Search This Blog

Autoblog

Wednesday, September 24, 2014

Hadith : Sabse Afazal Jihad hajj mabrur hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Sabse Afazal Jihad hajj mabrur hai

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki mainey kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  hum dekhtey hain ki Jihad sab kaamon se afzal hai , phir hum bhi kyu na Jihad karey , to  Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya nahi, bulki Sabse Afzal Jihad Hajj Mabrur hai
Sahih Bukhari, Vol 2, 1520
----------------------------------------------
Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: I said, O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! We consider Jihad as the best deed.

So we should also do the Jihad? The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said,  No, The best Jihad is Hajj Mabrur.
Sahih Bukhari,  Book 26, Number 595 

Mafhum-e-hadith: Sabse Afzal Aaamal

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-hadith: Sabse Afzal Aaamal

Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se pucha gaya ki kaunsa amal sabse afzal hai farmaya Allah aur uskey Rasool par Imaan lana, kaha gaya uskey baad kaunsa ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ki raah mein Jihad karna kaha gaya phir  kya hai ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Hajj Mabroor
Sahih Bukhari,  Vol 1519,
--------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  was asked, Which is the best deed? He Sallallahu Alaihi Wasallam said, To believe in Allah and His Apostle. then asked, Which is the next (in goodness)? He Sallallahu Alaihi Wasallam said, To participate in Jihad in Allah's Cause. then asked, Which is the next? He Sallallahu Alaihi Wasallam  said, To perform Hajj-Mabrur. 
Sahih Bukhari, Book 26, 594: 

Hadith: yahan ( makka mein ) koi giri huyee cheej nahi uthayee jaye siwaye us shaksh ke jo Elaan kare

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: yahan ( makka mein ) koi giri huyee cheej nahi uthayee jaye siwaye us shaksh ke jo Elaan kare
--------------------------------------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne fatey makka par farmaya ki  Allah subhanahu ne is shahar makka ko hurmat wala (ezzat wala) banaya hai isliye iskey kaante  tak bhi na kaante  jaye aur shikar  ka peecha bhi nahi kiya jaye aur koi giri huyee cheej bhi nahi uthayee jaye siwaye us shaksh ke jo Elaan kare ( aur us cheej ko uskey maalik tak pahuncha de)
Sahih Bukhari,  Vol2 , 1587

--------------------------------------------------
Narrated Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma : On the Day of the Conquest of Mecca, Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, Allah has made this town a sanctuary. Its thorny bushes should not be cut, its game should not be chased, and its fallen things should not be picked up except by one who would announce it publicly.
Sahih Bukhari,  Volume 2, Book 26, Number 657:

Mafhum-e-Hadith : Hajj aur umrah ke tawaf mein 7 chakakaron mein se pahley 3 chakkaron mein Ramal karna sunnat hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith : Hajj aur umrah ke tawaf mein 7 chakakaron mein se pahley 3 chakkaron mein Ramal karna sunnat hai
------------------------------------------------------------
Salim Radi Allahu Anhu aoney walid se rivayat kartey hai ki Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  Makka tasreef laate to pahle tawaf shuru karte waqt hajar-e-Aswad ko Bosa detey aur 7 chakakaron mein se pahle 3 chakkaron mein Ramal karte they ( yani tez tez chalte) 
Sahih Bukhari, Vol2, 1603

Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne pahley teen chakakaron mein ramal kiya aur baki chaar chakkaron mein hasb-e-mamul ( yani normal) chale , Hajj aur Umrah dono mein
Sahih Bukhari, Vol2, 1604
------------------------------------------------------------

Narrated Salim Radi Allahu Anhu that his father said:I saw Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam arriving at Mecca; he kissed the Black Stone Corner first while doing Tawaf and did ramal ( walking fast) in the first three rounds of the seven rounds (of Tawaf).
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 673:

Narrated Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam did Ramal ( walking fast) in (first) three rounds (of Tawaf), and walked (normally) in the remaining four, in Hajj and Umra.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 674:


Hadith: jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahe to apne baal aur nakhun yuhi rahne de

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahe to apne baal aur nakhun yuhi rahne de
-----------------------------------------
Umm Salama Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jab tum Dhul Hijja ka chand dekho aur tum mein se koi Qurbani karna chahe to apne baal aur nakhun yuhi rahne de ( yani na kaate)
Sahih Muslim , Vol 5, #5119

