Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Duniya-Aakhirat(This World and hereafter). Show all posts
Showing posts with label Duniya-Aakhirat(This World and hereafter). Show all posts

Saturday, May 21, 2022

Hadith : Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho


 *Bismillahirrahmanirraheem*

✦:  *Hadith : Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho*

-------

✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho Ibn Umar kaha karte they ki sham ho jaye to subah ke muntazir na raho aur subah ho jaye to sham ke muntazir na raho ,Apni sehat ko marz se pahle ganeemat jano aur zindagi ko maut se pahle

Sahih Bukhari  6416
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  دنیا میں اس طرح ہو جا جیسے تو مسافر یا راستہ چلنے والا ہو۔ابن عمر فرمایا کرتے تھے شام ہو جائے تو صبح کے منتظر نہ رہو اور صبح کے وقت شام کے منتظر نہ رہو، اپنی صحت کو مرض سے پہلے غنیمت جانو اور زندگی کو موت سے پہلے۔ 

صحیح بخاری 6416
-------
✦: रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया दुनिया में इस तरह रहो जैसे की मुसाफिर हो या रास्ता चलने वाला हो , इब्न उमर कहा करते थे की शाम हो जाए तो सुबह के मुन्तज़िर न रहो और सुबह हो जाए तो शाम के मुन्तज़िर न रहो , अपनी सेहत को बीमारी से पहले गनीमत समझो और ज़िन्दगी को मौत से पहले

सही बुखारी  6416
-------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said Be in this world as if you were a stranger or a traveler. The sub-narrator added: Ibn 'Umar used to say, "If you survive till the evening, do not expect to be alive in the morning, and if you survive till the morning, do not expect to be alive in the evening, and take benefit  from your health before your sickness, and (take benefit) from your life before your death
Sahih Bukhari  6416

Tuesday, September 21, 2021

✦: Hadith : Agar tumhe Allah ki rahmat ka andaza ho jaye to tum usee par bharosa karke baith jao aur koi kaam na karo

 Bismillahirrahmannirraheem


✦: Hadith : Agar tumhe Allah ki rahmat ka andaza ho jaye to tum usee par bharosa karke baith jao aur koi kaam na karo

----

✦:  Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam ne farmaya Agar tumhe Allah Subhanahu ki rahmat ka andaza ho jaye to tum usee par bharosa karke baith jao aur koi kaam na karo aur agar tumhe Allah Subahnahu ke gusse ka andaza ho jaye to tumhe koi cheez nafa na de

Al-Silsila-tus-Sahiha 1083-Sahih

----------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا    اگر تمہیں اللہ كی رحمت  کا اندازہ ہو جائے تو تم اسی پر  بھروسہ كر كے بیٹھ جاؤ اور كوئی كام نہ كرو اور اگر تمہیں اللہ كے غصے کا اندازہ ہو جائے تو تمہیں كوئی چیز فایدہ نہ دے

سلسلہ صحیحہ - ١٠٨٣ 

--------

✦: रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया अगर तुम्हे अल्लाह सुबहानहु की रहमत का अंदाज़ा हो जाए तो तुम उसी पर भरोया करके बैठ जाओ  और कोई काम ना करो और अगर तुम्हे अल्लाह सुबहानहु के गुस्से का अंदाज़ा हो जाए तो तुम्हे कोई चीज़ फायदा ना दे 

सिलसिला अस-सहिहा - 1083

--------

✦: Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam Said if you know the extent of Allah's mercy, then you should rely on it and do nothing, and if you know the extent of Allah's wrath, then nothing will benefit you.

Al-Silsila-tus-Sahiha 1083-Sahih

Thursday, July 1, 2021

Hadith :Momeen ko Nekiyon ke badle Duniya mein Rizq diya jata hai

 Bismillahirrahmanirrahim

✦: Hadith :Momeen ko Nekiyon ke badle Duniya mein Rizq diya jata hai
------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu momin ki neki ke baare me zulm nahi karta, duniya me bhi iske badle usey rizq pahunchaya jata hai aur aakhirat me bhi iska badla diya jayega jabki kafir ko uski nekiyo ke badle duniya me hi badla de diya jata hai, Jab wo Allah Subhanahu se mulaqat karega to uski aisi koi neki nahi hogi jiske badle usey ajar diya jaye
Al-Silsila As-Sahiha 3647
------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اللہ سبحانہ مومن کی نیکی کے بارے میں ظلم نہیں کرتا دنیا میں بھی اسکے بدلے اسے رزق پہنچایا جاتا ہے اور اور آخرت میں اسکا بدلہ دیا جائے گا جبکہ کافر کو اسکے نیکیوں کے بدلے دنیا میں بدلہ دے دیا جاتا ہے، جب وہ اللہ سبحانہ سے ملاقات کرے گا تو اسکی ایسی کوئی نیکی نہیں ہوگی جسکے بدلے اسے اجر دیا جائے
سلسلہ صحیحہ ٣٦٤٧
------

