Search This Blog

Autoblog

Saturday, November 28, 2015

Hadith: inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha isliye inhe Qabr mein azab ho raha hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha isliye inhe Qabr mein azab ho raha hai

Hazrat Ibn Abbas Radhi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam madina munawwara  ke ek baag se tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do insano ki aawaz suni jinhe unki Qabro mein azab diya ja raha tha phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya inhe azab ho raha hai wo bhi kisi bade gunah ki wajah se nahi bulki inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugalkhor tha , phir App Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne khajur ki ek hari shaakh mangwayee aur usko do hisso mein tod diya aur ek tukda ek ki Qabr par aur dusra dusre ki Qabr par gaad diya, phir farmaya ki shayad inke azab mein us waqt tak kami kar di jaye jab tak ki ye sukh na jaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6055
---------------------------------------

Hadith: One of them used not to save himself from (being soiled with) the urine, and the other used to go about with calumnies ( Means he was backbiter) 

Narrated Ibn Abbas Radhi allahu anhuma  Once the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  went through the grave-yards of Medina and heard the voices of two humans who were being tortured in their graves. The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "They are being punished, but they are not being punished because of a major sin, yet their sins are great. One of them used not to save himself from (being soiled with) the urine, and the other used to go about with calumnies ( Means he was backbiter)  ." Then the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam asked for a green palm tree leaf and split it into two pieces and placed one piece on each grave, saying, "I hope that their punishment may be abated as long as these pieces of the leaf are not dried."

Sahih Bukhari,  Book 73, Hadith 81

Category

Total Pageviews