Search This Blog

Autoblog

Thursday, November 13, 2014

Hadith: Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahe aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahne wala kaafir ya fasiq ho jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahe aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahne wala kaafir ya fasiq ho jayega
.
Abu Dhar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahe aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahne wala kaafir ya fasiq ho jayega
Sahih Bukhari, Vol 7, 6045
.
Narrated Abu Dhar Radhi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, "If somebody accuses another of Fusuq (by calling him 'Fasiq') or accuses him of Kufr, such an accusation will revert to him ( to the accuser) if his companion (the accused) is innocent."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 71:

Hadith: Musalman ko gaali dena Fisq ( belong to Fasiq) hai aur Qatl karna kufr hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Musalman ko gaali dena Fisq ( belong to Fasiq) hai aur Qatl karna kufr hai

 Abdullah bin masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman ko gaali dena Fisq ( belong to Fasiq) hai aur Qatl karna kufr hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6044

Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Abusing a Muslim is Fusuq (i.e., an evil-doing), and killing him is Kufr (disbelief)."
Sahih Bukhari,  Vol 8, Book 73, No. 70

Hadith: ALLAH subhanahu kisi bande se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH subhanahu kisi bande  se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ALLAH subhanahu kisi bande se Muhabbat karta hai to Jibril Alaihi salam ko aawaz deta hai aur kahta hai ki ALLAH falah bane se Muhabbbat karta hai tum bhi us se Muhabbat karo, Jibril Alaihi salam bhi us se Muhabbat karne lagte hain phir wo tamam aasman walon ko aawaz dete hain ki ALLAH subhanahu  falah bande se Muhabbat karta hai tum bhi us se Muhabbat karo phir tamam aasman wale us se Muhabbat karne lagte hain uske baad wo zameen mein bhi Maqbul aur Mehboob ban jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6040



Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "If ALLAH loves a person, He calls Gabriel saying: 'ALLAH loves so and so; O Gabriel, love him.' Gabriel would love him, and then Gabriel would make an announcement among the residents of the Heaven, 'ALLAH loves so-and-so, therefore, you should love him also.' So, all the residents of the Heavens would love him and then he is granted the pleasure of the people of the earth."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 66

Mafhum-e-Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka khadim ke saath husn e suluq

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ka khadim ke saath husn e suluq

Hazrat Anas Radhi Allahu Anhu ne kaha ki maine  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ki 10 saal tak  khidmat ki lekin Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne kabhi mujhe uff tak nahi kaha aur na kabhi ye kaha ki Falah kaam kyun kiya aur falah kaam kyun nahi kiya
Sahih Bukhari, Vol 7, 6038



Narrated Anas Radhi Allahu Anhu : I served the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  for ten years, and he never said to me, "Uf" (a minor harsh word denoting impatience) and never blamed me by saying, "Why did you do so or why didn't you do so?"
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 64

Hadith: ALLAH ke yahan Qayamat ke din wo shaksh sabse badtareen honge jinki burayee ke darr se log unse milna chodh de.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH ke yahan Qayamat ke din wo shaksh sabse badtareen honge  jinki burayee ke darr se log unse milna chodh de.

Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ALLAH ke yahan Qayamat ke din wo shaksh sabse badtareen honge  jinki burayee ke darr se log unse milna chodh de.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6032

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said  The worst people in ALLAH's sight on the Day of Resurrection will be those whom the people leave (undisturbed) to be away from their evil (deeds)."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No 59

Hadith: Musalman bhai ke liye Neik Sifarish karna bhi sawab hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Musalman bhai ke liye Neik Sifarish karna bhi sawab hai
,
Abu Musa Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki jab koi maangne wala Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ke pass aata to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmate Eh logon iske liye sifarish karo taki tumhe bhi sawab mil jaye aur ALLAH subhanahu apne Nabee ki zuban se jo faisla chahega wo karayega.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6028
---------------------------------------------
Narrated Abu Musa Radhi Allahu Anhu : Whenever a beggar or a person in need came to the Prophet, the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam would say "recommend him and you will receive the reward for it, and ALLAH will bring about what he will through His Prophet's tongue
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 56

