Search This Blog

Autoblog

Saturday, September 20, 2014

Hadith: Jo log tasweer banate hain unhe Qayamat ke din Azab kiya jayega

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo log tasweer banate hain unhe Qayamat ke din Azab kiya jayega


Said bin Abu Al-Hasan ne kaha ki Main Ibn Abbaski Khidmat mein hazir tha ki Ek shaksh unke pass aaya aur kaha ki Eh Abu Abbas main un logo mein se hu jinki rozi apne haath ke hunar par moquf hai aur main ye tasweerein banata hu , Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne kaha ki maine Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ko ye farmate huye suna hai ki jisne kabhi koi tasweer banayee to ALLAH subhanahu usey us waqt tak Azab dega jab tak wo shaksh un tasweeron (ya moortiyon) mein jaaan na daal de aur wo kabhi usmein jaan nahi daal sakta
ye sun kar us shaksh ka saans phul gaya aur chehra zard parh gaya Ibn Abbas ne kaha ki Afsos, agar tum tasweerein banana hi chahte ho to Darakhton ki aur un cheezo ki banao jismein jaan nahi hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 2225

Abdullah bin Umar  Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Jo log tasweer banate hain unhe Qayamat ke din Azab kiya jayega aur unse kaha jayega ki jisko tumne banaya hai usmein ab jaan bhi daalo.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5951


----------------------------------------------------------
 Narrated Said bin Abu Al-Hasan: While I was with Ibn 'Abbas a man came and said, "O father of 'Abbas! My sustenance is from my manual profession and I make these pictures." Ibn 'Abbas said, I heard ALLAH Apostel Sallallahu Alaihi Wasallam said, 'Whoever makes a picture will be punished by ALLAH till he puts life in it, and he will never be able to put life in it.' " Hearing this, that man heaved a sigh and his face turned pale. Ibn 'Abbas said to him, "What a pity! If you insist on making pictures I advise you to make pictures of trees and any other unanimated objects."
Sahih Bukhari, Book
#34, Hadith #428

Narrated 'Abdullah bin 'Umar  Radi Allahu Anhuma: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, "Those who make these pictures will be punished on the Day of Resurrection, and it will be said to them. 'Make alive what you have created.'"
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 835

Category

Total Pageviews