✦: रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहू मोमिन की नेकी के बारे मे ज़ुल्म नही करता,  दुनिया मे भी इसके बदले उसे रिज़्क़ पहुंचाया जाता है और आखिरत मे भी उसका बदला दिया जाएगा  जबकि काफिर को उसकी नेकियों के बदले  दुनिया मे ही बदला दे दिया जाता है, जब वो अल्लाह सुबहानहू से मुलाक़ात करेगा तो उसकी ऐसी कोई नेकी नहीं होगी जिसके बदले उसे अजर दिया जाए
अल-सिलसिला-अस-सहिहा 3647

------
✦: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said  Allah Subhanahu doesn't do injustice with the good deeds of a believer through this his provision will be delivered in the world and he will be given reward for that hereafter While the disbelievers will earn reward of his deeds in this world itself when he meets with Allah Almighty his deeds remains nothing to be rewarded
As- Silsila As Sahiha 3647

Tuesday, March 9, 2021

✦: Hadith : Panch (5) ko panch (5) se pahle ganimat jano

  Bismillahirrahmanirraheem

✦: Hadith :  Panch (5) ko panch (5) se pahle ganimat jano
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya panch (5) ko panch (5) se pehle ganimat jano, Apni zindagi ko apni maut se pahle, Apni sehat ko beemari se pahle aur Apni fursat ko mashguliyat se pahle aur Apni jawani ko budhape se pahle, aur apni maaldari ko faqeeri se pehle
-----
رسول اللّه صلى اللّه عليه وسلم نے فرمایا پانچ كو پانچ سے قبل غنيمت جانو اپنى زندگى كو اپنى موت سے پہلے ، اپنى صحت كو بيمارى سے پہلے اور اپنى فراغت كو مشغول ہونے سے پہلے ، اور اپنى جوانى كو بڑھاپے سے پہلے اور اپنى مالدارى كو فقيرى سے پہلے
صحیح الجامع ١٠٧٧
-----
✦:रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया पांच को पांच से पहले गनीमत जानो , अपनी ज़िन्दगी को अपनी मौत से पहले अपनी सेहत को बीमारी से पहले , अपनी फुर्सत को मशगुलियत से पहले और अपनी जवानी को बुढ़ापे से पहले और अपनी मालदारी को फ़कीरी से पहले
सही अल जामे - 1077
-----
✦: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said,  Take advantage of five before five: your youth before your old age, your health before your illness, your riches before your poverty, your free time before your work, and your life before your death.
Sahih Al-Jame-1077

Sunday, June 21, 2020

✦ *Hadith: jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey Kaamo mein pareshaani daal dega*


