Search This Blog

Autoblog

Saturday, September 20, 2014

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu Alaihi wasallam jaisa khubsurat na pahle dekha na baad mein

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Aap Sallallahu Alaihi wasallam jaisa khubsurat na pahle dekha na baad mein

Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine hazrat Anas se Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke baalon ke baare mein pucha to kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke baal darmiyana the na bilkul seedhe na ghunghriyale (curley) aur wo kaano aur kandhon (shoulder) ke beech tak the
Sahih Bukhari, Vol 7, 5905


Anas Radi Allahu Anhu ne kaha ki Nabee Sallallahu Alaihi wasallam ke haath aur panw bhare huye they, Chehra haseen aur jameel tha , maine Aap Sallallahu Alaihi wasallam jaisa khubsurat na pahle dekha na baad mein , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki hatheliyan Kushada thi.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5907

Narrated Qatada Radi Allahu Anhu : I asked Anas bin Malik Radi Allahu Anhu  about the hair of ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam . He said, "The hair of ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam was neither much straight, nor much curly, and it used to hang down till between his shoulders and his earlobes.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 791


Narrated Anas Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam had big hands and feet, and I have not seen anybody like him, neither before nor after him, and his palms were soft.
Sahih Bukhari,   Vol 7, Book 72, No. 793

Category

Total Pageviews