Search This Blog

Autoblog

Monday, June 16, 2014

Hadith: Achcha khwab ALLAH taaala ki taraf se hai aur bura khwaba shaitan ki taraf se hai

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Achcha khwab ALLAH taaala ki taraf se hai aur bura khwaba shaitan ki taraf se hai

Abu Qatada Radiallahu anhu se rivayat hai ki Achcha khwab ALLAH taaala ki taraf se hai aur bura khwaba shaitan ki taraf se hai isliye agar koi bura aur darawana khwab dekhe to bahine taraf Thoo (Spit) karke shaitan ki buraii se ALLAH ki panaah maange is amal se shaitan use koi nuksan nahi pahuncha sakega.
Sahih Bukhari, Vol 4,3292

 ---------------------------------------
Hadith: A good dream is from ALLAH, and a bad or evil dream is from Satan

Narrated Abu Qatada Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "A good dream is from ALLAH, and a bad or evil dream is from Satan; so if anyone of you has a bad dream of which he gets afraid, he should spit on his left side and should seek Refuge with ALLAH from its evil, for then it will not harm him."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 513


Hadith: ye shaitan ki ek uchak (chori) hai jo wo tum mein se kisi ki namaz mein uchak (chori kar) leta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ye shaitan ki ek uchak (chori) hai jo wo tum mein se kisi ki namaz mein uchak (chori kar) leta hai.

Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki maine Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se namaz mein idhar udhar dekhne ke baare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye shaitan ki ek uchak (chori) hai jo wo tum mein se kisi ki namaz mein uchak (chori kar) leta hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3291

---------------------------------
Narrated 'Aisha Radiallahu anha : I asked the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  about one's looking here and there during the prayer. He replied, "It is what Satan steals from the prayer of any one of you." 
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 511 

Hadith: Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai, isliye jab kisi ko jamhayee aaye to jahan tak ho sake roke kyunki jab koi (jamhayee lete huye) Haaaa karta hai to shaitan us par hansta hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3289

----------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "Yawning is from Satan and if anyone of you yawns, he should check his yawning as much as possible, for if anyone of you (during the act of yawning) should say: 'Ha', Satan will laugh at him."  Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 509:


Hadith: Shaitan us waqt phailna shuru karte hain….

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Shaitan us waqt  phailna shuru karte hain….

Jabir Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Raat ka andhera shuru hone par ya raat shuru hone par apne bachchon ko apne paas (ghar mein) rok lo kyunki shaitan usi waqt phailna shuru karte hain phir jab isha ke waqt mein ek ghari guzar jaye to unhe chor do phir ALLAH ka naam lekar apna darwaza band kar lo, aur dusre bartan bhi ALLAH ka naam lekar dhak do.
Sahih Bukhari, Vol 4,3280


Hadith: The devil spread out then…..

Narrated Jabir Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When nightfalls, then keep your children close to you, for the devil spread out then. An hour later you can let them free; and close the gates of your house (at night), and mention ALLAH's Name thereupon, and cover your utensils, and mention ALLAH's Name thereupon.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 500:

Hadith: Agar tum namaz Padh rahe ho aur koi tumhare samne se guzre to use guzarne se roko

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Agar tum namaz Padh rahe ho aur koi tumhare samne se guzre to use guzarne se roko

Abu said khudri Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tum namaz Padh rahe ho aur koi tumhare samne se guzre to use guzarne se roko, agar wo na ruke to phir se roko aur agar ab bhi na ruke to us se lado (Zabardasti roko) kyunki wo shaitan hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3274

---------------------------------------------

Narrated Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If while you are praying, somebody intends to pass in front of you, prevent him; and should he insist, prevent him again; and if he insists again, fight with him (e.g. pushing him violently), because he  is (like) a devil."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 495


Sahih Muslim, Book #004, 1024

Hadith: Namaz Fajar ke baad suraj nikalne tak Namaz na padho aur…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Namaz Fajar ke baad suraj nikalne tak Namaz na padho aur…