Bismillahirrahmanirrahim

✦ *Hadith: jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uskey  Kaamo mein pareshaani daal  dega*
------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shaksh ko sirf duniya ki fikr ho to Allah subhanahu uske kamo mein pareshaani daal dega ,aur uski muflisi dono aankho ke darmiyan kar dega, aur duniya usko utni hi milegi jitni uski taqdeer mein likhi hai, aur jo aakhirat ki fikr karega to Allah subhanahu uske sare kaam durust kar dega, aur uskey dil mein (duniya se) beparwahi daal dega aur duniya kisi bhi tarah uske paas aayegi
Sunan ibn Majah, Jild 3,986 –Sahih
Islam360-4105
------
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جس شخص کو صرف دنیا کی فکر ہو تو اللہ تالا اس کے کاموں میں پریشانی ڈال دیگا 
اور اسکی مفلسی دونو آنکھوں کے درمیان کر دیگا اور دنیا اسکو اتنی ہی میلیگی  جتنی اسکی تقدیر میں لکھی ہو اور جو آخرت کی فکر کریگا تو اللہ اسکے سارے کام  درست کر دیگا اور اس کے دل  میں (دنیا سے) بے پرواہی ڈال دیگا اور دنیا کسی بھی طرح سے اسکے پاس آ ئے گی  
سنن ابن ماجہ جلد ۳ ٩٨٦ صحیح
------
✦ रसूलअल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जिस शख्स को सिर्फ़ दुनिया की फ़िक्र हो तो अल्लाह सुबहानहु  उसके कामों  में परेशानी डाल देगा ,और उसकी मुफ़लिसी दोनो आँखो के दरमियान  कर देगा , और दुनिया उसको उतनी ही मिलेगी जितनी उसकी तक़दीर में लिखी है, और जो आख़िरत की फ़िक्र करेगा तो अल्लाह सुबहानहु उसके सारे काम दुरुस्त कर देगा, और उसके दिल में (दुनिया से )  बे परवाही डाल देगा और दुनिया किस भी तरह उसके पास आएगी
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द  3, 986 
------
✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said Whoever is focused only on this world, Allah will confound his affairs and make him fear poverty constantly, and he will not get anything of this world except that which has been decreed for him. Whoever is focused on the Hereafter, Allah will settle his affairs for him and make him feel content with his lost, and his provision and worldly gains will undoubtedly come to him.
Sunan ibn Majah, Book 37,4105-Sahih

Tuesday, May 14, 2019

Hadith: Jab koi Muslman dua karta hain to Allah Subhanahu teen cheezon main se koi ek ataa karta Hain


Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Jab koi Muslman dua karta hain to Allah Subhanahu teen cheezon main se koi ek ataa karta Hain
----------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai ya phir uski koi taklif us se dur farma deta hain Sahaba Radi Allahu Anhuma ne farmaya phir to ham zyada duayein karenge to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu (ke paas ata karne ko) bahut zyada hain
Masnad Ahmed, 10749-Sahih
-------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب کوئی مسلمان کوئی ایسی دعا کرتا ہے جس میں گناہ اور قطع رحمی نہ ہو تو اللہ اس وجہ سے تین چیزوں میں سے کوئی ایک اسے عطا فرما دیتا ہے  یا تو اس کی دعا فوراً قبول فرما لیتا ہے یا اسے اس کے لیے آخرت میں ذخیرہ کر لیتا ہے یا پھر اس کی مثل تکلیف اس سے دور فرما دیتا ہے ۔ صحابہ نے عرض کیا ، تب تو ہم زیادہ دعائیں کریں گے ، آپ ﷺ نے فرمایا  اللہ
 (کے پاس عطا کرنے کو) بہت زیادہ ہے 
مسند احمد ١٠٧٤٩-صحیح 
-------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया  जब कोई मुसलमान ऐसी दुआ करता हैं जिस में गुनाह और क़तअ रहमी ना हो तो अल्लाह सुबहानहु उस वजह से तीन  चीज़ों में से कोई एक उसको अता फरमा देता हैं या तो उसकी दुआ फ़ौरन क़ुबूल फरमा देता है, या उसके लिए आख़िरत में ज़ख़ीरा कर लेता है या फिर उसकी कोई तकलीफ़ उस से दूर फरमा देता हैं सहाबा रदी अल्लाहू अन्हुमा ने फरमाया फिर तो हम ज़्यादा दुआएं  करेंगे तो आप  सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु (के पास अता करने को) बहुत ज़्यादा हैं
मसनद अहमद,10749-सही
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said, if any Muslim who supplicates to Allah without sin or cutting family ties in it , Allah will give him one of three answers: he will hasten fulfillment of his supplication, he will store it for him in the Hereafter, or he will divert an evil from him similar to it. They said, In that case we will ask for more. The Prophet said, Allah has even more.
Musnad Aḥmad 10749