Umm Salama Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jiskey paas janwar ho zabah karne ke liye aur Zil Hijja ka chand aa jaye ( ya jab Dhu'l-Hijja ka mahina aa jaye) to apne Baal na katwaye aur na Nakhun tarashe jab tak qurbani na kar le.
Sahih Muslim , Vol 5, 5121
-----------------------------------------
English Translation:
Umm Salama reported Allah's Messenger may peace be upon him having said this: When any one of you intending to sacrifice the animal enters in the month (of Dhu'l-Hijja) he should not get his hair or nails touched (cut).
Sahih Muslim, Book 022, Number 4869

Umm Salama, the wife of Allah's Apostle may peace be upon him reported Allah's Messenger may peace be upon him have said: He who has a sacrificial animal with him whom (he intends) to offer as sacrifice, and he enters the month of Dhu'I-Hijja, he should not get his hair cut or nails trimmed until he has sacrificed the animal.
Sahih Muslim, Book 022, Number 4873

Ye Chaar tarah ke jaanwar Qurbani ke liye nahi lene chahiye

Bismillahirrahmanirrahim

 Chaar tarah ke jaanwar Qurbani ke liye nahi lene chahiye
(
Four Types of animals should be avoided in sacrifice )

Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Qurbani ke liye chaar tarah ke jaanwar durast nahi hai
1. Wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho, 2. dusra wo jo dekhney se hi beemar lagta ho,

3. teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho,
4. aur  chotha wo jo budha aur bilkul kamjor ho jiski haddiyon mein Gooda na ho

Sunan Abu Dawud, Vol 2 1029-Sahih

-----------------------------------------------------------------------------------------------

Narrated Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said Four (types of animals) should be avoided in sacrifice: A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye, a sick animal which is obviously sick, a lame animal which obviously limps and an animal with a broken leg with no marrow.
Sunan Abu Dawud, Book 15, Number 2796
-Sahih

Al Quran : Jo usmein ( Makka mein) dakhil ho jata hai wo aman wala ho jaata hai ( whosoever enters ( makka) it, he attains security)


Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran : Jo usmein ( Makka mein) dakhil ho jata hai wo aman wala ho jaata hai
( whosoever enters ( makka) it, he attains security)

Beshaq logon ke wastey jo sabse pahla ghar muqarrar huwa wo yahi hai jo makka mein barkat wala hai aur jahan ke logon ke liye rahnuma hai 
 Ismein Zahir nishaniyah hain , Muqam-e-Ibrahim hai, aur jo usmein dakhil ho jaye wo aman wala ho jaata hai aur logon par is ghar ka HAJJ karna Allah ka haq hai jo shaksh us tak pahunchney ki taqat rakhta ho, aur jo inkaar karey to phir Allah jahan walon se be parwah hai
Al Quran, Surah Aal-e-Imran(3) Verse: 96-97
------------------------------------------

 Verily, the first House (of worship) appointed for mankind was that at Bakkah (Makkah), full of blessing, and a guidance for Al-'Alamin (mankind and jinn). 


In it are manifest signs (for example), the Maqam (place) of Ibrahim (Abraham); whosoever enters it, he attains security. And Hajj (pilgrimage to Makkah) to the House (Ka'bah ) is a duty that mankind owes to Allah, those who can afford the expenses (for one's conveyance, provision and residence); and whoever disbelieves [i.e. denies Hajj (pilgrimage to Makkah), then he is a disbeliever of Allah], then Allah stands not in need of any of the 'Alamin (mankind, jinn and all that exists) .
Al Quran, Surah Aal-e-Imran(3) Verse: 96-97
 

Mafhum-e-Hadith: Main khub janta hu tu ek paththar hai, na kisi ko Nuksaan pahuncha sakta hai na nafaa


Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-Hadith: Main khub janta hu tu ek paththar hai, na kisi ko Nuksaan pahuncha sakta hai na nafaa

Abis bin Rabia Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hazrat Umar Radi Allahu Anhu Hajar-e-Aswad ke pass aaye aur usey Bosa diya aur farmaya ki main khub janta hu tu ek paththar hai , na kisi ko Nuksaan pahuncha sakta hai na nafaa, Agar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ko tujhe Bosa detey huye ( chumtey huye) na dekhta to main tujhe kabhi Bosa na deta
Sahih Bukhari, Vol2, 1597
 ---------------------------------------------------------------------
Narrated Abis bin Rabia Radi Allahu Anhu : Umar Radi Allahu Anhu  came near the Black Stone (Hajr-e-Aswad) and kissed it and said No doubt, I know that you are a stone and can neither benefit anyone nor harm anyone. Had I not seen Allah's Apostle Peace be upon him kissing you I would not have kissed you.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 667

