Search This Blog

Autoblog

Wednesday, August 14, 2013

Hadith: Zulm se Kisi ki Zameen lene wale ka Anjam…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Zulm se Kisi ki Zameen lene wale ka Anjam…

Narrated Said bin Zaid Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jisney kisi ki zameen Zulm se le li usey Qayamat ke din 7 zameeno ka Tauq(Huge belt or patta) pahnaya jayega.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2452
-------------------------------------------
Narrated Said bin Zaid Radiallahu anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Whoever take the land of somebody unjustly, his neck will be encircled with it down the seven earths (on the Day of Resurrection).


Hadith: Uska koi neik amal hoga to us zulm ke badley wohi le liya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Uska koi neik amal hoga to us zulm ke badley wohi le liya jayega

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya  agar kisi shaksh ne kisi dusrey ki izzat (reputation) ya koi aur cheez par zulm kiya ho to us sey aaj hi us din ke aaney se pahle maaf karwa le jis din na deenar hongey na dirham bulki uska koi neik amal hoga to us zulm ke badley wohi le liya jayega aur agar koi neik amal uskey paas nahi hoga to us mazlum ki buraeeyan us par daal di jayegi.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2449

-------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has oppressed another person concerning his reputation or anything else, he should beg him to forgive him before the Day of Resurrection when there will be no money (to compensate for wrong deeds), but if he has good deeds, those good deeds will be taken from him according to his oppression which he has done, and if he has no good deeds, the sins of the oppressed person will be loaded on him."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 629: 

Hadith: Mazlum Ki baddua se bacho

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith:  Mazlum Ki baddua se bacho

Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jab Muadh Radiallahu anhu ko yemen bheja to unsey ye kaha ki mazloom ki Baddua se dartey rahna kyunki uskey aur Allah Taala ke  darmiyan koi parda nahi hota
Sahih Bukhari, Vol 3, 2448
-------------------------------------
Narrated Ibn Abbas Radiallahu anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam sent Mu'adh Radiallahu anhu to Yemen and said, Be afraid, from the curse of the oppressed as there is no screen between his invocation and Allah.
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 628:

Hadith: Apney bhai ki madad karo chahey wo zalim ho ya mazlum…..

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Apney bhai ki madad karo chahey wo zalim ho ya mazlum…..

Anas bin Malik Radiallahu anhu  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Apney bhai ki madad karo chahey wo zalim ho ya mazlum.Sahaba ne pucha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam hum mazloom ki to madad kar saktey hain lekin zalim ke madad kaisey karey ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya dusro par zulm karney se usko rok do.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2443
-----------------------------------
Narrated Anas Radiallahu anhu :Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Help your brother, whether he is an oppressor or he is an oppressed one. People asked, "O Allah's Apostle! It is all right to help him if he is oppressed, but how should we help him if he is an oppressor?" The Prophet said, "By preventing him from oppressing others."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 624:


Hadith: Jo shaksh apney (Musalman)bhai ki zarurat puri karey Allah taala uski Zarurat puri karega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo shaksh apney (Musalman)bhai ki zarurat puri karey Allah taala uski Zarurat puri karega

Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek musalman dusrey musalman ka bhai hai ,isliye us par zulm na karey aur na zulm honey de. Jo shaksh apney bhai ki zarurat puri karey Allah taala uski Zarurat puri karega. Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur karey Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega.
Sahih Bukhari,  Vol 3,2442
-------------------------------------------

English Translation:
Narrated 'Abdullah bin Umar Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A Muslim is a brother of another Muslim, so he should not oppress him, nor should he hand him over to an oppressor. Whoever fulfilled the needs of his brother, Allah will fulfill his needs; whoever brought his (Muslim) brother out of a discomfort, Allah will bring him out of the discomforts of the Day of Resurrection, and whoever screened ( hide mistakes)  a Muslim, Allah will screen him on the Day of Resurrection . "
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 43, No. 622: 

*Jo jamaat se Namaz nahi padtey unkey liye Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Narazgi

 Bismillahirrahmanirrahim

*Jo jamaat se Namaz nahi padtey unkey liye Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ki Narazgi

Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya maine ye irada kar liye tha ki namaz ki jammaat qayam karney ka hukm dekar main khud un gharon par jauu jo namaz ke liye jamaat mein hazir nahi hotey aur unkey gharon ko jala du
Sahih Bukhari, Vol 3,2420
--------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said,  I intended to order somebody to pronounce the Iqama of the (compulsory congregational) prayer and then I would go to the houses of those who do not attend the prayer and burn their houses over them."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 41, No. 602:


Mafhum-e-hadith: Allah taala ko Fizul Baat karna pasand nahi

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Allah taala ko  Fizul Baat karna pasand nahi

Al-Mughira bin Shuba Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah taala ne Fizul Baat karney ko, zyada sawal karney ko aur Maal zaya(fizul kharch) karney ko Napasand  (hated)  bataya hai.
Sahih Bukhari,  Vol 3, 2408
-------------------------------
English Translation:
Narrated Al-Mughira bin Shu'ba: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said  Allah has hated for you vain, useless talk, or that you talk too much about others, to ask too many questions, (in disputed religious matters) and to waste the wealth (by extravagance).

