ज़कात..)
और मेरा बंदा फ़र्ज़  अदा करने के बाद नवाफ़िल ईबादत करके मुझसे इतना
ज़्यादा  नज़दीक हो  जाता है की मैं उस से मुहब्बत करने लग जाता हूँ फिर
जब मैं उस से मुहब्बत करने लग जाता हू तो मैं उसका कान बन जाता हूँ जिस
से वो सुनता है, उसकी आँख बन जाता हू जिस से वो देखता है , उसका हाथ
बन जाता हू जिस से वो पकड़ता है , उसका पाँव बन जाता हूँ जिस से वो
चलता है. और अगर मुझसे माँगता है तो मैं उसे देता हूँ , अगर वो किसी दुश्मन
या शैतान से मेरी पनाह का तालिब होता है तो मैं उसको महफूज़ रखता हूँ
मैं जो काम करना चाहता हूँ उसमें मुझे इतना तरद्दुद (Hesitation) नही होता जितना की मुझे अपने मोमीन  बंदे की जान निकालने में होता है वो तो मौत को पसंद नही करता और मुझे भी उसको तकलीफ़ देना अच्छा नही लगता
सही बुखारी, जिल्द 7,  6502
----------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said that , "Allah Subhanahu said, 'I will declare war against him who shows hostility to a pious worshipper of Mine. And the most beloved things with which My slave comes nearer to Me, is what I have enjoined upon him;  

 And My slave keeps on coming closer to Me through performing Nawafil (praying or doing extra deeds besides what is obligatory) till I love him, so I become his sense of hearing with which he hears, and his sense of sight with which he sees, and his hand with which he grips, and his leg with which he walks; and if he asks Me, I will give him, and if he asks My protection (Refuge), I will protect him; (i.e. give him My Refuge) and I do not hesitate to do anything as I hesitate to take the soul of the believer, for he hates death, and I hate to disappoint him." 
Sahih Bukhari, Book #76, Hadith #509 

Tuesday, October 20, 2015

Hadith: Apne gharo mein bhi (Nawafil) Namazein padha karo , aur unhe Qabro ki tarah na banao

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Apne gharo mein bhi (Nawafil) Namazein padha karo , aur unhe Qabro ki tarah na banao

Ibn Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya apne gharo mein bhi (Nawafil) Namazein padha karo , aur unhe Qabro ki tarah na banao
Sahih Bukhari, Vol 1, 432
----------------------------------------
Narrated Ibn `Umar Radhi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam had said, "Offer some of your prayers (Nawafil) at home, and do not take your houses as graves.
Sahih Bukhari, Book 8, 424

Sunday, July 12, 2015

Salat-ul-tasbeeh padhne ka sahi tareeqa Sahi Hadith se

Bismillahirrahmanirrahim 

*Salat-ul-tasbeeh parhne se agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huye , jaan bujh kar kiye huye, chote, bade, chup par kiye huye aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf*
--------------------
Hazrat Ibn Abbas radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abbas se farmaya mere chacha kya main aapko ek atiya na karu ? kya Ek hadiya na du ? kya ek Tohfa pesh na karu ? kya main aapko aisa amal na batauu ki jab aap isko karengey to aapko 10 faydey hasil hongey

Yani Allah taala aapke Agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huye , jaan bujh kar kiye huye, chote, bade, chup par kiye huye aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf farma denge.
Wo Amal ye hain ki Aap 4 rakaat ( Salatul Tasbeeh) padhe aur har rakaat mein surah fatiha aur dusri koi surat padhe jab aap pahli Rakaat mein Qirat se farig ho jaye to rukun se pahley 15 baar ye pad le

سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar 

Phir ruku kare aur ruku mein bhi yahi kalmaat 10 baar padhe
Phir ruku se uth kar qoma mein bhi 10 baar yahi kalmaat padhe,
Phir sazde mein jaye aur 10 baar yahi kalmat padhe,
Phir sazde mein uth kar jalsey mein 10 baar yahi kalmaat kahey, 
Phir dusrey sazdemein bhi yahi kalmaat 10 martaba kahey 
Phir dusrey sazde ke baad bhi khadey honey se pahley 10 martaba yahi kalmaat kahey.
Charon rakaat isi tarah padhe aur is tarah se har rakaat mein ye kalmaat 75 (15+10+10+10+10+10+10) baar kahe 
(Mere chacha) Agar aapse ho sake to rozana ye namaz ek martaba padha kare ,
Agar rozana na pad sako to Jumaa ke din pad liya karo, 
Agar aap ye bhi na kar sako to Mahiney mein ek baar pad liye karo,
Agar aap ye bhi na kar sako to Saal mein ek baar pad liye karo, 
Agar ye bhi na ho sakey to zindagi mein ek baar par liy karo.

Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1284 - Sahih
Sunan Ibn majha - Vol 1 , 1387 - Hasan

Arabic English text: (Sahi Sanad )
http://www.sunnah.com/abudawud/5/48
http://www.sunnah.com/urn/1287350

Tehqeeq:
https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2015/06/24/salatut-tasbeeh-namaz-ka-tareeka/

--------------------

मफ्हुम-ए-हदीस : सलात अल तस्बीह पढ़ने से अगले , पिछले , पुराने , नये, ग़लती से किए हुए , जान बुझ कर किए हुए, छोटे, बड़े, छुप पर किए हुए और खुल्लम खुल्लाह किए हुए सब गुनाह माफ़ हो जाते हैं 
--------------------
हज़रत इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने हज़रत अब्बास रदी अल्लाहु अन्हु से फरमाया मेरे चाचा क्या मैं आपको एक अतिया ना करू ? क्या एक हदिया ना दू  ? क्या एक तोहफा पेश ना करू ? क्या मैं आपको ऐसा अमल ना बताऊ की जब आप इसको करेंगे तो आपको 10 फ़ायदे हासिल होंगे

यानी अल्लाह ताला आपके अगले , पिछले , पुराने , नये, ग़लती से किए हुए , जान बुझ कर किए हुए, छोटे, बड़े, छुप पर किए हुए और खुल्लम खुल्लाह किए हुए सब गुनाह माफ़ फरमा देंगे.
वो अमल ये हैं की आप 4 रकात ( सलातुल तसबीह) पढ़े और हर रकात में सुराह फातिहा और दूसरी कोई सूरत पढ़े जब आप पहली रकात में क़िरत से फारिग हो जाए तो रुकू से पहले 15 बार ये पढ़ ले

سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
सुबहान-अल्लाहि  वा अल्हम्दुलिल्लाही वा ला इलाहा इल्लल्लाहु वल्लाहू अकबर 

फिर रुकु करे और रुकु में यही कलिमात 10 बार पढ़े 
फिर रुकु से उठ कर क़ोमा में भी 10 बार यही कलिमात पढ़े,
फिर सजदे में जाए और 10 बार यही कलिमात   पढ़े,
फिर सजदे से उठ कर जलसे में 10 बार यही कलिमात कहे, 
फिर दूसरे सजदे  में भी यही कलिमात 10 मर्तबा कहे 
फिर दूसरे सजदे के बाद भी खड़े होने से पहले 10 मर्तबा यही कलिमात कहे.
चारों रकात इसी तरह पढ़े और इस तरह से हर रकात में ये कलिमात 75 (15+10+10+10+10+10+10) बार कहे 
(मेरे चाचा) अगर आपसे हो सके तो रोज़ाना ये नमाज़ एक मर्तबा पढ़ा करे ,
अगर रोज़ाना ना पढ़ सको तो ज़ूमा के दिन पढ़ लिया करो, 
अगर आप ये भी ना कर सको तो महीने में एक बार पढ़ लिया करो, 
अगर आप ये भी ना कर सको तो साल में एक बार पढ़ लिया करो, 
अगर ये भी ना हो सके तो ज़िंदगी में एक बार पढ़ लिया करो, 

सुनन अबू दावूद , जिल्द 1 , 1284 -सही
सुनन इब्न माजा , जिल्द 1, 1387 - हसन 

सही सनद  : 
http://www.sunnah.com/abudawud/5/48
http://www.sunnah.com/urn/1287350
------------------------------
English Translation:

- The true method to perform Salat Al Tasbeeh prayer from Sahi Hadith --

Narrated Abdullah Ibn Abbas radi allahu anhu: The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) said to al-Abbas ibn AbdulMuttalib: Abbas, my uncle, shall I not give you, shall I not present to you, shall I not donate to you, shall I not produce for you ten things? If you act upon them, Allah will forgive you your sins, first and last, old and new, involuntary and voluntary, small and great, secret and open. These are the ten things: 
you should pray four rak'ahs, reciting in each one Surah Fatiha and a surah. When you finish the recitation of the first rak'ah you should say fifteen times (15) while standing: 

سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar 

("Glory be to Allah", "Praise be to Allah", "There is no god but Allah", "Allah is most great".)
Then you should bow and say it ten (10) times while bowing. 
Then you should raise your head after bowing and say it ten (10) times. 
Then you should kneel down in prostration and say it ten (10) times while prostrating yourself. 
Then you should raise your head after prostration and say it ten (10) times. 
Then you should prostrate yourself and say it ten (10) times. 
Then you should raise your head after prostrating and say it ten (10) times in every rak'ah. 
(in this way it will be total 75 times in a rakah)

You should do that in four rak'ahs. If you can observe it once daily, do so; if not, then once weekly; if not, then once a month; if not, then once a year; if not, then once in your lifetime.
Sunan Abu Dawud: Book 5, Number 1292- Sahih
Sunan Ibn majah Book 5, Hadith 1387 - Hasan