Mafhum-e-Hadith: Hajj Karne wala aisa ho jata hai jaise uski Maa ne usey abhi paida kiya ho

Bismillahirrahmanirrahim

 Mafhum-e-Hadith: Hajj Karne wala aisa ho jata hai jaise uski Maa ne usey  abhi paida kiya ho

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne Allah subhanahu ke liye is tarah Hajj kiya ki na koi fahash (buri) baat ki aur na koi gunaah to wo is tarah wapas aayega jaisey uski Maa ne usey abhi paida kiya ho ( yani gunaaho se bilkul paak)
Sahih Bukhari, Vol 2, 1521
-------------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Whoever performs Hajj for Allah's pleasure and does not do evil or sins then he will return (after Hajj free from all sins) as if he were born a new.
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 26, Number 596: 

Hadith: Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they

Hunaydah ibn Khalid apni biwi se rivayat karte hain ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ki jawza (biwi) ne farmaya ki Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam Dhil-Hijjah ke shuru ke 9 din roze rakha karte they
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 665-Sahih
Sunan Nasaii, Vol2, 388 -Sahih
Ibn Abbas Radi allahu anhuma se rivayt ahi ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya in dino (Dhil Hijja ke shuru ke 10 din)  ke amal se ziyada kisi bhi dino ke amal ki fazilat nahi
Sahih Bukhari,  Vol 2, 969
------------------------------------------------------------------------
Narrated One of the wives of the Prophet sallallahu alaihi wasallam :
Hunaydah ibn Khalid narrated from his wife on the authority of one of the wives of the Prophet sallallahu alaihi wasallam  who said: The Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam  used to fast the first nine days of Dhul-Hijjah
Sunan Abu Dawud,  Book 13, #2431-Sahih
Also in : Sunan Nasaii,  Book 22 , #2419-Sahih

Narrated Ibn Abbas Radi allahu anhuma : The Prophet sallallahu alaihi  wasallam said, No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja).

Sahih Bukhari, Book 15, Hadith 86

Hadith: in dino(Dhul Hijja ke shuru ke 10 din) ke amal se ziyada kisi bhi dino ke amal ki fazilat nahi

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: in dino(Dhul Hijja ke shuru ke 10 din)  ke amal se ziyada kisi bhi dino ke amal ki fazilat nahi

Ibn Abbas Radi allahu anhuma se rivayt ahi ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya in dino(Dhul Hijja ke shuru ke 10 din)  ke amal se ziyada kisi bhi dino ke amal ki fazilat nahi. logon ne pucha aur jihad mein bhi nahi ? Aap sallallahu alaihi  wasallam ne farmaya haan jihad mein bhi nahi  siwa us shaksh ke jo apni jaan aur maal khatrey mein daal kar nikla aur wapas aaya to saath kuch bhi na laya.
Sahih Bukhari,  Vol 2, 969
------------------------------------------------

Narrated Ibn Abbas Radi allahu anhuma : The Prophet sallallahu alaihi  wasallam said, No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja). Then some companions of the Prophet sallallahu alaihi  wasallam said, Not even Jihad? He replied, Not even Jihad, except that of a man who does it by putting himself and his property in danger (for Allah's sake) and does not return with any of those things.  
Sahih Bukhari, Book 15, Hadith 86

Saturday, September 20, 2014

Mafhum-e-Hadith: waqt par namaz Padhna ALLAH ko sabse ziyada pasand hai

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: waqt par namaz Padhna ALLAH ko sabse ziyada pasand hai


Abdullah bin masood ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  se pucha kaunsa kaam ALLAH ko sabse ziyada pasand hai,
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya waqt par namaz Padhna 

,pucha ki phir kaunsa ?
farmaya Waldein ke saath achcha  suluk karna , 


pucha ki phir kaunsa ,
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki ALLAH ke raaste mein Jihad karna .