Hadith: jo logon ka Maal Karz ke taur par ada karney ke niyat se leta hai to Allah Taala bhi uski taraf se ada karega

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: jo logon ka Maal Karz ke taur par ada karney ke niyat se leta hai to Allah Taala bhi uski taraf se ada karega

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo logon ka Maal Karz ke taur par ada karney ke niyat se leta hai to Allah Taala bhi uski taraf se ada karega aur jo koi tabah karney ki (yani Na dene ki) niyat se le to Allah Taala bhi usko Tabah kar dega.
Sahih Bukhari,  Vol3, 2387

----------------------------------------
English Translation:
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu :The Prophet said, "Whoever takes the money of the people with the intention of repaying it, Allah will repay it on his behalf, and whoever takes it in order to spoil it, then Allah will spoil him."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 41, No. 572

Tuesday, August 13, 2013

- Kisi ke samney Haath failaney se behtar hai ki lakdiyon ka gaththa apni peeth par lekar bechey -

Bismillah hirrahman nirrahim


- Kisi ke samney Haath failaney se behtar hai ki lakdiyon ka gaththa apni peeth par lekar bechey -

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi shaksh lakdiyon ka gaththa apni peeth par (bechney ke liye) liye phirey to wo us sey achcha hai ki kisi ke samney haath failaye aur wo usey kuch de ya na de.  
Sahih Bukhari, Vol 3 , 2374

 ----------------------------------------------------------

Hadith:  Better gather a bundle of wood and carry it on your back  Rather than ask somebody

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "No doubt, you had better gather a bundle of wood and carry it on your back (and earn your living thereby) rather than ask somebody who may give you or not.
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 40, No. 562: 

Mafhum-e-Hadith: Jo subah ko pad le aur us din mar jaye inshallah jannat mein jayega aur…

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Jo subah ko pad le aur us din mar jaye inshallah jannat mein jayega aur…
 Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Sayyadul Astigfar
 (Allah se maghfirat maangney ka sabse achcha tariqa ) ye hai :

”Eh Allah tu mera Rab hai, tere siva koi maabud nahi, tuney hi mujhe paida kiya hai aur main tera hi Banda hu, main apney taqat ke mutabiq tujhse kiye huye Ahad aur wadey par qayam hun, un buri harkaton ke Azab se jo mainey ki hain teri panaah mangta hun, mujh par naimatein teri hain iska iqrar karta hun , meri maghfirat kar de ki tere siwa aur koi bhi Gunaah maaf nahi karta………

……... Rasoollallah SallallahuAlaihiWasallam ne farmaya ki jisney is dua ke alfaaz par yaqeen rakhtey huye Dil se inko kah liya aur usi din shaam honey se pahley uska inteqal ho gaya to wo jannati hai, aur jisney is Dua ke alfaaz par yakeen rakhtey huye Raat mein inko Parh liya aur phir uska subah honey se pahley inteqal ho gaya to wo jannati hai.
('Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Anta Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, A'udhu bika min Sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya, wa Abu Laka bidhanbi faghfirli innahu la yaghfiru adhdhunuba illa anta.")

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لّا إِلَهَ إِلَّا أَنْت،خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْت،أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْت،  أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ، وَأَبُوءُ بِذَنْبِي فَاغْفِر لِي فَإِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ
Sahih Bukhari,  Vol 7, (6306)
 --------------------------------------------

Sayyadul Astigfar: (the most superior way to asking forgiveness from Allah)
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لّا إِلَهَ إِلَّا أَنْت،خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ، وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْت،أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْت،  أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَيَّ، وَأَبُوءُ بِذَنْبِي فَاغْفِر لِي فَإِنَّهُ لَا يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلَّا أَنْتَ
Narrated Shaddad bin Aus Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said "Sayyadul Astigfar (the most superior way to asking forgiveness from allah) is: 'Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Anta Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, A'udhu bika min Sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya, wa Abu Laka bidhanbi faghfirli innahu la yaghfiru adhdhunuba illa anta." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam added. "If somebody recites it (Sayyadul Astigfar)  during the day with firm faith in it, and dies on the same day before the evening, he will be from the people of paradise; and if somebody recites it at night with firm faith in it, and dies before the morning, he will be from the people of paradise."
Sahih Bukhari,  Book 75, Hadith 318
le='msoy � c r �� �Duaon ka bayan (6306)

