Search This Blog

Autoblog

Saturday, November 28, 2015

Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega

Abu Hurairah radi allahu taaala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey)nahi honge , is se pahle  (maaf karwa le warna)  uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par dal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6534


Abu Saeed khudri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Momeen dozakh se chutkara pa jayenge lekin dozakh aur jannat ke darmiyan ek pool hai jaha unhe rok liya jayega aur phir ek dusre par kiye gaye mazalim ka badla liya jayega jo duniya mein unke darmiyan huye they , jab sab kuch saaf aur paak ho jayega ( yani sabko badla mil jayega) uske baad unhe jannat mein dakhil hone ki ejazat milegi , us zaat ki kasam jiske haath mein Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki jaan hai jannaatiyo mein se har koi apne ghar ko duniya mein apne ghar ki muqable mein zyada achchi tarah pahchan lega
Sahih Bukhari, Vol 8, 6535

----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has wronged his brother, should ask for his pardon (before his death), as (in the Hereafter) there will be neither a Dinar nor a Dirham. (He should secure pardon in this life) before some of his good deeds are taken and paid to his brother, or, if he has done no good deeds, some of the bad deeds of his brother are taken to be loaded on him (in the Hereafter)
Sahih Bukhari Vol 8, Book 76, No. 541

Narrated Abu Sa`id Al-Khudri Radhi allahu anhu  Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam  said, "The believers, after being saved from the (Hell) Fire, will be stopped at a bridge between Paradise and Hell and mutual retaliation will be established among them regarding wrongs they have committed in the world against one another. After they are cleansed and purified (through the retaliation), they will be admitted into Paradise; and by Him in Whose Hand Muhammad's soul is, everyone of them will know his dwelling in Paradise better than he knew his dwelling in this world.

Sahih Bukhari Book 76, No. 542

Category

Total Pageviews