Sahih Bukhari, Vol 7, 5970

---------------------------------------------------

Narrated Al-Walid bin 'Aizar Radi Allahu Anhu : I heard Abi Amr 'Ash-Shaibani saying, "The owner of this house." he pointed to 'Abdullah bin masood's house, "said, 'I asked the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam 'Which deed is loved most by ALLAH?" He replied, 'To offer prayers at their early (very first) stated times.' " 'Abdullah asked, "What is the next (in goodness)?" The Prophet said, "To be good and dutiful to one's parents," 'Abdullah asked, "What is the next (in goodness)?" The Prophet said, To participate in Jihad for ALLAH's Cause."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 1: 

Mafhum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq

Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu se rivayaty hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Ya Muadh , Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ,  Aapne farmaya ki tumhe malum hai ALLAH ka bandon par  kya Haq hai ? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  ALLAH ka bandon par ye Haq hai ki bande khas usi (ALLAH) ki  Ibadat kare aur kisi ko uske saath sharik na karey,
                       Phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam thodi der chalte rahe aur uske baad farmaya Ya Muadh,  Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ,  Aapne farmaya ki tumhe malum hai Bando ka ALLAH par  kya Haq hai  jab wo ye kaam kar le? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  Bandon ka ALLAH par haq hai ki wo unhe (aone bando ko) Azab na karey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5967

-------------------------------------------------

Narrated Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu While I was riding behind the Prophet and between me and him and between me and him there was only the back of the saddle, he said, "0 Mu'adh!" I replied, "Labbaik, 0 ALLAH's Apostle, and Sa'daik!" he said, "Do you know what is ALLAH's right upon his slave?" I said, "ALLAH and His Apostle know best" He said "ALLAH's right upon his slaves is that they should worship Him alone and not worship anything else besides Him." Then he proceeded for a while and then said, "O Muadh bin Jabal!" I replied, "Labbaik, O ALLAH's Apostle:, Sa'daik!' He said, "Do you know what is the right of the slaves upon ALLAH if they do that?" I replied, "ALLAH and His Apostle know best." He said, "The right of the slaves upon ALLAH is that He will not punish them (if they do that)."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 850: 

Mafhum-e-Hadith: Jibril Alaihi salam ne kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate jahan tasweer ya Kutta (dog) ho

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Jibril Alaihi salam ne kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate  jahan tasweer ya Kutta (dog) ho


Saalem ne apne walid se rivayat kiya ki  Ek baar Jibril Alaihi salam ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke wahan aane ka wada kiya lekin aane mein der huyee aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam pareshaan huye, phir aap Sallallahu Alaihi wasallam bahar nikle to Jibril Alaihi salam se mulaqat huyee , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unse shikayat ki to unhone kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate jahan tasweer ya Kutta (dog) ho.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5960
-----------------------------------------------------
Narrated Saalem's father Radi Allahu Anhu : Once Gabriel promised to visit the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam but he delayed and the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam got worried about that. At last he Sallallahu Alaihi wasallam came out and found Gabriel and complained to him of his grief (for his delay). Gabriel said to him, "We do not enter a place in which there is a picture or a dog."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 843: 

Hadith: Jo log tasweer banate hain unhe Qayamat ke din Azab kiya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo log tasweer banate hain unhe Qayamat ke din Azab kiya jayega


Said bin Abu Al-Hasan ne kaha ki Main Ibn Abbaski Khidmat mein hazir tha ki Ek shaksh unke pass aaya aur kaha ki Eh Abu Abbas main un logo mein se hu jinki rozi apne haath ke hunar par moquf hai aur main ye tasweerein banata hu , Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha ki maine Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ko ye farmate huye suna hai ki jisne kabhi koi tasweer banayee to ALLAH subhanahu usey us waqt tak Azab dega jab tak wo shaksh un tasweeron (ya moortiyon) mein jaaan na daal de aur wo kabhi usmein jaan nahi daal sakta
ye sun kar us shaksh ka saans phul gaya aur chehra zard parh gaya Ibn Abbas ne kaha ki Afsos, agar tum tasweerein banana hi chahte ho to Darakhton ki aur un cheezo ki banao jismein jaan nahi hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2225

Abdullah bin Umar  Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Jo log tasweer banate hain unhe Qayamat ke din Azab kiya jayega aur unse kaha jayega ki jisko tumne banaya hai usmein ab jaan bhi daalo.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5951