Arabic text ( Sahih Sanad)
http://www.sunnah.com/abudawud/5/48
http://www.sunnah.com/urn/1287350 

------------------------------

—->> Is Hadees ka sanad ka Tehqeeqi Jaiza [Sunan Abu Daood jild-1 safa-184 kitab al salat hadees no-1105,1297, Jamai Tirmizi jild-1 safa-63 kitab Al salat hadees no-443,479, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-100 kitab Ikamat Al salat hadees no-1387,1386,1376,3177 (ASanad sahi) ]

Is Hadees ko “Sahii” Kehan wale A Muhaddaseen hy

1. Abu Dawood,

2.Ibne Hajr Asqlani (Anukat vol.2 pg.848-850
3. Al-Aajari,

4. As-Sum’aani,

5. al-Madini,

6. al-Mundthiri,

7. Abul-Hasan al-Mundthiri,

8. Ibn As-Salaah,

9. Ad-Dailami,

10. Al-Haakim,

11. Al-A’laali,

12. Az-Zurkashi,

13. Al-Muhaamili,

14. Abul-Hasan al-Muqdasi,

15. al-Juwaini,

16. Al-Baghawi,

17. Ar-Ra’fiee’,

18. Al-Haitami,

19. As-Su’youti,

20. Al-Luknawwi,

Aaj ke dour me Bade Muhaddaseen bhi is Hadees ko “Hasan” kaha…

1 Muhaddase Azam Shiek Nasruddin Albani ne is hadees ko Hasan kaha {sahih al taghrib wa tarhib}

2 Muhaddis SHAKIR ne bhi is hadees ko sahii kaha

3 SHEIK MUBARAKPURI Ne is hadees ko Hasan kaha[Mura’at al mufa teh Sareh Miskat Al musabiya jild-4 safa-374 .}

4 Muhaddis Shieik Zubair Ali zae bhi Is hadees ko Hasan kaha ” [Sunnan Abu Dawud, Published by Dar us Salam, Volume No.2, Page No. 96]

salatul tasbi
—>>Muhaddaseen ke view A Hy salatul Tasbeeh ke bareme

1 Imam Tirmizi kehte hy Zyadase Ulama me aur Unme se Abdullah Bin Mubarak Is salatul Tasbeeh ka namaz ko kayal the (Tirmidhi vol.2 pg.348; Hadith 481

2 Imam Baihqi kehte hy ke A Salatul tasbeeh ka Namaz ( Muhaddis ) Abdullah Bin Mubarak ka amal tha aur salaf me bhi a amal tha (Shu’ubul Imaam vol.1 pg.427; Ilmiyyah)

3 Allaamah Munzhiri (RA) kehte Bahut sare Muhaddaseen is Qayal the wo a log hy 1) Imaam Abu-bakr al-Ajurriy, 2) Imaam Abu Muhammad al-Misriy (Ustaadh of Allaamah Munzhiri), 3) Hafiz Abul-Hasan Maqdisi (Ustaadh of Allaamah Munzhiri), 4) Imaam Abu-Dawud and 5) Imaam Haakim. (Targheeb vol.1 pg.468)

4Imam Muslim ne farmaya: Is mamle mein Rawiyon ke sahih sanad ke saath isse(yani Ibn Abbas ki riwayat se ) behtar koi hadees nahi hai.

5 Imam Suyuti kehte hy 20 jalilul Qadr Muhaddaseen bhi Is hadees ko sahii kaha wo a log hy 6) Hafiz Abu-Sa’eed al-Sam’aaniy, 7) Hafiz Khateeb al-Baghdaadiy, 8) Hafiz ibn-Mandah, 9) Imaam Bayhaqi, 10) Imaam al-Subkiy, 11) Imaam al-Nawawiy, 12) Haafiz ibn al-Salat, 13) Hafiz Abu-Musa al-Madiniy, 14) Hafiz al-Alaaeiy, 15) Imaam Siraaj-ud-Deen al-Bulqiniy, 16) Hafiz al-Zarkashiy and a few others. (al-Laalil Masnoo’ah vol.2 pg.42-44)

6 Ibne Hajr Asqlani kehte hy Ahmed Bin Hambal ne Unke Ray(Opinioun) Ko Baad me Ruzu karliye the Futuhaat al-Rabbaaniyyah vol.4 pg.318, 320)
------------------
Note-Net par kuch web sites par Salatul Tasbih waali riwayat ko zaeef kaha gaya hai, lekin koi illat (zaeef ka wajah) bayan nahi kiya gaya hai. Aur iske tareeqe par swaal utahay gaya hai ki tareeqa digar namaz se alag hai , phir to Namaze janaza ka tareeqa bhi digar namazo se alag hai to kya uski buniyad par hum usko bhi zaeef kah denege , sirf is daur ke kuch ulmao ke kahne kisi bhi sahi hadith ko radd nahi ki ja sakta jabki uskei sahi sanad majud ho
 Allaah Knows Best

Total Pageviews