Search This Blog

Autoblog

Wednesday, June 11, 2014

Hadith: Maine jannat mein jhaank kar dekha to jannatiyon mein gareeb jiyada nazar aaye

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Maine jannat mein jhaank kar dekha to jannatiyon mein gareeb jiyada nazar aaye


Imran bin Husain Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya maine jannat mein jhaank kar dekha to jannatiyon mein gareeb jiyada nazar aaye aur maine Dozakh mein jhank kar dekha to dozakhiyon mein aurtein (women) jiyada nazar aayee.
Sahih Bukhari, Vol 4,3241

Ibn 'Abbas Radi allahu anhu se rivayat hai ki Mujhe Dozakh dikhlayee gayee to usmein jiyadatar aurtein thi Jo kufr karti hain pucha Gaya ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam kya wo ALLAH ke saath kufr karti hain? , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki khawind (husband) ki nashukri karti hain, agar tum umar bhar unmein se Kisi ke saath ehsaan kartey raho phir tumhari taraf se kabhi koi inkey khayal mein nagawari (napasand) ki baat ho jaye to kahegi ki mainey kabhi bhi tujhse koi bhalaii nahi dekhi.
Sahih Bukhari, Vol 1 ,#  29

------------------------------
Hadith: I looked at Paradise and found poor people forming the majority of its inhabitants



Narrated Imran bin Husain Radiallahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "I looked at Paradise and found poor people forming the majority of its inhabitants; and I looked at Hell and saw that the majority of its inhabitants were women."
Sahih Bukhari, Book 54,  464

Narrated Ibn 'Abbas Radi allahu anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "I was shown the Hell-fire and that the majority of its dwellers were women who were ungrateful." It was asked, "Do they disbelieve in ALLAH?"  He Sallallahu Alaihi Wasallam replied, "They are ungrateful to their husbands and are ungrateful for the favors and the good (charitable deeds) done to them. If you have always been good (benevolent) to one of them and then she sees something in you (not of her liking), she will say, 'I have never received any good from you." 
Sahih Bukhari Book #2, #28

Category

Total Pageviews