----------------------------------------------------------
 Narrated Said bin Abu Al-Hasan: While I was with Ibn 'Abbas a man came and said, "O father of 'Abbas! My sustenance is from my manual profession and I make these pictures." Ibn 'Abbas said, I heard ALLAH Apostel Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'Whoever makes a picture will be punished by ALLAH till he puts life in it, and he will never be able to put life in it.' " Hearing this, that man heaved a sigh and his face turned pale. Ibn 'Abbas said to him, "What a pity! If you insist on making pictures I advise you to make pictures of trees and any other unanimated objects."
Sahih Bukhari, Book
#34, Hadith #428

Narrated 'Abdullah bin 'Umar  Radi Allahu Anhuma: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Those who make these pictures will be punished on the Day of Resurrection, and it will be said to them. 'Make alive what you have created.'"
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 835

Hadith: Nakli baal lagane waliyon par aur lagwane waliyon par ALLAH ne laanat bheji hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Nakli baal lagane waliyon par aur lagwane waliyon par ALLAH ne laanat bheji hai.


Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya sir ke kudrati balon mein nakli baal lagane waliyon par aur lagwane waliyon par aur
godne wali ( tattoo lagane ) par aur gudwane waliyon (tattoo lagwaney) par ALLAH ne laanat bheji hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5933

------------------------------------------------

Narrated Ibn Umar Radi Allahu Anhuma ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "ALLAH has cursed such a lady as lengthens (her or someone else's) hair artificially or gets it lengthened, and also a lady who tattoos (herself or someone else) or gets herself tattooed.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 820: 

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu Alaihi wasallam jaisa khubsurat na pahle dekha na baad mein

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu Alaihi wasallam jaisa khubsurat na pahle dekha na baad mein

Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine hazrat Anas se Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke baalon ke baare mein pucha to kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke baal darmiyana the na bilkul seedhe na ghunghriyale (curley) aur wo kaano aur kandhon (shoulder) ke beech tak the
Sahih Bukhari, Vol 7, 5905


Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ke haath aur panw bhare huye they, Chehra haseen aur jameel tha , maine Aap Sallallahu Alaihi wasallam jaisa khubsurat na pahle dekha na baad mein , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki hatheliyan Kushada thi.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5907

Narrated Qatada Radi Allahu Anhu : I asked Anas bin Malik Radi Allahu Anhu  about the hair of ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam . He said, "The hair of ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam was neither much straight, nor much curly, and it used to hang down till between his shoulders and his earlobes.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 791


Narrated Anas Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam had big hands and feet, and I have not seen anybody like him, neither before nor after him, and his palms were soft.
Sahih Bukhari,   Vol 7, Book 72, No. 793

Hadith: Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf se shuru kare aur Utare to bahine taraf se

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf se shuru kare aur Utare to bahine taraf se

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf (Right side) se shuru kare aur Utare to bahine taraf  (left Side) se utarey, taki Dahini janib pahanne mein awwal ho aur utarne mein aakhri ho
Sahih Bukhari, Vol 7, 5855
 ----------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "If you want to put on your shoes, put on the right shoe first; and if you want to take them off, take the left one first. Let the right shoe be the first to be put on and the last to be taken off."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 747

Hadith: koi shaksh Ek paanw mein juta pahan kar na chale

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: koi shaksh Ek paanw mein juta pahan kar na chale
------------------------------------------------------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein koi shaksh Ek paanw mein juta pahan kar na chaley, ya Dono pannwon mein Juta pahne ya Dono mein se Utar le.
Sahih Bukhari,
Vol 7, 5856


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "None of you should walk, wearing one shoe only; he should either put on both shoes or put on no shoes whatsoever."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 746:



Mafhum-e-hadith: achcha kaam dahini taraf se shuru karna sunnat hai

Bismillahirrahmanirrahim


Mafhum-e-hadith: achcha kaam dahini taraf se shuru karna sunnat hai

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  taharat mein , kangha karne mein aur Juta pahnanaye mein Dahine taraf (right side)  se pasand farmate the .
Sahih Bukhari,
Vol 7, 5854

--------------------------------------------------------------

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  used to like starting from the right in performing ablution, combing his hair and putting on his shoes.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 745: 






Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne Do waqt mein namaz Padhne se mana farmaya

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne Do waqt mein namaz Padhne se mana farmaya
--------------------------------------------------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne Do waqt mein namaz Padhne se mana farmaya Ek namaz Fajar ke baad suraj nikalne tak aur dusra Asar ke baad suraj gurub hone tak.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5819
--------------------------------------------------


Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam had forbidden: the offering of two prayers, one after the morning compulsory prayer till the sun rises, and the others, after the 'Asr prayer till the sun sets.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 709:

Tuesday, September 16, 2014

Hadith: ALLAH taala uski taraf Nazar-e-Rahmat nahi karega jo……

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH taala uski taraf Nazar-e-Rahmat nahi karega jo……


Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qayamat ke din ALLAH taala uski taraf Nazar-e-Rahmat nahi karega jo Apna kapda gurur ke sabab se zameen par ghaseet (drag) kar chalta hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5783

-------------------------------------------------

Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radi Allahu Anhuma : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, 'ALLAH will not look at the person who drags his garment (behind him) out of conceit.''
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 674

Hadith: Us din usey na Zaher nuksaan pahuncha sakta hai na jadu

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Us din usey na zaher nuksaan pahuncha sakta hai na jadu

Saud Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jis shaksh ne subah ke waqt 7 Ajwa khajur kha li to us din usey na Zaher nuksaan pahuncha sakta hai na jadu.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5769
------------------------------------------------


Narrated Saud Radi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "If Somebody takes seven 'Ajwa dates in the morning, neither magic nor poison will hurt him that day."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No 664

Mafhum-e-Hadith: Ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain
------------------------------------------------
Aayesa Radi Allahu Anha se rivayat hai ki kuch logon ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  se  kahinon (Najumi) ke baare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iski koi buniyaad nahi , logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  baaz waqt wo hame aisee baatein bhi batate hain jo sahi ho jati hain, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya ye kalma haq hota hai,  ye kahin kisi Jinn se sun leta hai, wo Jinn apne dost kahin ke kaan mein daal deta hai aur phir ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hain.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5762
------------------------------------------------


Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha:  Some people asked ALLAH's Apostle about the fore-tellers He said. ' They are nothing" They said, 'O ALLAH's Apostle! Sometimes they tell us of a thing which turns out to be true." ALLAH's Apostle said, "A Jinn snatches that true word and pours it Into the ear of his friend (the fore-teller) (as one puts something into a bottle) The foreteller then mixes with that word one hundred lies."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 657

Mafhum-e-Hadith: Bistar par jane se pahle ke Azkaar

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Bistar par jane se  pahle ke Azkaar

------------------------------------------
Umm Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  jab apne bistar par aaram farmane ke liye jate to apne dono haathon ki hatheliyon par Surat-al-Ikhlas, Surat-Al-Falaq and Surat-An-Naas Padh kar dam karte phir dono haathon ko apne chehre par aur jism ke jis hisse tak haath pahunch pata wahan pherte, aur jab Aap Sallallahu Alaihi wasallam beemar hote to mujhe isee tarah karne ka hukm dete they.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5748


------------------------------------------
Narrated 'Aisha Radi Allahu Anhu :  Whenever ALLAH's Apostle went to bed, he used to recite Surat-al-Ikhlas, Surat-al-Falaq and Surat-an-Nas and then blow on his palms and pass them over his face and those parts of his body that his hands could reach. And when he fell ill, he Sallallahu Alaihi wasallam used to order me to do like that for him.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 644: 

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se
-------------------------------------------
Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya beshaq achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se hota hai isliye jab tum mein se koi shaksh aisa khwab dekhe jo bura ho to , 3 baar bahine taraf (left side) thu thu kare aur us khwab ki buraii se ALLAH ki panaah mange is tarah us khwab ka usey koi nuksaan nahi hoga,  Abu salma ne kaha ki kuch khwab mujh par pahaad se bhi ziyada bhari hote the lekin  jabse maine ye Hadith suni us par amal karne laga , ab mujhe koi parwah nahi hoti.
Sahih Muslim,  Vol 7, 5747
-------------------------------------------

Narrated Abu Qatada Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "A good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with ALLAH from its evil for then it will not harm him."
 Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 643


Mafhum-e-Hadith: Beemar ki Shifa ke liye Dua

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Beemar ki Shifa ke liye Dua
------------------------------------------------
Abdul Aziz Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main aur Saabit Anas Radi Allahu Anhu ke pass gaye aur Saabit ne kaha oh Abu Hamza main beemar hun, is par Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki kyu na main tum par wo Dua Parhu jo Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  para karte they ,Saabit na kaha ki haan, to Anas bin malik ne Padha:

اللهم رب الناس، مذهب البأس، اشف أنت الشافي، لا شافي إلا أنت، شفاء لا يغادر سقماً

( Allahumma Rabbin nas
 adhabal basa, ashfi wa Anta Ash-shafee, la shifa' illa shifa'uka shifa' la yughadiru saqma )

Eh ALLAH logon ke Rab , Takleef  ko dur karne waley,Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai,aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
Sahih Bukhari,  Vol7, 5742
------------------------------------------------

Narrated 'Abdul 'Aziz Radi Allahu Anhu : Thabit and I went to Anas bin Malik. Thabit said, "O Abu Hamza! I am sick." On that Anas said, "Shall I treat you with the Ruqya of ALLAH's Apostle?" Thabit said, "Yes," Anas recited,
اللهم رب الناس، مذهب البأس، اشف أنت الشافي، لا شافي إلا أنت، شفاء لا يغادر سقماً

"O ALLAH! The Lord of the people, the Remover of trouble! (Please) cure (Heal) ,for You are the Healer. None brings about healing but You; a healing that will leave behind no ailment."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 638

Hadith: Buri Nazar lagna haq hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Buri Nazar lagna haq hai
-------------------------------------------------------
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Buri Nazar lagna haq hai aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Jism par godne 
(tattooing) se mana farmaya.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5740 

Umm Salama Radi Allahu Anha  se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne inke ghar mein ek ladki dekhi jiske chehre par kaale dhabbey(Black spot) Padh gaye they , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is par dam kara do kyunki isko nazar lag gayee hai
Sahih Bukhari, Vol 7,  5739
-------------------------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  said, "The effect of an evil eye is a fact." And he prohibited tattooing 
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 636: 

Narrated Umm Salama Radi AllahuAnha  : that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saw in her house a girl whose face had a black spot. He Sallallahu Alaihi wasallam said. "She is under the effect of an evil eye; so treat her with a Ruqya.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 635: 

Mafhum-e-Hadith: Surah Fatiha padh kar Dum k aur us par Ujrat lene ke mutalliq

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith:  Surah Fatiha  padh kar Dum  k aur us par Ujrat  lene ke mutalliq
---------------------------------------------------

Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Kuch Sahaba Radi Allahu Anhuma  safar ke dauran arab ke ek Qabile par se guzre , Qabile walon ne unki ziyafat (mehman nawazi) nahi ki kuch der baad us Qabile ke sardar ko bichchu ne kaat liya un Qabile walon ne sahaba se kaha ki Aap logon ke pass koi dawa ya jhaadne wala hai, sahaba ne kaha ki tum logo ne humein mehman nahi banaya aur ab hum us waqt tak dum nahi karenge jab tak tum hamare liye iski mazduri muqarrar na kar do so un logon ne kuch bakriyan deni manzur kar li phir ( Abu Saeed khudri Radi Allahu Anhu ) surah fatiha parhne lage aur usko dam karte huye munh ka lua’ab ( thuk)  bhi us jagah lagane lage is se wo shaksh achcha ho gaya iske baad Qabile wale bakriyan lekar aaye lekin sahaba ne kaha jab tak Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  se na puch lenge ye bakriyan nahi le sakte phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko malum chala to muskuraye aur farmaya ki tumhe kaise malum ho gaya tha ki surah fatiha se dum bhi kiya ja sakta hai , in bakriyon ko le lo aur unmein mera hissa bhi lagao (nikalo).
Sahih Bukhari, Vol7, 5736

---------------------------------------------------
Narrated Abu Said Al-Khudri: Some of the companions of the Prophet came across a tribe amongst the tribes of the Arabs, and that tribe did not entertain them. While they were in that state, the chief of that tribe was bitten by a snake (or stung by a scorpion). They said, (to the companions of the Prophet ), "Have you got any medicine with you or anybody who can treat with Ruqya?" The Prophet's companions said, "You refuse to entertain us, so we will not treat (your chief) unless you pay us for it." So they agreed to pay them a flock of sheep. One of them (the Prophet's companions) started reciting Surat-al-Fatiha and gathering his saliva and spitting it (at the snake-bite). The patient got cured and his people presented the sheep to them, but they said, "We will not take it unless we ask the Prophet (whether it is lawful)." When they asked him, he smiled and said, "How do you know that Surat-al-Fatiha is a Ruqya? Take it (flock of sheep) and assign a share for me."  

Sahih Bukhari, Book #71, Hadith #632

Category

Total Pageviews