Ibn umar Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab suraj ka upar ka kinara nikal aaye to namaz na Padho jab tak wo puri tarah zaahir  na ho jaye aur jab gurub hone lage tab bhi us waqt tak namaz na Padho  jab tak bilkul gurub na ho jaye.
Sahih Bukhari, Vol 4,3272 


Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne Do waqt mein namaz Parhne se mana farmaya Ek namaz Fajar ke baad suraj nikalne tak aur dusra Asar ke baad suraj gurub hone tak.
Sahih Bukhari, 5819 (part)

-----------------------------------------------------------------

Narrated Ibn Umar Radiallahu anhuma : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "When the (upper) edge of the sun appears (in the morning), don't perform a prayer till the sun appears in full, and when the lower edge of the sun sets, don't perform a prayer till it sets completely.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 494:


Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam had forbidden: the offering of two prayers, one after the morning compulsory prayer till the sun rises, and the others, after the 'Asr prayer till the sun sets.
Sahih Bukhari, Vol 7, Book 72, No. 709:

Hadith: Aisa shaksh jiske kaan mein shaitan ne paishaab (urin) kar diya

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Aisa shaksh jiske kaan mein shaitan ne paishaab (urin) kar diya

 Abdullah bin masood Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne ek aise shaksh ka zikra hua jo raat bhar din nikalne tak sota raha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye ek aisa shaksh hai   jiske kaan mein shaitan ne paishaab(urin) kar diya hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3270
--------------------------------

Narrated 'Abdullah bin masood Radiallahu anhu : It was mentioned before the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  that there was a man who slept the night till morning (after sunrise). The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "He is a man in whose ears (or ear) Satan had urinated."
Sahih Bukhari,  Vol 4, Book 54, No. 492: 

Hadith: Tum mein se jab koi soya hota hai to shaitan uskey sir ke peechey ki tarah teen girah (three knots)laga deta hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Tum mein se jab koi soya hota hai to shaitan uskey sir ke peechey ki tarah teen girah (three knots)laga deta hai

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum mein se jab koi soya hota hai to shaitan uskey sir ke peechey ki tarah teen girah (three knots)laga deta hai aur har girah par ye Parhkar phoonkta hai, Abhi raat bahut baqi hai,  sota rah lekin agar wo shaksh jagkar ALLAH ka zikr shuru karta hai to ek girah khul jati hai, phir jab wudhu karta hai to dusri girah khul jati hai phir jab namaz Parhta hai to teesri girah bhi khul jati  hai aur subah ko khush mizaj aur khush dil rahta hai warna bad mijaz aur sust rahkar din guzarta hai.
Sahih Bukhari,
Vol 4,3269
-----------------------------------------------

Hadith:  During your sleep, Satan knots three knots at the back of the head of each of you


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam  said, "During your sleep, Satan knots three knots at the back of the head of each of you, and he breathes the following words at each knot, 'The night is, long, so keep on sleeping,' If that person wakes up and celebrates the praises of ALLAH, then one knot is undone, and when he performs ablution the second knot is undone, and when he prays, all the knots are undone, and he gets up in the morning lively and happily, otherwise he gets up dull and gloomy.
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 491

Wednesday, June 11, 2014

Hadith: Bukhar jahannam ki bhaap ke asar se hota hai…

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Bukhar jahannam ki bhaap ke asar se hota hai…

Aisha Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bukhar  jahannam ki bhaap (heat) ke asar se hota hai isey paani se thanda kiya karo 
Sahih Bukhari, Vol 4,3263


Narrated Aisha Radi allahu anha: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Fever is from the heat of the (Hell) Fire, so cool it with water."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 485:
---------------------------------------
Dua-e-Shifa

اللهم رب الناس، مذهب البأس، اشف أنت الشافي، لا شافي إلا أنت، شفاء لا يغادر سقماً
(Allahumma Rabbin nas Mudhabal ba'sa, ashfi , anta shafee, la Shaafi illa Anta, shifa'a  la yughadiru saqma)

O ALLAH! The Lord of the people, the Remover of trouble! (Please) cure (Heal) , for You are the Healer. None brings about healing but You; a healing that will leave behind no ailment.  - Sahih Bukhari , Book #71, Hadith #638

Translation: Eh ALLAH logon ke Rab , Takleef  ko dur karney waley,Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai,aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.

