Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Rishtedaar ( Relatives). Show all posts
Showing posts with label Rishtedaar ( Relatives). Show all posts

Thursday, December 9, 2021

Al Quran: Rishtedari ke talluqaat ko bigaadne se bacho

 *Bismillahirrahmanirraheem*

*وَاتَّقُوا اللَّهَ الَّذِي تَسَاءَلُونَ بِهِ وَالْأَرْحَامَ*
---------
*القرآن: اس اللہ سے ڈرو جس کا واسطہ دے کر تم ایک دوسرے اپنا حق مانگتے ہو اور رشتہ داری کے تعلقات کو بگاڑنے سے بچو*
--------
*Al Quran: Us Allah se daro jiska waasta dekar tum ek dusre apna haq maangte ho aur Rishtedari ke talluqaat ko bigaadne se bacho*
--------
*अल क़ुरआन: उस अल्लाह से डरो जिस का वासता दे कर तुम एक दूसरे अपना हक़ मांगते हो और रिश्तेदारी के ताल्लुक़ात को बिगाडने से बचो*
----------
*Al Quran: Fear Allah, through whom you seek one another's rights, and refrain from spoiling the relationship*
----------
*Surah An- Nisa 4:1*

Wednesday, September 18, 2019

Maal hote huye bhi Apne rishtedaron ki madad na karne ka Azab


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Maal hote huye bhi Apne rishtedaron ki madad na karne ka Azab
 ---------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi bhi rishtedar apne kisi rishtedar ke paas aata hai aur Allah Subhanahu ne usay jo ataa Kiya hai usmein se fazal (jo cheez jarurt se zyada ho) ka sawal karta hai aur wo bukhal se pesh aata hai tke din Uske liye dozakh se ek sanp nikala jaega jisko shuja kaha jata hai wo phunkar raha hoga us se uski gardan mai tauk bana kar dal diya jaega 

Al-Silsila-As-Sahiha # 168
-------
رسول اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کوئی بھی رشتہ دار اپنے کسی رشتے دار کے پاس آتا ہے اور اللہ تعالیٰ نے اسے جو عطا کیا ہے اس میں سے فضل (جو چیز ضرورت سے زیادہ ہو ) کا سوال کرتا ہے اور وہ بخیلی سے پیش آتا ہے تو قیامت کے دن اس کے لئے جنمو سے ایک سانپ نکالا جائے گا جسے شجاع کہا جاتا ہے۔ وہ پھنکار رہا ہوگا۔ اسے اس کی گردن میں طوق بنا کر ڈال دیا جائے گا۔
ا سلسلہ صحیحہ ١٦٨ 
-------
✦ रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया कोई भी रिश्तेदार अपने किसी रिश्तेदार के पास आता है और अल्लाह सुबहानहु ने उसे जो अता किया है उसमें से फ़ज़ल (जो चीज़ ज़रूरत से ज़्यादा हो) का 
सवाल करता है और वो बुखल (कंजूसी) से पेश आता है तो क़यामत के दिन उसके लिए दोज़ख़ से एक साँप निकाला जाएगा जिसको शुजा कहा जाता है वो फूंकार रहा होगा , उस से उसकी गर्दन में तौक बना कर 
डाल  दिया जाएगा 
अल-सिलसिला-साहिहा-168
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said when a person go to his relative and ask for giving him property which is surplus with him and he refuses or becomes miser to give it to him,  On the Day of resurrection a snake will brought out from the hell which 
is called Shuja, and it would be made to wear around his neck 
Al-Silsila-As-Sahiha-168

