Search This Blog

Autoblog

Thursday, November 13, 2014

Hadith: ALLAH taala ne Rahmat ke 100 hisse banaye aur unmein se 99 hisse apne paas rakhe aur sirf 1 hissa zameen par utara

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH taala ne Rahmat ke 100 hisse banaye aur unmein se 99 hisse  apne paas rakhe aur sirf 1 hissa zameen par utara

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala ne Rahmat ke 100 hisse banaye aur unmein se 99 hisse  apeny paas rakhe aur sirf 1 hissa zameen par utara aur isi ki wajah se tum dekhte ho ki makhluq ek dusre par raham karti hai.yahan tak ki Ghodi (mare) apne bachche ko apne khur (hoof) nahi lagne deti bulki use utha leti hai ki kahi uske bachche ko takleef na pahunchey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6000

----------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam saying, ALLAH divided Mercy into one-hundred parts and He kept its ninety-nine parts with Him and sent down its one part on the earth, and because of that, its one single part, His creations are Merciful to each other, so that even the mare lifts up its hoofs away from its baby animal, lest it should trample on it."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 29

Category

Total Pageviews