Sahih Bukhari, 5742

Hadith: ALLAH ne Jahannam ko Do saanson ki ijazat di, ek saans Sardi mein aur ek saans garmee mein

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: ALLAH ne Jahannam ko Do saanson ki ijazat di, ek saans Sardi mein aur ek saans garmee mein


Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jahannam ne apney Rab ke paas shikayat ki aur kaha ki mere Rab mere kuch hissey ne kuch hissaey ko kha liya hai, ALLAH taala ne usey Do saanson ki ijazat di, ek saans Sardi mein aur ek saans garmee mein, tum bahut jiyada sardee aur bahut jiyada garmee jo (in mosamon mein) dekhtey ho uska yahi sabab hai.
Sahih Bukhari, Vol 4,3260
 -----------------------------------------------
Hadith: ALLAH allowed to Hell to take two breaths, one in the winter and the other in summer

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The Hell complained to its Lord saying, 'O my Lord! My different parts eat up each other.' So, He allowed it to take two breaths, one in the winter and the other in summer, and this is the reason for the severe heat and the bitter cold you find (in weather)."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 482

Hadith: Jannati log apne se buland kamre walon ko is tarah dekhenge jis tarah chamakte sitare ko

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jannati log apne se buland kamre walon ko is tarah dekhenge jis tarah chamakte sitare ko

Abu Saeed khadhri Radiallahu anhuse rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannati log apne se buland kamre walon ko is tarah dekhenge jis tarah chamakte sitare ko,  jo subah ke waqt rah gaya ho , aasman ke kinare par purab ya paschim mein , inmein ek dusre se afzal hoga,  logon ne arz kiya ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ye to Anbiya ke mahal honge jinhe inke siwa aur koi nahi pa sakega Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nahi us zaat ki Qasam jiske haath mein meri jaan hai ye un logon ke liye honge jo ALLAH taala par imaan laye aur Anbiya ki tasdeek ki .
Sahih Bukhari, Vol 4,3256
------------------------------------------
Hadith: The people of Paradise will look at the dwellers of the lofty mansions  in the same way as one looks at a brilliant star


Narrated Abu Said Al-Khudri Radiallahu anhu: The Prophet  Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The people of Paradise will look at the dwellers of the lofty mansions (i.e. a superior place in Paradise) in the same way as one looks at a brilliant star far away in the East or in the West on the horizon; all that is because of their superiority over one another (in rewards)." On that the people said, "O ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam! Are these lofty mansions for the prophets which nobody else can reach? The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam replied," No! "By ALLAH in whose Hands my life is, these are for the men who believed in ALLAH and also believed in the Apostles."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No.478: 

Hadith: jannat mein ek darakht hai jiske saaye mein ek sawar 100 saal tak chal sakta hai phir bhi usko tay nahi kar sakega

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: jannat mein ek darakht hai jiske saaye mein ek sawar 100 saal tak chal sakta hai phir bhi usko tay nahi kar sakega


Anas bin malik Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jannat mein ek darakht hai jiske saaye mein ek sawar 100 saal tak chal sakta hai phir bhi usko tay nahi kar sakega.
Sahih Bukhari,
Vol 4,3251

-----------------------------

Narrated Anas bin Malik Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is a tree in Paradise (which is so big and huge that) if a rider travels in its shade for one hundred years, he would not be able to cross it."
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 54, No. 474