Hadith: Har Neik kaam sadqa hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Har Neik kaam sadqa hai

Jaber bin Abdullah Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya har Neik kaam sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6021

------------------------------------

Narrated Jabir bin 'Abdullah Radhi Allahu Anhuma: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, Enjoining, all that is good is a Sadaqa."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 50

Hadith: jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne Padosi ko takleef na pahuchaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne Padosi ko takleef na pahuchaye

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne Padosi ko takleef na pahuchaye, jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne mehman ki ezzat karey, aur jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo Achchi baat zuban se nikale warna khamosh rahey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6018

-------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhu: ALLAH's Apostle saidSal-Allahu Alaihi Wasallam , "Anybody who believes in ALLAH and the Last Day should not harm his neighbor, and anybody who believes in ALLAH and the Last Day should entertain his guest generously and anybody who believes in ALLAH and the Last Day should talk what is good or keep quiet. (i.e. abstain from all kinds of evil and dirty talk).
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 47

Hadith: wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya
hazrat Jibril mujhe Padosiyon ke baare mein baar baar is tarah wasiyat karte rahe ki mujhe ye khayal aaya ki (ALLAH subhanahu) Padosi ko kahi waris mein sharik na kar de
Sahih Bukhari, Vol 7, 6014

Abu Hurairah Radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho.
Sahih Muslim, Vol 1, 172
----------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said "Gabriel continued to recommend me about treating the neighbors Kindly and politely so much so that I thought he would order me to make them as heirs.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 43:


It is narrated on the authority of Abu Huraira Radhi Allahu Anhu that the Messenger of ALLAH (may peace and blessing be upon him) observed: He will not enter Paradise whose neighbour is not secure from his wrongful conduct.
Sahih Muslim, Book 001, No.74

Hadith: jo dusron par raham nahi karta us par (ALLAH ki taraf se) Raham nahi kiya jata .

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo dusron par raham  nahi karta us par (ALLAH ki taraf se) Raham nahi kiya jata .

Jarir bin 'Abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo dusron par raham  nahi karta us par (ALLAH ki taraf se) Raham nahi kiya jata .
Sahih Bukhari, Vol 7, 6013
----------------------------------------


Narrated Jarir bin 'Abdullah Radi AllahuAnhu: The ProphetSal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "He who is not merciful to others, will not be treated mercifully.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 42

Hadith: agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai

Anas  Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai(yani jab tak koi isme se khayega sadqe ka sawab milta rahega)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6012
------------------------------------------

Narrated Anas bin Malik Radi AllahuAnhu: The ProphetSal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "If any Muslim plants any plant and a human being or an animal eats of it, he will be rewarded as if he had given that much in charity."
Sahih Bukhari, Book 73, No. 41

Hadith: Tumhe har jaandar (living being) par Neki karne ka sawab milta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tumhe har  jaandar  (living being) par Neki karne ka sawab milta hai

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shaksh raaste mein chal raha tha ki use Shiddat ki pyas lagi use ek kuwa (well) mila aur usne usmein utar kar pani piya jab bahar nikla to wahan ek kutta dekha jo haanph (panting) raha tha pyas ki wajah se aur tari ya Geeli Mitti  (mud) ko chaat raha tha us shaksh ne kaha ki ye kutta bhi utna hi pyasa dikh raha hai jitna ki main , isliye wo phir kuwe (well) mein utra aur apne jute mein pani bhara aur munh se pakad kar upar laya aur kutte ko pani pilaya ALLAH taala ne uske is amal ko pasand farmaya aur uski maghfirat kar di.