Hadith : Chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari




*Bismillahirrahmanirrahim*

✦ Hadith : Chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari
----------
✦ Saad bin abi waqas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain (yani inki wajah se khushi hasil hoti hai) Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari aur chaar cheezi pareshaniyo ka hissa hoti hain (yani inki wajah se pareshani hoti hai) bure padosi, buri biwi , buri sawari aur tang makan.
Al-Silsila As-Sahiha-1903
----------
سعد بن ابی وقاص‌ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کی  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا چار چیزیں خوشیوں کا حصّہ ہوتی ہیں (یعنی ان کی وجہ سے خشی حاصل ہوتی ہیں )۔ نیک بیوی، کشادہ گھر، نیک پڑوسی، اور اچھی سواری۔ 
اور چار چیزیں  پریشانیوں کا حصّہ ہوتی ہیں (یعنی ان کی وجہ سے پریشانی ہوتی ہے)۔ برا پڑوسی، بری بیوی، بری سواری، اور تنگ مکان۔
السلسلہ صحیحہ ١٩٠٣  
----------
✦ साद बिन अबी वक़ास रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया चार चीज़े खुशियों  का हिस्सा होती हैं (यानी इनकी वजह से खुशी हासिल होती है) नेक बीवी, बड़ा घर, नेक पड़ोसी और अच्छी सवारी और चार चीज़ें परेशानियों  का हिस्सा होती हैं (यानी इनकी वजह से परेशानी होती है) बुरे  पड़ोसी, बुरी बीवी , बुरी सवारी और तंग मकान
अल-सिलसिला अस-सहिहा-1903
----------
✦ Sad ibn Abi Waqqaas Radi Allahu Anhu said that the Prophet SallAllahu Alaihi Wasallam said Four things are part of happiness: a righteous wife, a spacious abode, a good neighbour and a comfortable mount. And four things are part of misery: a bad wife, a bad neighbour, a bad mount and a small abode.
Al-Silsila As-Sahiha-1903

Al Quran : Logo tumko Maal ki bahut see talab ne gafil Kar diya



Bismillahirahmanirrahim

✦:Surah Al-Takathur
----
 أَلْهَاكُمُ التَّكَاثُرُ 
 حَتَّىٰ زُرْتُمُ الْمَقَابِرَ 
 كَلَّا سَوْفَ تَعْلَمُونَ 
 ثُمَّ كَلَّا سَوْفَ تَعْلَمُونَ 
 كَلَّا لَوْ تَعْلَمُونَ عِلْمَ الْيَقِينِ
 لَتَرَوُنَّ الْجَحِيمَ 
 ثُمَّ لَتَرَوُنَّهَا عَيْنَ الْيَقِينِ 
 ثُمَّ لَتُسْأَلُنَّ يَوْمَئِذٍ عَنِ النَّعِيمِ
----
✦Al Quran : Logo tumko Maal ki bahut see talab ne gafil Kar diya 
Yaha tak ke tumne Qabrein jaa dekhein
Dekho tumhein jald malum ho jaega 
Phir dekho tumhein jald malum ho jaega 
Dekho agar tum jante (Yani)ilm aur Yaqeen (rakhte to gaflat na Karte)
Tum zarur dozakh dekhoge,
Aur tum Usay yaqeen ki ankh se dekh loge
Phir us roz tumse Naimat ke bare mein Sawal hoga
Surah Al-Takathur (102) aayat 1-8
-----
لوگو) تم کو (مال کی) بہت سی طلب نے غافل کر دیا) 
یہاں تک کہ تم نے قبریں جا دیکھیں 
دیکھو تمہیں عنقریب معلوم ہو جائے گا 
پھر دیکھو تمہیں عنقریب معلوم ہو جائے گا 
دیکھو اگر تم جانتے (یعنی) علم الیقین (رکھتے تو غفلت نہ کرتے) 
تم ضرور دوزخ کو دیکھو گے 
اور تم اسے یقین کی آنکھ سے دیکھ لو گے
پھر اس روز تم سے نعمت کے بارے میں سوال ہوگا 
سورة التكاثر آیت ١-٨ 
-----
✦ अल क़ुरान : लोगो तुमको माल की बहुत सी तलब ने गाफ़िल कर दिया,
यहा तक के तुमने क़ब्रें जा देखी,
देखो तुम्हें जल्द मालूम हो जाएगा, 
फिर देखो तुम्हें जल्द मालूम हो जाएगा, 
देखो अगर तुम जानते (यानी) इल्म और यक़ीन (रखते तो गफलत ना करते),
तुम ज़रूर दोज़ख़् को देखोगे,
और तुम उसे यक़ीन की आँख से देख लोगे,
फिर उस रोज़ तुमसे नैमत के बारे में सवाल होगा
सुराह अल-तक़ासुर (102) आयत 1-8
-----
✦:Al Quran : The mutual rivalry (for piling up of worldly things) diverts you, 
Until you visit the graves ( till you die). 
Nay! You shall come to know! 
Again nay! You shall come to know! 
Nay! If you knew with a sure knowledge (the end result of piling up, you would not have been occupied yourselves in worldly things). 
Verily, You shall see the blazing Fire (Hell)! 
And again, you shall see it with certainty of sight! 
Then on that Day you shall be asked about the delights (you indulged in, in this world)!
Surah Al-Takathur(102) aayat 1-8