Mafhum-e-Hadith: Hazrat Umar Radi Allahu anhu Ka jannat mein mahal

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Hazrat Umar Radi Allahu anhu Ka jannat mein mahal


Hadith: Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath baithey huye they to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mainey khwab mein jannat dekhi mainey usmein ek aurat ko dekha jo ek mahal ke kinarey wudhu kar rahi thi mainey pucha ki ye mahal kiska hai to farishton ne bataya ki ye Umar bin khattab Radiallahu anhu ka mahal hai mujhe unki gairat yaad aayee aur mein wahan se laut aaya ye sun kar umar Radiallahu anhu roye aur kahney lagey ki ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam kya mein aapkey saath bhi gairat karunga ?
Sahih Bukhari, Vol 4, 3242
-------------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : While we were in the company of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam, he Sallallahu Alaihi Wasallam said, "While I was asleep, I saw myself in Paradise and there I beheld a woman making ablution beside a palace, I asked, To whom does this palace belong?’They said, To 'Umar bin Al-Khattab.' Then I remembered 'Umar's Ghaira (concerning women), and so I quickly went away from that palace." (When 'Umar heard this from the Prophet), he wept and said, "Do you think it is likely that I feel Ghaira because of you, O ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam?

Sahih Bukhari, Book 54, No. 465

Hadith: Maine jannat mein jhaank kar dekha to jannatiyon mein gareeb jiyada nazar aaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Maine jannat mein jhaank kar dekha to jannatiyon mein gareeb jiyada nazar aaye


Imran bin Husain Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya maine jannat mein jhaank kar dekha to jannatiyon mein gareeb jiyada nazar aaye aur maine Dozakh mein jhank kar dekha to dozakhiyon mein aurtein (women) jiyada nazar aayee.
Sahih Bukhari, Vol 4,3241

Ibn 'Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Mujhe Dozakh dikhlayee gayee to usmein jiyadatar aurtein thi Jo kufr karti hain pucha Gaya ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam kya wo ALLAH ke saath kufr karti hain? , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki khawind (husband) ki nashukri karti hain, agar tum umar bhar unmein se Kisi ke saath ehsaan kartey raho phir tumhari taraf se kabhi koi inkey khayal mein nagawari (napasand) ki baat ho jaye to kahegi ki mainey kabhi bhi tujhse koi bhalaii nahi dekhi.
Sahih Bukhari, Vol 1 ,#  29

------------------------------
Hadith: I looked at Paradise and found poor people forming the majority of its inhabitants



Narrated Imran bin Husain Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "I looked at Paradise and found poor people forming the majority of its inhabitants; and I looked at Hell and saw that the majority of its inhabitants were women."
Sahih Bukhari, Book 54,  464

Narrated Ibn 'Abbas Radi allahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "I was shown the Hell-fire and that the majority of its dwellers were women who were ungrateful." It was asked, "Do they disbelieve in ALLAH?"  He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "They are ungrateful to their husbands and are ungrateful for the favors and the good (charitable deeds) done to them. If you have always been good (benevolent) to one of them and then she sees something in you (not of her liking), she will say, 'I have never received any good from you." 
Sahih Bukhari Book #2, #28

Hadith: jab koi shaksh marta hai to subah aur sham dono waqt uska thikana use dikhlaya jata hai

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jab koi shaksh marta hai to subah aur sham dono waqt uska thikana use dikhlaya jata hai

Hazrat Abdullah bin umar radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shaksh marta hai to subah aur sham dono waqt uska thikana use dikhlaya jata hai agar wo jannati hai to jannat mein dikhaya jayega aur Dozakhi hai to Dozakh mein dikhaya jayega.
Sahih Bukhari, Vol 4,3240
--------------------------------------

Narrated Abdullah bin Umar Radiallahu anhu ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, When anyone of you dies, he will be shown his destination both in the morning and in the evening, and if he belongs to the people of Paradise, he will be shown his place in Paradise, and if he is from the people of Hell, he will be shown his place in Hell.
Sahih Bukhari, Book 54, No. 463: 

