Search This Blog

Category

Autoblog

Showing posts with label Qasam (Oath). Show all posts
Showing posts with label Qasam (Oath). Show all posts

Sunday, February 12, 2023

Hadith : Kisi Bande ke maal mein Sadqa dene se koi Kami nahi aati

 Bismillahhirrahmanirraheem

☆ : *Hadith :  Kisi Bande ke maal mein Sadqa dene se koi Kami nahi aati*

--------

‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ثَلَاثَةٌ أُقْسِمُ عَلَيْهِنَّ وَأُحَدِّثُكُمْ حَدِيثًا فَاحْفَظُوهُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ مَا نَقَصَ مَالُ عَبْدٍ مِنْ صَدَقَةٍ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا ظُلِمَ عَبْدٌ مَظْلَمَةً فَصَبَرَ عَلَيْهَا إِلَّا زَادَهُ اللَّهُ عِزًّا، ‏‏‏‏‏‏وَلَا فَتَحَ عَبْدٌ بَابَ مَسْأَلَةٍ إِلَّا فَتَحَ اللَّهُ عَلَيْهِ بَابَ فَقْرٍ أَوْ كَلِمَةً نَحْوَهَا  

--------

*✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Main Teen baato par qasam khaata hu aur Main tum logo se Ek baat bayan kar raha hu jisey yaad rakho, Kisi Bande ke Maal mein Sadqa dene se koi Kami nahi aati aur Kisi Bande par kisi qism ka Zulm ho aur uspar Wo Sabar kare to Allah Subhanahu uski Ezzat ko badha deta hai aur agar Koi Shakhs apne liye Sawaal (yani maangne) ka koi Darwaza kholta hai to Allah Subhanahu uske liye Faqeer aur Mohtaji ka Darwaza khol deta hai

Jame Tirmizi 2325-Sahih

--------

  رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلّم نے فرمایا میں تین باتوں پر قسم کھاتا ہوں اور میں تم لوگوں سے ایک بات بیان کر رہا ہوں جسے یاد رکھو“، ”کسی بندے کے مال میں صدقہ دینے سے کوئی کمی نہیں آتی ، اور کسی بندے پر کسی قسم کا ظلم ہو اور اس پر وہ صبر کرے تو اللہ اس کی عزت کو بڑھا دیتا ہے ، اور اگر کوئی شخص اپنے   لیے سوال کا دروازہ کھولتا ہے تو اللہ اس کے لیے فقر و محتاجی کا دروازہ کھول دیتا ہے“۔ 

جامع ترمذی ۲۳۲۵- صحیح

--------

 ★ : रसूल-अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि व सल्लम ने फरमाया मैं तीन बातों पर क़सम खाता हूँ और मैं तुम लोगों से एक बात बयान कर रहा हूँ जिसे याद रखो, किसी बन्दे  के माल में सदक़ा देने से कमी नहीं आती और किसी बन्दे पर किसी क़िस्म का ज़ुल्म हो और उस पर वो सबर करे तो अल्लाह सुबहानाहु उसकी इज़्ज़त बढ़ा देता है और अगर कोई शख़्स अपने लिए सवाल का (मांगने का) कोई दरवाज़ा खोलता है तो अल्लाह सुबहानहु उसके लिए फ़क़ीरी और मोहताजी का दरवाज़ा खोल देता है

जामे तिर्मिज़ी 2325-सहीह

--------

 ✦ : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya said, There are three things for which I swear and narrate to you about, so remember it. He said, The wealth of a slave (of Allah) shall not be decreased by charity, no slave (of Allah) suffers injustice and is patient with it except that Allah adds to his honor; no slave (of Allah) opens up a door to begging except that Allah opens a door for him to poverty

