Search This Blog

Autoblog

Saturday, November 28, 2015

Mafhum-e-Hadith: Ramazan mein Umrah karna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai

BismillahirRahmanirRahim

Mafhum-e-Hadith: Ramazan mein Umrah karna  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai
-----------------------

Ibn Abbas radi allahu anhuma ne farmaya ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalllam jab Hajj-e-vida se wapas huye to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne umm sinan ansariya aurat se farmaya ki tum Hajj karne (kyun) nahi gayee ? usne kaha ki falaah ke walid yani mere khawind (husband) ke pass do oont (camel) pani pilane ke liye they ek par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab karta hai is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Ramzan mein Umrah kar lena kyunki ye mere saath hajj karne ke barabar hai.
Sahih Bukhari, Vol3, 1863

Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ek shaksh ne pucha ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath hajj karne ke barabar (sawab mein) dusri Ibadat kaunsi hai ?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki  Ramzan mein Umrah karna mere saath hajj karne ke barabar hai
Sunan Abu Dawud,  Vol 1, # 222 -Sahih

--------------------------------------

इब्न अब्बास रदी अल्लाहु अन्हुमा ने फ़रमाया की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम  जब हज्ज ए  विदा  से वापस हुए तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने उम्म सिनान अन्सारिया खातून से फ़रमाया की तुम हज करने (क्यूँ) नहीं गयी ? उसने कहा की फलाह के वालिद यानि मेरे खाविंद (शोहर) के पास दो ऊँट पानी पिलाने के लिए थे एक पर तो वो खुद हज को चले गए और दूसरा हमारी ज़मीन सैराब करता है इस पर आप  सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया की रमज़ान में उमरा कर लेना क्यूंकि ये  मेरे साथ हज करने के बराबर है
सही बुखारी , जिल्द 3 , हदीस  1863

इब्न अब्बास रदी अल्लाहु अन्हुमा ने फ़रमाया की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम से एक शख्स ने पूछा की आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के साथ हज करने के बराबर (सवाब में) दूसरी इबादत कौनसी है ?
आप अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया की रमज़ान में उमरा करना  मेरे साथ हज करने के बराबर है
सुनन अबू दावूद , जिल्द 1 , हदीस 222 -सही 

--------------------------------------
English Translation:

Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhu : When the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam returned after performing his Hajj, he Sallallahu Alaihi Wasallam asked Um Sinan Al-Ansari, "What did forbid you to perform Hajj?" She replied, "Father of so-and-so (i.e. her husband) had two camels and he performed Hajj on one of them, and the second is used for the irrigation of our land." The Prophet said (to her), "Perform umra in the month of Ramadan, as it is equivalent to Hajj with me (in reward)."
Sahih Bukhari, Book #29, Hadith #86

Narrated Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu Anhu : A person asked to the Apostele of Allah peace be upon him What is that action which is equivalent to performing hajj with you? The Apostle of Allah peace be upon him said: Umrah during Ramadan is equivalent to performing hajj along with me.

Sunan Abu Dawud, Book #10, 1985 -Sahih

Category

Total Pageviews