Hadith: Farishte us aurat par laanat karte rahte hain

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Farishte us aurat par laanat karte rahte hain 

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar kisi mard ne apni biwi ko apne bistar par bulaya lekin usne aane se inkaar kar diya aur mard us par gussa ho kar so gaya to subah tak farishte us aurat par laanat karte rahte hain 
Sahih Bukhari, Vol 4,3237


---------------------------------
Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If a husband calls his wife to his bed and she refuses and causes him to sleep in anger, the angels will curse her till morning."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 460:

Hadith: Koi shaksh namaz ki wajah se jab tak kahi par ruka rahega uska ye Sara waqt namaz mein shumar hoga

Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Koi shaksh namaz ki wajah se jab tak kahi par ruka rahega uska ye Sara waqt namaz mein shumar hoga

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi shaksh namaz ki wajah se jab tak kahi par ruka rahega uska ye Sara waqt namaz mein shumar hoga aur farishte uske liye dua karte rahenge ki Eh ALLAH iski maghfirat farma aur is par apni rahmat nazil kar (farishte tab tak ye dua karte hain) jab tak wo namaz se farig hokar apni jagah se na uth jaye.
Sahih Bukhari, Vol 4,3229
----------------------------------------------


Hadith: As long as any-one of you is waiting for the prayer, he is considered to be praying

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "As long as any-one of you is waiting for the prayer, he is considered to be praying actually, and the angels say, 'O ALLAH! Be merciful to him and forgive him', (and go on saying so) unless he leaves his place of praying
Sahih Bukhari, Book 54, No. 452:


Hadith: jiska zikr farishton ke saath mil jata hai uske pichle gunaah maaf ho jate hain.

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jiska zikr farishton ke saath mil jata hai uske pichle gunaah maaf ho jate hain.

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Imam (namaz mein) kahe Sami Allahu Leman Hamedah to tum kaha karo
“Allahumma Rabbana lakal hamd” kyunki jiska zikr farishton ke saath mil jata hai uske pichle gunaah maaf ho jate hain.
Sahih Bukhari, Vol 4,3228
 ----------------------------------
Hadith: if the saying of anyone of you coincides with the saying of the angels, his past sins will be forgiven..


Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When the Imam (during the prayer) says, Sami Allahu Leman Hamedah ("ALLAH hears him who praises Him',) say: ”Allahumma Rabbana lakal hamd” (O ALLAH! Our Lord! All the praises are for you), for if the saying of anyone of you coincides with the saying of the angels, his past sins will be forgiven."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 451: 

Hadith: Farishte us ghar mein Dakhil nahi hote jahan kutta ya jaandar ki tasweer ho

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Farishte us ghar mein Dakhil nahi hote jahan kutta ya jaandar ki tasweer ho

Abu talha Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya farishte us ghar mein dakhil nahi hote jismein kutta (dog) ho ya Kisi jaandar ki tasweer ho.
Sahih Bukhari, Vol 4,3225

----------------------------------------
English Translation:

Narrated Abu Talha Radiallahu anhu: I heard ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam saying; "Angels (of Mercy) do not enter a house wherein there is a dog or a picture of a living creature (a human being or an animal)."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 448

Hadith: Kuch farishte raat ke hain aur kuch din ke hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith:  Kuch farishte raat ke hain aur kuch din ke hain