Islamic Azkars Videos
https://www.youtube.com/islamicAzkars

Saturday, November 28, 2015

Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega

Abu Hurairah radi allahu taaala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey)nahi honge , is se pahle  (maaf karwa le warna)  uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par dal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6534


Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye mazalim ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega ( yani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat mein dakhil hone ki ejazat milegi , us zaat ki kasam jiske haath mein Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi apne ghar ko duniya mein apne ghar ki muqable mein zyada achchi tarah pahchan lega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6535

----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken and paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)
Sahih Bukhari Vol 8, Book 76, No. 541

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri Radhi allahu anhu  Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam  said, "The believers, after being saved from the (Hell) Fire, will be stopped at a bridge between Paradise and Hell and mutual retaliation will be established among them regarding wrongs they have committed in the world against one another. After they are cleansed and purified (through the retaliation), they will be admitted into Paradise; and by Him in Whose Hand Muhammad's soul is, everyone of them will know his dwelling in Paradise better than he knew his dwelling in this world.

Sahih Bukhari Book 76, No. 542

Saturday, September 19, 2015

Al Quran : Wo (ALLAH ) jiske haath mein baadshahi hai badi barkat wala hai aur wo har cheez par Qadir hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Wo (ALLAH ) jiske haath mein baadshahi hai badi barkat wala hai aur wo har cheez par Qadir hai Jisney maut aur Zinadagi ko paida kiya taki tumhey aazmaye ke tum mein kiskey kaam achchcey hain
Surah Al Mulk (67), verse 1-2

---------------------------------------------
Al Quran :  Blessed be He in Whose Hand is the dominion; and He is Able to do all things.
Who has created death and life that He may test you which of you is best in deed. And He is the All-Mighty, the Oft-Forgiving;
Surah Al Mulk (67), verse 1-2

Friday, September 4, 2015

Hadith: Meri is ummat ke ummati marhuma hain , un par aakhirat mein koi azab nahi hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Meri is ummat ke ummati marhuma hain , un par aakhirat mein koi azab nahi hoga

Hadith: AbuMusa Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya meri is ummat ke ummati marhuma hain , un par aakhirat mein koi azab nahi hoga bulki duniya mein  uskey azab ye hongey  Fitney , Zalzaley aur Qatl ( yani unko qatl kiya jayega)
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 874-Sahih

Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har nabee ne kuch cheezein maangi, ya farmaya ki har Nabee ko ek (khas) dua di gayee yani jo bhi unhoney dua maangi wo Qubul ki gayee lekin maine apni Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfaat ke liye mehfooz rakhi huyee hai. 
Sahih Bukhari, vol 7, 6305


-----------------------------
Narrated AbuMusa Radi Allahu Anhu The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said: This people of mine is one to which mercy is shown. It will have no punishment in the next world, but its punishment in this world will be trials, earthquakes and being killed.
Sunan Abu Dawud- Book 36, #4265-Sahih


Narrated Anas Radi Allahu Anhu : that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "For every prophet there is an invocation that surely will be responded by Allah," (or said), "For every prophet there was an(special) invocation with which he appealed to Allah, and his invocation was accepted (in his lifetime), but I kept my (this special) invocation to intercede for my followers on the Day of Resurrection." 
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 75, No. 317

Monday, May 18, 2015

Hadith: Wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge

Hudhaifa bin Al-Yaman Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kuch log honge jo mere tareeqe ke khilaf chalenge unki kuch baatein achchi hongi aur kuch mein tum buraii dekhoge maine pucha ki kya achche Daur ke baad phir se bura daur aayega, farmaya ki Haan jahannam ki taraf bulane wale Dojakh ke darwaze par khade honge jo unki baat maan lega wo usmein unhe jhonk denge maine kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  unki kuch sifat ( pahchan) bayan kijiye Aapne farmaya wo hamare hi jaise honge aur hamari hi zuban (Arbi) bolenge maine kaha ki agar maine wo zamana paya to Aap mujhe kya hukm dete hain farmaya ki Musalmano ki jamaat aur unke Imam ke saath rahna maine kaha ki agar Musalmano ki jamaat na ho aur unka koi Imam na ho?farmaya ki phir un tamam logon se alag ho jana chahe tumhe jungal mein jakar Darakhton ki jade chabani parhe yahan tak ki is halat mein tumahari maut aa jaye
Sahih Bukhari, Vol 8, 7084 
-------------------------------------------------------------------------------

