Search This Blog

Autoblog

Thursday, November 13, 2014

Hadith: Tumhe har jaandar (living being) par Neki karne ka sawab milta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tumhe har  jaandar  (living being) par Neki karne ka sawab milta hai

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shaksh raaste mein chal raha tha ki use Shiddat ki pyas lagi use ek kuwa (well) mila aur usne usmein utar kar pani piya jab bahar nikla to wahan ek kutta dekha jo haanph (panting) raha tha pyas ki wajah se aur tari ya Geeli Mitti  (mud) ko chaat raha tha us shaksh ne kaha ki ye kutta bhi utna hi pyasa dikh raha hai jitna ki main , isliye wo phir kuwe (well) mein utra aur apne jute mein pani bhara aur munh se pakad kar upar laya aur kutte ko pani pilaya ALLAH taala ne uske is amal ko pasand farmaya aur uski maghfirat kar di.

Sahaba Radhi Allahu Anhuma ne arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  kya humein janwaron ke saath neki karne ka bhi sawab milta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tumhe har  jaandar  (living being) par Neki karne ka sawab milta hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6009
-------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "While a man was walking on a road. he became very thirsty. Then he came across a well, got down into it, drank (of its water) and then came out. Meanwhile he saw a dog panting and licking mud because of excessive thirst. The man said to himself "This dog is suffering from the same state of thirst as I did." So he went down the well (again) and filled his shoe (with water) and held it in his mouth and watered the dog. ALLAH thanked him for that deed and forgave him.
The Companion Radhi Allahu Anhuma of asked, "O ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam ! Is there a reward for us in serving the animals?" He Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "(Yes) There is a reward for serving any animate (living being) ."

Sahih Bukhari, Book 73, No. 38 

Category

Total Pageviews