Search This Blog

Autoblog

Saturday, September 20, 2014

Mafhum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Allah ka bando par haq aur bando ka Allah par Haq

Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu se rivayaty hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Ya Muadh , Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ,  Aapne farmaya ki tumhe malum hai ALLAH ka bandon par  kya Haq hai ? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  ALLAH ka bandon par ye Haq hai ki bande khas usi (ALLAH) ki  Ibadat kare aur kisi ko uske saath sharik na karey,
                       Phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam thodi der chalte rahe aur uske baad farmaya Ya Muadh,  Maine arz ki Labbaik Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ,  Aapne farmaya ki tumhe malum hai Bando ka ALLAH par  kya Haq hai  jab wo ye kaam kar le? maine kaha ALLAH aur uske Rasool ko ziyada ilm hai , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya  Bandon ka ALLAH par haq hai ki wo unhe (aone bando ko) Azab na karey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5967

-------------------------------------------------

Narrated Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu While I was riding behind the Prophet and between me and him and between me and him there was only the back of the saddle, he said, "0 Mu'adh!" I replied, "Labbaik, 0 ALLAH's Apostle, and Sa'daik!" he said, "Do you know what is ALLAH's right upon his slave?" I said, "ALLAH and His Apostle know best" He said "ALLAH's right upon his slaves is that they should worship Him alone and not worship anything else besides Him." Then he proceeded for a while and then said, "O Muadh bin Jabal!" I replied, "Labbaik, O ALLAH's Apostle:, Sa'daik!' He said, "Do you know what is the right of the slaves upon ALLAH if they do that?" I replied, "ALLAH and His Apostle know best." He said, "The right of the slaves upon ALLAH is that He will not punish them (if they do that)."
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 850: 

Category

Total Pageviews