Narrated Hudhaifa bin Al-Yaman:ALLAH's Apostle Peace be upon him (there will be) some people calling at the gates of the (Hell) Fire, and whoever will respond to their call, will be thrown by them into the (Hell) Fire." I said, "O ALLAH s Apostle! Will you describe them to us?"  He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "The will be from our own people and will speak our language." I said, "What do you order me to do if such a state should take place in my life?" He said, "Stick to the group of Muslims and their Imam." I said, "If there is neither a group of Muslims nor an Imam ?" He said, "Then turn away from all those sects even if you were to bite (eat) the roots of a tree till death overtakes you while you are in that state." 

Tuesday, February 24, 2015

Hadith : Tumhare baare mein mujhe ye Khauff hai ki tum Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Tumhare baare mein mujhe ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge

Uqba bin Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam   mimbar par tasreef laye aur farmaya Aakhirat mein Main tumse aage jauunga aur main tum par gawaah rahunga wallah main apne Hauz ( Al Kauther)  ko is waqt bhi dekh raha hu aur mujhe zameen ke khazano ki kunjiya de di gayee hain  ya farmaya zameen ki kunjiya de di gayee hain aur ALLAH ki Qasam main tumhare baare mein is baat se nahi darta ki Tum Shirk karoge bulki mujhe tumhare baare mein ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6426
Sahih Bukhari, Vol 8, 6590


---------------------------------------------------------
Narrated 'Uqba bin 'Amir Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam ascended the pulpit and said, "I am your predecessor and I am a witness against you. By ALLAH, I am now looking at my Tank-lake (Al-Kauthar) and I have been given the keys of the treasures of the earth (or the keys of the earth). By ALLAH! I am not afraid that after me you will worship others besides ALLAH, but I am afraid that you will start competing for (the pleasures of) this world."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 76, No. 434
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 76, No.r 590

Zikr:
اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئَاً
ALLAH is my Lord, I do not ascribe anything unto Him.
ALLAH subhanahu mera Rab hai aur main uske Saath kisi ko Sharik nahi karta

Tuesday, February 3, 2015

Hadith : Lo log ziyada Maal aur Daulat jama kiye huye hain , Qayamat ke din wo khasare ( yani nuksaan) mein honge siwaye uskey….

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Lo log ziyada Maal aur Daulat jama kiye huye hain , Qayamat ke din wo khasare ( yani nuksaan) mein honge siwaye uskey….

Abu Dhar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo log ziyada Maal aur Daulat jama kiye huye hain , Qayamat ke din wo khasare ( yani nuksaan) mein honge siwaye uske jinhe ALLAH taala ne maal diya aur usne Dahine Bahiney, Aage peeche kharch kiya ho aur use neik kaam mein lagaya ho
Sahih Bukhari, Vol 7,  6443

-------------------------------------------

Narrated Abu Dhar Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said , "The rich are in fact the poor (little rewarded) on the Day of Resurrection except him whom ALLAH gives wealth which he gives (in charity) to his right, left, front and back, and does good deeds with it.
Sahih Bukhari , Vol 8, Book 76, No. 450: 

Hadith: Tum mein se kaun hai jisko Apne maal se ziyada apne waris ka maal pyara ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum mein se kaun hai jisko Apne maal se ziyada apne waris ka maal pyara ho

Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya tum mein se kaun hai jisko Apne maal se ziyada apne waris ka maal pyara ho Sahaba ne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam hum mein se koi aisa nahi hai  jise apna maal ziyada pyara na ho phir uska maal wo hai jisne (Maut se) pahle (ALLAH ki raah mein) Kharch kiya aur uske waris ka maal wo hai jo wo chor kar mara.
Sahih Bukhari,  Vol 7 , 6442
 ---------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Who among you considers the wealth of his heirs dearer to him than his own wealth?" They replied, "O ALLAH's Apostle! There is none among us but loves his own wealth more." The Prophet said, "So his wealth is whatever he spends (in ALLAH's Cause) during his life (on good deeds) while the wealth of his heirs is whatever he leaves after his death."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 76, No. 449