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aasman se farishte aate jate rahte hain, kuch farishte raat ke hain aur kuch din ke hain, aur ye sab FAJAR aur ASAR ki namaz mein jama ho jate hain phir wo farishte jo tumhare yahan raat mein rahe they, ALLAH ke huzur jate hain ALLAH taala unse daryaft fermata hai -- halanki wo sab se jiyada janne wala hai –ki tumne mere bando ko kis haal mein chodha to farishte arz karte hain ki jab humne unhe chodha to wo (Fajar ki) namaz Padh rahe the aur isi tarah jab hum unke yahan gaye the tab bhi wo (Asar ki) namaz Padh rahe they.
Sahih Bukhari, Vol 4,3223
 ------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Angels keep on descending from and ascending to the Heaven in turn, some at night and some by daytime, and all of them assemble together at the time of the Fajr and 'Asr prayers. Then those who have stayed with you over-night, ascent unto ALLAH who asks them, and He knows the answer better than they, "How have you left my slaves?" They reply, "We have left them praying as we found them praying."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 446: 

Hadith: Jo aadmee is halat mein marega ki wo ALLAH ke saath kisi ko sharik na karta hoga to wo jannat mein dakhil hoga

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Jo aadmee is halat mein marega ki wo ALLAH ke saath kisi ko sharik na karta hoga to wo jannat mein dakhil hoga

Abudhar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Jibril kah gaye hain ki tumhari ummat ka jo aadmee is halat mein marega ki wo ALLAH ke saath kisi ko sharik na karta hoga to wo jannat mein dakhil hoga ya jahannam mein dakhil nahi hoga, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Agar usne zina kiya ho ya chori ki ho?  Jibril ne kaha chahe zina kiya ho ya chori.
Sahih Bukhari, Vol 4,3222

--------------------------------------------
Hadith: Whoever amongst your followers die without having worshipped others besides ALLAH, will enter Paradise


Narrated Abu Dhar Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Gabriel said to me, 'Whoever amongst your followers die without having worshipped others besides ALLAH, will enter Paradise (or will not enter the (Hell) Fire)." The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam asked. "Even if he has committed illegal sexual intercourse or theft?" He replied, "Even then."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 445

Mafhum-e-Hadith: ALLAH ki raah mein diye gaye ek jode ka sila

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: ALLAH ki raah mein diye gaye ek jode ka sila

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ALLAH ki raah mein jo shaksh bhi kisi cheez ka joda de to jannat ke chokidar farishte use bulayenge ki eh falah is darwaze se andar aa ja Abu bakr Radiallahu anhu ne kaha ki ye to wo shaksh hoga jise koi nuksan na hoga Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe ummeed hai ki tum bhi usei mein se honge
Sahih Bukhari, Vol 4,3216

-----------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: I heard the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam saying, "Who ever spend a couple (of objects) in ALLAH's cause, will be called by the Gatekeepers of Paradise who will say, "O so-and-so, and come on!" Abu Bakr said, "Such a person will never perish or be miserable' The Prophet said, "I hope you will be among such person."
Sahih Bukhari, Book 54, No 439: 

Hadith: Juma ka din aata hai to masjid ke har darwaze par farishte khade ho jate hain

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Juma ka din aata hai to masjid ke har darwaze par farishte khade ho jate hain

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Juma ka din aata hai to masjid ke har darwaze par farishte khade ho jate hain aur sabse pahle aane wale aur phir uske baad aane walon ka naam No. se likhte jate hain phir jab imam (khutbe ke liye) baith jata hai to farishte apne register band kar lete hain aur zikr (khutba) sunne lag jate hain.
Sahih Bukhari,
Vol 4,3211

----------------------------------------------------

Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "On every Friday the angels take heir stand at every gate of the masjid to write the names of the people chronologically (i.e. according to the time of their arrival for the Friday prayer) and when the Imam sits (on the pulpit) they fold up their scrolls and get ready to listen to the sermon."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 433: 

Hadith : Suraj aur chand mein Grahan (eclipse) dekho to Namaz Parha karo aur Dua karte raho

Bismillah hirrahman nirrahim

Hadith : Suraj aur chand mein Grahan (eclipse) dekho to Namaz  Parha karo aur Dua karte raho

Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Suraj aur chand  dono ALLAH Subhanahu ki nishaniya hai aur  Kisi ki  wajah se inmein Grahan (eclipse) nahi lagta bulki ALLAH subhanahu uske zariye apne bando ko darata hai
Sahih Bukhari, Vol2, 1048