Billi (Cat) ko bhuka maar deney ki wajah se Dojakh mein chali gayee

Bismillahirrahmanirrahim

Billi (Cat) ko bhuka maar deney ki wajah se Dojakh mein chali gayee

Abdullah bin Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ek Aurat ko azab is wajah se hua kyunki usney ek billi ko itni der tak baandh kar rakha tha ki wo bhook se mar gayee aur wo Aurat isi wajah se Dozakh mein dakhil huyee. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya  ki Allah taala ne us sey kaha tha { Aur allah hi jiyada janta hai }  ki jab tuney us Billi ko baand kar rakha us waqt na tuney usey kuch khilaya aur na kuch pilaya aur na usey chod ki wo zameen ke keedey makodey hi kha kar apna pet bhar leti.
Sahih Bukhari,  Vol 3 , 2365
-----------------------------------------------

Hadith: Allah put her in Hell because of She locked a Cat till it died of hunger.

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A woman was tortured and was put in Hell because of a cat which she had kept locked till it died of hunger." Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam further said, (Allah knows better) Allah said (to the woman), 'You neither fed it nor watered when you locked it up, nor did you set it free to eat the insects of the earth."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 553: 

Ek Kuttey (dog) Par Raham ki wajah se Bakhshish ho gayee

Bismillahirrahmanirrahim

Ek Kuttey (dog)  Par Raham ki wajah se Bakhshish ho gayee

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shakhsh ja raha tha ki usey sakht piyas lagi usney ek kunwey mein utar kar paani peeya phir bahar aaya to dekha ki ek Kutta(dog) haanf  raha hai aur pyas ki wajah se keechad chaat raha hai usney (apney dil mein) kaha ki ye bhi is waqt aisey hi pyas mein mubtala hai jaisey abhi mujhe lagi huyee thi (wo phir se kunwey mein utra) apney jutey ko bhar kar usey apney daanto se pakdey huye upar aaya aur kuttey ko pani pilaya Allah taala ne uskey  is kaam ko qubul kiya aur uski maghfirat farmayee Sahaba ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya humein chopayo (animals) par bhi ajar milega Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har jaandar mein sawab hai.
Sahih Bukhari,  Vol 3 , 2363



Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "While a man was walking he felt thirsty and went down a well and drank water from it. On coming out of it, he saw a dog panting and eating mud because of excessive thirst. The man said, 'This (dog) is suffering from the same problem as that of mine. So he (went down the well), filled his shoe with water, caught hold of it with his teeth and climbed up and watered the dog. Allah thanked him for his (good) deed and forgave him." The people asked, "O Allah's Apostle! Is there a reward for us in serving (the) animals?" He replied, "Yes, there is a reward for serving any animate."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 551: 

Hadith: 3 tarah ke log Jinhey Allah Qayamat ke din Dekhega bhi nahi

Bismillahirrahmanirrahim

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 3 tarah ke log wo hongey jinki taraf Qayamat ke din Allah Taala nazar bhi nahi uthayega aur na unhey paak karega bulki unkey liye dardnaak azab hoga.
1.wo shaksh jiskey paas raastey mein Zarurat se jiyada paani ho aur usney kisi musaafir ko uskey istaimaal se rok diya.
2.Wo shaksh jo kisi haakim se bait sirf duniya ke liye karey ki agar wo haakim usey kuch de to wo raazi rahey warna khafa ho jaye.
3.Wo shakhsh jo apna (bechney ka) saaman asar ke baad lekar khada hua aur kahney laga ki us Allah ki Qasam jiskey siwa koi sachcha maabud nahi, mujhe is saaman ki qeemat itni itni mil rahi thi us par ek shakhsh ne usey sahi samjha (aur us saman ko kharid liya).
Sahih Bukhari, Vol 3, 2358
-----------------------------------------------------

English Translation:
Narrated Abu Huraira: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There are three persons whom Allah will not look at on the Day of Resurrection, nor will he purify them and theirs  shall be a severe punishment.
1. A man possessed superfluous water, on a way and he withheld it from travelers.
2. A man who gave a pledge of allegiance to a ruler and he gave it only for worldly benefits. If the ruler gives him something he gets satisfied, and if the ruler withholds something from him, he gets dissatisfied.
3. And man displayed his goods for sale after the 'Asr prayer and he said, 'By Allah, except Whom None has the right to be worshipped, I have been given so much for my goods,' and somebody believes him (and buys them)."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 547: 

Category

Total Pageviews