Hadith: Insaan aur Maal (money)

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Insaan aur Maal (money)

Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Insaan ke pass Maal ki Do wadiyan (valley) ho  to teesri ka khwahish mand hoga aur insaan ka pet Mitti (belly) ke siwa aur koi cheej nahi bhar sakti aur ALLAH us shaksh ki Tauba Qubul karta hai jo sachchi tauba karta hai
Sahih Bukhari, Vol 7 , 6436

-----------------------------------------
Narrated Ibn 'Abbas Radhi Allahu Anhuma : I heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "If the son of Adam (the human being) had two valley of money, he would wish for a third, for nothing can fill the belly of Adam's son except dust, and ALLAH forgives him who repents to Him."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 444:


Hadith : Mujhe tumhare baare mein ye Khauff hai ki tum Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagoge

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Mujhe tumhare baare mein ye Khauff  hai ki tum  Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagogey

Uqba bin Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  bahar tasreef laye aur jung-e-Uhad ke shaheedo ke liye is tarah Namaz (Gayabana Namaz Janaza) Parhi  jis tarah murde par namaz Padhi jati hai .


Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam mimbar par tasreef laye aur farmaya Aakhirat mein Main tumse aage jauunga aur main tum par gawaah rahunga wallah main apne Hauz ( Al Kauther)  ko is waqt bhi dekh raha hu aur mujhe zameen ke khazano ki kunjiya de di gayee hain  ya farmaya zameen ki kunjiya de di gayee hain aurALLAH ki Qasam main tumhare baare mein is baat se nahi darta ki Tum Shirk karoge bulki mujhe tumhare baare mein ye Khauff hai kitum Duniya ke liye ek dusre se Aage badne ki koshish karne lagogey.
Sahih Bukhari, Vol7, 6426
-------------------------------------------------------
Narrated  Uqba bin Amir Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam went out and offered the funeral prayer for the martyrs of the (battle of) Uhud and then ascended the pulpit and said, I am your predecessor and I am a witness against you. By ALLAH, I am now looking at my Tank-lake (Al-Kauthar) and I have been given the keys of the treasures of the earth (or the keys of the earth). By ALLAH! I am not afraid that after me you will worship others besides ALLAH, but I am afraid that you will start competing for (the pleasures of) this world."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 76, No. 434:

Hadith: Maal ki Muhabbat aur Umar ki Daraji

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Maal ki Muhabbat aur Umar ki Daraji

Anas bin malik Radhi Allahu Anhu ne farmaya insaan ki umar badti jati hai  aur iske satah do cheejein uske andar badti jati hain : Maal ki Muhabbat aur Umar ki Daraji.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6421

--------------------------------------------

Narrated Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, The son of Adam (i.e. man) grows old and so also two (desires) grow old with him, i.e., love for wealth and (a wish for) a long life.


Hadith: Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho

Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhuma ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne mera shaana pakad kar farmaya Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho Ibn 'Umar kaha karte they ki sham ho jaye to subah ke muntazir na raho aur subah ho jaye to sham ke muntazir na raho ,Apni sehat ko marz se pahle ganeemat jano aur zindagi ko maut se pahley
Sahih Bukhari, Vol 7, 6416

----------------------------------------------
Abdullah bin 'Umar Radhi Allahu Anhuma said, "ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam took hold of my shoulder and said, 'Be in this world as if you were a stranger or a traveler." The sub-narrator added: Ibn 'Umar used to say, "If you survive till the evening, do not expect to be alive in the morning, and if you survive till the morning, do not expect to be alive in the evening, and take from your health for your sickness, and (take) from your life for your death."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 425:


Hadith : Do Naimatein aiseee hain ki Aksar log unki Qadar nahi karte Sehat (Health) aur fursat

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Do Naimatein aiseee hain ki Aksar log unki Qadar nahi karte Sehat (Health) aur fursat 

Abdullah Ibn Abbas Radhi Allahu Anhuse rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Do Naimatein aiseee hain ki Aksar log unki Qadar nahi karte Sehat (Health) aur fursat  (achche kaam karne ke liye)
Sahih Bukhari, Vol7, 6412



Narrated Ibn 'Abbas Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "There are two blessings which many people lose: (They are) Health and free time ( for doing good.)
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 76, No. 421:


Total Pageviews