Sahaba Radhi Allahu Anhuma ne arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  kya humein janwaron ke saath neki karne ka bhi sawab milta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhe har  jaandar  (living being) par Neki karne ka sawab milta hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6009
-------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "While a man was walking on a road. he became very thirsty. Then he came across a well, got down into it, drank (of its water) and then came out. Meanwhile he saw a dog panting and licking mud because of excessive thirst. The man said to himself "This dog is suffering from the same state of thirst as I did." So he went down the well (again) and filled his shoe (with water) and held it in his mouth and watered the dog. ALLAH thanked him for that deed and forgave him.
The Companion Radhi Allahu Anhuma of asked, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Is there a reward for us in serving the animals?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "(Yes) There is a reward for serving any animate (living being) ."

Sahih Bukhari, Book 73, No. 38 

Hadith: Bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai
.-------------------------------------------

Safwan bin Salim Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya bewaon (widow) aur Miskinon ki khidmat karne wala ALLAH Subhanahu ke raaste mein jihad karne wale ki tarah hai ya us shaksh ki tarah hai jo din mein Roze rakhta hai aur Raat ko Iba’dat karta hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6006

-------------------------------------------
Narrated Safwan bin Salim Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said "The one who looks after and works for a widow and for a poor person, is like a warrior fighting for ALLAH's Cause or like a person who fasts during the day and prays all the night." Narrated Abu Huraira that the Prophet said as above.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 35

Hadith: Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge……

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge……

Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ki Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge aur Aapne shahdat aur darmiyani ungliyon ke ishaare se (dono ka kareeb hona) bataya
Sahih Bukhari, Vol 7, 6005



Narrated Sahl bin Sa'd Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together. (same like both finger)
Sahih Bukhari, Book 73, No. 34

Hadith: ALLAH taala ne Rahmat ke 100 hisse banaye aur unmein se 99 hisse apne paas rakhe aur sirf 1 hissa zameen par utara

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH taala ne Rahmat ke 100 hisse banaye aur unmein se 99 hisse  apne paas rakhe aur sirf 1 hissa zameen par utara

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala ne Rahmat ke 100 hisse banaye aur unmein se 99 hisse  apeny paas rakhe aur sirf 1 hissa zameen par utara aur isi ki wajah se tum dekhte ho ki makhluq ek dusre par raham karti hai.yahan tak ki Ghodi (mare) apne bachche ko apne khur (hoof) nahi lagne deti bulki use utha leti hai ki kahi uske bachche ko takleef na pahunchey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6000

----------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, ALLAH divided Mercy into one-hundred parts and He kept its ninety-nine parts with Him and sent down its one part on the earth, and because of that, its one single part, His creations are Merciful to each other, so that even the mare lifts up its hoofs away from its baby animal, lest it should trample on it."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 29

Hadith: jo ALLAH ki makhluq par raham nahi karta us par bhi raham nahi kiya jata

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo ALLAH ki makhluq par raham nahi karta us par bhi raham nahi kiya jata

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Hasan bin Ali Radhi Allahu Anhuma ko bosaa diya (chuma) , waha Al-Aqra' bin Habis Radi Allahu baithe huye the hazrat iqra ne kaha ki mere 10 ladke hain aur maine unmein se kisi ko bhi  bosaa nahi diya Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne unki taraf dekha aur farmaya ki jo ALLAH ki makhluq par raham nahi karta us par bhi raham nahi kiya jata.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5997



Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam kissed Hasan bin Ali Radhi Allahu Anhuma  while Al-Aqra' bin Habis Radhi Allahu Anhu was sitting beside him. Al-Aqra said, "I have ten children and I have never kissed anyone of them," ALLAH's Apostle cast a look at him and said, "Whoever is not merciful to others will not be treated mercifully."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 26