Jame Tirmizi 2325-Sahih

Wednesday, May 15, 2019

Hadith: Jhoothi Qasam khane par dil mein ek (kala) nuqta daal diya jata hai




*Bismillahirahmanirrahim*

✦ *Hadith: Jhoothi Qasam khane par dil mein ek (kala) nuqta daal diya jata hai 
------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi Qasam khane wala agar qasam khaye aur faisla usee qasam par hone wala ho, phir wo us qasam mein machchar ke par ke barabar bhi jhooth shamil kar de to uske dil par ek (kala) nuqta daal diya jata hai jo qayamat tak baqi rahega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 939-Sahih
------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  کوئی قسم کھانے والا اگر قسم کھاۓ اور فیصلہ اسی قسم پر موقوف ہو پھر وہ  اسی قسم میں مچھر کے پر کے برابر  بھی  جھوٹ شامل کر دے  تو اس کے دل میں ایک ( کالا) نکتہ ڈال دیا جائے گا جو قیامت تک قائم اور باقی رہے گا۔ 
جامہ ترمیزی ، جلد ٢ ، ٩٣٩-صحیح 
------
✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया कोई क़सम खाने वाला अगर क़सम खाए और फ़ैसला उसी क़सम पर होने वाला हो, फिर वो उस क़सम में मच्छर के पर के बराबर भी झूठ शामिल कर दे तो उसके दिल में एक (काला) नुक़ता डाल दिया जाता है जो क़यामत तक बाक़ी रहेगा
जामिया तिरमिज़ी जिल्द 2, 939-सही
------
✦ Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam said if anybody insists on taking an oath in which he swears and if he includs the like of a wing of a mosquito of falsehood in it - then a (black) spot is placed in his heart until the Day of Judgement.
Jamia Tirmizi, Book 44, 3020-Hasan

Monday, May 13, 2019

✦ Hadith : Allah ke siwa kisi ki bhi qasam khana shirk hai



Bismillahirrahmanirrahim 



✦ Hadith : Allah ke siwa kisi ki bhi qasam khana shirk hai

----------------
✦ Abdullah ibn umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki RasoolAllah Sallalalahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ke siwa kisi ki ki bhi qasam khana shirk hai
Al-Silsila As-Sahiha, 1073


✦ Abdullah bin umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi kasam khaye warna khamosh rahe.

Sahih Bukhari, Jild 4, 2679
----------
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے كہ میں نے رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌ نے فرمایا اللہ كے سوا کسی كی بھی قسم کھائی جائے وہ شرك ہے
السلسلہ صحیحہ ١٠٧٣ 


عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اگر کسی کو قسم کھانی ہی ہے تو اللہ تعالیٰ ہی کی قسم کھائے، ورنہ خاموش رہے 

صحیح بخاری جلد ٤ حدیث ٢٦٧٩   
----------
✦ हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु के सिवा किसी की भी कसम खाना शिर्क है 
अल सिलसिला अस सहिहा,1073


✦ अब्दुल्लाह बिन उमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया की अगर किसी को कसम खानी हो तो अल्लाह की ही कसम खाए वरना खामोश रहे.

सही बुखारी, जिल्द 4, 2679


✦ *Hadith : Swearing by anything other than Allah is polytheism (shirk)
----------
✦ Narratd by Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu that RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam said Swearing by anything other than Allah is polytheism (shirk)
Al-Silsila-tus-Sahiha, 1073

✦ Narrated Abdullah Radiallahu anhu that RasoolAllah  Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has to take an oath should swear by Allah or remain silent."
Sahih Bukhari, Book 48, No. 844

Thursday, May 9, 2019

Hadith : Jhoothi Qasam gharo ko veeran (barbad) karke chorhti hai


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Jhoothi Qasam gharo ko veeran (barbad) karke chorhti hai
---------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  Sila rahmi se ziyada jaldi sawab  dilane wala jismein Allah ki itaat ki jaye koi amal nahi 
aur sarkashi (zulm) aur qata rahmi se zyada jaldi saza dilane wala koi amal nahi, 
aur jhoothi Qasam gharo ko veeran (barbad) karke chorhti hai.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees-Jild 1,155
Al Baihiqi, 35 /10 -Sahih
At Tabrani, 1996-Sahih
---------------
رسول الله صلى الله عليه وسلم صلہ رحمی سے زیادہ جلدی ثواب دلانے والا جس میں الله کی اطاعت کی جائے کوئی عمل نہیں اور سرکشی (ظلم) اور قطع رحمی سے زیادہ جلدی سزا دلانے والا جس میں الله کی اطاعت کی جائے کوئی عمل نہیں اور جھوٹھی قسم گھروں کو ویران (برباد) کرکے چھوڑتی ہے 
---------------
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया  सिला रहमी से ज़ियादा जल्दी सवाब  दिलाने वाला जिसमें अल्लाह की ईताअत  की जाए कोई अमल नही, 
और सरकशी (ज़ुल्म) और क़तअ रहमी से ज़्यादा जल्दी सज़ा दिलाने वाला कोई अमल नही, 
और झूठी क़सम घरों  को वीरान (बर्बाद) करके छोड़ती  है
अल सिलसिला  अस सहिहा , जिल्द 1,155 
अल बैहिकी , 35 /10 - सही  
अत तबरानी , 1996-सही 


