Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Tibbe Nabwi Sallalahu alaihi wasalam. Show all posts
Showing posts with label Tibbe Nabwi Sallalahu alaihi wasalam. Show all posts

Tuesday, September 16, 2014

Hadith: Us din usey na Zaher nuksaan pahuncha sakta hai na jadu

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Us din usey na zaher nuksaan pahuncha sakta hai na jadu

Saud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shaksh ne subah ke waqt 7 Ajwa khajur kha li to us din usey na Zaher nuksaan pahuncha sakta hai na jadu.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5769
------------------------------------------------


Narrated Saud Radi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "If Somebody takes seven 'Ajwa dates in the morning, neither magic nor poison will hurt him that day."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No 664

Hadith: Bukhar jahannam ki bhaap (heat of hell) ki wajah se hota hai isliye iski garmee ko pani se thanda karo.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bukhar jahannam ki bhaap (heat of hell) ki wajah se hota hai isliye iski garmee ko pani se thanda karo.
----------------------------------------
Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam  ne farmaya Bukhar jahannam ki bhaap (heat of hell) ki wajah se hota hai isliye iski garmee ko pani se thanda karo.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5723

----------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha:  The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, "Fever is from the heat of Hell, so abate fever with water."
Sahih Bukhari, Book 71, No. 621

Hadith: Shifa teen cheezon mein hai ..


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shifa teen cheezon mein hai  ..
--------------------------------------------------------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Shifa teen cheezon mein hai  Shahad ke sharbat mein, pachna lagwane mein(yani Hijama)  aur Aag se daagne mein lekin maine Ummat ko Aag se daag kar Ilaj karne se mana farmaya hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 5681
--------------------------------------------------------------------
Narrated Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Healing is in three things: cupping (Hijama) , a gulp of honey or cauterization, (branding with fire) but I forbid my followers to use cauterization (branding with fire)." 
Sahih Bukhari,  Book 71, # 585

Total Pageviews