Search This Blog

Autoblog

Tuesday, August 13, 2013

Ek Kuttey (dog) Par Raham ki wajah se Bakhshish ho gayee

Bismillahirrahmanirrahim

Ek Kuttey (dog)  Par Raham ki wajah se Bakhshish ho gayee

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shakhsh ja raha tha ki usey sakht piyas lagi usney ek kunwey mein utar kar paani peeya phir bahar aaya to dekha ki ek Kutta(dog) haanf  raha hai aur pyas ki wajah se keechad chaat raha hai usney (apney dil mein) kaha ki ye bhi is waqt aisey hi pyas mein mubtala hai jaisey abhi mujhe lagi huyee thi (wo phir se kunwey mein utra) apney jutey ko bhar kar usey apney daanto se pakdey huye upar aaya aur kuttey ko pani pilaya Allah taala ne uskey  is kaam ko qubul kiya aur uski maghfirat farmayee Sahaba ne arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya humein chopayo (animals) par bhi ajar milega Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har jaandar mein sawab hai.
Sahih Bukhari,  Vol 3 , 2363



Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "While a man was walking he felt thirsty and went down a well and drank water from it. On coming out of it, he saw a dog panting and eating mud because of excessive thirst. The man said, 'This (dog) is suffering from the same problem as that of mine. So he (went down the well), filled his shoe with water, caught hold of it with his teeth and climbed up and watered the dog. Allah thanked him for his (good) deed and forgave him." The people asked, "O Allah's Apostle! Is there a reward for us in serving (the) animals?" He replied, "Yes, there is a reward for serving any animate."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 551: 

Category

Total Pageviews