✦ Hadith : False oath destroys the home
---------------
✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said there is no such good deed in which the obey of Allah is being followed which will be 

rewarded as fast as keeping good relations with the relatives,
and the transgressing and cutting relations is the sin which may cause to get the punishment of Allah very quickly, 
and false oath destroys the home.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees, Jild 1,155
Al Baihiqi, 35 /10 -Sahih
At Tabrani, 1996-Sahih

Friday, March 27, 2015

Hadith: Wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga

Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisne jhooti Qasam is maqsad se khayee ki iske zariye Najayaz tareeqe se kisi Musalman ka maal hasil kare to wo Qayamat ke din ALLAH se is haal mein milega ki ALLAH us par Ghzabnaak hoga , phir ALLAH Subhanahu in iski tasdeeq Quran mein nazil farmayee.
(Surah Aal-e-Imran, Verse 77) Beshak jo log ALLAH ke ahad aur apni Qasmon ( ko bech dete hain aur us) ke badle thodi see qeemat hasil karte hain……
Sahih Bukhari, Vol 8, 6659

Al Quran : Beshaq jo log ALLAH ke ahad aur apni Qasmon ( ko bech dete hain aur us) ke badle thodi see qeemat hasil karte hain , aakhirat mein unka koi hissa nahi hoga aur ALLAH subhanahu unse kalam bhi nahi karega
aur Qayamat ke din uski taraf dekhega bhi nahi , aur na unhe paak karega , unke liye Dardnak azab hai
Al Quran , Surah Aal-e-Imran ( 3) , verse 77

 -------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated 'Abdullah Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam  said, "Whoever swears falsely in order to grab the property of a Muslim, ALLAH will be angry with him when he meets Him.
ALLAH then revealed in confirmation of the above statement
(Surah Aal-e-Imran, Verse 77) Verily, those who purchase a small gain at the cost of ALLAH's Covenant and their oaths..

Sahih Bukhari, Vol 8, Book 78, # 653

Al Quran : Verily, those who purchase a small gain at the cost of ALLAH's Covenant and their oaths, they shall have no portion in the Hereafter (Paradise). Neither will ALLAH speak to them, nor look at them on the Day of Resurrection, nor will He purify them, and they shall have a painful torment.
Al Quran , Surah Aal-e-Imran ( 3) , verse 77

Al Quran: Qasam ko puri karna ya kaffara Ada karna jaruri hai

Bismillahirrahmanirrahim

Al Quran: Qasam ko puri karna ya kaffara Ada karna jaruri hai
( Its compulsary to fulfill your Oath or to provide expiation )

ALLAH Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhe naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhe tum  pukhta (mazbut ) kar dete ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darje ka khana khilana hai jo tum apne ghar walo ko khilate ho ya 10 miskino ko kapde dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke roze rakhe ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum Qasam kha lo ( aur use tod do)  aur tumhe chahiye ki   apni kasmo ki hifazat karo , ALLAH Subhanahu isi tarah tumhare liye hukm bayan karta hai taki tum  Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Abu Bakr Radhi Allahu Anhu kabhi bhi apbi Qasam nahi todte the yahan tak ki ALLAH Subhanahu ne Qasam ke kaffare ki aayat nazil ki, us waqt unhone kaha ki ab agar main koi Qasam kahauunga aur uske siwa koi cheez bhlaii ki hogi to main wohi kaam karunga jsimein bhalaii hogi aur Qasam ka kuffra ada kar dunga
Sahih Bukhari, Vol 8, 6621

Hazrat Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar kisi ko Qasam khani ho to ALLAH ki hi Qasam khaye warna khamosh rahey.
Sahih Bukhari, Vol4, 2679

-------------------------------------------------

English Translation:
ALLAH will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much) . Thus ALLAH make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Abu Bakr As-Siddiq had never broken his oaths till ALLAH revealed the expiation for the oaths. Then he said, "If I take an oath to do something and later on I find something else better than the first one, then I do what is better and make expiation for my oath."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 618:

Narrated Abdullah Radiallahu anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever has to take an oath should swear by ALLAH or remain silent."
Sahih Bukhari, Vol 3, Book 48, No. 844:

Hadith: Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai

Uqba. b. Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nazar (Mannat) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai
Sahih Muslim, Vol4, 4253
Qasam or Nazar ( mannat) puri na karne par kafffara:
Al Quran : ALLAH Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhe naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhe tum pukhta (mazbut ) kar dete ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darje ka khana khilana hai jo tum apne ghar walo ko khilate ho ya 10 miskino ko kapde dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke roze rakhe ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum Qasam kha lo ( aur use tod do) aur tumhe chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , ALLAH Subhanahu isi tarah tumhare liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Explanation: Agar kisi ne koi aisee Nazar ( ya mannat) maan li jo puri nahi kar sakta to use kaffara dena padega , aur uska kaffara wahi hai ko Qasam ka kaffara hai
----------------------------------------------
English Translation:
Uqba. b. Amir reported ALLAH's Messenger (may peace be upon him) as saying: The expiation of the (breach of) a vow is the same as that of the (breach of an oath).
Sahih Muslim, Book 014, 4243


Expiation of the (breach of) a vow or Oath:
Al Quran : ALLAH will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much) . Thus ALLAH make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Explanation:  If anybody has taken a vow and he is unable to fulfill it then he has to give expiation and expiation of Vow is the same of expiation of Oath.

Sunday, December 28, 2014

Hadith : Kisi ko Qasam hi khani hai to wo ALLAH ki Qasam khaye warna chup rahey

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : Kisi ko Qasam hi khani hai to wo ALLAH ki Qasam khaye warna chup rahey

Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki wo Umar bin khattab Radhi Allahu Anhu ke pass gaye tab wo kuch logon ke saath the aur us waqt Hazrat Umar Radhi Allahu Anhu  apne walid ki Qasam kha rahe the is par Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne unhe pukar kar farmaya aagaah ho jao ki Yakeenan ALLAH subhanahu tumhe mana karta hai ki tum apne walid ki Qasam khao , agar kisi ko Qasam hi khani hai to wo ALLAH ki Qasam khaye warna chup rahey.
Sahih Bukhari,  Vol 7, 6108
 -------------------------------------------
Narrated Ibn 'Umar Radhi Allahu Anhuma : that he found 'Umar bin Al-Khattab Radhi Allahu Anhu in a group of people and he was swearing by his father. So ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam called them, saying, "Verily! ALLAH forbids you to swear by your fathers. If one has to take an oath, he should swear by ALLAH or otherwise keep quiet."
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 129


Hadith: islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti Qasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usne Qasam khayee

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti Qasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usne Qasam khayee

Thabit bin Ad-Dahhak Radhi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya jisne islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti Qasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usne Qasam khayee  aur jisne kisi cheez se khudkushi kar li to use Jahannam mein usi se azab diya jayega, aur momeen par laanat bhejna use Qatl karne ke barabar hai, aur jisne kisi momeen par kufr ki tohmat lagayee to ye (bhi) uske Qatl karne ke barabar hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6105
-------------------------------------------------


Narrated Thabit bin Ad-Dahhak Radhi Allahu Anhu : The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, "Whoever swears by a religion other than Islam (i.e. if he swears by saying that he is a non-Muslim in case he is telling a lie), then he is as he says if his oath is false and whoever commits suicide with something, will be punished with the same thing in the (Hell) fire, and cursing a believer is like murdering him, and whoever accuses a believer of disbelief, then it is as if he had killed him."
Sahih Bukhari,  Book 73, No. 126: 

Wednesday, April 17, 2013

Hadith: Allah ki jhooti Qasam khaney waley par Allah ka Ghazab


Bismillah hirrahman nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga. 

Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shkash koi aisee jhooti Qasam khaye jiskey jariye wo kisi ke maal par nahaq Qabza kar le to wo Allah se is haal mein milega ki Allah Taala us par Ghazabnaak hoga.
Sahih Bukhari, Vol 3, 2356

----------------------------
Narrated 'Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever takes a false oath to deprive somebody of his property will meet Allah while He will be angry with him."
Sahih Bukhari,  Vol 3, Book 40, No. 546:

Total Pageviews