Tuesday, May 14, 2019

Jannat mein salamati ke saath dakhil karwane wale aasan amal



Bismillahirahmanirrahim

✦ Jannat mein salamati ke saath dakhil karwane wale aasan amal
---------------
Abdullah bin salam Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki  jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam madina tashrif laaye to log Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kay istaqbal ke liye daudhte huye aaye aur kahne lage ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  tashreef la chuke hain (aisa teen baar kaha). main bhi dekhne ke liye aaya Maine jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka chehra mubarak wazeh dekha to maine kaha  ye kisi jhoote shakhs ka chehra nahi ho sakta. pahli baat jo mai ne Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se suni wo ye thi ki Eh logo Salam ko aam karo, Khana khilao, Rishtedariyan milao (yani ristedaro ke saath achcha suluq karo), Raato ko namaz padho jab log so rahe hon, (ye sare amal karne se) tum jannat mai salamati ke sath dakhil ho jaoge.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 132 -Sahih
----------
 عبداللہ بن سلام نے کہا کہ جب رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم  مدینے آئے تو لوگ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم  کے استقبال کے لئے دوڑتے ہوئے آئے کہنے لگے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم  تشریف  لا چکے  ہیں۔ ( تین مرتبہ ) میں بھی دیکھنے کے لئے آیا۔ جب ان کا چہرہ واضح ہوا تو میں نے کہا یہ کسی جھوٹے شخص  کا چہرہ نہیں ہو سکتا۔ پہلی بات جو میں نے آپ سے سنی آپ فرما رہے تھے ،اے لوگو ! سلام کو عام کرو، کھانا کھلاؤ، رشتے داروں کو ملاؤ(یعنی رشتےداروں  کے ساتھ  اچّھا سلوق کرو)  راتوں کو نماز پڑھو جب  لوگ سو رہے ہوں، (یہ سارے عمل کرنے سے ) تم جنت میں سلامتی کے ساتھ داخل ہو جاؤ گے۔
سنن ابن ماجہ ، جلد ٣، ١٣٢ -صحیح 
----------
अब्दुल्लाह बिन सलाम रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की  जब रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम मदीना तशरीफ़ लाए तो लोग रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के ईस्तक़बाल के लिए दौड़ते हुए आए और कहने लगे की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  तशरीफ़ ला चुके हैं (ऐसा तीन बार कहा). मैं भी देखने के लिए आय मैंने जब आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम का चेहरा मुबारक वाज़ेह देखा तो मैने कहा  ये किसी झूठे शख्स का चेहरा नही हो सकता. पहली बात जो मैने आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम से सुनी वो ये थी की एह लोगों सलाम को आम करो, खाना खिलाओ, रिश्तेदारियाँ मिलाओ (यानी रिश्तेदारों के साथ अच्छा सुलुक़ करो), रातों को नमाज़ पढ़ो जब लोग सो रहे हों, (ये सारे अमल करने से) तुम जन्नत में सलामती के साथ दाखिल हो जाओगे
सुनन इब्न माजा, जिल्द 3, 132 –सही
-----------
Abdullah bin Salam Radi Allahu Anhu said “When the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam came to Al-Madinah, the people rushed to meet him, and it was said:  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam has come (Three times it was said) , I came with the people to see him, and when I saw his face clearly, I came to know that his face was not the face of a liar. The first thing I heard him say was when He Sallallahu Alaihi Wasallam said: O people Spread (the greeting of) Salam, feed others, keep good relation with relatives, and pray during the night when people are sleeping, (If you do so) you will enter Paradise with Salam.
Sunan Ibn Maja,Book 29,  3251-Sahih

Thursday, November 13, 2014

Hadith: kisi kaam ka badla dena sila Rahmi nahi hai bulki…..

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: kisi kaam ka badla dena sila Rahmi  nahi hai bulki…..
----------------------------------------
Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kisi kaam ka badla dena sila Rahmi  nahi hai bulki sila rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq ) karne wala wo hai ki jab uske saath sila rahmi ka muaamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila rahmi karey.Sahih Bukhari, Vol 7, 5991
----------------------------------------

Narrated Abdullah bin 'Amr Radhi Allahu Anhuma : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Al-Wasil (who keep good relations with his Kith and kin.) is not the one who recompenses the good done to him by his relatives, but Al-Wasil is the one who keeps good relations with those relatives who had severed the bond of kinship with him."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 20

Hadith: jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun
--------------------------------------
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raham (Rishte Naatey) ka taaluq Rahman se hai,  isliye jo koi is se (raham se) apne aapko jodta hai ALLAH taala ne farmaya ki main bhi usko apne se jod leta hun aur jo koi us se tod leta hai main bhi apne aapko us se tod leta hun.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5988

--------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "The word 'Ar-Rahm derives its name from Ar-Rahman (i.e., one of the names of ALLAH) and ALLAH said: 'I will keep good relation with the one who will keep good relation with you, (womb i.e. Kith and Kin) and sever the relation with him who will sever the relation with you, (womb, i.e. Kith and Kin).
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 17: 

Hadith: jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq) karey.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq)  karey.

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq)  kare.
Sahih Bukhari, Vol 7,  5985
--------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : I heard ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "Who ever is pleased that he be granted more wealth and that his lease of life be pro longed, then he should keep good relations with his Kith and kin."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 14

Hadith: Qataa Rahmi karne wala (Rishte todne wala) jannat mein nahi jayega

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qataa Rahmi karne wala  (Rishte todne wala) jannat mein nahi jayega

Jubair bin Mutim Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qataa Rahmi karne wala  (Rishte todne wala) jannat mein nahi jayega.Sahih Bukhari, Vol 7,  5984
---------------------------------------------

Narrated Jubair bin Mutim Radhi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  saying, "The person who severs (split or cut ) the bond of kinship (Relationship) will not enter Paradise."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 13

Wednesday, September 25, 2013

Hadith: Qataa Rahmi karney wala (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega


Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Qataa Rahmi karney wala  (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega


Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Qataa Rahmi karney wala  (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega.
Sahih Bukhari,  5984


Narrated Jubair bin Mutim Radi Allahu Anhu : That he heard the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam  saying, "The person who severs (split or cut ) the bond of kinship (Relationship) will not enter Paradise.

Total Pageviews