Abu Bakra Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki hum Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ki khidmat mein hazir the ki Suraj ko graham lagna shuru ho gaya Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam maszid mein gaye saath mein mein hum bhi gaye Aapne humein Do rakaat namaz parhayee yahan tak ki suraj saaf ho gaya phir Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam   ne farmaya Suraj aur chand mein Kisi ki maut ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta jab tum grahan  dekho to Namaz parho aur  Dua karte raho jab tak Grahan chala na jaye
Sahih Bukhari, Vol2, 1040
 --------------------------------------
Narrated Abu Bakra Radi Allahu Anhu ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The sun and the moon are two signs amongst the signs of ALLAH and they do not eclipse because of the death of someone but  ALLAH frightens His devotees with them."
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 18, Number 158:

Narrated Abu Bakra Radi Allahu Anhu : We were with ALLAH's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam when the sun Eclipsed. ALLAH's Apostle stood up dragging his cloak till he entered the Mosque. He led us in a two-Rakat Prayer till the sun (Eclipse) had cleared. Then the Prophet Peace be upon him  said, "The sun and the moon do not Eclipse because of someone's death. So whenever you see these Eclipses pray and invoke (ALLAH) till the Eclipse is over."
Sahih Bukhari, Book
#18, Hadith #150




Eclipse Prayer :
Narrated Asma' bint Abi Bakr Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam once offered the Eclipse Prayer. He stood for a long time and then did a prolonged bowing. He stood up straight again and kept on standing for a long time, then bowed a long bowing and then stood up straight and then prostrated a prolonged prostration and then lifted his head and prostrated a prolonged prostration. And then he stood up for a long time and then did a prolonged bowing and then stood up straight again and kept on standing for a long time. Then he bowed a long bowing and then stood up straight and then prostrated a prolonged prostration and then lifted his head and went for a prolonged prostration. On completion o the Prayer, he said, "Paradise became s near to me that if I had dared, I would have plucked one of its bunches for you and Hell became so near to me that said, 'O my Lord will I be among those people?' Then suddenly I saw a woman and a cat was lacerating her with it claws. On inquiring, it was said that the woman had imprisoned the cat till it died of starvation and she neither fed it no freed it so that it could feed itself."
(Sahih Bukhari, Book
#12, Hadith #712

Hadith: Suraj aur chand mein Kisi ki maut aur zindagi ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta


Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Suraj aur chand mein Kisi ki maut aur zindagi  ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta


Abdullah bin Umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya Suraj aur chand mein Kisi ki maut aur zindagi  ki wajah se grahan (eclipse) nahi lagta, bulki ye ALLAH taala ki nishaniyon mein se ek nishani hai isliye jab tum unko dekho to namaz Parha karo
Sahih Bukhari, Vol 4,3201
---------------------------------------
Narrated 'Abdullah bin 'Umar Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "The sun and the moon do not eclipse because of someone's death or life, but they are two signs amongst the Signs of ALLAH. So, if you see them (i.e. eclipse) offer the Prayer (of eclipse)."
Sahih Bukhari, Book 54, No 423: 

Hadith: Kisi ki Zameen mein se Nahaq lene wale par Azab..

Bismillahirrahmanirrahim

 Hadith: Kisi ki Zameen mein se Nahaq lene wale par Azab..

Salam Radiallahu anhu ne apney walid se suna ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney kisi ki zameen mein se kuch nahaq le liya to Qayamat ke din usey 7 zameeno tak dhansa diya jayega.
Sahih Bukhari,
 Vol 4, 3196

---------------------------------------
Hadith:The punishment for the person who takes a piece of land unjustly…

Narrated Salam's father Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Any person who takes a piece of land unjustly will sink down the seven earths on the Day of Resurrection."
Sahih Bukhari, Book 54, No. 418:


Category

Total Pageviews