Hadith: jo shaksh bhi achchi tarah ladkiyon ki parwarish karega aur unke saath achcha muamla karega to ye uske liye jahannam se parda ban jayegi.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo shaksh bhi achchi tarah ladkiyon ki parwarish karega  aur unke saath achcha muamla karega to ye uske liye jahannam se parda ban jayegi.
----------------------------------------------
Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki mere paas ek aurat maangne aayee thi  jiske saath Do ladkiyan thi,  mere paas siwa ek khajur ke kuch na mila , maine use wo khajur de di aur usne wo khajur apni un ladkiyon ko taqseem kar di phir uth kar chali gayee aur uske baad Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam tasreef laye aur maine aapse iska zikr kiya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh bhi ladkiyon ki parwarish karega  aur unke saath achcha muamla karega to ye uske liye jahannam se parda ban jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5995

----------------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha : A lady along with her two daughters came to me asking me (for some alms), but she found nothing with me except one date which I gave to her and she divided it between her two daughters, and then she got up and went away.

Then the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam came in and I informed him about this story. He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever is in charge of these daughters and treats them generously, then they will act as a shield for him from the (Hell) Fire."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 24: 

Hadith: kisi kaam ka badla dena sila Rahmi nahi hai bulki…..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: kisi kaam ka badla dena sila Rahmi  nahi hai bulki…..
----------------------------------------
Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kisi kaam ka badla dena sila Rahmi  nahi hai bulki sila rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq ) karne wala wo hai ki jab uske saath sila rahmi ka muaamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila rahmi karey.Sahih Bukhari, Vol 7, 5991
----------------------------------------

Narrated Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhuma : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Al-Wasil (who keep good relations with his Kith and kin.) is not the one who recompenses the good done to him by his relatives, but Al-Wasil is the one who keeps good relations with those relatives who had severed the bond of kinship with him."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 20

Hadith: jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun
--------------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raham (Rishte Naatey) ka taaluq Rahman se hai,  isliye jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun aur jo koi us se tod leta hai main bhi apne aapko us se tod leta hun.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5988

--------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "The word 'Ar-Rahm derives its name from Ar-Rahman (i.e., one of the names of ALLAH) and ALLAH said: 'I will keep good relation with the one who will keep good relation with you, (womb i.e. Kith and Kin) and sever the relation with him who will sever the relation with you, (womb, i.e. Kith and Kin).
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 17: 

Hadith: jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq) karey.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq)  karey.

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq)  kare.
Sahih Bukhari, Vol 7,  5985
--------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "Who ever is pleased that he be granted more wealth and that his lease of life be pro longed, then he should keep good relations with his Kith and kin."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 14

Hadith: Qataa Rahmi karne wala (Rishte todne wala) jannat mein nahi jayega

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qataa Rahmi karne wala  (Rishte todne wala) jannat mein nahi jayega

Jubair bin Mutim Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qataa Rahmi karne wala  (Rishte todne wala) jannat mein nahi jayega.Sahih Bukhari, Vol 7,  5984
---------------------------------------------

Narrated Jubair bin Mutim Radhi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "The person who severs (split or cut ) the bond of kinship (Relationship) will not enter Paradise."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 13

Mafhum-e-Hadith: Jhooti baat kahna ya jhooti gawahi dena bhi kabira gunah hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Jhooti baat kahna ya jhooti gawahi dena bhi kabira gunah hai

Abu Bakr  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath shirk aur waldein ki nafarmani karna, aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi, aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain) Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khamosh nahi honge .
Sahih Bukhari, Vol 7, 5976
------------------------------------------


Narrated Abu Bakr  Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Shall I not inform you of the biggest of the great sins?" We said, "Yes, O ALLAH's ApostleSal-Allahu Alaihi Wasallam " He said, "To join partners in worship with ALLAH: to be undutiful to one's parents." The Prophet sat up after he had been reclining and added, "And I warn you against giving forged statement and a false witness; I warn you against giving a forged statement and a false witness." The Prophet kept on saying that warning till we thought that he would not stop.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 7: 

Category

Total Pageviews