Search This Blog

Autoblog

Tuesday, September 16, 2014

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se
-------------------------------------------
Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya beshaq achcha khwab ALLAH taala ki taraf se hota hai aur bura khwab shaitan ki taraf se hota hai isliye jab tum mein se koi shaksh aisa khwab dekhe jo bura ho to , 3 baar bahine taraf (left side) thu thu kare aur us khwab ki buraii se ALLAH ki panaah mange is tarah us khwab ka usey koi nuksaan nahi hoga,  Abu salma ne kaha ki kuch khwab mujh par pahaad se bhi ziyada bhari hote the lekin  jabse maine ye Hadith suni us par amal karne laga , ab mujhe koi parwah nahi hoti.
Sahih Muslim,  Vol 7, 5747
-------------------------------------------

Narrated Abu Qatada Radi Allahu Anhu : I heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "A good dream is from ALLAH, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with ALLAH from its evil for then it will not harm him."
 Sahih Bukhari, Vol 7, Book 71, No. 643


Category

Total Pageviews